ROMAN ILM E GHAIB BOOK
Assalamwalekum wa rehmatullahi wa barakatahu
Is Kitaab ko Likhne ka maqsad hai ki humare Sunni Bhaiyon k saamne ILM e Ghaib jaankari baatna,in sha ALLAH is kitab me har woh chiz maujud hai jo Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka Ilm e ghaib saabit karta hai aur yaha tak ki Wahbi,Deoband,Ahle Hadees aur digar firqe jo Ilm e ghaib ka inkaar karte hai aur jo ALLAH ki ataai pe ungli uthate hai.Unka ka b parda fash kiya gaya hai aur saath hi un k sawalaat o jawabaat b diye gaye hai.
ALLAH se dua hai ki Humne is kitaab me jo likha hai use ALLAH apni bargah me qabul kare aur humare Tamam Sunni Sahi ul Aqeeda mazboot kare..
Aameen...Sum Aameen....
Index
1) GHAIB k Maine.
2) Ahle Sunnat wal jama’at ka Aqeeda ILM e Gaib par..
3) ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib
4) ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni main.
5) ILM-E-GAIB k Saboot Ahadees ki roshni main
6) Ilm e ghaib woh aayat jo ALLAH ka Zaati aur Khaas Ilm e Ghaib saabit karti hai lekin Gustakh use NABI Sallallahualaihiwasallam ki ilm e ghaib ki nafi ki dalil lete hai...
7) Ilm e ghaib ki woh Hadees jise Gustakh ILM e Ghaib ki Nafi k liye Dalil lete hai aur unke jawabaat...
8) Imamo’n ke Qawl Ilm e Ghaib par
9) Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke bayan me
10) Ilm e Ghaib per Akli aitrazaat ke Bayaan me
GHAIB k Maine
Gaib woh chupi hui chiz hai jis ko INSAAN na to Aankh, Kaan, Naak wagera, ya kisi Hawaas se Mehsoos kar sake, aur na Bila Daleel Aqal main Aasake.
For E.g:
Khanon ki lazzaten (TASTE), aur in ki Khushbu wagera hamare liye GAIB nahin, q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood, dusre Hawaas (Naak, zabaan) se Mehsoos ki ja sakti hain,
Ab Gaib kya hoga...
Jinnat, Malaika (Farishtey), aur Jannat aur Dozakh Wagera hamare liye is waqt GAIB hain..
Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal se,..
Ab GAIB hote hain, 2 tarah k..
1) Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake, Yaani Dalael se maaloom hosake..
For E.g: Jese Jannat, Dosakh aur ALLAH TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT... k In Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki Cheezen dekh k aur QURA'ANI AAYAAT dekh kar pata chalta hai..
2) Dusra GAIB woh jis ko Kisi DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake,
FOR E.g:
QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi??, INSAAN kab Marega??, Aur Aurat k Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad hai, Ya NAIK BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi maaloom nahin kiya ja sakta...
Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB, kaha jata hai..
Ek Aayat hai Qura'an ki (Parah#29, Surah#72, Aayat#26,27).. Uski Tafseer Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch yun Taareef ki gai hai:
"GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa saken aur na Badahatan usko Aqal chahe"
Tafseer Kabeer Suarh Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma Tehet hai:
" Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se Chupa ho, Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai, Ek to woh jis par Daleel ho, dusri woh jis par koi Daleel nahin"
Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru SURAH E BAQAR k Ma Tehet hai:
" GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho, is tarah k kisi Zariye se bhiIBTADA'AN, KHULLAM KHULLA maaloom na hosake, GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain, Ek woh jis par koi Daleel na ho, woh hi is Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan (CHABIYAAN) hain, dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho, Jese ALLAH TA'ALAaur Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai"
(YEH TAMAAM TAFASEER IS LIYE LIKHI HAIN TAA K AAP KO YEH NA LAGE K MAIN GAIB KI TAAREEF APNI MARZI SE BATA RAHA HUN, Yeh Taareef Muffassareen se Sabit haii,..JazakALLAH)
Ahle Sunnat wal jama’at ka Aqeeda ILM e Gaib par..
Ap Salallaho Alaihi Wasalam ka Ilm e Gaib Atai ha aur Jis Waqt Quran ki Akhri Ayat Nazil Hui Ap SalAllaho Alaihi Wasalam ka Ilam Mukamal hogaya. Yani AP SALALLAHO ALAIHI WASALAM KO PEHLE ILAM ATA KIA GAYA PHIR AHISTA AHISTA QUL ILAM ATA KERDIGA AYA...
HAWALA MUQALAAT E KAZMI PAGE 111 JILD 2 PE AND 156 HAQ PER KON HAI.
GAIB ki Taareef aur is ki IQSAAM (TYPES):
Gaib k meaning hy..Aisi chizen jo Aam Adami Na dekh Sake..Aur...Gaib ki khabar dene waaale ko Nabi kehte hai.
Nabi to kehte hi use hai Jo Gayb Ki khabar deta ho...
Aur hmaare Aaqa sal-lal-lahu alai hi wa sallam to Nabi k saath saath RASOOL BHI HAIN..
kya kisi ne kabi ALLAH (Subhana wa taaala) KO DEKHA HAI..?
KABHI JIBRAEL Alaihis Salaam KO DEKHA HAI..
KABHI KISI FARISHTE KO DEKHA HAI..
Beshak nai... to in GAIB Ki cheezon par Imaan kaise laaya ..
Nabi ne hi to bataaya ...aur Agar koi kahe...Nabi ko Gayb ka Ilm nai tha tab to Uska Imaan hi khaariz hogya..
Quraan may aata hai...."Wa maa yantikhu anil hawaa". "Aur woh apni marzi say kuch nahi kehtay (Muhammad Sallallahu alai wa salam)
"Khudaa ki Razaa pay razii Muhammad
Razaa e Muhammad pay Razii Khudaa"
Shaykh al-Islam, Hafiz Ibn Hajar al-'Asqalani, writes:
"One of the qualities bestowed upon a Prophet is the quality that he knows what has already happened in the past and what will happen in the future"..Urdu translation..."Nabi ki ek Khubi yeh hai k ..Wo Jante hy jo ho chuka hy past (mazi)me, aur kiya hoga future (mustaqbil) me.."
[Fath al-Bari, chapter on 'The Anbiya']
ILM-E-GHAIB ka inkaar KUFAR hai
Q : ILM-E-GHAIB kya hai ?
A : ILM-E-GHAIB, future may honay walay WAAQIYAAT hain.
Q : Kya hum ALLAH-TALA ko GHAIB keh saktay hain ?
A : HAAN, kyun k ALLAH-TALA ki zaat MAKHFEE hai, is liyay.
Q : Hum ko ALLAH-TALA ki zaat k baray mai kaisay pata chala ?
A : hum ko ALLAH-TALA kay baray mai pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) nay bataya.
Q : is ka matlab yay howa kay agar pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) ki zaat nahi hoti,
to hum ko ALLAH-TALA ki zaat k baray may pata nahi chalta ?
A : jee haan offcourse, ap nay sahi farmaya.
To sabit yay howa k ALLAH-TALA ki zaat GHAIB hai.
hum ko ALLAH-TALA k baray mai pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) say pata chala.
jis nay pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) kay ILM-E-GHAIB ka inkaar kiya...goya.
us nay ALLAH-TALA ki zaat ko man-nay say INKAAR kiya.
aur jo ALLAH-TALA ko man-nay say INKAAR karay.
wo KAAFIR nahi to aur kiya hai ?
ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib
ZAATI :- ALLAH taala ka Ilm Zaati hai,Yaani Khud ka Ilm,use kisi ne diya nahi,woh apni Qudrat se har chiz karta hai,use Har pal o zarre ki khabar pehle se hi maalum hai,ALLAH k liye ghaib kuch nahi yaani ALLAH k liye koi chiz chupi hui nahi hai.
ATAAI :- Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka ilm Ataai hai,Yaani k ALLAH se ilm e ghaib ataa hua hai,Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka jo ilm e ghaib hai woh ALLAH ki ataa se hai,khud se kuch nahi aur ALLAH ne kitna Ilm e ghaib ataa kiya yeh baat toh lauh e mehfooz ko b khabar nahi,aap Sallallahualaihiwasallam ko ALLAH ne Bepanha ilm ataa kiya hai.
ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni main.
Aayat#1:
Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB tum ko in sab par Nigehbaan bana kar hum la denge ".(PARAH#5,Surah#4(Nisaa),Aayat#41)
Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Is liye Huzoor (Aleh Salaam) ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai, Q k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k ALLAH ne jo pehle peda farmaya woh mera NOOR hai".
Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai.
" HUZOOR (ALEH SALAAM) par Aap ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam pesh kiye jaate hain, Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain, aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge".
Tafseer Madarak main Isi Aayat K Ma Tehet hai.
" HUZOOR (ALEH SALAAM) Gawah hain, Mominon par Un k Eemaan k Kaafiron par un k Kufar kAur Munaafiqon par un k Naffaaq k".
Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) Az Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-Eemaan-o-Naffaaq-o-Aamaal wagera sab ko Jaante hain, is liye Aap sab ki Gawahi denge, Yeh hi to ILM-E-GAIB hai..
Aayat#2:
Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko chahe". (PARAH#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)
Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Matla'a kare, isKUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen" (Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)
Tafseer E Khazan main hai.
Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." (Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)
Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai". (Tafseer Ul Kabeer, JILD#9, PAGE#111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)
Tafseer E Jalalen main hai.
Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai".... " KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya". (Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)
Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..
ROOH Ul BAYAAN main hai.
Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se". (Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD#2, PAGE#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)
Aayat#3:
(Surah # Al-Nisaa,Aayat no # 113)
Tarjuma: " Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".
Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, main hai.
Tarjuma: "Yaani Aahkaam sikhae, aur ILM-E-GAIB sikhaya"
IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo, aap nahin jaante the) YaaniEhkaam main sab, aur ILM-E-GAIB main se. (Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)
Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata???
Tafseer-E-Madarik main hai.
Tarjuma: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten, Dilon k Raaz batae".(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar)
Jaame Al Bayaan main hai.
Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din, jo Aap Qura'an k Nuzool se pehle na jaante the". (Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)
Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai, Yaani ILM-E-GAIB..
Aayat#4:
Tarjuma: " Tum Apne RAB k Fazal se Majnoon nahin". (PARAH#29, SURAH#68 (Surah Qalam), AAYAT#2)
Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Yaani Aap se woh Baaten chuip huwi nahin hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi, Q K jin k Maaenay (Meaning) hain chupna, Aap us ko jaantay hain jo ho chuka, aur KHABARDAAR hain us k jo hoga".
Is Aayat ki is Tafseer se Saaf Saaf ILM-E-GAIB k baaray main Maaloom hota hai..
Aayat#5:
Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB agar tum in se puchoge, to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel main the". (PARAH#10, SURAH#9 Surah Tawbah, AAYAT#65)
Tafseer Dar Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:
Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (Razi ALLAH Anho) se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain, k Falaan ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR". ( Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat#65, Jild#3, PAGE#456, Matboo'a Darul Qutub Ul ILMIYA, Beroot)
Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko GAIB ki Kiya khabar.. Arey hosh karo, GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho.. hosh karo.. ALLAH ka KHOF karo..
IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i, 104 HIJRI main.. (Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:
TARJUMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen". (Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat#66, JILD#1,PAGE#283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)
IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat nakal karte hain:
" Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen". (Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri, Surah TOBA, Aayat#65, Jild#10, PAGE#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)
Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..
Aayat#6:
Tarjuma: " Tu Apne GAIB par kisi ko Musallat nahin karta siwae apne Pasandeedah Rasoolon k ".
Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai:
Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho, Woh Gaib Matlaq hai, jeseQayaamat k Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaamaur Jese Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Matle'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma de, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya INSAAN ki jins se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne Ba'az GAIB Zaahir farmata hai".
Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k ma Tehet hai:
Tarjuma: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwat aur Risaalat k liye Chun liya, pas Zaahir farmata hai, jis par Chahta hai GAIB, Taa k inki Nabuwat par Daleel pakri Jaaway, in GAIB cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh in ka Mojaza hota hai. ( Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot)
ROOH Ul BAYAAN se yahi Aayat:
Tarjuma: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai, kisi koMatle'a nahin farmata siwae burgazeedah RASOOL k aur jo GAIB k RAB se KHAAS nahin,us par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma deta hai". (Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD#10, Page#236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai.. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain.. to jo Bad Aqeedah log, HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Shaan kam karne ki koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye..
Aayat#7:
Tarjuma: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bukheel nahin".(Surah Taqveer)
Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Matle'a farma dete hon.
Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat k Ma tehet hai:
Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur Aasmani Khabron par aur in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain. Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k Pass GAIB aata hai, pas woh is main tum par Bukhal nahin karte, Balkey tumhen Sikhate hain, aur Tum koKHABAR dete hain, Jese k Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".
(Mu'aalim U Tanzeel, JILD#4, PAGE#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot)
Tafseer-E-Khazan main hai:
Tarjuma: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai, to tum par is main Bukhal nahin farmate, Balkay tum ko Sikhate hain".
( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, PAGE#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)
Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..
Aayat#8:
Tarjuma: " Aur inko apna ILM-E-LADNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT KHIZAR ko)".
(Parah#15, Surah#18 Surah Kahf, Aayat#65)
Be Zaawi main hai:
Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ko woh ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur woh ILM-E-GAIB hai".
(Tafseer-E-Be Zaawi, JILD#3, PAGE#510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)
Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-ABBAS se Riwayat hai:
Tarjuma: "HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, HAZRAT MOOSA (ALEH SALAAM) se k tum mere saath Sabar na kar sako ge, Woh KHIZAR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya".
(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri, JILD#15, PAGE#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
ROOH UL BAYAAN main hai:
Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR ko jo Ladni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai, KHUDA k Hukum se, jese us taraf IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) gae hain".
(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD#5, PAGE#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
Tafseer-E-Madarik main hai:
Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko GAIB ki khabren din, aur kaha gaya hai, k ILM-E-LADNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par haasil ho".
(Tafseer-E-Madaarik, JILD#2, Page#22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)
Tafseer-E-KHAAZAN main isi Aayat k tehet hai:
Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko ILM-E-BAATIN ILHAAM k Tareeqay par Ata farmaya".
Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maaloom huwa k RAB TA'ALA ne HAZRAT KHIZAR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa, Q k Aap Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main sab se ziyaada Afzal aur AALIM (Yaani ILM waalay) hain, aur HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) bhi Makhlooq hain..
Aayat#9:
Tarjuma: " Aur isi Tarah hum IBRAAHIM ko Dikhate hain. Saari Baadshahi Aasmaanon ki aur Zameen ki".
(Parah#7, Surah#6 Surah An-‘aam, Aayat#75)
Tafseer-E-KHAAZAN main hai:
Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam) ko Sehra par khara kiya gaya, aur un k LiyeAasmaan khol diye gae, Yahaan tak k Unhon ne Arsh O Kursi aur jo kuch Aasmaanon main hai Dekh liya, aur Aap k Liye Zameen Khol di gai, Yahaan Tak k Inhon ne Zameenon k neeche zameen aur un k Ajaibaat ko dekh liya jo Zameenon main hai".
(La BAab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, JILD#2, PAGE#126, Matboo'a Darul Qut8b Ilmiya, BEROOT)
Tafseer-E-MADARIK main isi Aayat k MA TEHET hai:
Tarjuma: " Mujaahid ne HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) k liye saaton (7), Aasmaan khol diye gae, aur Unhon ne dekh liya, jo Kuch Aasmaanon main hai, Yahaan tak k Un ki NAZAR ARSH tak puhanch gai, aur un k liye, Saat (7), Zameen kholi gain k Unhon ne Woh cheezen dekh lin, jo zameenon main hai".
Tafseer-E-MADARIK, JILD#1, PAGE#373, MATBOO'a, MAKTABUL QURA'AN,PESHAAWAR)
ROOH-UL-BAYAAN main is Aayat k Ma Tehet hai:
Tarjuma: " IBRAAHIM ko Aasman O Zameen ki Ajaebaat O Garaebaat dikha diye, aurARSH ki bulandi se Tehet-Suri tak khol diye".
(Tafseer-E-ROOH-UR-BAYAAN), JILD#3, PAGE#72, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)
TAFSEER-E-IBN-EJAREER-ABI-HAATIM main hai:
Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM pe khuli posheedah tamaam cheezen khul gaen, Pas in par Makhlooq k Aamaal main se bhi kuch Posheedah na raha".
(Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al-Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri, JIL#246, Matboo'a Darul Haya, BEROOT)
Tafseer-E-Kibri main hai:
Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam0) k liye Aasmaanon ko Cheer diya, Yahaan tak k inhon ne, ARSH-O-QURSI aur jahaan tak Jismaani ILM ki Foqiyat Khatam hoti hai, Dekh liya. Aur Woh Ajeeb O Gareeeb cheezen bhi dekh lin, jo Aasmaanon min hain, aur woh Ajeeb-O-Gareeb cheezen bhi dekh lin, jo zameen k Pait main hai".
(Tafseer-E-Kabeer, JILD#5, PAGE#35, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)
IS Aayaat aur in Tafaaseer se maaloom huwa k ARSH se le k ar Zameen k Andarooni Hissay tak HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) ko dikhae gae, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM in se kahin ziyaada hai to Maanna parega, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi yeh tamaaam ULOOM Ata huwe.
Khayaal rahe k ARSH k ILM main LOOH-E-MEHFOOZ bhi aagaya aur (LOOH-E-MEHFOOZ main tamaam ULOOM aur sab kuch likh diya gaya hai, DUNIYA O AAKHIRAT k tamaam Mu'aamlaat is main likhe gae hain), Lihaaza yeh ILM-E-IBRAAHIMI ki shaan hai to, aap khud sochen k NABI-E-PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ka kiya ILm hoga, Q k ILM-E-IBRAAHIm (ALEH SALAAM) aur ILM-E-AADAM (ALEH SALAAM) to HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM ka ek Qatra hai..
Aayat#10:
Tarjuma: "Ae Eemaan waalo, Aesi Baaten hamare Mehboob se na pucho, k Agar tum pe zaahir kardi jaawen, to tumhen naagawaar hon".
(Parah#7, Surah#5 Surah Maai’dah, Aayat#101)
Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ek Shakhs ne kaha Ae ALLAH k NABI (ALEH SALAAM) mera Baap kon hai?? ToAAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tera Baap Falaan hai, aur phir yeh Aayat-e-Kareema Naazil huwi, Ae Eemaan waalon Aesi baaten mat pucha karo, k agar tumhare aage, bayaan kardi jaen to tumhen bura lage".
(Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, JILD# 2, PAGE# 1083, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi)
Jab Mu'aanideen Haq ki Gustaakhiyaan haad se barh gaen, aur in ki Taraf Uthaae gae,sawaalaat ka silsila tool Pakar gaya, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k Rookh Anwaar parNaaraazgi k Aasaar Namoodaar huwe, Riwaayat main aata hai k AAP (Sallalho Alehe Wassallam) JALAAL main akar mimbar par Jalwa Afroz huwe, aur yeh Aelaaan farmaya, jis ka Zikar HAZRAT ABU MOOSA (Razi ALLAH Anhu) ki riwaayat main yun kiya gaya hai:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se kuch cheezon k baaray main pucha gaya Jinhen AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Na Pasand farmaya, Jab Sawaalaat ka silsila Tawaalat Aekhtiyaar kar gaya, To AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) naaraaz hogae, phir Logon se farmaya, tum mujh se jis Cheez k baaray main chaho sawaaal karo,
Ek Shakhs ne kaha MERA BAAP KON HAI???
AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA hai,
phir dusra shakhs khara huwa, aaur us ne Kaha YA RASOOL ALLAH! MERA BAAP KON HAI??
AAP (Sallalho Alehe Wassallam) ne farmaya tera baap Sheeba ka Ghulaam Saalim hai.
Jab HAZRAT UMAR (Razi ALLAH anhu) ne AAP k Chehray par Naaraazgi ki Kefiyat dekhi to kaha YA RASOOL ALLAH! Hum ALLAH ki baargah main Toba karte hain".
(Sahhi Bukhari, Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#19, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi),
(Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad al Bazaar, JILD#8, PAGE# 146, Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina tul Munawwarah),
(Musnad Abi Ya'ALI, JILD#13, PAGE#288-289, Rakam Ul Hadees 7303),
(Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Sallalaho Alehe Wassallam), JILD#4, PAGE#1834-1835, Rakamul Hadees, 2360)
Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Marvi hai.
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) (Mimbar par) Tashreef lae, aur Khutba diya, ABDULLAH BIN HUZAAFA ne khare ho kar Arz kiya.. MERA BAAP KON HAI?? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA HAI??.. Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) baaar baar farmane lage, mujh se Pucho... HAZRAT UMAR (Razi ALLAH Anhu) ne Do (2) Zaanon beth kr Arz ki HUM ALLAH TA'ALA k RAB hone par, aur ISLAAM k Deen hone par, Aur MUHAMMAD (Sallaho Alehe Wassallam) k NABI hone par Raazi huwe, Aap ne yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae, Phit HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sakoot Ekhtuyaar farmaya".
(Sahi Bukhari Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#20, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri mai Riwayat karte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tm mjh se jis cheez k Muta'aliq Sawaal Karoge, main tmhen us cheez k Muta'aliq bayaan karunga".
(Musnad Ahmed, JILD#3, PAGE#177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar)
Is Aayat aur in Tafaaseer se ILM-E-GAIB ka saboot milta hai, k agar koi yeh Aqeedah rakhta tha, k NABI (ALEH SALAAM) ko ILM nahin hai, to NABI (ALEH SALAAM) k Chehrey Mubarak pe Naaraazgi k Aasaar aa jate the, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Mimbar pe khare ho k Aelaan karna k Jo puchna hai, jisne Puchna hai, Puch le... AAP (ALEH SALAAM) jawaab denge, Jis Par phir yeh Aayat Naazil huwi...
Bad Aqeeedah Logon ko Chahiye k woh Apne Aqaid ILM-E-GAIB k Muta'aliq durust karlen, Q kHAQ aur Baatil un k Saamne hai, jis Raah pe chalna chahen chalay jaen.. Bas itna Zarur yaad rakhna.. HUZOOR (ALEH SALAAM) main ILM-E-GAIB na maanna Munaafiqon ka kaam tha..
Aayat # 12:
Surah Al-Baqrah Aayat no.31.
Tarjuma: Aur ALLAH taala ne Adam Alaihissalam ko tamam Aashiya k naam sikhaye.phir sab aashiya Malaika par pesh kar k farmaya sacche ho toh in k naam batao..
Tafseer khazan ul irfan me is aayat k baare hai...
ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam par tamam aashiya wa jumla masmiyaat pesh farama kar aapko unke isma wa sifat wa afaal wa khuas wa usool uloom wa sana’at sab ka ilm bataur ilham ataa farmaya....
Yaani agar tum apne is khel me sacche ho k me koi makhluq tum se zyada ilm paida na karuga aur khilafat k tumhi mustahak hotoh un chizon k naam batao kyuki khalifa ka kaam tasruf wa tadbeed aur adl wa insaaf hai aur yeh bagair is k mumkin nahi k khalifa ko in tamam chizon ka ilm ho jin par inko mutassruf faramaya gaya aur jin ka is ko faisla karna hai..Masla: ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam k Malaika par Afzal hone ka sabab ilm zaahir farmaya isse saabit hua k ilm isma’a khlutu aur tanhai k ibaadat se afzal hai,Masla: is aayat se yeh b saabit hua k Ambiya Alaihissalam Maliaka se Afzal hai.....
Aayat # 13:
Surah Rehman Aayat no 1-4
Tarjuma : Rehman ne apne mehboob ko quran sikhaya insaniyat ki jaan Mohammed ko paida kiya Makaan wa Mayakoon ka bayaan inhe sikhaya.
Tafseer al sawi me hai ki Mohammed Sallallahualaihiwasallam jo al insan al kamil hai jinhe Makaan wa Mayakoon ka ilm ataa kiya gaya hai(woh sab kuch jo ho chuka,jo ho raha hai aur jo hone wala hai.)
ImamAbu Muhammad Husayn b. Mas'ud ibn Muhammad al-Farra' Baghawi al shafi’i (d.516H/1122),apni
Tafseer al baghawi me likhte hai ki “ALLAH ne Mohammed Sallallahualaihiwasallam ko paida kiya aur unhe har woh baat sikha di jo ho chuka aur jo hone wala hai.
وقال ابن كيسان: { خَلَقَ ٱلإِنسَـٰنَ } يعني: محمداًً صلى الله عليه وسلم { عَلَّمَهُ ٱلبَيَانَ } يعني: بيان ما كان وما يكون لأنه كان يبين ع
ن الأولين والآخرينوعن يوم الدين.
( Tafsir al Baghawi under Sura rahman , ayat 3-4).
Ibn Keesan Khalaqal Insaan He created human that is MuHammad Sallallahu ` Alayhi wa Sallam
likhte hai Allamahul Bayaan yani bayan sikhaya woh bayaan jo ho chuka aur hone wala hai.
NOTE : Imam Baghawi ne hadith classics Sharh al-Sunnah and Masabih al-Sunnah likhi jo baad me Mishkat al-Masabih addition k saath al-Tibrizi d.741H.
Ala'uddin Ali Bin Muhammad Khazin al shafi’i [ d. 725 AH] apni Tafsir me likhte hai “Mohammed Sallallahualaihiwasallam ko ma kaan wa ma yakoon ka ilm ataa kiya gaya”
[ Tafsir Al Khazin ]
Aayat # 14 :
Surah Yusuf Aayat no. 37.
Tarjuma :- Yusuf ne kaha jo khana tumhe mila karta hai woh tumhare paas na aane paayega k me uski taabir uske aane se pehle tumhe bata duga.(is aayat se Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Ilm e ghaib saabit hai)
Aayat # 15 :
Surah Al-Imran Aayat no. 49.
Tarjuma :- Aur tumhe batata hu jo tum khate aur jo tum apne gharo me jama kar rakhte ho.(Yaani woh jo b chupate apne ghar ki 4 diwari me woh sab Hazrat Isa Alaihissalam ko khabar hai)
Aayat # 16 :
Surah Yusuf Aayat no. 22.
Tarjuma: Aur jab apne pure quwat ko pahucha,humne ise hukum aur ilm ataa farmaya.
Aayat # 17 :
Surah Yusuf Aayat no. 96
Tarjuma: Fir jab khushi sunane wala aaya,usne wa kurta Yaqub k muh par daalausi waqt uski aankhen fir aai kaha mena kehta tha k mujhe ALLAH ki woh shaani maalum hai jo tum nahi jaante.
Aayat # 18.
Surah Ambiya Aayat no. 74
Tarjuma : Aur Lut ko humne Hukumat aur Ilm diya.
In tamam Aayat se Saabit hai ki ALLAH taala ne Sarkar Sallallahualaihiwasallam k saath Digar Ambiya Alaihissalam ko b ilm e ghaib ataa kiya hai.
ILM-E-GAIB k Saboot Ahadees ki roshni main
HADEES # 1:
Bukhari Kitaab Bada'a Ul Khalq aur Mishkaat, JILD#2, Baab Bada'a Ul Khalq O Zikar Ul Ambiya mainHazrat UMAR-E-FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai:
TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Jagah Qayaam farmaya, Pas Hum ko Ibtada-E-Pedaish ki khabar de di, Yahaan tak k Jannati log, Apni Apni Manzilon main Puhanch gae, aur Jahannumi log apni main jis ne Yaad rakha , Us ne yaad rakha, aur jo Bhool gaya, Woh Bhool Gaya".
(Sahi Ul Bukhaari, Kitaab Bada'a Ul Khalq, Jild#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi),
(Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana Karachi)
(Mishqaat UL Musaabeh, PAGE#506, Matboo'a NOOR Muhammad Qutub Khana)
Is Jagah HUZOOR (ALEH SALAAM) ne 2 Qisam k Waqi'aat ki khabar di
1) AALAM ki Pedaish Ki IBTADA kis tarah huwi..
2) Phir AALAM ki INTAHA kis Tarah hogi..
Yaani Az Roz Awwal ta Qayaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar diya..
Aeni Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari, Irshad-Us-Saari, Sharah Bukhari, Marqaat Sharah, Mishqaat main Upar di gai Hadees k Ma Tehet hai:
Tarjuma: "Is HADEES main Dalalat hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek hi Majlis main Saari Makhlooqaat k Saaray Haalaat ki Az Ibtada ta Inteha tak Khabar di".
(Marqaat Sharah Ul Mishqaat, JILD#11, PAGE#$, Maktab-E-IMDAADIYA, Multan)
(Irshaad Us Saari JILD#5, PAGE#250)
(Haashiya Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi)
IS Hadees aur Sharah se saaf maaloom hota hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ata kiya gaya hai, Q k Bager ILM-E-GAIB k woh Az Awwal (Yaani duniya ki Ibtada) se le kar Ta Aakhir (Qayaamat tak) k tamaam Waqiyaat kese bata sakte hain... Unhon ne sab kuch ILM-E-GAIB se hi bataya jo ALLAH TA'ALA ne inko Ata kiya hai...
HADEES # 2:
Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai:
Tarujuma: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo Qayaamat tak hone waale hain, Pas hum main bara AALIM woh hai, jo in baaton ka Ziyaadah Haafiz hai".
(Sahi Muslim, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
HADEES # 3:
Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat Huzefa (Razi ALLAH Anhu) hai.
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us jagah QAYAAMAT tak koi cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha, yaad rakha, jo bhool gaya woh Bhool gaya".
(Sahi Bukhari, JILD#2, PAGE#977, Matboo'a Karachi)
(Dalaelun Nabuwwah, IMAAM BEHKI, JILD#6, PAGE#313, Matbo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiya, BEROOT)
Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain:
TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main ROZ-E-QAYAAMAT tak k Ehwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana, aap ka Azeem mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel Kalaam ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal ek dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (Razi ALLAH Anhu) ki Hadees main hai Jisay IMAAM TARMIZI (REHMATULLAH ALEH) ne Riwaayat kiya hai, KHUZOOR (ALEH SALAAM) hamaray pass tashreef lae, AAP k haath main 2 kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab k baaray main farmaya yeh Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E-Jannat aur in k Aaba'a aur in k Kabeelon k naam hain, in par kabhi bhi na koi naam Ziyaadah ho sakta hai aur na ko naam kam ho sakta hai.. Phir AAP (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ne Baayen Haath waali Kitaab k Baaray main AHLE DOZAKH ki Nisbat isi Misal Bayaan Farmaya".
(Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD#6, PAGE#291, Matboo'a Dar-un-nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore)
IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main Roz-E-Qayaamat tak k Ehwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa q na ho k AAP (ALEH SALAAM) ko is k Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt main bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya".
(Umdah Qaari , JILD#15, PAGE#110, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain:
(Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD#5, PAGE#250)
HADEES # 4:
Mishkaat Baab Fazael Syed Ul Mursaleen main Muslim se Ba Riwaayat Sobaan (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main ne Zameen k Mashriqon aur Magribon ko dekh liya".
(Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
(Sahi Muslim, JILD#4, PAGE#2216, RaqamUl Hadees#2889, Matboo'a DarUl Kutub Ilmiya, Beroot)
MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees # 4 main hai..
Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR (ALE SALAAM) k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam cheezon ko jo Zameen main hain"..
HADEES # 5:
Mishkaat Ul Masaajid main Abdur Rehman Bin Aaish se Riwaayat hai:
TARJUMA: " HUM ne apne RAB ko achi Soorat main dekha, RAB TA'ALA ne apna Dast Qudrat Hamaray Seenay par rakha, Jis ki Thandak hum ne apne Qalb main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen ki Cheezon ko hum ne jaan liya".
(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)
Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Mene Apne RAB Azzawajal ko Behtareen soorat main deekha, RAB-E-Zul jalaalne mujh se farmaya k Malaika Muqqabareen kis baat par jhagra karte hain?? Mene Arz ki MOLA tu Khoob jaanta hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya phir mere RAB ne apni REHMAT ka HAATH mere donon Shaanon k Darmiyaan rakh diya, mene us ki Thandak apni dono Chaatiyon k Darmiyaan Paai, Pas mujhey in tamaam Cheezon ka ILM hogaya, jo k Aasmaaanon aur Zameenon main thin".
(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)
IMAAM AHMED BIN HAMBAL 241 Hijri main Riwaayat karte hin:
Tarjuma: " HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya AAJ RAAT ko neend main mera RAB Azzawajal Haseen Soorat main mere Pass Aaya, aur farmaya Ae MUHAMMAD! Kiya tum jaante ho k Malaikah kis chez par behes kar rahe hain??
HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k AAP ne farmaya Nahin..
Phir NABI (ALEH SALAAM) farmate hain, k ALLAH TA'ALA ne apna Haath mere donon kandhon k darmiyaan rakha Hat'ta k Main ne apne seene main is ki Thandak mehsoos ki aur mene in tamaam Cheezon ko jaan liya jo Aasmaanon aur Zameenon main hain".
(Musnad Ahmed, JILD#1, PAGE#368, Raqqamul Hadees 3484, Matboo'a Mosasta Qurtaba Misar)
Hadees # 6:
Sharah Mowaahib Ladniyah main HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ki Riwaayat se hai:
Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne hamare saamne Saari duniya ko pesh farmaa diya Pas hum is Duniya ko aur jo kuch is main QAYAMAT tak hone waala hai is tarah dekh rahe hain, jese apne Haaath ko dekhte hain".
(Sharah Ul Allama Zarqaani Ali Ul Mowaahib Ul Ladniyah Ul Maqsad Us Saaamin Ul Fasal Us Salis Ul Qasam Us Saani, JILD#7, PAGE#206, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)
HADEES # 7:
Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai:
Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ".
(Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)
Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah Aleh) ne IBN-E-UMAR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak jo kuch us main hone waala hai main use us tarah Waazeh tor par dekh raha hun jese meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye Munqashaf farmaya, jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya".
(Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot)
Hadees # 8:
Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zar Gafari (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hum ko HUZOOR (ALEH SALAAM) ne is Haal par chora k koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar)
IMAAM Bo Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain".
Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) ne Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, K Fiza-E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se uska Zikar kar diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HAZRAT ABU ZAR (RAZI ALLAH ANH) se Riwaayat hai k inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par chora k Fiza-E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se us ka Zikar kar diya hai".
(Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora k Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us Se Muta'aliq Zikar kiya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Ab Aap Khud faisla karen.. k Kiya Bager ILm k Aasmaan main Urne waale Parinday k K baaray main maaloom kiya ja sakta hai???
Woh bhi tni jaldi maaloom karna, k Parinday k Par Hilaanay se pehle hi dusron ko bhi Parinday k Baaray main bata diya jae...
Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, Q k Aasmaan main Urne Waala PArinday k Baaray main Maaloomat to Gaib hai, Q k GAIB har Chupi huwi cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas k bager maaloom na ki ja sake... to is GAIB k ILM ko kiya kahen ge???
ALLAH, Bad Aqeedah logon ko Raah-E-Raast pe Lae.. Aameen..
HADEES # 9:
Mishkaat Baab Ul Fitan Fasal Saani Main HAZRAT HUZEFA (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai..
Tarjuma: " Nahin chora HUZOOR (ALEH SALAAM) ne kisi Fitna chalanay waalay ko duniya k khatam hone tak, jin ki taadaad 300 se ziyada tak puhnchay gi magar hum ko is ka naam is k baap ka naam aur is k Qabeelay ka naam bata diya"
(Mishkaat Ul Musaabeh, baab Ul Fitan Fasal Saani, PAGE#463, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi)
HADEES # 10:
Mishkaat Baab Zikar Ul Ambiya main Bukhaari se Ba Riwaayat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hazrat Daaod (Aleh Salaam) par Qura'an (Zaboor) ko is Qadar halka kar diya gaya tha, k Woh Apne Ghoron ko Zain laganay ka Hukum dete the to AAP in ki Zain se pehle ZABOOR parh lete the"..
(Sahi Bukhari Kitaab Ul Ambiya, JILD#1, PAGE#475, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi)
Yeh Hadees is jagah is liye bayaan ki gai k Agar HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Wa'az main Az Awwal Ta Aakhir Waaqiyaat bayaan farma diye to yeh bhi AAP ka ek Mojiza tha jese k HAZRAT DAAOOD (ALEH SALAAM) AAN ki AAN main Saari ZABOOR SHAREEF parh lete the..
HADEES # 11:
Mishkaat Baab Munaakib Ahle Bait main hai..
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne khabar di k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU) k farzand peda hoga, jo tumhari parwarish main rahe ga"..
(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Ahle Bait Un NABI Ul Fasal Ul Awwal, PAGE#572, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khana KArachi)
Tamaam baad k Hone waale Fitnon ka bata dena, aur aese batana, K fitnah karne waalon k naam batana, un k Baap ka naam batana, uar Qabeelay ka naam batan.. yeh kiya hai??? Jawaaaaab do???
Aap khud faisla kar sakte hain k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU) ko batana k un k Yahaan farzand peda hoga.. yeh GAIB hai ya nahin??? Batao?? Jawaab do Gustaakhon???
HADEES # 12:
Bukhari Baab Asbaat Azaab Ul Qabar main HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Naqal hai:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) do Qabron par se Guzre jin main Azaab horaha tha, to farmaya k dono Shakhson ko azaab diya ja raha hai, aur kisi Dushwaar baat mai Azaab nahin ho raha in main se ek to Peeshaab se na bachta tha, aur dusra Chugli Kiya karta tha, phir Ek Tar SHAAKH ko le kar is ko aadha aadha Cheera Phir har Qabar main ek ek ko Gaarh diya aur Farmaya k jab tak yeh Tukray khushk naa honge, in dono shakhson se Azaab main kami ki jaawe gi"..
(Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#611, MAtboo'a Qadeemi Kutub khana Karachi)
HADEES # 13:
Bukhari Kitaab Ul Aatasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur Tafseer E Khazan main hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Mimbar par kharay huwe, Pas Qayamat ka Zikar farmaya k Is se Pehle Baray Bary Waaqiyaat hain, Phir farmaya jo Shakhs jo Baat puchna chahay Puch le, QASAM khuda ki Jab tak Hum is jagah Yaani Mimbar par hain, tum koi baat hum se na pucho ge, magar hum tum ko is ki Khabar denge, ek Shakhs ne khare ho kar Arz kiya, K mera Thikaana kahaan hai?? Farmaya Jahannum main... Abdullah Bin Huzaifa ne khare ho kar Dariyaft kiya k Mera BAAP kon hai?? Farmaya HUZAFA.. Phir Baar Baar farmate rahek Pucho Pucho"..
(Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul Aatasaam, Jild#2, Page#1083, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
Khayaal Rahe k Jahannumi Ya Jannati hona Uloom E Khamsa main se hai k Saeed hai yaShakki, isi Tarah kon kis kaa Beta hai yeh aesi baat hai k Jis ka ILM Siwae is ki Maa k aur kisi ko nahin hosakta,
Qurbaan un Nigaahon k jo k Andheray Ujaalay, Duniya O Aakhirat sab ko Dekhti hain..
HADEES # 14:
Mishkaat Baab Minaakib Ali (Razi ALLAH Anhu) main hai:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khebar k din farmaya k Hum Kal yeh Jhanda us ko den ge, jis k haath par ALLAH Khaibar Fatah Farma dega, aur Woh ALLAH aur US k RASOOL se Muhabbat karta hai"..
(Mishkaa Ul Musaahib, Page#563, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khaana, Karachi)
(Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib (Razi ALLAH Anhu, Jild#4, Page#1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499, Matboo'a Dar Ibn E Kaseer, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:
Tarjma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khaiber k din farmaya k Main Aese SHAKHS ko Jhanda dunga, jo ALLAH AZZAWAJAL aur s k RASOOL (ALEH SALAAM) ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur Us k RASOOL use Dost Rakhte hain aur Woh Mehsoor Yahood K Qilay ko Fatah karega"..
(Tabqaat Ul Qubra Ibn-E-SAAD Gazwah E Khaibar, Jild#2, Page#110, Matboo'a Dar us Saadir, Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya Main Kal aese Aadmi ko jhanda Ata karunga jo ALLAH aur is k RASOOL se Muhabbat karta hai, ALLAH TA'ALA is k Haath par Musalmaanon ko Fatah Naseeb farmae ga woh Bhaagay ga nahin"..
(Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar, JILD#4, Page#305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
HADEES # 15:
Mishkaat Baab Ul Masaajid main Abu Zar Gaffari (Razi ALLAH Anhu) se hai:
Tarjuma: " Hum par Hamari Ummat k Aamaal Pesh kiye gae, ache bhi aur Buray bhi, Hum ne un k Achay Aamaal main woh Takleef de cheez bhi Paai jo Raaste se Hata di jae"..
(Sahi Muslim Kitaab Ul Masaajid Baab Ul Nahi An Ul Bassaaq Fil Masjid, Jild#1, Page#207, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
Upar dono Ahaadees se Saaf Saaf ILM-E-GAIB Saaabit hai..
k
Khaiber ki Jang kon Fatah karega yeh Batana GAIB nahin to aur kiya hai?? Gustaakhon se Sawaal.. Batao jawaab do??
Dusri Hadees se to ab Koi Shak hi nahin Bachta.. Are NABI (ALEH SALAAM) khud farma rahe hain.. k Un k Saamne Unki Ummat k Aamaal Pesh kiye jaate hain...
Are Shetaan k Chelon Doob Maro.. ALLAH k Azaab se daro..
HADEES # 16:
Muslim Jild#2, Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar main Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Falaan Shakhs k Girne ki jagah haiaur apne Dast-E-Mubaarak ko idhar Udhar Zameen par Rakhte the, Raawi ne farmaya k Koi bhi Maqtooleen main se HUZOOR (ALEH SALAAM) k Haath ki Jagah se Zara bhi na Hata"..
(Sahi Muslim Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2,Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
NOTE: Khayaal Rahe k kon kis Jagah Mare ga, Yeh Uloom E Khamsa main se hai, jis ki Khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) Jang-E-Badar main ek Roz pehle de rahe hain..
Imaam Abu Daaod 275 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k (Jang-E-Badar k din) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya Kal Yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur AAP ne Zameen par Haath rakha aur Kal yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur Zameen par haath rakha aur Kal yeh Falaaan k Girne ki Jagah hai aur Zameen par Haath rakha tha, koi Shakhs is k Bilkul Mutuwaajis nahin huwa. (Isi jagah gir kar mara), Phir RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalaam) k Hukum se unko Ghaseet kar Badar k Kooen main Daal diya gaya"..
(Sunan Abi Daaod, Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)
ALLAMA YAHYA Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri main is Hadees Mubaraka ki sharah main likhte hain:
Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka main HUZOOR (ALEH SALAAM) k 2 Mojazon ka Zikar hai, jo kAAP ki nabuwat ki nishaaniyaan hain, Ek AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka in Un k Jaabir Sardaaron k Qatal Gaahon ki Khabar dena k kisi ne apni Qatal Gaah se Tajaawuz na kiya, Dusra Mojaza AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh batana k jis Larkay ko woh Maar rahe the, jab use Chortay to woh such bolta, aur jab use Maarte to woh jhoot bolta aur yahi Haqeeqat thi"..
(Such kiya tha aur Jhoot kiya?? Is ko Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) na samajh sake aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Waazeh farma diya, Yahi GAIB batana HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Dusra Mojiza tha)..
(Sahi Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2, Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
HADEES # 17:
Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat hai:
Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha k Bheriya Baaten kar raha hai, to Bheriya bola, k is se Ajeeb baat yeh hai k Ek Sahab (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur Aaendah ki Khabren de rahe hain".
(seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees, 433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)
Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k Sangistaanon k darmiyaan Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi Batlaate hain, aur Aane Waale bhi"..
( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash, JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)
ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah Ajeeb Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k Darmiyaan Khajooron k Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo tumhen Maazi ki Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone waala hai un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai"..
(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi Peshawar)
Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai k Ek Aadmi Do (2) Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar Batla raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"...
(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)
Haqeeqat Aap k Saamne hai..
Hadees # 18:
Tafseer-E-Khaazan main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tehet hai:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k Hum Par Humari Ummat Pesh farmai gai, apni apni Sooraton main, Matti main, jis tarah k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) par pesh huwin thin, HUM ko bata diya gaya, k kon HUM par Eemaan Laawega, aur Kon Kufar karega, yeh Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lage, k HUZOOR (ALEH SALAAM) farmate hain, k un ko logon ki Pedaish se Pehle hi Kaafir O Momineen ki khabar hogai, hum to un k saath hain, aur hum ko nahin Pehchaante, yeh khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) tak Puhnchi to Mimbar par khare huwe, aur KHUDA ki Hamd O Sana ki Phir farmaya k Qomoun ka kiya haal hai k Hamaray ILM main Taana karte hain, Ab se Qayaamat tak kisi Cheez k Baaray main jo bhi tum hum se Pucho ge, hum tum ko Khabar Denge"..
Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin...
1) Ek yeh k HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main Taana karna, Munaafiqon ka Tareeqah hai..
2) Dusray yeh k Qayaamat tak k Waaqiyaat saaray HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main hain..
(Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazan, JILD#1, Page#324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)
HADEES # 19:
Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal main Muslim se Ba Riwaayat Ibn-E-Mas'ood (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hum in (Dajjal se Jihaad ki Tayyari katne waalon) k Naam, In k Baap Daadon k Naam, In k Ghoron k Rang Pehchaante hain, Woh Ro-E-Zameen par Behtareen Sawaar hain"..
(Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, Baab Fasal Fi Ashraat Us Saa'a, JILD#2, PAGE#392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana, Karachi)
HADEES # 20:
Mishkaat Shareef, Baab Minaaqib Abi Bakar O Umar main hai k HAZRAT AAYESHA (Razi ALLAH Anhu) ne Baargah Risaalat main Arz kiya k Kya koi Aesa bhi hai, jis ki Nekiyaan Taaron k barabar bhi hon, Farmaya woh Umar hai...
(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis, PAGE#560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi)
Is se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko QAYAAMAT tak k Saaray logon k Zaahiri aur Posheedah Aamal ki Puri khabar hai, aur Aasmaanon k tamaam Zaahiri aur Posheedah Taaron ka bhi Tafseeli ILM hai, Haalankay, Ba'az Taaray ab tak Sciencey Aalaat se bhi Maaloom na ho sake, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne in dono cheezon ko Mulaahiza farma liya, k UMAR ki Nekiyan Taaron k Barabar hain, Do Cheezon ki Barabari ya Kami Beshi wohi Bata sakta hai, jise Donon Cheezon ka ILM bhi ho aur Miqdaar bhi Maaloom ho....
HADEES # 21:
NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar dena:
Nijaashi Mulq-E-Habsha k Baasha ka laqab tha, jo koi wahaan ka Baadsha hota tha, useNijaashi kehte the, woh Nijaashi pehle Eesaai tha, Lekin jab HUZOOR( ALEH SALAAM) kaNaama-E-Mubaarak jis main us ko Daawat-e-Islaam di gai thi, mila to HUZOOR (ALEH SALAAM) pae Eemaan le aaya aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Risaalat ka Iqraar kiya..
Imaam Ali Bin Mehmood Bim Saood-Ul-Khazai 789 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Eemaan lae aur Gawaahi di Tauheed O Risaalat ki"..
(Takhreej-Ur-Dalaalaat Us Samee'a, Page#297, Matboo'a Daar-Ul-Garb Ul Islaami, Beroot)
Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehman Bin Al Juzwi 597 Hijri main Likhte hain:
Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya:
Tarjuma: " Agar main Mulq (Hukmaraani) k Masael main na hota, to main AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Pass aa kar AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Naal'en ko Choomta"..
(Safoo'o Al Safoo'o, Jild#1, Page#518, Matboo'a Daar ulMa'arfatah, Beroot)
Haafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main ek Taweel Riwaayat main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki k Ae ALLAH Nijaashi ki MAgfirat farma Pas SAHABA (RAZI ALLAH ANHU) ne Aameen kaha"..
(Mo'ajjam Ul Kabeer Tibraani Ma Asnad Jaafar (Razi ALLAH Anhu), Jild#2, Page#110, Raqam Ul Hadees 478, Matboo'a Maktab Tul Uloom O Al haka, Ul Mosal)
Imaam Shamsuddeen Muhammad Bin Ahmed Zehbi 748 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki, Ae ALLAH Nijaashi ki Magfirat farma pas Sahaba (Razi ALLAH Anhu) ne Aameen kaha"..
(Seera Aalaaam Un Niblaal, Jid#1, Page#437, Matboo'a Mo'sasta, Ur Risaala, Beroot)
Imaam Abu Daaod 275 Hijri main riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k woh Farmaati hain, hum Guftugoo kiya karte the k Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ki Qabar par hamesha ek Noor NAzar Aata hai"..
(Sunan Abu Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooweri, Jild#1, Page#341,342, Matboo'a Maktab-a-Hukaaniyah Peshaawar)
(Sunan Abi Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooreri, and Kabar Us Shaheed, Jild#3, Page#16, RaqamUl Hadees 2523, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot)
Aur jab Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Wafaat paa gae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usi din Sahaba-e-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ko un ki Wafaaat ki khabar sunai aur un par Namaz-E-Janaza parha aur Namaz-E-Janaza k baad Hazarat Nijaashi k liye dua bhi farmai..
Imaam Muslim bin Hajjaj 261 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Hurera (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Habsha k Baadsha Nijaashi ki Wafaat ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye Astagfaar kar do"..
(Muslim Shareef, Jild#1, Page#309, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana karachi)
(Akmaal Akmaal Ul Mu'allim, Sharah Sahi Muslim, Jild#3, Page#88, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiy, Beroot)
Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri main Riwaayat karte hain k:
Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu0 se Riwaayat hai k jab Nijaashi (razi ALLAH Anhu0 Ka Inteqaal huwa to, NABI-E-Kareem (Aleh Salaam) ne farmaya k in k liye Istagfaar karo"..
(Sunan Ul Kubra Ul Nisaai, Jild#1, PPage#657, Raqam Ul Hadees 2169-2168, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
(Nisaai Shareef, Jild#1, Page#287, Mujtaba'i Pakistan, Lahore)
Imaam Abi MAnsoor Muhammad Bin Mehmood Al MA Taredi 333 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazarat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) se Riwaayat hai k jab Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ka inteqaal huwa to NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassallam) ne farmaya k Apne Bhai k liye IStagfaar karo"..
(Taawweelaat-E-Ahle Sunnah, Tafseer Ul Ma taredi, Jild#2, Page#567, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Bin Ahmed Ut Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat JAreer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya Tumhara bhai Nijaashi Wafaat farma gaya hai, un k liye Istagfaar karo"..
(Al Mo'ajjam Ul Kabeer Ut Tabrani, Jild#1, Raqam Ul Hadees 2347-2348-2350, Matboo'a Ahya Ut Turaas Ul Islaami, Iraq)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Muhammad Al Tahawi 321 Hiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k RAOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalam) ne Habsha k Badsha Nijaashi ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye Istagfaar karo"..
(Sunan Ul Kubra, Jild#4, Page#57, Raqam Ul hadees 6932, Page#82, Raqam Ul Hadees 7026, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaaayat karte hain k:
Tarjuma: " Imaam Behki (Rehmatullah Aleh) farmate hain k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh farmana k " Main nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai", Wallaho ILM AAP ne Hadiyon ko us ki taraf bhejne se pehle khabar kardene ka iradah farmaya, aur us k Foat hone se pehle AAP ne in kalimaat ko Saadir farmaya, is k Baad jab woh Foat huwa to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usi din us k Foat hone ki khabar de di, aur us par Namaz parhi thi"..
(Khasaais Ul Kubra, Jild#2, Page#168, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiyah Beroot)
Haafiz Amaa Duddeen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Umme Kulsoom (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne Kaha k RASOOL ALLEH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya jab Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se Nikah farmaya to AAP ne farmaya, main ne Nijaashi ki tarag se chand Mashq k Oqiyey aur Joray bhejey hain, main use nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai, aur main in Hadiyon ko nahin dekhta magar yeh k ise Meri ise meri taraf Waapis kar diya gaya hai, to yeh Gaibi khabar aese hi Waaqey huwi jese k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k Nijaashi Foat hogaya, aur Hadiyah Waapis Aagae"..
(Al Seerah Un Nabbuwah Na'i RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Nijaashi Fi Yom-E-Zi Maat Fee Baariz Habsha, jild#3,Page#493, Matbo'a Daar ul Kitaab Ul Aa'raabi, beroot)
ILM-E-GAIB-E-MUSTAFA (Sallalaho alehe Wassallam):
Is HADEES-E-MUBARAKAH se HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM-E-GAIB saaf Wazeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HABSHA k Baadsha NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa..
Aagay AAP khud Faisla kar sakte hain, k kisi k Batae Bager, kisi Hawaas k Bager kisi k Inteqaal ki Khabar de dena, yeh ILM-e-GAIB nahin to aur Kiya hai...
HADEES # 22:
HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Pehle hi bata diya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main puchne aae ho:
Imaam Ismail Bin ul Fazal 535 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Unhon ne kaha, main NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Baargah main is liye Aaya k main NEKI aur BADI k baaray main puchon, Magar mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:
" Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu) kiya main tumhen bata dun, jo tum mujh se Puchna Chahtay ho?
Main ne Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassallam) mujhey bataiye,
Farmaya tum Muhj se Neki aur Badi k Baary main Puchne Aae ho??
Main ne Arz kiya.. Qasam hai us Zaat ki jis ne AAP ko Haq k Saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi farmaya..
Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho..
(Dalael Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz)
Imaam Daarmi (RehmatULLAH) likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Wabsah se farmaya tum NEKI aur GUNAH k Muta'alliq puchne aae ho?? Unhon ne kaha jee haan..
(Sunan Daarmi, Jild#2, Page#320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! Kiya main tumhen bata dun jo tum mujh se Puchna chahtay ho??
Mene Arz kiya Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujheu bataeye..
Farmaya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main Puchne aae ho,
Wabsah (Rzai ALLAH Anhu) ne farmaya AAP ne bilkul Sahi farmaya"..
(Musannad Ahmed, Jild#4, Page#228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar)
Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri main Riwayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ali, Behki aur abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Wabsah (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha main NABI-E-KAREEM (Razi ALLAH anhu) ki Baargah main is liye Aaya k MAin NEKI aur BADI k Baaray main Puchon Magar Mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:
Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! kiya main tumhen yeh na bata dun jo tum mujh se puchna chahtay ho??
Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey bataiye,
Farmaya Tum Mujh se NEKI aur BADI k Baaray main Puchne aae ho??
Mene Arz kiya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko HAQ k saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi Farmaya..
Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho..
(Khasa-e-Sul Kubra, Jild#2, Page#171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Ab AAP hi Bataen, k Kisi k DIL ki Baat jaan lena, kiya hai?? Kiya yeh ILM-E-GAIB nahin??
HADEES#23:
* YEH BAKRI BAGER IJAAZAT K ZIBAH HUWI HAI:
Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne ek Ansaari se Riwaayat ki, us ne kaha k ek Aurat ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassllam) k khaanay ki daawat ki, jab Khaana rakha gaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Luqma le kar Moun main chabaya to farmaya, main is Gosht ko is Bakri ka pata hun, jise Na Haq pakar liya gaya tha, Us Aurat se Pucha gaya, us Aurat ne kaha, k is ki Hamsaaya ne us Gost ko apne Shohar ki Ijaazat liye Bager Bheja tha"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot)
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#310, Matboo'a Dar Ul Qutub ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Daaood 275 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ansaar k ek Aadmi se Riwaayat hai, k hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) k saath ek janaazay main gae, AAP Qabar Khodney waaalay ko Waseeiyat farma rahe the, k Peron ki Jaaanib se QABAR ko kushaada karo, aur Sar ki Jaanib se QABAR ko Kushaadah karo, jab AAP waaapis huwe to ek Aurat ki taraf se Daawat dene waala aaya, AAP ne us ki Daawat ko Qubool kar liya, aur Hum bhi AAP k Saath the pas khaana laaya gaya, AAP ne apna Haath rakha, phir Qoum ne Apna Haath rakha, Sab ne khaaya Hum ne HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf dekha, AAPapne Moun main ek Luqma chaba rahe the, AAP ne farmaya, Muhjey yeh ILM huwa hai, k yeh US Bakri ka Ghosht hai, jise us k MAalik ki marzi k Bager Laaya gaya hai, Phir us Aurat ko Bulaaya gaya, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) main ne kisi ko Mandi ki taraf bheja tha, Taa k Meray liye Bakri khared li jae, to bakri nahin mili, mene Apne Parosi ko pegaam bheja, Jis ne ek bakri khareedi thi, k woh Bakri Qeemat k Aewaz muhjey Bhej de to woh Parosi nahin mila, mene us ki biwi ko Peghaam bheja, to usne woh Bakri mujhey de si, tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, yeh Khaana QEDIYOn ko khila do"..
(Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shabhaat, Jild#3, Page#244, Raqam Ul Hadees 3332, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)
Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, main is GHOSHT ko is Bakri ka paata hun, jise is k Maalik ki ijaazat k Bager Zibah kiya gaya ho"..
(Sunan Al Daar Qatni, Jild#4, Page#285, Matboo'a Daar Ul Ma'arfatah, Beroot)
Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh us Bakri ka GHOSHT hai, jo Maalik ki Ijaazat k Bager Haasil kar k Zibah ki gai"..
(Al Tehqeeq Fi Al hAdees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)
Faisla Aap k Haath main hai, k GHOSHT ka Luqma moun main Rakhte hi, pata chal jaana k BAQRI Ijaazat le k Zibah ki gai, ya bager ijaazat liye Zibah kiye gae, GAIB hai ya nahin, aur is ka Jaan lena, ILM-e-GAIB hai ya nahin..
HADEES#24:
* TUMHARAY PASS AHL-E-JANNAT KA EK SHAKHS AARAHA HAI:
Muhammad Bin Abdullah Abu Abdullah Al Haakim NeshaPuri 405 Hijri main HAZRAT ABDULAH BIN MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hum NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah main Haazir the, to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aaraha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..
(Al Mustadrik Kitaab Ma'arfah l Sahabah, Jild#3, Page#73, RaqamUl Hadees 4443, MAtboo'a Daar Ul Qutub ilmiyah Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Haakim (RematULLAH Aleh) ne SAHI bata kar HAZRAT IBN-E-MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Unhon ne kaaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho ALehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aarha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..
(Khasa-E-s Ul Kubra, Jild#2, page#180, MAtboo'a DarUl Qutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin AbdULLAH (RAZI ALLAH ANHU) bayaan karte hain k Hum NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the k, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Is Waqt tum par woh Shakhs Chmakay ga k, ALLAH ne mere Baad us se Behtar O Buzrug tar kisi ko nahin banaya, aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shafa'at ki misal hogi, Pas Hum Haazir hi the k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) Aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya Phir in ko Boosa diya uar Galay lagaya"..
(Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar ul Fiqar Beroot)
Imaam Muhib Ud Deen Tinri (RehmatULLAH ALEH) farmatay hain:
Tarjuma: " HAZRAT JAABIR BIN ABDULLAH (RAZI ALLAH ANHU) Bayaan kart hain k HumNABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne irshaad farmaya, is Waqt tum par woh Shkahs Chamkay ga, k ALLAH ne mere Baad us se Behter O Buzrug Tar Kisi ko Nahin banaya aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shaffa'at ki Misal hogi, Pas Hum Haazir hi the, k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya phir un ko Boosa diya aur Galay lage"..
(Ar Riyaaz Ul Nazrah Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, RaqamUlHadees 435, Matboo'a Daar Ul Guroob Ul Islaami, Beroot)
Kisi ko Ahl-E-Jannat kehna kiya hai?? Haqeeqat aap k Saamnay hai... HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE ko Ahl-E-Jannat keh kar pukaara, yaani HUZOOR (ALEH SALAAM) jaantay they k woh Jannati hain, aur Jannat aur Dozakh k Baaray main Jaanna Yaani kon Jannati hai aur kon Dozakhi yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin, is ka Faisla Aap hi kar len.
HADEES # 25:
SAB SE BAD BAKHT INSAAN KON HAI??:
Imaam E Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main is Riwaayat k Baad likhte hain:
Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, kehte hain, Main aur Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Gazwah E Asheerah main hum Ruqaab the, ek jagah hum ne parao kiya, wahaan hum ne chand choti se Khajooron ko dekha, aur un k neechay maati ki dhool par hi sogae, humen NABI (ALEH SALAAM) k siwa kisi ne bedaar na kiya, AAP tashreef lae, aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) k paaon ko Aahista Tatola aur Haalat yeh thi k hum Mitti se lat pat the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ALI utho! kiya main tumhen batlaon nahin k sab se Bad Bakht kon hai??
Ek to Qom E Samoood ka woh Mard Ahmer jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki ooontni k paaon Kaate the, aur dusra woh jo tum par is jagah waar karega, AAP ne apne Sir ki ek jaanib Ishaara kiya aur yeh tar hojae gi, AAP ne apni Daarhi mubarak pakar li..(Yaani Sir se le kar Daarhi tak khon hi khoon hoga)
(Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page#497, Matboo'a Ziya Ul Quran Publications Lahore)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main bhi yahi Riwaayat karte hain:
(Bahawaala: Fazael E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Page#566, Raqam Ul Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " to Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya k beshak RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se Uhad (Waada) farmaya k main us waqt tak nahin marunga, jab tak main khaleefa na ban jaoun, phir meri Daarhi ko mere khoon se rang diya jae.. to Aap (Razi ALLAH Anhu) bhi Qatal huwe, aur Abu Al Fazaalah (Razi ALLAH Anhu) bhi Yom E Safeen k roz Qatal huwe"..
(Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild#2, Page#326, Raqam Ul Hadees 702, Makah Mukarrama)
Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Main nahin Marunga jab tak Meri Daarhi ko meray chehray k khoon se Rang na diya jae"..
(Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, page#79, Awwal Baab Us Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page#157, Matboo'a Daar Ul Kitaab, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH ALEH) Lihkte hain:
Tarjuma: " Hazrat UbaidULLAH se Marwih hai k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya Ae ALI (RAZI ALLAH ANHU)Aglon aur Pichlon main Bad Bakht tareen kon hai??
Unhon ne kaha ALLAH aur us ka RASOOL (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ziyaadah jaante hain, unhon ne farmaya, Aglon ka sab se ziyadah Bad Bakht Saleh (ALEH SALAAM) ki Ooontni k haath paaon kaatne waala tha, aur Pichlon ka bad bakht tareen woh hoga, jo tumhen Neza maaray ga, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Muqaam par ishaara kiya, jahaan woh neza marey ga"
Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi ALLAH Anhu) se marwih hai k main Hazrat ALI (Razi ALLAH Anhu) k haathon par paaani daal rahi thi, Yaka yak Unhon ne apna sir Uthaya, phir apni Daaarhi Pakar kar use naak tak buland kiya k tere liye Khushi hai k tu Zarur Zarur Khoon main rangi jaegi, phir Jummay k Din un par Hamla kiya gaya"..
(Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild#3, Page#35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)
Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hakim (REMATULLAH) ne sahi bata kar HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Aap ne kaha mujh se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya,tumhen is jagah aur is jagah Zarb lagai jaegi, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne donon Kanpatiyon ki taraf ishaarah kiya, aur in donon se khoon Beh kar tumhari Daarhi ko Rangeen kar dega"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Usman Bin Suhaib apne Baap suhaib (Razi ALLAH Anhu) se Naqal farmate hain, k ek din HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ko farmaya yeh batlao, pehle logon main se Bad Bakht kon tha?
Aap ne Arz kiya jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki Ooontni ko Qatal kiya, aur Paaon kaatey, AAP ne farmaya tum ne theek jawaab diya..
Phir pucha acha yeh batlao Pichlay logon aur aane waalay logon main se Bad Bakht kon hai??
Unhon ne Arz kiya maalom nahin, AAP ne farmaya, Jo Shakhs Aap ko Kanpati par waar kar k shaheed karega..
Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ahl-E-Iraq ko farmatey the, Ba KHuda main chahta hun aur pasand karta hun k oi bad bakht uthey aur is aur is jagah (yaani Daarhi Mubarak aur Sar-E-Aqdas ki isi jaanib) ko khoon Aalood karta aur main Darjah E Shahaaadat ko paa leta"..
(Al Mu'ajjim Ul Kabeer Ul Tibraani, Jild#8, Page#38, Raqam Ul Hadees 37311, Jild#2, Page#247, Raqam Ul Hadees 2037-2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam O Al Mosal)
Imaam Abdul MAalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya kiya main tumhen tamaam logon main se do Bad Bakht Aadmiyon k mutaa'alik na bataon??
Hum ne Arz ki zarur Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM), HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya ek Qom E Sammod ka woh shakhs jis ne Ooontni ki koonchen kaat din thin, aur dusra woh shakhs, jo Ae ALI! tere is maqaam par Zarb lagae ga ( HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Apna Dast E Aqdas HAZART ALI (Razi ALLAH Anhu) k Sir ki choti par rakha), yahaan tak k is maqaam k khoon se yeh jagah bhi tar hojae gi"...
(As Seearah Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E Hasshaam Gazwah E Asheerah, Jild#3, Page#144, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood Al Khazai 789 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Yeh Mojizaat E NABI (ALEH SALAAM) main se hain, aur yeh Akhbaar Ul GAIB k baab main se hai"..
(Takhreej Ur Dalaalaat Us Samee'a Ul Fasal Fi Zakar O Akhbaar, Page#188, Matboo'a Daar Ul Garab Ul Islaami, Beroot)
Faisla aap khud karen.. k HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko batana k un ki Shahaadat kis tarah hogi yeh Ilm-E-GAIB hai ya nahin..
HADEES # 26:
ZAMEEN PAR CHALTA PHIRTA SHAHEED DEKHO:
Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Habeeb Ul Mawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir (Razi ALLAH ANhu) se Riwaayat hai k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe) ne farmaya, jo iraadah rakhta ho k main Zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey"..
(Aalaam Un Nabuwwah, Al Baab Us Saani, Ashar Fi Anzaarah Bama Sehdas baada, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)
Imaam Ibn-E-Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
Tarjuma: " Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya jo chahay k zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhay, PhirTalha (Razi ALLAH Anhu) Yom E Jaml main Shaheed huwe"..
(Dalael Un Nabuuwah Al Behki, Jild#3, Page#32, Matboo'a Dar Ul kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Waahid Hambli Ul Muqaddasi 643 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Moosa Bin Talha (Razi ALLAH Anhu) ne apne waalid se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jo Mehboob rakhta hai k Zameen par Chalta phirta Shaheed dekhe, to ue Chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey, is Hadees E Mubaraka ki Sanad Hasan hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ibn-E-Maaja (RehmatULLAH Aleh) Riwayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat karte hain k Hazrat Talha (Razi ALLAH Anhu) ek martaba NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k pass se guzrey toAAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Shaheed Zameen par chal raha hai"..
(Sunan Abi Maaja, Fazal Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu), Jild#1, Page#46, Raqam Ul Hadees 125, Matboo'a Daar Ul Fiqar Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hiri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdul Aziz (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya jo Shakhs kisi Shaheed ko Zameen par Chalta Phirta dekhna chahay woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..
(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#29, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) farmatay hain k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko farmate huwe suna,
Tarjuma: " Jo Shakhs Shaheed ko zameen par chalte phirte dekhne se khush ho woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..
(Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#644, Raqam Ul Hadees 3739, Matboo'a Daar Ul Haya, Beroot)
Ab yeh batana k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) Shaheed honge, yeh Gaib ka Ilm hai ya nahin??
HADEES # 27:
Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam):
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Muhammad Bin Umro Bin Hasan (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hum Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) k saath karbala ki neher par the, Aap ne Shamar Bin Zil Joshan ko dekh kar farmaya, ALLAH TA'ALA aur us k RASOOL (ALEH SALAAM) ne such farmaya, Goya main Chitkabray kuttay ko dekh raha hun, jo meri Ahl-E-Bait ka khoon pee raha hai, Q k Shamar Mal'oon Bars k marz main mubtala tha"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Shobi (RehmatULLAH Aleh) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwara Aae, Unhen Maaloom huwa k Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Iraq ki taraf Rawaana ho chukay hain, to woh madinay se do din ki musaafat par jaa kar un se mile aur un se kaha ALLAH TA'ALA ne apne NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko duniya O Akhirat k darmiyaan ekhtiyaar karne ko farmaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Aakhirat ko ekhtiyaar kiya aur dunya ko rad kiya, q k AAP, RASOOL (ALEH SALAAM) k juzo hain, Khuda ki Qasam AAP main se kisi ko Duniya kabhi nahin haasil hogi, aur ALLAH TA'ALA ne AAP Hazraat se is duniya ko is cheez k saath Pher diya hai, aur jo AAP Hazraat k liye is se behtar hai, lihaaza AAP waapis chaliye, Magar Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ne waapisi se inkaar kar diya, to Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne aap se yeh kehte huwe Mu'aanikah kiya k AAP ko AALAH TA'ALA k Supard karta hun, Q k AAP Shaheed hain"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Hafiz Abu Bakar Bin Hussain Behki 458 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai unhon ne kaha k Main neRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek din dopeher k waqt khuwaab ki haalat main dekha k AAP k Baal Mubaarak Gard Aalood hain, aur AAP k dast E Mubarak main khoon ki botal hai, mene Pucha yeh kiya hai??
AAP ne farmaya Yeh HUSSAIN (razi ALLAH Anhu) aur in k Saathiyon ka khoon hai.. Aaj main Shoru din se is khoon ko is waqt tak jama karta raha hun, to mene apne khuwaab k waqt ko yaad rakha to yehi waqt tha, jis din woh shaheed kiye gae"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ammar Bin Abi Ammar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, mene khuwaab main dekha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k baal bikhre huwe, aur Gubaar Aalood hain, aur AAP dopeher k waqt ek Sheeshi uthae hain, jis main khoon bhara huwa hai, mene arz kiya, Ya RASOOL ALLAH! Yeh kiya Cheez hai??
AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur in k Ashaab (Razi ALLAH Anhu) ka khoon hai, main aaj din se le kar ab tak yeh khoon jama kara raha hun, Hazrat Ammaar Ibn-E-abi Ammaar (Razi ALLAH Anhu) farmaatey hain k hum ne woh din yaad rakha, phir maaloom huwa, k Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ko usi din Shaheed kiya gaya tha"..
(Musnad Ahmed, Jild#1, PAge#242, Raqam Ul Hadees, MAtboo'a Mosasta, Qurtuba, Misar)
Imaam Hafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Umm-E-Salma (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k meneRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ko khuwaab main dekha k AAP k Sar-E-Mubaarak aur AAP ki Daarhi Shareef Gard Aalood hai, yeh haal dekh kar mene Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Aap ka kiya haal hai??
AAP ne farmaya, Abhi Abhi Maqtal-E-Hussain se Aaraha hun"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
Fasila Aap k haath main.. Haq ki pehchaan khud karen..
HADEES # 28:
BESHAK IMAAM HASAN AUR IMAAM HUSSAIN (Razi ALLAH Anhu) JANNATI NOJAWAANON K SARDAAR HAIN:
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Hasan aur Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannat k Nojawaanon k Sardaar hain"..
(Sunan Tarmizi, Hadees Hasan Sahi, Jild#5, Page#656, Raqam Ul Hadees 3768, Matboo'a Daar Ul Ahya at Turaas Al Arabi, Beroot)
Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki 668 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur Baray BhaiHazrat Hasan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya:
" Beshak Imaam Hasan aur Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati Nojawaanon k sardar hain"..
(Musnad Ahmed, Jild#3, page#623)
(Ibn-E-Maaja, Raqam Ul Hadees 118)
Yeh Batana k, Hazrat Imaaam Hasan Aur Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati aur Jannati Nojawaanon k Sardaar hain, yeh Gaib hai ya nahin??
Faisla Aap k Haath main hai..
Hadees # 29:
SAB SE PEHLE MUJH SE WOH MILEGI JO TUM SAB MAIN DARAAZ-E-DAST HAI:
Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH) ne Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum Azwaaj main se woh Zoja mujhey sab se pehle milegi, , jo tum sab main Daraz-E-Dast hai, to hum naapnti thin, k kis ka Haath Taweel hain, to woh Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) thin, un k Haath taweel the, q k woh apney haath se Amal kartin, aur Sadqa kiya karti thin"..
(Khasais ul Kubra, Jild#2, PAge#219, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah Beroot)
Imaam Muhammad Bin Habbaan Bin Ahmed Abu Haatim 354 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone waali sab se pehli Biwi thin"..
(As Suqaat, Jild#3, PAge#144,Bar Raqam 485, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)
Imaam Ibn-e-Abdul Bar (RehmatULLAH ALEH) likhte hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) sab se pehle milne waali biwi thin"..
(Al Isti'aab, Jild#4, PAge#1850, Bar Raqam 3355, MAtboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Bhi Yahi Riwaayat karte hai:
(Ba Hawaala: Al Jaamay Us Sageer, Fi Ahaadees Ul Basheer Un Nazeer, Jild#1, Page#168, Raqam Ul Hades 2832, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ul Ilmyah Beroot)
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehmaan Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hadees Shareef main hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne apni Azwaaj E Mutah'hiraat se kaha, tum main sab se pehle mujhey woh milegi, jis k Haath lambay honge, Azwaaj E Mutah'hiraat (Razi ALLAH Anhu) ek jagah jama ho kar apne haathon ki Pemaish karne lageen, Hazrat Soodah (Razi ALLAH Anhu) k Haath Taweel the, Magar in main Sab se pehle, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) ka Wisaal huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Haath ki Tawaalat se Sadqah aur Neki main Ziyad'dati ki muraad li thi, aur yeh khoobi Hazrat Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH Anhu) main Paai jaati thi"..
(Roz Ul Atfaal Man Sharah Shura, Jild#2, Page#364, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdur Rehman Abzi (RehmatULLAH) kehte hain k main ne Madina Munawwarah main Hazrat Ibn-E-Umar (RAzi ALLAH Anhu) k peeche, Zainab (Razi ALLAH Anhu) Zoj-E-NABI (ALEH SALAAM) ki Namaz-E-Janaza Parhi, AAP (Sallalaho Alehe Wassllam) k Pardah farmane k baad, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) pehli Azwaj E Mutah'hira thin, Jinhon ne wafaat paai, Aur Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne in ki Namaz main 4 Takbeeren Kahin"..
(Halya Tul Oliya, Tabkaat Ul Asfaya, jild#8, PAge#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Hussain Behki 258 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Woh Zainab Bint-E-Hajazh (Razi ALLAH Anhu), RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone Waali sab se pehli Biwi thin"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#285, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Al Khateeb 810 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Woh (Zainab Bint-E-Hajash (RAzi ALLAH Anhu) sab se pehli milne waali Biwi thin"..
(Waseela E Islaam, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Ul Islaami, Beroot)
Faisla Aap karen.. k jis NABI (ALEH SALAAM) ne yeh bata diya, k Unki Azwaaj main Sab se pehle un ko Woh Zoja milengi jin k Haath Taweel honge (Yaani Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH ANhu)) unhen Gaib ka Ilm hai ya nahin..
HADEES # 30:
OWAIS KARNI (Razi ALLAH Anhu) Aur ILM-E-GAIB-E-Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam):
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Muslim (Aleh Rehmah) ne Ameer Ul Momineen Hazrat Umar-E-Faarooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne hum se Irshaad farmaya k Ahl-E-Aman ka ek Shakhs Tumharay pass Aaega, aur Yaman main Sirf Apni Waalidah ko hi chor kar aaaega, Is k Jism par Safedi thi to, usne ALLAH Azzawajal se Use Dur karne ki dua ki to, woh Safedi dur Jati rahi, Sirf Ek Deenaar k barabar Safedi baaqi hai, is ka naam Owais (Aleh Rehmah) hai, to tum main se jo koi us se Mulaqaat kare, to use Chahiye k us se Magfirat ki Darkhuwaast ki dua kare"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH) ne Dusri Sanad k saath, Hazrat Umar-E-Farooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, K RASOOL (ALEH SALAAM) ne farmaya, k Taba'een main, Qur'n ka ek Shakhs hoga, jis ka naam Owais E Karni (Aleh Rehmah) hoga, is k Jisam main Safedi Zaahir hogi, woh ALLAH Azzawajal se use Dur karne ki dua karega, aur Woh Dur hojaegi,woh dua karega, " Ae Khuda! MEre jism se is Safedi ko dur kar de, aur mere jism main itni safedi chor de, k main teri nemat ko yaad rakhun, to ALLAH TA'ALA Azzawajal us k jism main itni safedi chor de ga, lihaaza tum main se agar koi us se mile, aur woh ista'taa'at rakhta ho k is se Istagfar kare to use Laazim hai k Us se Istagfaar ki darkhuwaast kare"..
(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#220, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhaddis E KAbeerImaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Sahaba E KAraam (Razi ALLAH Anhu) kehne lage, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) in Buzrugon main humen koi Aadmi mil sakta hai??
Farmaya: Haan " Owais Karni" hai, jis se tumhari Mulaaqaat hogi, Sahab E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) ki Alaamaat puchin,
farmaya: Jis ki Aankhen Surkh Maael Hongi, Surkh Baalon Waala hoga, Kushada Kaandhon waala, Darmiyaan E Qad Waala, Gandum Go, Seenay par Baalon Waala, Daayaan Baaen par rakhe ga, Qura'an ki Tilaawat kare ga, aur Apne par Bohat Rota hoga, Suno Us k Baa'en Kaandhay k neeche ek chamak hogi, Ahl E Zameen main use koi nahin jaanta, Ooon ka Ozaar Baandha hoga, Ooon hi ki Chaadar Orhi hogi, Khoob sun lo , Qayaamat k Din Aam logon se Kaha jawega, k Jannat main daakhil hojao, aur Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) se kaha jaega, k Idhar kharey hojao, aur Shafa'at karo, tumhaari Shafa'at Kabool ki jae gi, Ae Umar O Ali jab tumhari in se Mulaaqaat hogi, to in se Istagfaar karwaana, ALLAH Tumhari Magfirat farmae ga"..
(Huliya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#2, Page#82, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, is Ummat main mera Khaleel Owais Karni hai"..
(Tabkaat Ibn-E-Saad, Jild#6, Page#163, MAtbo'a Daar Us Saadir Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Saad O Haakim (Aleh Rehmah) ne Abdur Rehman Bin Abu Laili (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Jang Safeen k Roz Ahl-E-Shaam k ek Aadmi ne Pukaara k kiya Tum main Owais Karni (Aleh Rehma) hain??
Logon ne jawaab diya, Haan hain..
Us ne kaha mene NABI (ALEH SALAAM) se suna hai, k Owais Karni (Aleh Rehma) Khair Ut Ta'ba'een hain..
Is k Baad woh Shakhs apne Ghoray ko Aerh laga kar apne lashkar main chala gaya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abu Naeem Asfahaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
TArjuma: " Hazrat Muhaarib Bin Dasaar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Bila Shuba meri Ummat main se aese log hain, jo nangay honay ki wajah se apni Masjid aur Eid Gah main nahin ja sakte, aur un ka Eemaan unko logon se maangne se Rokta hai, un main se Owais Karni aur Faraat Bin Hayaar (Razi ALLAH Anhu) hain"..
(Halya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#9, Page#38, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn E Saad O Haakim (RehmatULLAH) ne Batareek Aseer Bin Jaabir (Aleh Rehmah) Hazrat Umar (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, inhon ne Hazrat Owais KArni (RehmatULLAH Aleh) se farmaya, Aap mere liye IStagfaar farmaen, Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) ne famraya, main Aap k liye q kar Istagfaar karun?? Jab k AAP Khud RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Sahaabi hain..
Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Main ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se Suna hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khair Ut Taab'aeen woh Shakhs hai, jis ka Naam Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#221,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Yeh Hadees Bad Aqeedah Fitnon k Moon par Tamacha hai.. Q k is main HUZOOR (ALEH SALAAM) k Ilm-E-Gaib ki Daleel bhi hai, aur Waseelay ka Saboot bhi...
HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Sahaba E Karaam ko Owais Karni k Baaray main Batana, k Woh kis tarah k honge, aur Mulaaqaat bhi hogi, wagera.. aur woh Baroz E Qayaamat Shafa'at bhi karenge, yeh Ilm-E-Gaib ka Saboot hai..
Aur OWais Karni se Dua ki Darkhuwaast karna, aur ALLAH ka Istagfaar kabool karna, yeh Waseelay k Dalael main se hai..
Faisla Aap khud karen..
HADEES # 31:
DO AZEEM GIROH K DARMIYAAN ALLAH AZZAWAJAL US K ZARIYE SULAH KARWAE GA:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Bukhari (RehmatULLAH Aleh) ne, Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Imaam Hasan (Razi ALLAH Anhu) ki Baabat farmaya, Mera Yeh Farzand Sardaar hai, aur Tawwaqqah hai k ALLAH Azzawajal Musalmaanon k Do Azeem Girohon k Darmiyaan us k Zariye Sulah karae ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#226, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal Al As Subhani 535 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Imaam (RehmatULLAH Aleh) farmate hain k yeh Hadees Nabuwwat par Dalaalat karti hai k Isi tarah huwa jesa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, k ALLAH Azzawajal ne Us k Zariye Iraaqi aur Shaami Lashkaron main Sulah Farmadi"..
(Dalael E Nabuwwah, Page#112, Raqam Ul Hadees 114, Matboo'a Daar Ul Taeba Riyaaz)
Faisla Khud karen k NABI (ALEH SALAAM) ne pehle hi Bata diya k Imaam Hassan (Razi ALLAH Anhu) Do (2) Baray Giroh k Darmiyaan sulah karwaen ge.. Aur Aesa hi juwa, To yeh ILM-E-GAIB nahin to aur kiya hai??
HADEES # 32:
UMM E WARQAH BIN NOFIL (Razi ALLAH Anhu) SHAHEED HAI:
Imaam Behki (RehmatULLAH) Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat UMM E Warqah Bint Al Haaris (Razi ALLAH Anhu) ki Mulaaqat k liyeRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef le jaate, Aur AAP ne Un ka Naam As Shaheedah rakha tha, woh Quraan ki Haafiza thin, Jab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Gazwah E Badar Tashreef le gae, to unhon ne kaha Aap Mujhey ijaazat den, to main bhi aap k saath jaaoun aur Mareezon ki Zakham Patti aur Beemaaaron ki Temaadaari karun, Shayad ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Ata farmae, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH TA'ALA tum ko Shahaadat Ata farmae ga, aur AAP in ko As Shaheedah kehte the, aur NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne in ko Hukum diya tha, k woh apne Ghar ki Khawaateen ki Imaamat kiya karen, in ko Maal E Ganeemat main se ek Baandi aur Ek Ghulaam mila tha, jin ko unhon ne Madbar kar diya tha, (Yaani un se keh diya tha, k mere marnay k baad tum azaad ho).. HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) k Dor E Khilaafat main in donon ne Hazrat Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kar diya aur donon Bhaag gae, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) k Hukum se unko pakar liya gaya, aur un donon ko Suli par latka diya gaya, Madinay Taebah main in ko sab se pehli Sooli di gai thi, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sach farmaya tha, AAP farmate the, Chalo As Shaheedah ki Ziyaarat k liye chalen"..
(sunan Al Kubra,Jild#3,Page#130,Raqam Ul Hadees 5136, Matboo'a Maktab Daar Ul Baaz, Makah Mukarrama)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Abu Daaod Naeem (Aleh Rehmah) ne Jamee aur Abdur Rehman Bin Khalaad Ansaari (Razi ALLAH Annhu) se in donon ne Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (ALEH SALAAM) jab badar gae to, Umme Warqah Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)! Mujhey Gazwah E Badar main Apni Ma'yyat main Jaane ki Ijaazat Dijiye, Mumkin hai k ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Naseeb farmae, AAP ne farmaya Tum Apne Ghar main Bethi raho, ALLAH Azzawajal tumhen Shahaadat Naseeb farmae ga, to in ko Lod Shaheedah k naam se Pukaarte the..
Is ki Shahaadat ka Waqiyah yeh huwa k woh Quraan E Kareem ki Tilaawat kar rahi thin, aur unhon ne Ek Ghulaam aur Baandhi ko Madbar kiya tha, woh donon raat k Waqt in k pass aae, aur ek Chaadar se in ka Gala Ghont diya, yahaan tak k woh Foat hogain, Yeh Waqiyah HAZRAT UMAR E FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) k Zamana E Khilaafat ka hai, phir un ko pakar k Sooli de di gai, yeh Madine Munawwarah ki se Pehli Sooli Charne waalay the"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#228-229, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Ibn-E-Saad (Aleh Rehmah) likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne sach farmaya tha, k AAP (ALEH SALAAM) farmate the, k Aao Shaheedah ki Mulaaqaat k liye Chalen"..
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jld#8,Page#475,Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Faisla Hkud karen, k Umme Warqah ko Shaheed hone s pehle batana, k Woh Shaheed hongi, aur un ko As Shaheedah keh k Pukaarna Yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin??
HADEES # 33:
LEKIN WOH SHAKHS NAALEN MUBARAK KO SEENAY WAALA SHAKHS HAI, YAANI HAZRAT ALI MURTAZA (RAZI ALLAH ANHU):
Imaam Muhib'Bud'Deen Abu Al Abbas Ahmed Bin Abdullah 694 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) se suna k beshak tum main se ek Taaweel Qura'an pe Jhagra karega, jese k is k Nuzool par jhagra kiya tha to, Hazrat Abu Bakkar (Razi ALLAH Anhu) farmane lage, kiya woh main hun Ae ALLAH k RASOOL (ALEH SALAAM), to HUZOOR (ALEH SALAAM) farmaanay lage, nahin, Balkay Jootay k Seenay waala Hujray main hai,aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko Joota Mubaarak diya tha, taa k is ko si lay"..
(Zakhair Ul Aqi Fi Manaqib Zawi Al Qarbi, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Masriyah)
Imaam ahmed Bin Hambal 241 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:
(Ba Hawala: Fazail E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, age#571, Raqam Ul Hadees 966, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)
Imaam Bagdaadi (RehmatULLAH) ne bhi yahi likha:
(Ba Hawala: Taareekh E Bagdaadi, Jild#8, Page#433, Ba Raqam 4540, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah BerooT)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH) ne Sahi bata kar Behki (RehmatULLAH ALEH) ne Abu Saeed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k saath the, AAP ki Naalen Mubaarak toot gai, to HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu) Peeche reh kar ise seenay lage, phir kuch door chal kar farmaya, tum main se ek Shakhs woh hai jo Quraan ki Taaweel par jang karega, jis tarah k main us ki Tanzeel par jang karta hun, Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, Kiya woh main hun??
Farmaya: Nahin
Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki Kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) main hun??
Farmaya: Nahin
Lekin woh Shakhs Naalen Mubarak ko seenay waala shakhs hai, Yaani HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu)"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#234,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Khud karen, Pehle se hi Bata dena, k Woh Shakhs Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) honge, yeh Gaib ka ILM hai ya nahin..
HADEES # 34:
SAB SE PEHLE JO MERI SUNNAT KO BADLAY GA WOH BANI UMMAIYYAH KA AADMI HOGA (YAANI YAZEED):
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Abi-Sheeba O Abu Ya'Ali Aur Behki (RehmatULLAH) Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai k AAP ne farmaya, sab se pehle jo meri Sunnat ko Badlay ga, woh Bani Ummaiyah ka Aadmi hoga".
Behki (RehmatULLAH ALEH) ne farmaya, Shuba hota hai, k Gaaliban woh Aadmi YAZEED BIN MAAWIYAH HAI"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Haaris Bin Abi Usama 282 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Deen Hamesha Mu'at'tadal aur Adal O Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta, Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, us main Rakhna Daaley ga"..
(Bagyat Ul Baahis An Zawaid, Musannad Ul Haaris,jild#2, Page#642, Raqam Ul Hadees 616, Matboo'a Markaz E Khidmat Al Sunnah, Wa Seerat Un Nabuuwwah, Al Madina Tul Munawwarah)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Mani O Behki Aur Abu nAeem (RehmatULLAH Aleh) ne Abu Ubaidah Bin Al Jarrah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Yeh Deen Hamesha Mu'attadal aur Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, is main Rakhna Daale ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH ALEH) ne Maaz Bin Jabal (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya tum par Andheri raat k tukray ki maanind fitnay aaye, jab Ek RASOOL Gaya, aur Dusra RASOOL aa gaya,aur NABUWWAT mansookh hogai, aur Baadshahat Aagai, Ae Maaz (Razi ALLAH Anhu) Yaad rakho, aur Gino (Phir Fitnay batana Shoru kiye) aur jab 5 tak puhnchay, to Farmaya, Yazeed, ALLAH Azzawajal, Yazeed main Barkat na de, is k baad AAP (ALEH SALAAM) ki Aankhon se Behnay lage, aur farmaya, mujhey Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat ki khabar di gai, aur in k Maqtal ki Mitti lai gai, aur Mujhey in k Qaatil ki Khabar di gai, Is k Baad jab 10 Tak puhchay, to farmaya, Waleed, Yeh Firon ka naam hai, Woh Islami Shariyat ka Dhaanay waala hoga, is k Ahl-E-Bait ka ek Aadmi us ka khoon bahaega"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#237,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Khud karen.. kiya yeh Ilm-E-GAIB nahin, k Pehle se Yazeed ka bata dena, k Sab se pehle Sunnat Badalna Wala Aadmi Yazeed hoga..
Note: Wahabi Yazeed ko Sahi ko Maante hain, ab Aage aap khud samajh jaen, k Wohi Pehla Aadmi tha, NABI (ALEH SALAAM) ki Sunnat ko badlne waala, to us k Chahne waale Kese honge, aur Yahi Baat hai, k Yeh log ILM-E-GAIB k Munkir hain..
HADEES # 35:
AMMAR BIN YASIR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, TUMHEN BAAGI JAMA'AT SHAHEED KAREGI:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Shekheen (RehmatULLAH) ne Abu Saeed O Muslim (RehmatULLAH Aleh) neUmme Salma (Razi ALLAH Anhu) aur Abu Qatadah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki kRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya,Tumhen Baagi Jama'at Shaheed karegi, yeh Hadees Mutawatir hai, ise 10 Shabiyon ne Riwaayat kiya hai".
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ibn-E-Abdul Bar (rehmatULLAH Aleh) Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se aksar is baaray main Naqal ki gai hai k AMMAR (Razi ALLAH Anhu) ko ek Baagi Giroh Qatal karega, aur Yeh RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ka Akhbaar Ul GAIB hai aur yeh ALAAM UN NABUWWAH hai, aur Yeh HADEES SAHI hai"..
(Al Astiyaab, Zikar Hazrat Ammar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3, Page#1140, Ba Raqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Ahmed Al Khateeb 810 Hijri main bhi yahi Likhte hain:
(Bahwala: Waseela Tul Salaam Ba Nabi (ALEH SALAAM), Page#133, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot)
Imaam No'wi (RehmatULLAH Aleh) ne bhi yahi likha:
(Bahawala: Tehzeeb Ul Asma, Jild#2, Page#351, Ba Raqam#465, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Umar O Bin Azhaak Abu Bakar As Shebaani 287 Hijri main bhi yahi Likhte hain:
(Bahawala: Al Ahaad O Al Mashaani Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, Page#207, Raqam Ul Hadees 271, Matboo'a Daar Ur Ra'ya Ur Riyaaz)
Imaam Ibn E Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) bhi yahi Likhte hain:
(Bahawala: Al Isti'aab Zikar Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3, Page#1139, Baraqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed bin Adullah Asfahani 430 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: Hazrat Umar O Bin Deenaar (RehmatULLAH Aleh) Bayaaan karte hain, k ek Misri Shakhs ne farmaya, k Ek baar Hazrat Umar O Bin Al Aas (Razi ALLAH Anhu) ne logon mainHidaaya Taqseem kiya, Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ko dusron k Muqaablay main ziyaadah diya, Un se in ki Wajah Puchi gai, inhon ne farmaya, main ne in k Muta'alliq HUZOOR (ALEH SALAAM) ko yeh kehte huwe suna, Ae Ammaar tera Qaatil ek Baagi Giroh hoga"..
(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
In k Ilawa Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri main do (2) Sanadon k saaath Umm Ul Momineen Hazrat Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se aur Chaar (4) Sanadon k saath Hazrat Abu Saeed Khadri (RehmatULLAH Aleh) aur Ek Sanad k saath Hazrat Abdullah Bin Umar O (Razi ALLAH Anhu) se aur ek Sanad k saath Hanzla Bin Sawaid (Razi ALLAH Anhu) se is Riwaayat ko Naqal karte hain"..
(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#196-197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
Yahi Muhadis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Ataab Bin Saaeb k Silsila E Sanad se Abu Al Bakhtari aur Mesrah ka Qol MArwi hai:
Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ko Jang Safeen k Roz Doodh pesh kiya gaya, AAP (Razi ALLAH Anhu) ne Nosh kar k farmaya, HUZOOR NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k farmaan k Mutaabik, is k Baad mere Batan main koi cheez nahin jaegi, is k baad Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Qataal main Mashgool hogae, aur Bil Aakhir, Qataal karte karte duniya se chale ge"..
(Hulyat Ul Oliya O Tabqaat Ul Asfiyah Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, PAge#141, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
Imaa Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hjiri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) Masjid ki jagah main daakhil huwe,Sahab E Karaaam ne in par Bohat Ziyaadah inten rekhin thin, inhon ne Arz ki YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) inhon ne mujhey halaak kar diya hai aur Mujh pe itna bojh daala hai jise main Utha nahin sakta, HAZRAT AMEER UL MOMINEEN UMME SALMA (Razi ALLAH Anhu) farmaati hain, mene NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko dekha, AAP Apni Zulf Mubaarak ko Dast E Aqdas se saaf farma rahe the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Baal Mubaarak k Baal Ghumgraalay (Curly) the, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Sumaiyyah k Noor E Nazar yeh log tumhen Qatal nahin karenge, tumhen to ek Baagi Giroh Shaheed karega"..
(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#3, Page#25, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Allama Abdul Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Jaama Mu'ammar Raashid main hai k Taameer Masjid E Nabwi k Waqt Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Bayak waqt Do Do (2,2) Eenten utha kar laa rahe the, Ek Eent Apni taraf se, aur Dusri Eent HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf se, jab k Baaqi Log Ek Ek Eent Utha kar laa rahe the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, Logon k Liye ek Gunah jab k Tumharay liye Do (2) Gunah Ajar (Sawaab) hai, aur Dunya se Tumhari Aakhri Khuraak Doodh hoga, aur Tujhey ek Baagi Giroh Qatal karega"..
(Roza Al Anaf Zikar Sumiya Um Ammar, Jild#2, Page#338, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
Tarjuma: " Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k Jang E Safeen main Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ne kaha k mere pass Doodh ka Sharbat laao q k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se farmaya k Dunya ka Aakhri Sharbat jo tum piyo ge, woh Doodh ka sharabat hoga, Doodh laya gaya, us Doodh ko unhon ne Nosh farmaya, Phir Aage barhe aur Shaheed hogae...
Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k us roz Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) k pass Doodh laya gaya, to woh Muskurae aur kaha k Mujh se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, k sab se Aakhri Mashroob jo tum Piyo ge, woh Doodh hoga, yahaan tak ise pee kar tum Dunya se Rukhsat hojao ge"..
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#3,Page#257, MAtboo'a Daar Us Saadir, BerooT)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ammaaar (Razi ALLAH Anhu) ki kaneez se Riwaayat hai k unhon ne kaha k HAZRAT AMMAAR (Razi ALLAH Anhu) ko Sakht Beemaari Laahak huwi aur un par Behoshi Taari hogai, phir unhen Afaaqa huwa, to dekha k hun sab in Gird ro rahe hain, unhon ne farmaya, kiya log dar rahe the k main apne Bistar par Mar jaounga, Mujhey mere HABEEB RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne khabat di hai k Mujhey Baagi Jama'at Qatal karegi aur Dunya main meri Aakhri Giza Paani Mila huwa Doodh hoga"..
(Dalael Un Nabuwwaah, Jild#6, Page#421, MAtboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah, Beroot)
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Ahmed Bin Saad O Tibraani O Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahikar behki O Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) se Abu Al Bakhtari (RehamtULLAH Aleh) se Riwaayat ki k, Yom E Safeen ko Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) k Paas doodh ka piyaala laaya gaya, use dekh kar unhon ne Tabassum kiya, logon ne pucha is main Hansne ki konsi baat hai, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Dunya main Aakhri Giza jise tum piyo ge, woh Doodh ka Sharbat hai, is k baad woh Aage Barhe aur Shaheed hogae"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) tashreef lae, Logon ne Arz kiya Hazrat Ammaar (RAzi ALLAH Anhu) par chat gir gai hai, aur woh foat hogae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Woh FOAT nahin huwe hain"..
(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal,Jild#2, Page#857, Raqam Ul Hadees 1597, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat kik unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) tashreef lae, logon ne kaha k Hazrat Ammaar par chat gir gai hai, aur woh Foat hogae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) foat nahin huwe hain"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#239, MAtboo'a Daar ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Fasila Khud karen, Hazrat Ammaar ko batana, k Un ko Ek Baagi giroh Qatal karega aur un ki Aakhri Giza Doodh hogi, Yeh ILM-E-GAIb hai ya nahin??
Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ka ILM-E-GAIb ka Aqeeedah dekhen, k Un ko PAkka Yakeen tha, k Bas un k HABEEB NABI (ALEH SALAAM) ne keh diya, k Baagi Giroh Qatal karega, aur Aakhri Giza Doodh hai to bas... Yeh hota hai Ishq E RASOOL (ALEH SALAAM) aur un k Atai ILM-E-GAIB pe Aqeedah rakhna..
HADEES # 36:
Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB E MUSTAFA (ALEH SALAAM)
Hafiz abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Al Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Tumhare Pass Ahl-E-Jannat main se ek Shakhs aaega, to Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) tashreef le aae, phir farmaya, tumhare pass Ahl e Jannat amin se ek Shakhs aega, to Hazrat Usman (Razi ALLAH Anh) tashreef le aae"..
(Tibraani Al Osatm Jild#7, Page#504, Raqam Ul Hadees 66998, MAtboo'a Maktaba Al Ma'aarif Ar Riyaaz)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:
(Bahawala: Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Tibraani (rehmatULAH Aleh) ne Zaid Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna, k AAP ne farmaya, MEre saath Usman (Razi ALLAH Anhu) chaley, us waqt mere pass ek farishta tha, us na kaha yeh Shaheed honge, aur in ki Qoam in ko Shaheed karegi, aur hum tamaaam farishte in se Haya karte hain"..
(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijir main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Bazaar O Tibraani (RehamtULLAH Aleh) ne " Osat" main Hazrat Zubair Bin Awaam (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki, inhon ne kaha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne Fatah E Maakkah k din ek Qureshi Aadmi ko Qatal kar k farmaya, aaj k baad Jabar k saath kisi Qureshi ko Qatal nahin kiya jaega, magar ek Aadmi Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal karega, Lihaaza tum us Aadmi ko qatal kardena, agar tum ne use Qatal na kiya to tum bakriyon ki Maanind Qatal kar diye jao ge"..
(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)
Imaam Jalaal Ude Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar aur Behki (RehmatULLAH) ne Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne us Waqt farmaya, jab k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Balwaaiyon ne Mehsoor kar rakha tha, k MAin ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai, AAP ne farmaya, Fitnah ) Ikhtalaaf Ronama hoga, hum ne Arz kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) hamaray liye is Waqt kiya Hukum hai??
AAP ne farmaya, Tum Ameer aur in Ashaab k Daaman se Waabasta rehna aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ki taraf Ishaara kiya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat KA'ab Marah Bin Ka'ab (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, aur bataya, k woh Anqareeb waqey hone waalay hain, us waqt ek shakhs kapray se apne aap ko Dhaanpay huwe guzra, NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Shakhs us Waqt Hidaayat par hoga, main ne kharay ho kar dekha to woh HAZRAT USMAN BIN AFAAN (Razi ALLAH Anhu), mene Phir AAP (ALEH SALAAM) ki taraf Rukh kar k Pucha, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Haan"..
(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#628, Raqam Ul Hadees 3704, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)
Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, Phir AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat USman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya, k yeh Shakhs Fitnon main Mazlooman Qatal kiya jaega"..
(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#630, Raqam Ul Hadees 3708, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Ibn-E-Maaja O Haakim (RehmatULLAH) ne SAHI bata kar, aur BEHKI O ABU NAEEM (REHAMTULLAH ALEH) ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUE'AH (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAN (RAZI ALLAH ANHU) ko Bulaya aur AAP (ALEH SALAAM) in ki taraf ishara farma rahe tha, aur HAZRAT USMAN (Razi ALLAH Anhu) ka Rang Mutayaggar horaha tha, Aur JAb YOM Ud Daar yaani woh Din aaya, jis main unhen Mehsoor kiya gaya, to hum ne Arz kiya Aap jang nahin karen ge? to Hazrat USman (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Nahin, Q k NABI (ALEH SALAAM) ne is Amar ka mujh se Uhad (Waada) liya hain, Lihaaza main is par Apni jaan ka khayaal na rakhunga, aur Saabir rahun ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#207, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Haakim O Ibn-E-Maaja Aur Abu naeem (Aleh Rehmah) ne Hazrat Ayesha Siddique'Ah (RAzi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAAN E GANI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya, Bila Shuba ALLAH TA'ALA tumhen ek Qameez Pehnae ga"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, BerooT)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat Ameer Ul Momineen Ayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) bayaan karti hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne muhjey farmaya, Mere Baaz Sahaba ko mere PAss Bulao, Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH! Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) ko bulaon? AAP (ALEH SALAAM) ne mana farmaya, Phir mene Arz kiya, UMAR (Razi ALLAH Anhu) ko? AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Nahin.. Phir mene Arz kiya AAP k Chacha k Betay HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko AAP (ALEH SALAAM) ne farmya: Nahin, Phir mene Arz kiya, Usman (Razi ALLAH Anhu) ko? AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Haan, Pas Jab woh Aagae to AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, (Ae Ayesha) Zara peeche ho kar beth jao, Phir AAP (ALEH SALAAM) un se Sargoshi farmaanay lage, Hazrat USman (Razi ALLAH Anhu) ka rang tabdeel hone laga, phir Yom-E-Daar aaya, aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) us main Mehsoor hogae, hum ne kaha Ae Ameer Ul Momineen Aap Qataal nahin karenge?? Aap (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya: Nahin, Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne mujhey (is din) Wasiyat farmai thi, aur main is Wasiyat par sabar karne waala hun"..
(Musnad Ahmed, Jild#6, Page#51, MAtboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Imaam Tibraani (RehamtULLAH Aleh) likhte hain:
TArjuma: " Hazrat Badar Bin Khaalid (RAzi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k Yom-E-Daar ko Hazrat Zain Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu) hamaray pass kharay huwe aur kaha, kiya tum us shakhs se Haya nahin karte, jis se MAlaikah bhi haya karte hain, Hum ne kaha woh kon hai?? Raawi ne kaha mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko farmaate huwe suna, k AAP (ALEH SALAAAM) ne farmaya, Farishton main se ek FArishta mere pass tha, jab Usman (Razi ALLAH Anhu) mere pass se Guzra to, us ne kaha yeh shakhs Shaheed hai, is ki Qoam us ko Qatal karegi ,aur hum Malaikah is se Haya karte hain, Badar Bin Khaalid (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k phir hum ne AAP (Razi ALLAH Anhu) se logon k ek Giroh ko door kiya"..
(Tibraani Kabeer, Jild#5, Page#159, Raqam Ul Hadees 4939, Maktabatul Uloom O Al Hakam Al Mosal)
Imaam Tibraani (RehamtULLAH Aleh) likhte hain:
TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte han , k main HUZOOR (ALEH SALAAM) k saath tha, us Doraan ek Aadmi NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k pass aaya, aur us ne AAP (ALEH SALAAM) k saath Musahfa kiya, to AAP (ALEH SALAAM) ne apne Haath us Shakhs k haath se us waqt na churaya jab tak khud us Aadmi ne AAP (ALEH SALAAM) ka Haath na Chora, phir us Aadmi ne AAP (ALEH SALAAM) se Arz kiya, YA RASOOL ALLAH! Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) tashreef lae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh AHL-E-JANNAT main se hain"..
(Tibraani Kabeer, Jild#12, Page#405, Raqam Ul Hadees 13495, Maktabatul Uloom O Al Hakam Al Mosal)
Imaam Haakim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (RAzi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k Subah k waqt Hazrat Usman (Razi ALLAH ANhu) ne humen farmaya, Beshak mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Guzishta Raat khuwaab main dekha, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Usman Aaj hamaray pas aaj humaray pass Roza Iftaar karo, PAs Hazrat USman (RAzi ALLAH Anhu) ne Rozay ki Haalat main Subah ki aur usi Roza unhen Shaheed kar diya gaya"..
(Mustard Al Haakim, Jild#3, Page#110, Raqam Ul Hadees 4554, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Tibraani (REhmatULLAH Aleh) likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Umar Bin Khataab (Razi ALLAH Anhu) lihkte hain, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, jis din Usman (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat Waaqet hogi, us Din Aasmaan k Farishtey un par Durood bhejenge"..
(Tibraani Al Osat, Jild#3, PAge#287, 3172, Matboo'a Daar Ul Harmen, Al Qahaarah)
Imaaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Ibn-E-Adi O Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Anas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu)! mere Baad tuhmen khilaafat di jae gi, aur Munaafiqeen chahenge k tum use chor do, tum use na chorna, aur tum us din Roza rakhna q k tum mere Pass Iftaar karoge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi bata kar, Abdullah Bin Hawaala (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki hai, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum log ek aese Shakhs par Biloh karoge, jo Chaadar se Imaama Baandhay ga, aur Jannati Logon ki Be'at lega, to jab Logon ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) par biloh kiya to woh Hari Chadar ka Imaama Baandhay Be'at le rahe the"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Hawala (Razi ALLAH Anhu) se unhon ne HUZOOR (ALEH SALAAM) se Riwaayat ki, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, jo 3 baaton se Mehfooz raha, us ne Nijaat paai, Sahaba (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) woh 3 baaten kiya hain??
FArmaya Meri Rehlat hai, aur us Khaleefa ka Qatal hai jo Haq par Qaem reh kar Haq par jaan de ga"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#392, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne sahi bata kar aur Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Ibn-E-Masood (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Islaam ki Chakki Pentees (35), ya Chattees (36), ya Sentees (37) Saal k baad Ghoomay ga, to agar woh log Halaak huwe, to Rah E Suwwaab Halaak hone waalon main hai, aur agr in ka deen in k liye Qaem raha, to Sattar Saal tak Qaem rahe ga, Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya YA NABI (ALEH SALAAM) yeh Muddat Guzishta Saal se hai?? Farmaya, Nahin jo Aaendah aaegi..
Behki (RehamtULLAH Aleh) ne farmaya, lihaaza aesa hi Waqey huwa, Bani Ummaiyyah ki Hukoomat is Saal main hi rahi, Yahaan tak k jab in main Sasti Dar inindaaz huwi, to Sattar (70) Hijri k Kareeb KHuraasaan se Daawa karne Waalon ka Zahoor huwa"..
(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " AAP (ALEH SALAAM) Qareeb tar hone Waalay Finon ka Zikar farma rahe the, isi Asna main ek Shakhs Guzra, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, us din yeh Shkahs Hidaayat par hoga"..
(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal, Jild#1, Page#507, Raqam Ul Hadees 828, Matboo'a Masasta, Risaala Beroot)
Imaam abu Bakkar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat Huzaifa (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Qayaamat us Waqt tak Qaem na hogi, jab tak tum apne Imaam ko Qatal na karoge, aur ek Dusrey ko apni Talwaar se Qatal karoge, aur tumhare Shareer log, tumhari Dunya k Waaris banjaen ge"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#391, MAtboo'a Daar Ul Kutun Ilmiyah, Beroot)
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Behki aur Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) ne Al "Ma'arfah" main abu Rehman Bin Adees se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai, AAP ne farmaya, Log deen se is tarah Nikal jaenge, jese Qamaan se teer nikal jaata hai, aur woh Labnaan k Pahaaron main Qatal kiye jaenge, Ibn-E-Lahiya'a (RehamtULLAH ALeh) ne kaha k Abdur Rehman Bin Adees in Bulwaaiyon main shaamil tha, jo Ahl-E-Misar k saath Qatal-E-Usman (Razi ALLAH Anhu) ki Garz se chale the, In Bulwaaiyon ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kiya tha, is Waqey k ek ya do saal baad libnaan main Ibn-E-Adees ko Qatal kiya gaya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
(Dalael Un Nabuwwah Imaam Behki, Jild#6, Page#394-395, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Haaris Bin Abi Usama (RehmatULLAH Aleh) ne apni Musnad main Muhaajireen E Habib (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Abdullah Bin Salaam (Razi ALLAH Anhu) ko Kisi ko bhej kar bulwaya, uar woh us Waqt mehsoor the, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Abdullah (RAzi ALLAH Anhu) se kaha k Apna Sir utha k is Rozan ko dekho, AAJ Raat RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) is Rozan se Ronaq afroz huwe, aur farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu) kiya tum mehsoor ho?? mene kaha haan, to AAP ne ek Dol latkaya, aur mene us main se Paani piya aur main apne andar is ki thandak ab tak paa raha hun, is k Baad HUZOOR (ALEH SALAAM ne mujh se farmaya, agar tum chaho to main ALLAH se dua karun, woh tuhmen in par Gaalib karde ga, aur agar tum chaho to hamare pass Iftaar karo, to mene AAP (ALEH SALAAM) k pass Haazir hone ko ekhtiyaar kiya hai, aur woh usi Din Shaheeed kiye gae"..
(khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Hazrat Qees Bin Abi Haazim (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k Abu Sahla (Razi ALLAH Anhu) ne muhjey bataya, k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Yom-E-Daar (Muhaasray k din) ko farmaya, jab woh Mehsoor the k beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne mujhey ek Wasiyat farmai thi, pas main isi Par Saabir hun aur Hazrat Qees (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k woh is ka Intezar kiya karte the"..
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#69 Raqam Ul Hadees 501, MAtbooa Mosasta, Qurtuba Misar)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Ibn-E-Mani'e (RehmatULLAH Aleh) ne apni Musnad main Ba tareeq Naumaan Bin Basheer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k jab Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) mehsoor hogae, to rozay se rehne lage, ek din Iftaar ka Waqt aaya, to unhon ne Bulwaaiyon se iftaar k liye Sheereen Paani maanga, magar unhon ne Paani dene se inkaar kar diya, Aap ne Tashnagi k Aalam main Raat basar ki, Phir jab Seher ka Waqt aaya, to Aap ne farmaya, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) is chat se Ronaq Afroz huwe, AAP k Saath Paani ka Dol thaa, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu)! Paani piyo to mene Paani piya, yahaaan tak k main Seraab hogaya, phir farmaya, aur Ziyaadah Piyo to mene Piya, yahaan tak k main Ser hogaya"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, beroot)
Faisla Khud karen, itna Sab kuch Gaib k baaray main Batane k baawajood bhi agar koi yeh kahe k NABI (ALEH SALAAM) ko Ataai ILM-E-GAIB haasil nahin, to woh kis Qadar Bad Qismat hoga, k NABI (ALEH SALAAM) ki is Qadar Shaan main kami kare.. ALLAH hum sab ko Hidaayat de, Aameen..
HADEES # 37:
MUNAAFIQ ki KHABAR DENA:
IMAAM JALAAL UD DEEN SAYOOTI 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH ALEH) ne Abi Hameed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Hamrah the, Nasraaniyon k Hamaly ki khabar suni kar, Tabook ki taraf Rawaana huwe, Doraan E Safar Waadi E Qiraa'a main ek Khaatoon k Baag k paas se Guzre, Sarwar-E-Qonen (Aleh Salaam) ne farmaya, tum us Baag ki khajooron ka Takhmeena lagao, hum ne Takhmeena lagaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Andaaza 10 Wusaq tha, us Aurat se kaha tum apni Khajooron ka naam tol kar lena, aur hum INshaALLAH tumhare Paas wapis aaenge, Hum medaan E Tabook main the, k ek Roz AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Aaj Raat main Shadeed Huwa, aur Sakht Jharken chalen ge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, page#458, Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muslim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa mar chuka tha"..
(Muslim Shareef, Kitaab Us Sifaat Ul Munaafiqeen)
Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhte hain:
TArjuma: " Munaafiqeen k Sardaaaron main se ek Sardaar aaj mar gaya, Rafa'a Bin Zaid Taaboot ka Ta'alluq bhi isi Qabeelay se tha, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah Bani Mustalaq se Waaapis Tashreef laa rahe the, to Raastay main Shadeed Aandhi ka saamna karna para, Musalmaan use Dekh kar bhaaag gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khofzada hone ki Zarurat nahin, yeh Aandhi Kufaar k Azeem Sardaaron main se ek Sardaar ki Moat k liye Aai hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E Teba main Ronaq Afroz hogae, to Maaloom huwa, k Rafa'a Bin Zed isi Din Mara tha, jab Shadeed Aandhi aai thi"..
(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#2, Page#60-61, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Yahi Imaam Abdul MAalik Bin Hasshaam 213 Hijri main dusri jagah Likhte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya is Aandhi se na daro, yeh Aandhi ek Baray Munaafiq ki wajah se chali hai, jab Sahaba Madina E Teba Puhnchay to, unhon ne Rafa'a Bin Zaid ki Moat ki khabar suni jo Bani QenQah se Ta'alluq rakhta tha, yeh yahoodiyon ka ek sardaar tha, aur Munaafiqon ki Panah Gaah tha, aur yeh usi din mara jis Roz Aandhi chali thi"..
(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#255, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..
(Dalael Un Nabuwwah, Jild#4, Page#61, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, ek Munaafiq ki Moat ki wajah se yeh Aandhi bheji gai hai, jab hum Madina Teba Puhnchay to ek Bohat Bara Munaaafiq Mar chuka tha"..
(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#315, Raqam Ul Hadees 14418, Matboo'a Mosasta qurtuba Misar)
Imaam Abi Al Farj Abdul Rehman Al Jazwi 598 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Aandhi MAdina E Munawwarah main ek Munaafiq k Marne ki wajah se Chal rahi hai, Phir jab hum MAdina Puhnchay to Waqa'i Munaafiqeen main se ek bohat Bara Munaafiq isi din Jahannum O Asal ho chuka tha"..
(Al Wafa, Ba Hawal-E-Mustafa, Jild#1, Page#310, Matboo'a Mustafa Al Baabi, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne farmaya, yeh Aandhi ksi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madina Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..
(Khasais Ul Kubra,Jild#1, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Muhammad Haaroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:
" Hazrat Jaabir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, k ekDafa RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ek Safar se Waapis Tashreef la rahe the, jab Madinay k Kareeb puhnchay to ek Shadeed hawa chali, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmya, yeh Hawa ek Munafiq ki Moat k liye chali hai, lihaaza jab AAP Madina main Daakhil huwe to logon ne khabar di k AAJ Rafa'a Bin Zaid mar gaya hai, yeh Shakhs Fil Haqeeqat Bohat Bara Munaafiq tha"..
(Khusoosiyaat E Mustafa (Aleh Salaam), Jild#2, PagE#250, Matboo'a Daar Ul Isha'at Karachi)
FAISLA AAP KHUD KAREN.. k Itna Kuch Batane k Baad bhi kiya NABI (ALEH SALAAM) ko GAIB ka ILM nahin??
HADEES # 38:
WOH MAAAL KAHAAAN HAI JO TUM MAKKAH MAIN DAFAN KAR K AAE HO:
Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi, aur Abbas (Razi ALLAH Anhu) se farmya, Ae Abbas tum apna Fidya bhi do, aur Apne Bhateejay Aqeel Bin Abi Taalib aur Nofil Bin Al Haaris ka Fidya bhi do, aur apne Haleef Atba Bin Hajdam ka Fidya bhi do, aur jin ka Ta'alluq Banu Al Haaris Bin Fahar se hai, Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne In ka Fidya dene se Inkaar kiya, aur kaha main is Gazwah se pehle Islaam kabool kar chuka tha, yeh Log mujhey Zabardasti apne Saath lae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH tumhare Maamlay ko Khoob Jaanne Waala hai, aur agar tumhara, Daaawa Bar Haq hai, to ALLAH tum ko is ki Jaza dega, Lekin tumhara Zaahir Haal yeh hai k tum hum par Hmala Aawar huwe, so tum Fidya Ada karo, aur RASOOL (ALEH SALAAM) us se 20 Okiyah Sona (Bator E Maal E Ganimat) Wasool kar chukay the, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!! is 20 Okiyah Sonay ko mere Fidye main Kaat len, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: NAHIN! Yeh woh Maal hai jo ALLAH ne Humen tum se le kar diya hai, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha, mere Pass aur Maal to nahin hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Maal kahaan hai, jo tu ne Makkah se Rawaangi k waqt Umm Ul Fazal k pass rakha tha, , us Waqt tum dono k pass aur koi nahin tha, aur tum ne yeh kaha tha k main is Muhim main Kaam aagaya to, is Maal main se Itna Fazal ko dena, itna Qasham ko dena aur Itna Abdullah ko dena, tab Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, us Zaat ki Qasam jis ne AAP ko Haq de kar Bheja hai, mere aur Umm Ul Fazal k ilaawah, is sab ko aur koi nahin jaanta, aur ab muhjey Yakeen hogaya k AAP ALLAH k RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)
Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi".. (SubhanALLAH)
(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)
Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:
TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, k woh Maal kahaan hai, jo tum ne Rawaangi k waqt Makkah Umm Ul Fazal Bint E Haaris k Pass rakha tha, jab k tum dono k Saath koi na tha?? Tum ne un se kaha tha, mujhey is Safar main Moat aagai, to Fazal k liye itna itna, aur Abdullah k liye itna itna hai, Unhon ne kaha, Qasam hai us Zaat ki jis ne Haq k saath AAP ko Mab'oos kiya, k is ka Siwae Mere aur Umm E Fazal k kisi ko ILM na tha".. (SubhanALLAH)
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#14, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalhi 942 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne JANG E BADAR k din Ahl-E-Jahiliyat ka Fidya (400) Darham Muqarrar kiya, aur Hazrat Abbas ne yeh Daawa kiya, k un k Pass Bilkul Maal nahin hai, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, acha to woh Maal kahaan hai ,jo tum ne Umm Ul Fazal ne mil kar dafan kiya tha, aur tum ne kaha tha, k agar main is Moohim main kaam aagaya, to yeh mera Maal mere Beton ka hai, Al fazal, Abdullah aur Qasam, Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) kaha, ALLAH ki Qasam mujhey ab yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, is Baat ka mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko ILM na tha"..
(Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Ul Qaazi, Jild#4, Page#197, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
TArjuma: " Ibn-E-Ishaaq aur Imaam zehri se Naqal karte hain k Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, k YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) mere pass Fidya dene k liye kuch nahin, AAP ne farmaya, woh maal kahaan hai, jo tum ne aur Umm Ul Fazal ne Dafan kiya tha, aur tum ne dam Rukhsat yeh kaha k agar main Mara jaaoun to yeh Maal mere Beton Fazal aur Qasam k liye hai, yeh sunkar Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu)! ALLAH ki Qasam mujhey Yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, Ba Khuda is Ma'aamlay kja mere aur Umm Ul Fazal k ilaawa kisi ko Qat'an ILM na tha"..
(Khasais Ul Kubra, JILD#1, PAGE#341, Matboo'a Daar Ul Qutub ILMIYAH, BEROOT)
Muhammad Haroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:
Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur Umm Ul Momineen Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Jang E Badar main Kaafiron ko Shikast huwi, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k chacha Abbas Bin Abdul Mutallaib jo us Waqt Eemaan nahin lae the, woh bhi Aseer ho kar aae the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qediyon k Aewaz Fidyah Talab kiya, to unhon ne Arz ki keh mere pass itna Maal nahin k Zar fidyah Ada kar sakun, HUZOOR (ALEH SALAAM ne farmaya, Woh Maal kiya hua, jo tum Umm Ul Fazal (Hazrat Abbas ki Zoja) k pass Dafan kiya hai aur us se keh aae the, k agar main maara jaoun to yeh Maal meri Aulaad k liye hai, Hazrat Abbas (RAzi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Khuda ki Qasam is maal ki mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko Khabar na thi"..(Musnad E Ahmed)
(Khoososiyaat E Mustafa (ALEH SALAAM), Jild#2, Page#250-251,Matboo'a Daar Ul Isha'at, Karachi)
Faisla Khud karen k Aaya ab bhi HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB nahin??
HADEES # 39:
IN NEZON SE FIDYA ADA KARO JO JADDAY MAIN HAIN:
Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main likhte hain:
TArjuma: " HAzrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, kNofil Bin Haaris Badar main Giraftaar kiye gae to, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya ae Nofil apni Jaan ka fidya do, Arz ki YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!! Mere Pass to kuch bhi nahin jis se main apni Jaan ka fidya Ada kar sakun, farmya, Apni Jaan ka fidya un Nezon se Ada karo jo Jadday main hain, is par Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki, MAIN GAWAHI DETA HUN, BESHAK AAP ALLAH K RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)
(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page46, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki"..
(Khasais Ul kubra, Jild#1, Page#342, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Abu Al Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Musalmaan hone waale Aseeran-E-Badar main se ek Hazrat Nofil Bin Haaris Bin Abdul Mutallib (Razi ALLAH Anhu) hain, kaha jaata hai k Aap ne GazwahE Khandak k Saal Islam Qabool kiya, aur Madina E Teba ki taraf Hijrat ki, yeh bhi kaha Gaya hai k AAP usi Waqt Islam le aae the, jab Aap ko Qed kiya gaya, Waqiyah yun hai k NABI E PAK (ALEH SALAAM) ne farmaya, Apna Fidya ada karo, unhon ne Arz kiya, mere pass Fidyeh ki Adaegi k liye MAal nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, un Nezon k Zariye Fidya Ada karo jo tum ne Jaddah main Rakhey hain, HUZOOR (ALEH SALAAM) ka yeh Irshaad sun kar woh kehne lage, Qasam Ba Khuda ALLAH TA'ALA k Siwa kisi ko is baat ka ILM na tha, k Jaddah main mere Nezay pare hain, Main GAWAHI DETA HUN K AAP ALLAH TA'ALA k SACHAY RASOOL hain"..
(Roz Al Anaf Tasmee'ah MAn Asar Man Al Mushrikeen Yom E Badar,Jild#3, Page#76, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Yousuf Ismail 1350 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki"..
(Hajjatullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizaat Saiyyad Ul Mursaleen, Page#347, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap ka.. Kiya ab bhi Aap ko Yakeen Nahin k Mere NABI (ALEH SALAAM) ko ALLAH TA'ALA ne ILM-E-GAIB Ata kiya??
HADEES # 40:
TU USE BAIL KA SHIKAAR KARTE HUWE PAAE GA:
Allama Yousuf Bin Ismail Al Nibhaani 1350 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abi Bin Roman aur Hazrat Abdullah Bin Abi Bakar (Razi ALLAH Anhu)se Marwi hai k NABI (ALEH SALAAM) ne Khaalid Bin Waleed ko Domah k Hukmuraan Akedah ki taraf Bheja, Akedar Nasraani tha. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi farmai k tum use us Haalat main Paao ge k woh ek Jangli Gaen (Cow) k Shikaar main MAsroof hoga, Lihaaza Hazrat Khalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) Rawaana huwe, yahaan tak k Hazrat KHaalid Bin Waleed Qilay k itne Qareeb Puhanch gae Jahaan se Aadmi Nazar Aaskata tha,Raat Chaandni thi, Akeedar apni Biwi k Hamrah Qilay ki Chat par tha,isi Asna main ek Jangli Gaen (Cow) Qilay k Darwaazay k Saath apna Sir Takraaney lagi, Akeedar ki Biwi ne us se Kaha kiya Aap ne Kabhi Aesa Manzar dekha hai?? Us ne kaha nahin, Phir us ki Biwi ne kaha kiya is tarah k Shikaar ko Chora jaa sakta hai? Akeedar ne kaha nahin, Koi yeh Moqa Haath se Zaaya nahin kar sakta, Woh Qilay se Neechey aaya, Hukum diya k Ghoray par Zain rakhi jae, Phir us par Sawaar huwa, aur us k Saath us k Gharaanay k Chand Admi the, woh Apne Shikaar k liye Rawaana huwe to, NABI (ALEH SALAAM) k Qaflay se se Unki Mad Bheeer huwi, Unhon ne use Giraftaar kar liya, aur us k Bhai Hassaan ko Giraftaar kar liya, jis par deebaaach ki Sunehri Qubaa thi, Hazrat KHaalid Bin Waleed ne Use Cheen kar HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Akeedar k Hamrah Bhej diya..
Ibn-E-Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) kehte hain k jab Hazrat KHaalid Bin Waleed Akeedar ko le kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir huwe to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne unhen Jaan Bakhshi farmai, aur Juziyah par Sulah kar li, phir use Riha kar diya, Banu Tay k ek Shakhs Bajeer ne is Waqiyeh ka yun Zikar kiya hai,
Ba Barkat hai woh jo Neel Gaenyon (Cows) ko Haank kar laaney waala hai, mene dekha k ALLAH ar Taalib-E-Hidaayat ko Hidaaya deta hai..
Pas jo Shakhs Tabook Waale NABI se Munharif hota ho, to woh to humen Jihaad ka hukum diya gaya hai..
Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne is Shaair ko Dua dete huwe farmaya, ALLAH tumhary Moun ko Salaamat rakhey. is Dua ka Asar yeh hai k Nawway (90) ki Umar main bhius Shakhs ki na to Daar main Harkat huwi, na us ka koi Daant toota"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#461, Matboo'a Daar Ul kutub Ilmiyah, Beroot)
(Tibkaat Ul Kubra Ibn-E-Saad, Jild#2, Page#166, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ko Bulaaya, aur use Doma k Akeedar ki taraf bheja, yeh Akeedar Bin Abdul Maalik tha, yeh Banu kandah ka ek Shakhs tha, aur Domah ka Baadshah tha, yeh Nasraani tha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat KHaalid Bin Waleed se farmaya, Tu Use Bail ka Shikaar karte huwe Paae ga"..
(Al Seerat Un Nabuwwahiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-HAshaam, Jild#5, Page#207, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Fasila khud karen.. k Hazrat KHaalid Bin Waleed ko Batana k woh Akeedar ko ek Bail ka shikaar karte huwe Paaen ge, yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin..
HADEES # 41:
WOH DO (2) OONT KAHAAN HAIN, JINHEN TUM NE AQEEQ MAIN FALAAN FALAAN WAADI MAIN CHUPA DIYA HAI:
Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:
TArjuma: " Hazrat IBn-E-HAshaam (RehmatULLAH Aleh) ne kaha, k kaha yeh jaata hai, k jabHUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah-E-Bani Mustalaq se Waapis huwe, jab k Hazrat Jaweriya (Razi ALLAH Anhu) Aap k Saath thin, AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweruyah ko Bator E Amaanat ek Ansaari k din, aur Hifaazat ka Hukum diya, HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E Teba puhnchay to, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ka Baap Haaris Apni Beti ka Fidyah le kar Puhncha, jab Aqeeq k Muqaam par Puhcha to, Apne Ooonton ko dekha jo Fidyeh k tor par laaya tha, use Do (2) Oont bohat Achay lage, aur us ne Aqeeq ki Waadiyon main use Chupa diya, Phir HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah-E-Aqdas main Haazir huwa, Arz ki AE MUHAMMAD Aap ne MEri Beti ko Pakar liya hai, yeh Oont us ka Fidya hain, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Do (2) Oont kahaan hain, jinhen tum ne Aqeeq main Fulaan Fulaan Waadi k Peechey chupa diya hai, yeh sun kar Haaris ne kaha MAIN GAWAHI DETA HUN, k ALLAH TA'ALA k SIWA KOI MAABOOD NAHIN, AUR AAP ALLAH K RASOOL HAIN, ALLAH KI QASAM IS BAAT PAR ALLAH K SIWA KOI AAGAH NAHIN, Haaris Musalmaan hogaya, Saath hi us k Do (2) Betay bhi Musalmaan hogae, aur us ki Qoam k kafi Log bhi musalmaan hogae, Haaris ne Donon Oonton ko laane k liye ek Aadmi bheja, jo in donon Oonton ko le Aaya, Oont HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main pesh kiya gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ko Haaris k Hawaalay kar diya, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ne Islaam kabool kar liya, aur Bohat achi Musalmaan Saaabit huwin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un k Waalid ko Daawt-E-NIKAH di, Un k Waalid ne Apni Beti ka Nikah HUZOOR (ALEH SALAAM) se kar diya, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Chaar so (400) Darham Meher Ata kiya"..
(Al Seerat Al Nabuwwahiyah, Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#259, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Imaam Ali Bin Barhaan Ud Deen Shaafai 1066 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Ziyaad Bayaan karte hain, ALLAH Ta'ALAH ne NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ko Gazwah E Bani Mustalaq main Jaweriya Bint-E-Haaris Bator E Ganeemat Ata farmai, to un ka Baap Haaris un ki Rihaai, k liye Fidyeh le kar Aaya, Jab Aqeeq main Puhncha, to Oont ki taraf dekha, jo Apni Beti k Fidyeh main diye the, us main se Do (2) Oont use Bohat pasand aae, Pas in Donon Oonton ko Waadiye Aqeeq ki ek Ghaati main Gayab kar diya,phir Deegar Oonton ko Hanka kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir Hogaya, aur Arz ki YA MUHAMMAD! meri Beti AAP k Yahaan Giraftaar hai, yeh is ka Fidyah hai.. NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Donon (2) Oont kahaan hain, jo tum ne Waadiyeh Aqeeq main Gayab kiya hain, Yeh sun kar Haaris ne kaha, k MAIN GAWAAHI DETA HUN K AAP (ALEH SALAAM) ALLAH K RASOOL HAIN, Waqai mene un donon (2) Oonton ko Aqeeq main Gayab kiya, aur Is Baat par Siwae ALLAH k Aur koi Aagah na tha, is k Baad Haaris ne Islam Kabool kar liya"..
(HajjatULLAH Ali Ul Aalameen Fi MojizaatSyed Ul Mursaleen, APge#361, Matboo'a DaarUl Kutub Ilmiyah, Beroot)
Fasila Aap khud karen.. k NABI (ALEH SALAAM) ka batana k Haaris ne Donon Oont aqeeq ki Wadiyon mai Gayab kiya k Yeh Gaib ka ILM hai ya nahin???
HADEES # 42:
US TARAF SE KUCH SAWAAR TUMHAREY PASS AAENGE JO AHL-E-MASHRIK k BEHTAREEN LOG HONGE:
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
TArjuma: " Mazeeda Al Asri Bayaan karte hain, k Ek Dafa NABI E KAREEM (ALEH SALAAM),SAHABA E KARAAM (Razi ALLAH Anhu) k Saath Maho Guftugu the, k Doraan-E-Guftugu Farmaya, k AnQareeb is taraf se Kuch Sawaar tumhare Pass Aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain, Yeh Irshaad sun kar, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Uthey aur us Jaanib Rawana hogae, to 13 Afraad par Mushtamil ek Wafd in se mila, Pucha: kis Qabeelay se Ta'alluq hai tumhara?? to unhon ne Bataya: Hum Bani Abdul Qes se hain"..
(Khasais Ul Kunra, Jild#2, Page#26, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Shaaheen (RehmatULLAH Aleh) Sakhaar bin Abbas aur Mazeedah Bin Maalik se Riwaayat karte hain, (Yeh Mazeedah Wafd Abdul Qes k ek Rukan the) Woh Kehte hain, k Ashj Abdul Qes Daaren k Raahib ka ek Dost tha, ek Saal is se Mulaaqaat huwi, to us ne Bataya, k Makkah Shareef main ek NABI ka Zahoor hone waala hai, jo Hadiya Kabool karta hai, magar Sadqa nahin khaata, us k Donon Shaanon k Darmiyaaan ek Nishaani hai aur woh Saarey Adiyaan par Gaalib Aajae ga, is k Baad Raahib ki Moat Waaqey hogai, is k Baad Ashaj ne Tehqeeq-E-Haal k Liyeapney Bhaanjey ko MAkkah Shareef bheja, woh Hijrat k Saal aaya, aur NABI (ALEH SALAAM) se Mulaaqaat ki aur Nabuwat ki Nishaaniyon ko Sahi paa kar ISLAM le aaya, NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us ko Surah Al Hamd aur Surah Al Alaq ki Taaleem di, is k Baad use Hukum diya, k Ab jaa k Apney Maamoo ko Islam ki Daawat do, Lihaaza us ne Lot kar Apney Maamoo ko tamaam Haalaat se Aagah kiya, jis ki Wajah se Ashaj ISLAM laya tha, Magar ek Arsey tak Apney Eemaan ko Posheedah rakha, phir 16 Mardon k Saath Rawana huwa, aur Madinah Aaya, jis Subah yeh Wafd MAdina Puhncha, usi Raat NABI (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi Farma di thi, k Mashriq ki taraf se ek Qaafila Aane Waala hai, jinhen ISLAM k Liye Majboor nahin kiya gaya, Balkey Barza O Ragbat Aarahe hain, in k Rehnuma ki ek Alaamat hai, Lihaaza Ashaj Abdul Qes apni Qoam k Chand Nafoos k saath aaya, yeh Fatah-E-MAkkah k Saal ka Waqiyah hai"..
(Hajjat ULLAH Ali Ul Aalameen Fi Mojizat SayedUL Mursaleen, Page#365, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Muhammad Saaad 230 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us Raat jis ki Subah ko Banu Abdul Qes ka Wafd Aaya tha, Afaq ki taraf dekh kar Irshaad farmaya, " Mashrekeen ki ek Jama'at Aae gi, jinhen ISLAM k liye MAjboor nahin kiya gaya, un logon ka Haal yeh hai k Safar ki Sobaton ne un k Jaanwaron ko Dubla kar diya hai, in ka Zaad rah khatam ho chuka hai, aur un k Sardar ki ek Nishaani hai, phir Dua Faramai, Ae ALLAH! Abdul Qes ko Maaf farma, Woh Hoosool E Maal k liye mere Pass nahin aae, woh Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain"
(Tabqaat Ul Kiubra, Ibn-E-Saad, Jild#1, Page#314, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Haakim (RehamtULLAH Aleh) ne Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Ahl-E-Hijar se Abdul Qes ka ek Wafd RASOOL (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Baaryaab huwa, woh Bethey the, k Achanak AAP (ALEH SALAAM) ne un ki taraf Mutawwajjah ho kar farmaya: " Tumharey Yahaan Kai Qisam ki Khajooren hoti hain, aur tum falaan Qisam ki KHajoor ko is naam se Pukaarte ho, yeh sun kar Ek Shakhs Bola, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Meray Maa Baap AAP Par Qurban hon, Agar AAP (ALEH SALAAM) ki Wilaadat Muqaam E Hijar main hoti, to is se Ziyaadah AAP in k Muta'alliq ILM na rakhte, main Gawahi deta hun, AAP (ALEH SALAAM) ALLAH k RASOOL hain.. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jab tum meray pass Bethay to Tumhari Sar Zameen utha kar meray Saamney kar di gai, aur mene use ek Siray se Dusray tak Bil Tafseel Dekha, tumhari Khajooron main se Behtareen khajoor "Barni" hao jo Bemaari dur karti hai, aur khud is main koi bemaari nahin"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#27, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ilmiyah, beroot)
Muhaddis-E-Kabeer Imaam Muhammad Bin Ismail Bukhari 256 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Mazeedah Abdi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Ashaj (Razi ALLAH Anhu) Pedal chalte huwe, Bargah-E-NABI (ALEH SALAAM)main Haazir huwe, aur Aap (ALEH SALAAM) k haath Mubarak ko Pakar kar Boosaa diya,to NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne un se Farmaya, k tumharey ander 2 Khaslaten aesi hain, k jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) pasand karte hain, us ne Arz kiya kya woh aesi Cheezen hain? jin par main PEda huwa hnu, (Yaani Fitrati) ya woh Baad main Peda ki gai hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya k Balkay yeh woh Fitri hain, jin par tum peda kiye gae ho, Ashaj (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Sab Taareefen ALLAH TA'ALA k liye hain, jis ne Meray ander aesi Khaslaten Peda farmain, jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) Pasand farmatey hain"..
(Tibraani Kabeer,Jild#20, Page#345, Raqam Ul Hadees 812, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam Al Mosool)
Fasila khud karen, k NABI (ALEH SALAAM) ka Bata dena k Us Taraf se kuch Sawaar aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen Sawaar honge, aur Abdul Qes k Wafd ko us ki pasandeedah Khajoor ka Batana, Yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin.. JAzakALLAH
HADEES # 43:
ISI TARTEEB SE KHULAFA HONGE:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Abu Ya'Ali O Haakim aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Ayesha Siddiqe'ah (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat ki k, Unhon ne Farmaya, NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne Masjid ki Bunyaad k liye Sab se pehle khud Pathar Uthaya, AAP k Baad Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAh Anhu) ne PAthar Uthaya, Us Waqt RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Merey Baad (isi Tarteeb se) yeh Hazraat Khulafa honge"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " O Abu Ya'Ali O Haaris Bin Usama , Ibn-E-Habbaan O Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar, aur Behki O Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Safeena (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k, Jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne Masjid ki Bunyaad rakhi, to Hazrat ABu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) Pathar Laae, AAP (ALEH SALAAM) ne use rakha, Phir HAZRAT UMAR FAAROOQ (RAZI ALLAH ANHU) Pathar Laae, AAP (ALEH SALAAM) ne Use Rakha, Phir Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) PAthar Laae, aur AAP (ALEH SALAAM) ne use RAkha, us waqt AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Meray Baad isi Tarteeb se Khulafa Hongey"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Qutba Bin Maalik (Razi ALLAH Ahu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Pass Haazir huwa to, AAP k Saath Hazrat Abu Bakar O Umar O Usman (Razi ALLAH Anhu) they, aur AAP Masjid E Quba ki Taameer Farma Rahe the, aur Haan Aleka, AAP k Saah sirf yahi 3 Hazraat hain, AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Meray Baad yahi 3 Saahibaan khilaafat hain"
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#195, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap khud Kar sakte hain.. JAzakALLAH
HADEES # 44:
SAB SE PEHLE MUJH SE HAZRAT FATIMA (RAZI ALLAH ANHU) MILENGI:
Imaam Abu Eesa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Umm Ul Momineen Hazrat Aayesha (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karti hain, k Mene Hazrat Fatima (Razi ALLAH Anhu) se Ziyaadah, RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Kareeb kisi ko nahin dekha, jo apni Nashisht Barkhuwaast aur Zindagi k Aam Maamoolaat main AAP (ALEH SALAAM) k Sab se ziyadah Mushaahib ho, jab woh NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) k Paas Aatin to AAP (ALEH SALAAM) kharey hojaate, in ko Bosa dete, aur in ko Apney paas Bithaate, jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Bemaar hogae, to Hazrat Fatima (Razi ALLAH Anhu) Aain aur Jhuk kar AAp ko Salaam kiya, aur Sir Utha kar Roney lagin, Phir Dubaara AAP (ALEH SALAM) Par Jhukin aur Sir Utha kar Hansne Lagin, jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Foat hogae to mene un se kaha k jab AAP Pehli baar NABI-E-KAREEM (ALEH SALAM) par jhuki thin, to Roney lagin thin, phir jab AAP dusri baar jhukin aur Sir Uthaya to Hansne Lagin thin, is ka kiya Sabab tha ?? Hazrat Faatima (Razi ALLAH Anhu) ne Farmaya, main AAP ka Raaz bata rahi hun, pehli baar AAP (ALEH SALAAM) ne Bataya tha k, AAP is dard aur is Bemaari se Foat hojaenge, to main Roney lagi, phir dusri baar AAP (ALEH SALAAM) ne yeh bataya tha, k AAP k Aehel main se sab se pehle MAIN AAP k Saath milongi, to main Hansne lagi"..
(Sunan Tarmizi Baab Fazal-E-Fatima Bint-E-Muhammad (Aleh Salaam), Jild#5, Page#700, Raqam Ul Hadees 3872, Matboo'a Daar Ul Ahya At'Turaas Al Arabi, Beroot)
IMAAM AHMED BIN HAMBAL ne 241 Hijri main Yahi Riwaayat ki:
(Bahawala: Fazail-E-Sahaba Laa Bin Hambal, Jild#2, Page#764, Raqam Ul Hadees 1233, Matboo'a Mosasta Risala Beroot)
Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne faramya, Ae Fatima kiya tum is Baat se Raazi nahin ho kiya k Jahaanon aur is Ummat ki Aurton ki Sardaar ho?? MAin yeh Baat sun kar Hans Pari"..
(Dalael Un Nabuuwaah, Page#98, Raqam Ul Hadees 93, Matboo'a Daar Ul Teba Ur Riyaaz)
FAISLA AAP KHUD KAREN K KIYA YEH ILM GAIB NAHIN K HUZOOR (ALEH SALAAM) NE ZAINAB (RAZI ALLAH ANHU) ko Bataya k Woh Sab se Pehle HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Milengi.. JazakALLAH
HADEES # 45:
BESHAK yeh SHO'ABLA (RAZI ALLAH ANHU) k JOOTON KI AAWAAZ HAI JO MUJHEY REHAANA K QUBOOL-E-ISLAAM ki KUSHKHABRI DENE AARAHAY HAIN:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain k NABI-E-KAREEM (Aleh Salaam) ne Bani Qurezaa ki Aurton main se Rehana Bint-E-Umaro ko Apni Zojiyat k liye PAsand Farmaya, to us ne Islam Laaney se Inkaar kar diya.. Us Se AAP Kabeedah Khaatir huwe, Abhi AAP Sahaba Karaam ki Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apne Peechey Do (2) Jooton k Girne ki Aawaaz suni aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah k hain, jo Mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat deraha hai""..
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#386, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Abdul MAlik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Ek Moqey par HUZOOR (ALEH SALAAM) Apney Sahab k Sath Tashreef Farma they, k Apney Peechey kisi Aaney Waaley k Jooton ki Aawaaz Suni.. To HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Beshak yeh Sho'abla Bin Sai'yyah (Razi ALLAH Anhu) k Jooton ki Aawaaz hai jo muhjey Rehana k Qubool-E-Islam ki khushkhabri dene Aarahe hain, Chunachay Unhon ne Haazir-E-Khidamt ho kar Bataya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) REHANA NE ISLAM QABOOL KARLIYA HAI.. Is k Is Amal Par AAP (ALEH SALAAM) ko Bohat Ziyaadah Khushi Huwi"
(Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#205-206, Matboo'a Dar Ul Jeel, Beroot)
Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer bhi yahi 774 Hijri main likhte hain:
(Bahawala: Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Jild#4, Page#503, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Abhi Aap Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ki Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apney Peechay Do Jooton k girne ki Aawaaz suni, Farmaya: Yeh Dono (2) Jootay Ibn-E-Sho'abla k hain, jo mujhhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat de raha hai"..
(Dalael E Nabbuwwah, Jild#4, Page#24-25, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Yousuf Bin Ismail 1350 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain k NABI-E-KAREEM (Aleh Salaam) ne Bani Qurezaa ki Aurton main se Rehana Bint-E-Umaro ko Apni Zojiyat k liye PAsand Farmaya, to us ne Islam Laaney se Inkaar kar diya.. Us Se AAP Kabeedah Khaatir huwe, Abhi AAP Sahaba Karaam ki Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apne Peechey Do (2) Jooton k Girne ki Aawaaz suni aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah k hain, jo Mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat deraha hai""..
(HajjatULLAH AliULAALAMEEN Fi ojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#343-344, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Fasila Aap Khud Karen.. Kiya yeh ILM-E-GAIb nahin k Sirf Jootiyon ki Aawaaz sun k Bata diya k yeh Jootiyon ki Aawaaz Sho'abla (Razi ALLAH Anhu) ki hai.. aur Sirf yeh na Bataya k Jootiyon ki Aawaaz Sho'abla (Razi ALLAh Anhu) ki hai, Balkey yeh bhi Bataya k Sho'abla (Razi ALLAh Anhu) Rehana k Islam Qubool karne ki khushkhabri dene Aae hain..
SubhanALLAH..
JazakALLAH
HADEES#46:
Abu Sufiyan Bin Harab (Razi ALLAH Anhu) k Dil ki Baat Batana:
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hum ne Ek Mutassil Sanad se Abdullah Bin Abi Bakkar se Riwaayat Naqal ki hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) Abu Sufiyaan ki Taraf Tashreef le gae.. Jab Abu Sufiyaan ne AAP ko Dekha to Dil main kaha k kaash main jaan leta k tune kis Wajah se Mujh par Galba Paaya hai.. HUZOOR (ALEH SALAAM) Tashreef lae, us k Donon Kandhon k Darmiyaan Apna Haath Maara, aur Faramya, Ae Abu Sufiyaan ALLAH TA'ALA ki Madad se tum par Gaalin Aaya hun, to Abu Sufiyaan ne Kaha Main Gawahi deta hun k AAP ALLAH k RASOOL hain"
(Roz Ul Anaf Un Islam abi Sufiyaan O Saahibiyah, Jild#4, Page#73, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 585 Hijri main Riwaayat Karte hain:
Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah k Baad ek Din Betha tha k us ne Apney Dil main kaha Ae Kaash main MUHAMMAD (Aleh Salaam) k Muqaabil ek Lashkar Ikhattha kar sakun, Abhi woh Yahi Soch raha tha, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Us ki Beth par Thappi de kar Farmaya, Agar aesa huwa to ALLAH TA'ALA tumhen Ruswa kareaga, Us ne Sir Utha kar dekha, to HUZOOR (ALEH SALAAM) us k Sir par kharey the, Kehne laga Bakhuda main Ab tak yeh yakeen nahin karta tha, k AAP NABI hain aur yeh (Lashkar jama karne ki) Baat to merey Dil main Aai thi k AAP is par Aagah hogae"..
(Dalael Un Nabuwwah, Baab Islam Hind, Jild#5, Page#102, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah k Baad ek Din Betha tha k us ne Apney Dil main kaha Ae Kaash main MUHAMMAD (Aleh Salaam) k Muqaabil ek Lashkar Ikhattha kar sakun, Abhi woh Yahi Soch raha tha, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Us ki Beth par Thappi de kar Farmaya, Agar aesa huwa to ALLAH TA'ALA tumhen Ruswa kareaga, Us ne Sir Utha kar dekha, to HUZOOR (ALEH SALAAM) us k Sir par kharey the, Kehne laga Bakhuda main Ab tak yeh yakeen nahin karta tha, k AAP NABI hain aur yeh (Lashkar jama karne ki) Baat to merey Dil main Aai thi k AAP is par Aagah hogae"..
(Al Seerat Un Nabuuwaiyyah, Khutba Un Nabi (Aleh SAlaam), Jild#3, Page#541, Matbo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (RehmatULLAH Aleh) se Riwwayat hai k Jis Raat Makkah Fatah huwa to us Raat Musalmaan Makkah main Daakhil huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba main Mashgool rahe, yeh Manzar dekh kar Abu Sufiyaan ne Apni Biwi Hind se kaha: " Kiya tujhey ALLAH ki yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar nahin Aarahi hai?? Jab Subah huwi to Darbaar-E-Risaalat main Haazir huwa, NABI-E-AKRAM (ALEH SALAAM) ne use Dekhte hi Faramya: Haan Waqai Yeh ALLAH ki Taraf se hai, Abu Sufiyan ne yeh Sun kar kaha main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k Banday aur us k RASOOL hain, Jab main ne Yeh Baat kahi thi to Siwae ALLAH aur Hind k koi Aur Sunne Waala na tha"..
(Dalael Un Nabuwwah Baab Islam Hind, Jild#5, Page#103, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (RehmatULLAH Aleh) se Riwwayat hai k Jis Raat Makkah Fatah huwa to us Raat Musalmaan Makkah main Daakhil huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba main Mashgool rahe, yeh Manzar dekh kar Abu Sufiyaan ne Apni Biwi Hind se kaha: " Kiya tujhey ALLAH ki yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar nahin Aarahi hai?? Jab Subah huwi to Darbaar-E-Risaalat main Haazir huwa, NABI-E-AKRAM (ALEH SALAAM) ne use Dekhte hi Faramya: Haan Waqai Yeh ALLAH ki Taraf se hai, Abu Sufiyan ne yeh Sun kar kaha main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k Banday aur us k RASOOL hain, Jab main ne Yeh Baat kahi thi to Siwae ALLAH aur Hind k koi Aur Sunne Waala na tha"..
(Al Seerat Ul Nabuwwaiyah, Khutaba Un NABI (ALEH SALAAM), Jild#3, Page#542, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) k Doraan-E-Tawaaf Abu Sufiyaan aur Hind k Darmiyaan Mulaaqaat huwi, AAP (ALEH SALAAM) ne Faramya, Ae Abu Sufiyaan tumharey aur Hind k Darmiyaan aesi aesi Baaten huwi hain, Abu Sufiyaan ne Dil main kaha Hind ne Mera Raaz Faash kar diya, main us ka aesa aesa Hashar karunga, Jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Tawwaaf se Faarig huwe, to Abu Sufiyaan se mile aur Faramya, Abu Sufiyaan! Hind se is Qisam ki Guftugu na karna, Hind ne tumhara Raaz Fash nahin kiya, yeh sun kar Abu Sufiyaan kehne laga, main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain"
(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#441-442, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)
Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:
Tarjuma: " Allama Saeyyad Ahmed O Halaan Makki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain, Haasil kalaam yeh hai k Abu Sufiyaan ko Shoru Shoru main yeh Inqalaab Nagawaar guzri, Magar NABI-E-AKRAM (ALEH SALAAM) us k Saath Narmi aur Taaleef E Qalb se Kaam lete rahe, yahaan tak k Islam us k Dil main jam gaya, Baad main Gazwah-E-Taef k doraan us ki ek Aankh Phoot gai to woh use Hatheli par utha kar NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Agar tum chaho to ALLAH TA'ALA tumhari Aankh ko Pehle se Behtar Surat-E-Haal main lota de, ya yeh Pasand karo k ALLAH TA'ALA tumhen jannat main tumhen is se behtar Aankh Ata karde, yeh sun kar Abu Sufiyaan ne Woh Aankh Phenk di aur kaha k main jannat ki is se Achi Aankh pasand karta hun, is ki dusri aankh Khilaafat-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) main Yarmok ki larai k Doraan Phoot gai, Woh Mujaahideen ko Jihaad-O-Qataal ki Targeeb dete huwe keh rahe the, Logo! yeh ALLAH k Azeem Ayyaam main se Ek Din hai, tum ALLAH k Deen ki Madad karo, ALLAH Tumhari Madad karega"..
(Hajjat Ul Ali Ul Aalameen, Fi Mojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#357, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap khud kar sakte hain, k Abu Sufiyaan k Dil ki Baat jaanna ILM-E-GAIB hai ya nahin.. JazakALLAH
HADEES # 47:
UMAIR BIN WAHAB (RAZI ALLAH ANHU) KA KHUFIYA MANSOOBA ZAAHIR KAR DIYA:
Imaam Muhammad Bin saad 230 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Umair se Farmaya, tumhen kiya huwa, jo Hathiyaar liye aae ho? Unhon ne kaha k Haazri hotey waqt main Bhoolay se Talwaar liye Chala Aaya, AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya k, TUM Q AAE?? Umair ne kaha k Main Apney Larkey k Fidyeh main aaya hun.. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya kiya tum ne Haram main Safwaan Bin Ummaiyyah se Uhad kiya hai?? Arz ki main ne kuch nahin kiya.. Farmaya k tum ne yeh Uhad kiya k Muhjey tum is Shirt pe Qatal karige k woh Tumhen yeh cheezen de ga, Tumhara Qarz Ada karega, aur tuhmaray Ayaal Kharch Bardaasht karega, Umair ne yeh sun kar kaha, main Gawahi deta hun, k ALLAH k Siwa koi Maaabood nahin aur Beshak AAP ALLAH k RASOOL hain, YA RASOOL ALLAH WALLAH mere aur Safwaan k ilaawa kisi ko itlaa na thi, main jaanta hun k ALLAH ne AAP ko Aagah kar diya"..
(Tibqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#200, Matboo'a Daar s Saadir, Beroot)
Imaam Abu l Hasan Ali Bin Muhamad Bin Habib Al Maawrdi bhi 429 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:
(Bahawala: Aalaam Un Nabuwwaah, Page#162, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)
Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Mujhey Sachi Baat batao tum q aae ho? us ne kaha main to isis Maqsad k liye aaya hun, AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya, tu aur Sufwaan Bin Ummaiyyah ne Hajar main beht kar Koowaiin main Daalay jaaney waaley Quresh ka Tazkara kiya, phir tu ne kaha agar Mujh par Qarz na hota aur agar meray haan Ahl-O-Ayaal na hote to main MUHAMMAD (ALEH SALAAM) ko Qatal karne k liye zarur Rawaana hota, Safwaan bin Ummaiyah ne terey Qarz aur teray Ahl-O-Ayaal ki Zimedaari is shirt par utha li, k tu is ki Khaatir mujhey Qatal karega, Haalaankay tere aur is k Iraaaday k darmiyaan ALLAH TA'ALA Haael hai, Umair keh utha, main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain"..
(Al Seerat Un Nabuwwiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam , Jild#3, Page#214, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
Faisla Aap kar Sakte hain, kiya yeh Gaib ka ILM nahin k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Umair Bin Wahab k Aaney ka Maqsad Bata diya.. aur un k Safwaan Bin Ummaiyaah ki Baat cheet ka bhi bata diya.. JazakALLAH
HADEES # 48:
TU NE US K RUKHSAAR MAIN EK TIL DEKHA HAI, JIS WAJAH SE TERAY JISAM KA AR BAAL KHARA HOGAYA:
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Bani Qalb ki ek Aurat ko Nikah ka Peghaam diya, aur Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhne k liye bheja to woh Gain, jab woh Waapis Aaen to RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne un se Pucha, tum ne kiya dekha?? Unhon ne kaha mene koi khaas Baat nahin dekhi, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Tum ne ek Khaas Baat dekhi hai, tum ne dekha k us k Rukhsaar par ek Tilhai, jis ko dekh kar tumharey Badan k Tamaam Rongtay khareyhogae, is par unhon ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) AAP se koi Baat posheedah nahin hai, Yaani AAP (ALEH SALAAM) ko har Shey (Cheez) ka ILM hai"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Al Jozi 597 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (ALEH SALAAM) ne un ko us Aurat ko dekhne bheja, jis k liye AAP ne Peghaam E Nika diya tha, to unhon ne Aa kar kaha, main ne koi khaas baat nahin dekhi hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum ne us k rukhsaar par til dekha hai, jise dekh kar tumhaarey Rongtay kharey hogae, woh Farmaati hain, AAP (ALEH SALAAM) se koi baat posheedah nahin reh sakti, khuwaaaah koi AAP se kitna hi chupaae, kis main yeh Jur'at hai"..
(Al Wafa, Ba Hawaal Ul Mustafa, Al Baab Al Khaamis, Ashar Fi Akhbaar E RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Bilgaayebaat, Jild#1, Page#314, Matboo'a Mustafa, Al Baabi, Misar)
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Riwaayat ki gai hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek aurat ko Daawat-E-Nikah di, aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhney k liye Bheja, jab Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) Waapis Aain, to Arz ki main to is main koi Faeda nahin dekhti, to HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne Farmaya, tu ne us k Rukhsaaar main ek Til dekha hai, jis ki Wajah se terey Jisam ka har Baal khara hogaya"..
(Roz-Ul-Anaf, Lilsaheli, Gerat-Un-Nisa Un Nabi, Jild#4, PAge#20, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Hadees to Khulli Daleel hai ILM-E-GAIB ki... jis main Saaf Waazeh hai, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Bataya Hazrat Ayesha ko k unhon ne Un k Rukhsaar pe til dekha tha, aur til dekhney se un k rongtey kharey hogae..
kiya yeh ILM-E-GAIB nahin??
aur to aur jawaab main Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) ne kiya kaha??
Unhon ne kahaa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko har Shey ka ILM hai, aur un se koi bhi Baat Posheedah nahin.. Ab Aap hi Eemaan ki Roshni main Faisla karlen.. JazakALLAH
HADEES # 49:
AGAR TUM CHAHTEY HO TO MAIN TUMHEN BATA DETA HUN, K KIS CHEEZ NE TUMHEN WAHIN ROKAY RAKHA??:
Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:
TArjuma: " Allama Zubair (Bin Bakkaar RehmatULLAH Aleh) ne Riwaayat kiya k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Shakhs ko kuch Tahaif de kar, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) k Pass Bheja, Woh Qaasid kaafi Arsaa Wahin thera raha, jab woh Waapis Aaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usey Farmaya, Agar tum chaho to main tumhen bata deta hun, k Kis cheez ne tumhen Wahin Roqye rakha?? Us ne Arz ki haan!! HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (RAzi ALLAH Anhu) k Husan O Jamaal ne tujhey wahin Roqey rakha, Us ne Arz ki HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sach farmaya, main un k Husan O Jamaal ki Dil Kashi main Khoya raha"..
(Roz Ul Anaf, Baab Ul Hajrah, Ali Al Arz Al Habsha, Jild#2, Page#91, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaaami 942 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Abi Aasim (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat ki, kaha k Mujh se Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k ek Ghulaam ne Hadees Bayaan ki k RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k pass koi cheez Hadyatan bheji, aur woh Qaasid kuch der thera raha, phir woh Qaasid aaya, to RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne use Farmaya, tum kis liye theray rahe..?? phir farmaya, agar tum chaho to main tumhen bataoun k kis Bina par tum theray rahe?? Farmaya, tum ek Nazar Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) par Daaltey they, uar ek
Nazar Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) par, uar yeh dekhtey the, k in main se kon Ziyaaadah Haseen hai, usne kaha, AAP ne such farmaya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko Haq k Saath Ma'oos Farmaya, isi Baat ne, mujhey Therae rakha tha"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#180, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)
Yahi Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaami 942 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Zubair Bin Bakaar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mujh se Muhammad Bin Salaam (RehmatULLAH Aleh) ne Hadees Bayaan ki, kaha k mujh se Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Ghulaam Abu Al Muqaddam ne Hadees Bayaan ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne Ek Aadmi k haath Bakri k Paae, Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k yahaan bhejey, woh Aadmi kuch der thera raha, NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya, agar tum chaho to main tumhen bata dun, k kis liye tum wahaan theray rahe, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Aleh Salaam)!! Zarur bataiyeh, AAP (Aleh Salaam) ne Farmaya, tum Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) ko dekh kar un k Husan par Ta'ajjub kar rahe the"..
(Sabal Ul Huda, Jild#10, Page#54, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap khud kar sakte hain, k kiya yeh ILM-E-GAIB nahin, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Bata diya, k Qaasid wahaan kis Wajah se ther gaya tha, khud parhen aur khud Sochen... JazakALLAH
HADEES # 50:
YEH SHEEMA BINT-E-NAFEELAH AZDIYAH APNEY KHACHAR SHEHBA'A PAR KAALA DOPATTA ORHEY MOJOOD HAI:
Muhaddis-E-Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) Muhaajireen main se hain, yeh wohi hain k jab NABI-E-KAREEM (Aleh Salaam) ne Sahaba (Razi ALLAH Anhu) se Farmaya, yeh Heerah Bezaa hai, jise meray Saamney laaya gaya hai, aur yeh Sheema Bint-e-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Shehba'a par kaala Dopatta orhey Mojood hai, Khazeem (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) hum ne, Heera'h ko Fatah kar liya, aur hum ne Sheemah ko isi Haalat main paaya, to kiya woh MEri hogai, HUZOOR (Aleh Salaam) ne Farmaya, haan woh teri hogai, Phir Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu), Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k Saath k saath Muslimah Kazzaab ko Qatal karne Chal Parey, Chunachay Hazraat Sahaaba-E-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Muslimah Kazzaab ko Jahannum Waasil kiya, phir Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu), HAzrat Khaalod Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k saath Heeera'h ki taraf chal diye, jab Musalmaanon ka ka Lashkar Heera'h main Daakhil huwa to, sab se pehley unhen (Sheemah) Bint-E-Buqeelah Siyaahi Maeel ek Taqatwar KHachar par Sawaar mili, jesa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us ki Haalat Bayaan farmai thi, Cunachay use dekhte hi, Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) us sey chimat gae, aur is ka Daawa karne lage, un k Mta'alliq HUZOOR (ALEH SALAAM) k Farmaan ki Gawaahi, Hazrat Muhammad Bin Musallimah, Aur Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) ne di, Lihaaza Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne Sheema'a, Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k Supard kar di, Phir Sheem'a k pass us ka Bhai Abdul Maseeh, Qilay se neechey utar kar aaya, aur Khazeem (Razi ALLAH Anhu) se kehne laga, Sheema'a ko mujhey bech de, Khazeem (Razi ALLAh Anhu) ne Jawaab diya, Ba khuda, main ek hazaar se kam nahin karunga, Lihaaza Abdul Maseeh ne ek Hazaar de kar, Sheema'a ko le liya, aur phir kehne lage, agar tum ek Laakh bhi maangte, to main woh bhi dene ko Tayyaar tha, Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) kehney lagey, main to yahi samajhta raha, k Maal Dus so (10*100) (Yaani Ek Hazaar) se Ziyaadah hota hi nahin"..
(Hulyat Ul Oliya, O Tabqaat Al Asfiya, Zikar Hazrat Khazeem Bin Os (Razi ALLAH Anhu), Jild#1, Page#364, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)
Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Bukhaari (RehmatULLAH Aleh) ne Apni "Taareekh" main aur Tibraani ne Behki aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) se Khazeem Bin Os Bin Haarisah, bin Laam (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha mene RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ki Jaanib se us Waqt Hijrat ki jab k AAP Tabook se Waapis Tashreef lae the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us Waqt Farmaya, yeh Heerah Beezah hai, jise Meray Saamney laaya Gaya hai, aur yeh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Sheba'ah par Kaal Dopatta Orhey Mojood hai, Mene Arz kiya YA RASOOL ALLAH (Aleh Salaam)!! Agar Hum Heerah main Daakhil hon, aur Agar main ise Wesa hi paaon jesa k Aapney Sifat Bayaan ki, to kiya woh meray liye hogi, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, woh Tumharey liye hai, Lihaaza Jab Haazrat Abu Bakkar Siddique ka Zamana-E-Khilaafat Aaya aur hum Muslimah Kazzaab k Istesaal se Faarig huwe, to Heerah ki taraf Mutawwajjah huwe, Hamarey Daakhil honey k Baad jo Aurat Sab se Pehley humen mili, woh Sheema'a Bint-E-Nafeelah thin, aur usi Haaal main thin, jis Haalat ki HUZOOR (ALEH SALAAM) ne KHabar di thi, Yaani woh Apney Khachar Shebah par kaala Doppata Orhey Sawaar thi, aur main is k Saaath Muta'alliq hogaya, aur mene kaha yahi Woh Aurat hai, jise HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Mujhey Ata farmaya..
Hazrat KHaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne is par mujh se Shahaadat Talab farmai, aur mene us ki Shahaadat pesh ki, Woh Shahaadat Muhammad bin Muslimah (Razi ALLAH Anhu) aur Muhammad bin Bashar (Razi ALLAH Anhu) ki thi, to Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne usey meray Hawaaley kar diya, phir uska Bhai jamarey Pass Sulah ki Garz se aaya, aur us ne kaha k Ise Farokht kar do, mene kaha khudah ki Qasam Dus So (10*100) Darham se kam na karunga, to us ne mujhey ek Hazaar Darham de diye, Phir mujh se kaha, agar tum ek LAakh Darham bhi ,aamgtey to main Zarur deta, mene kaha Main Dus Soo Darhum se ziyaadah Ginti jaanta hi nahin tha"..
(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page186-187, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)
Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Batana k Sheema'h Bint-E-Nafeelah, Apney Khachar pe Kaala dopatta orhey milengi, yeh GAIB ki khabar hai ya nahin.. JazakALLAH
Hadees # 51
Hazrat Jabir bin Samura (Radi ALLAH TA'ALA anhu) bayan karty hain k main nain
HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) ko farmaty huay suna k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
“Muslmaano ki ya moomino ki ek jama’at zurur Aal-e-kisra (family of Kisra) k us khazany ko fatah kary gi jo Qasr-e-Abyad (white palace) main hay.”
**********************************************
Sayyedina Jabir bin Samura (Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:
I heard Allah's Messenger SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM (as saying that)
“There would lie open for a group of Muslims, or for a group of believers, the treasures of the family of Kisra which would be in the white (palace).”
From : Muslim
Book : Al Fitan wa Ashraat As Sa’ah
Volume : 4
page : 2237
hadith number : 2919
From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 5
Page : 89, 100
Hadith number : 20854 , 29083
From : Abu Y’ala
Book : Al Musnad
Volume : 13
Page : 441
hadith number : 7444
Hadees # 52
Hazrat Huzaifah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) farmaty hain k
"HUZUR (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain mujhy qayamat tak roonuma honay wali har baat bata di aur koi aysi baat na rahi jisy main nain AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) say poocha na ho. Albatta main nain yeh na pucha k Ahl-e-Madinah ko konsi cheez madeenah say nikaly gi?"
**********************************************
Sayyedina Huzaifah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:
Allah's Messenger (may peace be upon him) informed me of what is going to happen before the approach of the Last Hour.
And there is nothing that I did not ask him in this connection except this that I did not ask him as to what would turn the people of Medina out from Medina.
From : Muslim
Book : Al Fitan wa ashraat As Sa'ahChapter
Chapter : Qayamat tak paish any waly Fitnon k bary main AAP SAW ka khabar dayna
Volume : 4
Page : 2217
Hadith number : 2891
From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Mustadrak
Volume : 5
page : 386
Hadith number : 23329
From : Haakim
Book : Al Mustadrak
Volume : 4
Page : 472
Hadith number : 8311
Hadees # 53
1.Hazrat Abu Amamah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k akhir main yeh alfaaz hain.
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Pas mujh say duniya aur akhirat k bary main kiay jaany waly sawalaat k jawabaat main nain usi muqaam par jaan liay."
From : Tabrani and Ruyani
========================================
. Ek aur rawayat k alfaaz hain k
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Aur main nain Duniya o akhirat ki har cheez ki haqeeqat jaan bhi li aur daykh bhi li."
From : Tabrani
========================================
3. Hazrat Jabir bin samrah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k akhir main yeh alfaaz hain.
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Pas us k baad kabhi aysa nahi hua k mujh say kisi cheez k mutalliq sawal kiya gaya ho aur main usy na janta hon."
From : Ibn e Abi Shaibah and Ibn e Abi 'Asim
Yeh hadees Hassan hay aur is k Rijaal thiqah hain.
========================================
References
From : Tirmidhi
Book : Tafseer Al Quran
Chapter : Sorat Saad
Hadith number : 3233-3235
From : Darimi
Book : As Sunan
Volume : 2
Page : 170
Hadith number : 2149
From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Page/volume : 368/1 , 66/4 , 243/5
From : Tabrani
Book : M'ajam Al Kabeer
page/Volume : 290/8 , 109/20 , 141/20
From : Ruyani
Book : Al Musnad
Volume : 1
page : 429
Hadith number : 656
From : Abu Y'ala
Book : Al Musnad
Volume : 4
Page : 475
Hadith number : 2608
From : Ibn e Abu Shaibah
Book : Musannaf
Volume : 6
Page : 313
Hadith number : 31706
Hadees # 54
Hazrat Anas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say rawayat hay k
HUZUR Sallallahualaihiwasallam nain hazrat zaid, hazrat J'afar aur Hazrat Abdullah Bin Rawahah (Radi ALLAH TA'ALA anhum) k mutalliqkhabar aany say pehly hi un k shaheed ho jaany k mutalliq loogun ko bata diya. Chunachy AAP Sallallahualaihiwasallam nain farmaya:
"Ab jhanda Zaid nain sambhala hua hy laykin wo shaheed ho gaay.
Ab J'afar nain jhanda sambhal liya hay aur wo bhi shaheed ho gaay.
Ab Ibne Rawahah nain jhanda sambhala hay aur wo bhi shaheed ho gaay."
Yeh farmaty huay AAP Sallallahualaihiwasallam ki chashmaan e Mubarak (eyes) Ansoun say bhari hui thin.
(Phir farmaya)
"yahan tak k ab ALLAH ki talwaaron main say ek talwaar (khalid bin waleed Radi ALLAH TA'ALA anhu) nain jhanda sambhaal liya hay aur us k haathon ALLAH TA'ALA nain kafiron par (Muslmanon ko) Fatah ata farmai hy."
***************************************************
Sayyedina Anas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) Narrated that:
The Prophet had informed the people of the martyrdom of Zaid, Ja'far and Ibn Rawaha (Radi ALLAH TA'ALA anhum) before the news of their death reached.
The Prophet said,
"Zaid took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then Ja'far took it and was martyred, and then Ibn Rawaha took it and was martyred."
At that time the Prophet's eyes were shedding tears.
He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e. Khalid) and Allah made them (i.e. the Muslims) victorious."
From : Bukhari
Book : Al Maghazai
Chapter : Zameen e shaam main Ghazwa e mota
hadith number : 4014
From : Bukhari
Book : Al Janaiz
Volume : 1
page : 420
Hadith number : 1189
From : Bukhari
Book : Al Jihaad
Volume : 3
Page : 1030
Hadith number : 2645
From : Bukhari
Book : fadael e Sahaba
Chapter : Khalid bin Waleed k Manaqib
Hadith number : 3547
From : Nisai
Book : Sunan AL Kubra
Volume : 5
page : 180
Hadith number : 8604
From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 1
page : 204
Hadith number : 1750
From : Haakim
Book : Al Mustadrak
Volume : 3
page : 337
Hadith number : 5295
Hadees # 55
NABI E KAREEM SALLALAHU ALAIHI WASALLAM KA ILME GHAIB DEKH KAR HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ RADIALLAHU ANH NE IMAAN LAAYA....
HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ RADIALLAHU ANH KA IMAAN LAANE KA WAQIYA :
EK MARTABA TIJAARAT KE GARZ SE MULK SHAAM (SYRIA) RAWAANA HUAE. RAAT KO MAHWA ISTERAAHAT HUE TO EK AJEEB SA KHAWAAB DEKHA KE CHAAND, SOORAJ AASMAAN SE UTAR GAYA HAI AUR AAPNE IN DONON KO SEENE (CHEST) SE LAGAYA HAI. ALA AL SAHIH BAHEERA RAAHEB(EK SAHI AALIM WO ZAMAANE MAIN) KE PAAS GAYE, IS NE POOCHA KAHAAN SE AAYE HAIN ? TO FARMAYA MAKKAH SE, PHIR POOCHA: KIS QAANDAAN SE TALLUQ HAI? AAPNE FARMAYA QURAISH SE, PHIR SAWAAL KIYA AAP KYA KAAM KARTE HAI ? AAPNE FARMAAYA TAAJIR HOON, US NE KAHAA AAP KE QAWAAB KE TAABEER YE BATAAYE KE TUMHAARA KHAWAAB YOON POORA HOGA :
"BESHAK TERI QAUM SE EK NABI MA'ABOOS HOGA TO TUM IS KE HAYAAT MAIN IS KE WAZEER HONGE AUR BAAD WAFAAT IS KE KHALIFA AUR JAANASHEEN BANOGE"
HAZRAT ABU BAKR SIDDIQE RADIALLAHU ANH DAR E MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PER HAAZIR HUE AUR POOCHA, AAPNE DAAWA E NABUWWAT KIYA HAI ?? NABI E KAREEM SALLLAHUALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA HAAN,(HAZRAT ABU BAKR NE) ARZ KIYA KOI DALEEL HAI ? HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA KYA WOH DALEEL KAAFI NAHI HAI JO MULKE SHAAM (SYRIA) MAIN DEKH KAR AAYE HO. HAZRAT ABU BAKR SIDDIQE RADIALLAHU ANH NE FAURAN KALIMA PADHA AUR ISLAM MAIN DAAKHIL HO GAYE.
REF :
ZURQAANI ALAL MAWAHIB 1/239-240
AL RIYADH AL AZAR 15/413
SEERAT E HALBIYA 1/274
KHASAIS AL KUBRA 1/72
TAREEQ E DAMISHQ 2/9
IS WAQIYE KO MAULVI NAWAAB SIDDIQ HASAN KHAN BHOPALI(AHLE HADIS MOHADDIS) NE APNE KITAAB "TAKREEM AL MOMINEEN" PG 10-11 PER NAQAL KIYA HAI
Alhamdulillah in Tamam Aayat aur Ahadees se humare sarkar Sallallahualaihiwasallam ka ilm e ghaib saabit hai.
Aur ab hum un Aayat wa Ahadees padege jise dusre digar firqe ilm e ghaib ki nafi hone k idalil lete hai aur hum in sha ALLAH unhe galat saabit karege..
Ilm e ghaib woh aayat jo ALLAH ka Zaati aur Khaas Ilm e Ghaib saabit karti hai lekin Gustakh use NABI Sallallahualaihiwasallam ki ilm e ghaib ki nafi ki dalil lete hai...
Aayat no # 1.
Surah Inaam 59
اور اسی الله کے پاس غیب کی کنجیاں ہیں جنہیں اس کےسوا کوئی نہیں جانتا
Aayat no # 2
Surah Hud 49
یہ غیب کی خبریں ہیں جنہیں ہم آپ کی طرف وحی کر رہے ہیں اس سے پہلے نہ تو آپ ہی جانتے تھے اور نہ آپ کی قوم جانتی تھی پس صبر کر کیوں کہ بہتر انجام پرہیزگاروں کے لیے ہے
Aayat no # 3
Surah jin 25
کہہ دو مجھے خبر نہیں جس کا تم سے وعدہ کیا گیا ہے وہ قریب ہے یا اس کے لیے میرا رب کوئی مدت ٹھیراتا ہے
Aayat no # 4
Surah Hud 31
میں نہ تم سے یہ کہتا ہوں کہ میرے پاس خدا کے خزانے ہیں اور نہ یہ کہ میں غیب جانتا ہوں
Aayat no # 5
Surah Inaaam 50
کہہ دو کہ میں تم سے یہ نہیں کہتا کہ میرے پاس الله تعالیٰ کے خزانے ہیں اور نہ (یہ کہ) میں غیب جانتا ہوں اور نہ تم سے یہ کہتا کہ میں فرشتہ ہوں۔ میں تو صرف اس حکم پر چلتا ہوں جو مجھے (خدا کی طرف سے) آتا ہے۔ کہہ دو کہ بھلا اندھا اور آنکھ والے برابر ہوتے ہیں؟ تو پھر تم غور کیوں
Aayat no # 6
Surah Airaaf 188
کہہ دو میں اپنی ذات کے نفع و نقصان کا بھی مالک نہیں مگرجو الله چاہے اور اگر میں غیب کی بات جان سکتا تو بہت کچھ بھلائیاں حاصل کر لیتا اور مجھے تکلیف نہ پہنچتی میں تو محض ڈرانے والا اور خوشخبری دینے والا ہوں ان لوگوں کو جو ایمان دار ہیں
Aayat no # 7
Surah Surah Tauba 101
اور تمہارے گرد و نواح کے بعضے گنوار منافق ہیں اور بعض مدینہ والے بھی نفاق پر اڑے ہوئے ہیں تم انہیں نہیں جانتے ہم انہیں جانتے ہیں ہم انہیں دوہری سزا دیں گے پھر وہ بڑے عذاب کی طرف لوٹائے جائیں گے
Aayat no # 8
Surah al maeda 109
يَوۡمَ يَجۡمَعُ ٱللَّهُ ٱلرُّسُلَ فَيَقُولُ مَاذَآ أُجِبۡتُمۡۖ قَالُواْ لَا عِلۡمَ لَنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
(وہ دن یاد رکھنے کے لائق ہے) جس دن خدا پیغمبروں کو جمع کرے گا پھر ان سے پوچھے گا کہ تمہیں کیا جواب ملا تھا وہ عرض کریں گے کہ ہمیں کچھ معلوم نہیں توہی غیب کی باتوں سے واقف ہے
Aayat no # 9
Surah e Ahqaaf 9
قُلۡ مَا كُنتُ بِدۡعً۬ا مِّنَ ٱلرُّسُلِ وَمَآ أَدۡرِى مَا يُفۡعَلُ بِى وَلَا بِكُمۡۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَىَّ وَمَآ أَنَا۟ إِلَّا نَذِيرٌ۬ مُّبِينٌ۬ (٩)
کہہ دو کہ میں کوئی نیا پیغمبر نہیں آیا۔ اور میں نہیں جانتا کہ میرے ساتھ کیا سلوک کیا جائے گا اور تمہارے ساتھ کیا (کیا جائے گا) میں تو اسی کی پیروی کرتا ہوں جو مجھ پر وحی آتی ہے اور میرا کام تو علانیہ ہدایت کرنا ہے
Aayat no # 10
Surah hud 123
وَلِلَّهِ غَيۡبُ ٱلسَّمَـٰوَٲتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ يُرۡجَعُ ٱلۡأَمۡرُ كُلُّهُ ۥ فَٱعۡبُدۡهُ وَتَوَڪَّلۡ عَلَيۡهِۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَـٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
اور آسمانوں اور زمین کی پوشیدہ بات الله ہی جانتا ہے اور سب کام کا رجوع اسی کی طرف ہے پس اسی کی عبادت کرو اور اسی پر بھروسہ رکھ اور تیرا رب بے خبر نہیں اس سے جو کرتے ہو
Aayat no # 11
Surah e Luqman 34.
إِنَّ ٱللَّهَ عِندَهُ ۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَيُنَزِّلُ ٱلۡغَيۡثَ وَيَعۡلَمُ مَا فِى ٱلۡأَرۡحَامِۖ وَمَا تَدۡرِى نَفۡسٌ۬ مَّاذَا تَڪۡسِبُ غَدً۬اۖ وَمَا تَدۡرِى نَفۡسُۢ بِأَىِّ أَرۡضٍ۬ تَمُوتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرُۢ
بے شک الله ہی کو قیامت کی خبر ہے اور وہی مینہ برساتا ہے اور وہی جانتا ہے جو کچھ ماؤں کے پیٹوں میں ہوتا ہے اور کوئی نہیں جانتا کہ کل کیا کرے گا اور کوئی نہیں جانتا کہ کس زمین پر مرے گا بے شک الله جاننے والا خبردار ہے
Aayat no # 12
Surah e Airaaf 187
قیامت کے متعلق تجھ سے پوچھتے ہیں کہ اس کی آمد کا کونسا وقت ہے کہہ دو اس کی خبر تو میرے رب ہی کے ہاں ہے وہی اسے اس کے وقت پر ظاہر کر دکھائے گا وہ آسمانو ں اور زمین میں بھاری بات ہے وہ تم پر محض اچانک آجائے گی تجھ سے پوچھتے ہیں گویا کہ تو اس کی تلاش میں لگا ہوا ہے کہہ دو اس کی خبر خاص الله ہی کے ہاں ہے لیکن اکثر لوگ نہیں سمجھتے
Aayat no # 13
Surah Nisa 164
وَرُسُلاً۬ قَدۡ قَصَصۡنَـٰهُمۡ عَلَيۡكَ مِن قَبۡلُ وَرُسُلاً۬ لَّمۡ نَقۡصُصۡهُمۡ عَلَيۡكَۚ وَكَلَّمَ ٱللَّهُ مُوسَىٰ تَڪۡلِيمً۬ا
اور ایسے رسول بھیجے جن کا حال اس سے پہلےہم تمہیں سنا چکیں ہیں اور ایسے رسول جن کا ہم نے تم سے بیان نہیں کیا اور الله نے موسیٰ سے خاص طور پر کلام فرمایا
Aayat no # 14
Surah kahaf 25,26
وَلَبِثُواْ فِى كَهۡفِهِمۡ ثَلَـٰثَ مِاْئَةٍ۬ سِنِينَ وَٱزۡدَادُواْ تِسۡعً۬ا (٢٥) قُلِ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا لَبِثُواْۖ لَهُ ۥ غَيۡبُ ٱلسَّمَـٰوَٲتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ أَبۡصِرۡ بِهِۦ وَأَسۡمِعۡۚ مَا لَهُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَلِىٍّ۬ وَلَا يُشۡرِكُ فِى حُكۡمِهِۦۤ أَحَدً۬ا
اور وہ اپنے غار میں تین سو سے زائد نو برس رہے ہیں (۲۵) کہہ دو الله بہتر جانتا ہے کہ کتنی مدت رہے تمام آسمانوں اور زمین کا علم غیب اسی کو ہے کیا عجیب دیکھتا اور سنتا ہے ان کا الله کے سوا کوئی بھی مددگار نہیں اور نہ ہی وہ اپنے حکم میں کسی کو شریک کرتا ہے
Aayat no # 15
Surah Nahal 77
وَلِلَّهِ غَيۡبُ ٱلسَّمَـٰوَٲتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَمَآ أَمۡرُ ٱلسَّاعَةِ إِلَّا كَلَمۡحِ ٱلۡبَصَرِ أَوۡ هُوَ أَقۡرَبُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ ڪُلِّ شَىۡءٍ۬ قَدِيرٌ۬
اور آسمانوں اور زمین کی پوشیدہ بات تو الله ہی کو معلوم ہیں اور قیامت کا معاملہ تو ایسا ہے جیسا آنکھ کا جھپکنا یا اس سےبھی قریب تر بے شک الله ہر چیز پر قادر ہے
Yeh woh Tamam aayat hai jisse yeh saabit hai ki Ilm e Ghaib sirf o sirf ALLAH k liye hai yaani Zaati ilm e ghaib aur aap logo ne yeh b gaur kiya hoga ki yeh tarjuma Deoband ullema ka hai q k dusre firqe Aala Hazrat k Tarjuma na maante hai aur na likhte hai..Inka Tarjuma dene ka maqsad yeh hai ki yeh Gustakh kitna niche gir sakte hai Fitna failane k liye aur saath hi yeh b gaur kiya hoga ki in aayat se yeh baat bilkul saabit nahi k “ALLAH KISE BHI ILM E GHAIB APNI QUDRAT SE YA ZAAT SE ATAA NAHI KAREGA”
Jab k aap logone Quran shareef ki di hui aayat me padha ki
Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko chahe". (PARAH#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)
Toh saaf zaahir hogaya ki ZAATI aur ATAAI me bahut farq hai jise Gustakh nahi maante (MAZ ALLAH ).
Ilm e ghaib ki woh Hadees jise Gustakh ILM e Ghaib ki Nafi k liye Dalil lete hai aur unke jawabaat...
Mukhalifeen nafi e ilm e ghaib k liye bahut si Ahadees pesh karte hai unsabka ijmali jawaab toh yeh hai ki un ahadees me Huzur Sallallahualaihiwasallam ne yeh na Farmaya ki mujhe Rab ne fala chiz ka ilm na diya balki kisi me toh hai ALLAHU AALAM kisi me hai mujhe kya khabar.kisi me hai ki fala baat Nabi sallallahualaihiwasallam ne na batai.kisi me hai ki Nabi sallalllahualaihiwasallamne fala se se yeh baat puchi aur yeh Tamam baate ilm ki nafi saabit nahi karti na Batana ya puchna ya ALLAHU AALAM farmana aur bahut si maslehato’n ki wajah se b ho sakta hai.Bahut si baateln khuda ne bande ko na batai.sawaal k bawajood makhfi(chupaye) rakha.Bahut si chizo’n k Muta’alikparwardigar e Aalam farishto’n se puchta hai kya usko b ilm nahi.ek hadees sahi kataiyudhalaat aisi lao jisme ataai ilm e ghaib nafi ho.magar In sha ALLAH na laa sakege.yeh jawaab nihayat kaafi tha magar fir b unka mashur ahadees arz karke jawaab arz karta hu. Wabillahittaufik.
Hadees # 1
Sahih Bukhari Volume 9, Book 93, Number 477:
Narrated Masruq:
'Aisha said, "If anyone tells you that Muhammad has seen his Lord, he is a liar, for Allah says: 'No vision can grasp Him.' (6.103) And if anyone tells you that Muhammad has seen the Unseen, he is a liar, for Allah says: "None has the knowledge of the Unseen but Allah."
is Hadees ka jawaab ::
Yeh HAdees Bilkul Sahi hai lekin HAdees ko Samajna padega.....
Is hadees me 2 point hai..
1 )HUmare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ne ALLAH ko Dekha.
2) Agar koi kahe ki NABI sallallahualaihiwasaalm ko ilm e ghaib hai toh woh jhuta hai...
1 Point ka jawaab..
Imam Ibn Hajr al Asqalani (Rahimuhullah) says in his Fath ul Bari
عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولها
Translation: Maruzi (rah) said to Imam Ahmed (rah): People say that Aisha (ra) used to say that whosoever says that the Prophet (saw) saw his Lord has attributed a lie to Allah, so how shall this be answered? (Imam Ahmed) replied: From the saying of Prophet (sallallahualaihiwasallam) [himself] “رأيت ربي” i.e. I saw my Lord, this will be an answer to Aisha (ra)’s Qawlbecause the saying of Prophet (sallallahualaihiwasallam) is far superior than saying of her (i.e. Aisha ra)[Fath ul Bari, Sharah Sahih ul Bukhari, Volume No. 8, Page No. 494]
2 point ka jawaab yeh hai ki Hazrat Aisha ne ZAATI ilm e ghaib k baare kaha hai ki agar kisi ne kaha ki NABI sallallahualaihiwasallam khud se Ghaib jaante toh woh jhuta hai...q k Ilm e Ghaib khud se jaan lena sirf o sirf ALLAH k liye hai...aur ALLAH k ilawa kisi k liye nahi....
NOTE : HAdees kabhi Quran shareef se takra nahi sakti....aur Yeh Hadees sahi hai..aur Quran ki woh aayatein b SAHI hai Jo ATAAI ilm e ghaib k baare batati hai.. (Surah AL-Imran aayat no.179.)
Isliye yeh HADees NABI sallallahualaihiwasallam k Ilm e Ghaib ki NAFI nahi karti............. :)
Hadees # 2
Mishkat baab Elaan nikah ki pehli hadees hai ki Huzur Sallallahualaihiwasallam ek nikah me tashreef le gaye jaha’n Ansar ki kuch bacchiya daff bajakar jung e badar k maktuleen k marsiya k geet gaane lagi,unme se kisi ne yeh misra padha “wa fina nabiyun yaalimu ma fi gadeen”,Humme aise Nabi hai jo kal ki baat jaante hai toh Huzur Sallallahualaihiwasallam ne farmaya ki yeh chod do,wahi gaaye jao jo pehle gaa rahi thi.
Isse maalum hua ki NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib nahi tha agar hota toh aap inko yeh kehne se na rokte,sachhi baat se kyo roka???
JAWAAB : Awwal toh gaur karna chahiye ki yeh misra khud un bacchiyo’n ne toh banaya hi nahi,q k bacchiyo’n ko sher banana nahi aata,aur kisi kaafir wa mushrik ne banaya,wa Huzur sallallahualaihiwasallam ki Nabi nahi mante the,la muhala yeh kisi sahabi ka sher hai,batao wa sher banane waale sahabi MAZ ALLAH mushrik hai ya nahi,fir Huzur Sallallahualaihiwasallam ne na toh is sher banane wale ko bura kaha na sher ki majammat ki balki usko gaane se roka q roka? 4 waja se 1) Agar koi humare saamne humari taarif kare toh bataur inkisaar kehte hai ,are miyan yeh baat chodo,wahi baat karo.yaha b inkisaar hai. 2) yeh ki khel kud gaane bajane k darmayan naat k ashaar padhne se mumanat farmai , iske liye adab chahiye . 3) yeh ki Ghaib ki nisbat ko apni taraf karne ko napasand farmaya 4)yeh ki marsiya k darmiyan naat hona a pasand farmaya , jaisa ki aajkal naat khwa’n karte hai , ki naat wa marsiya ko milakar padhte hai.
Mirkaat se isi hadees k matahet hai ,
Mana Farmaya ilm ki nisbat apni taraf karne ko q ki ilm e ghaib khuda k siwa koi nahi jaanta aur rasul wahi ghaib jaante ha jo ALLAH batay ya yeh napasand kiya ki aapka zikr daff bajanae me ya maktulin k marsiya k darmiyan kiya jaye q ki aapka darja isse aala hai.
Ashiytullama’at me isi hadees k matahet hai “shareheen ne kaha hai ki Huzur Sallallahualaihiwasallam ka usko mana farmana isliye hai ki isme ilm e ghaib ki nisbat huzur sallallahualaihiwasallam ki taraf hai , lihaja aapko napasand aai aur kuch ne farmaya ki aapka zikr shareef khel kood me munasib nahi.
Hadees # 3
Madina paak me ansar baago me nar darakht ki shaak mada darakht me lagate the taaki fal zyada de , is kaam se ansaar ko Huzur alaihissalam ne mana farmaya(is kaam ko arbi me talkih kehte hai) Ansar ne talkih chod di , khuda ki shaan fal ghat gaye , iski shikayat sarkare do aalam ki khidmat me pesh hui , toh farmaya antum aalamu be umure duniyakum , apne duniyawi mamlat tum khub jaante ho , Maalum hua ki aapko yeh ilm na tha ki talkih rokne se fal ghatt jayege aur Ansar ka ilm aapse zyada saabit hua.
Jawaab : Huzur Alaihissalam ka farman , antum aalamu be umure duniyakum , izhare narazi hai ki jab tum sabr nahi karte toh duniyawi muamlaat tum jaano jaise hum kisi se koi baat kahe aur wah isme kuch ta’ammul kare toh kehte hai bhai tu jaan! Isse nafi ilm maksud nahi.
Sharah Shifa Mulla Ali Qari “Bahse maujizat” me farmate hai.
Tarjuma : ALLAH Taala ne Huzur Alaihissalam ko tamam dini wa duniyawi maslehato’n per muttala farmane se khas farmaya , is per yeh aitraaz hai ki Huzur ne Ansar k darakhto’n ki talkih karte hu paya , toh faramaya ki tum isko chod dete toh accha tha , unhone chod diya toh kuch fal hi na aaya ya naakis aaya toh faramaya ki apne duniyawi mamlaat tum jaano , shaikh sanosi ne farmayaki aapne chaha tha ki unko khilafe aadat kam karke baabe tawakkul tak pahucha dein unhone na mana ti farama diya ki tum jaano , agar woh yeh maan jaate aur do ek saal nuksan bardasht kar lete toh is mehnet se bach jaate .
Mulla Ali Qari isi sharah shifa jild 2 safa no. 238 me farmate hai.
Agar woh Hazrat Huzur k farman per saabit rehte toh is fun me faukiyat le jaate aur un se talkih ki mehnat dur hojati.
“Faslul khitab” me Allama kaisari se nakal farmaya.
Huzur Alaihissalam ke ilm se zamin wa aasman me zarra bhar chiz b poshida nahi , agarche aap farmate the ki duniyawi kaam tum jaano .
Hazrat Yusuf Alaihissalam ne kabhi kashtkari na ki thi aur na kashtkaro’n ki sohbat haasil ki magar zaman e kaht aane se pehle hukum diya ki galla khub kasht karo aur farmaya “fama hasadtum fajruhu fi sumbulehi” , ki jo kuch kaato’n usko baal hi me rehne do yaani gehu ki hifazat ka tarika sikhaya , aaj bhi galla ko bhuse me rakh kar uski hifazat karte hai unko kheti baadi ka khufiya raaj kis tarah maalum hua? Aur faramaya “ijalni ala khazainul-arze inni hafizun aalim” , mujhko ko zameen k khazano per mukarar kardo me iska muhafiz aur har kaam janne wala hu , yeh mulki intezaam wagairah kis se sikhe ? toh kya Huzur Alaihissalam ki danai aur Huzur ka ilm Hazrat Yusuf Alaihissalam se bhi kam hai (MAZ ALLAH )
Hadees # 4
Hadees shareef me hai ki Huazur alaihissalam ne kuch biwiyo’n k ghar shahad mulahiza farmaya us per Hazrat Aisha ne arz kiya ki Ya Habib ALLAH aapke dahen paak se magaafir ki buu aa rahi hai toh farmaya ki humne magaafir nahi istemal farmaya , shahad piya hai , fir huzur ne apne per shahad haram karliya , jis per yeh aayat utri “lema tuhirrimu ma allahu laka” maalum hua ki aapko apne dahan paak ki buu ka b ilm na tha ki isse buu aa rahi hai ya nahi .
Jawaab : Iska jawaab isi aayat me hai “tabatgi marjaata azwazika” a habib yeh haram farmana aapki bekhabri se nahi balki un mautreej ajwaaj ki raza k liye hai , fir apne muh ki buu ghaib naih mehsus chiz hai har sahi hu dimag mehsus kar leta hai kya deobandi ambiya k hawas ko bhi naakis manne lage hai .
Hadees # 5
Agar Huzur alaihissalam ko ilm e ghaib tha toh bire mauna ke munafikeen dhoke se aap se 70 sahaba e ikram kyo’ n le gaye?? Jinhe waha le jaakar shahid kar diya , is aafat me unhe Huzur Alaihissalam ne kyo’n fasaya??
Jawaab : Ji ha Huzur Alaihissalam ko yeh bhi khabar thi ki bire mauna wale munafikeen hai aur yeh bhi khabar thi ki yeh log in 70 sahaba ko shaheed kar denge , magar saath hi yeh bhi khabar thi marzi e ilahi yehi hai aur un 70 ki shahadat ka waqt aagaya hai , yeh bhi jaante the ki rab taala ki raza per raazi rehna bande ki shaan hai , Ibrahim Alaihissalam toh marzi e ilahi paakar farzand per churi le kar tayar ho gaye , kya yeh begunah per zulm tha?? Balki rajaye maula per raazi thi , accha batao rab taala ko toh khabar thi ki ghosht me zaher hai , aur bir mauna waale un 70 ko shaheed kar denge “wahi” bhej kar kyo’n na rok diya , ALLAH taala samaj de.
Hadees # 6
Hazrat Siddikatul kubra ka haar ghu ho gaya , jagah jagah talash karaya gaya na mila , fir oont k niche se baramad hua , agar Huzur Alaihissalam ki ilm tha toh logo’n ko usi waqt kyo’n na bata diya ki haar waha hai , Maalum hua ki ilm na tha .
Jawaab : Is hadees se n baatana maalum hua na ki na janna aur na batane se sekdo’n hikmate hoti toh kuch hazrat ne chand ke ghatne badne ka sabab daryaft kiya , rab taala ne na bataya , toh kya khuda e paak ko bhi ilm nahi ?? marzi ilahi yeh thi , ki siddika ka haar ghum ho , musalmaan uski talaash me yaha ruk jaaye , zohar ka waqt aajaye paani na mile , tab Huzur alaihissalam se arz kiya jaaye ki ab kya kare tab yeh aayatein tayammum naazil ho jisse Hazrat siddika ki azmat qayamat tak k musalmaan maalum kar le ki unke tufail humko tayammum ka hukum mila , agar usi waqt haar bata diya jaata toh aayat tayammum kyo’n naazil hoti , rab k kaam asbaab se hote hai , ta’ajub hota hai hai ki jo aankh qayamat tak ke haalat ko mushahda kare usse oont ke niche ki chizen kis tarah makhfi(chupi) hai , shaane mehboob alaihissalam pehchanne ki khuda taufik de .
Hadees # 7
Gustakhon ka kehna hai ki Agar Nabi sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib tha toh unhone Khaibar me zaher wala ghost q khaya????? Aur ilm e ghaib hote hue zaher wala ghost khaya iska matlab ki aapne khudkushi karne ki koshish ki Jo Islam me Haram hai aur Haram kaamo se Nabi pakeeza hai..
Jawaab : us waqt Nabi Sallallahualaihiwasallam ko khabar thi k us ghost me Zaher hai aur saath hi yeh b khabar thi k zaher se un per koi farq nahi padega ALLAH ki ataa se aur saath hi yeh b pata tha ki ALLAH ki marzi se agar woh ghost khakar inteqaal hojate toh unhe Shaheed ka maqaam milta.
Yeh Jawaab k baat Deoband likhte hai ki “Un sahabs e kram ka kya jo us waqt maujud the aur Zaher wala ghosht khakar inteqaal hogaye??? Nabi Sallallahualaihiwasallam ko pata tha toh unhe zaher wala ghosht khaane diya???
Is per Sunni ka Jawaab from Ahadees :
Abu Dawud, Al-Darimi and Ibn Hisham likhte hai “Ghosht ne khud Nabi sallallahualaihiwasallam se kaha ki usme zaher mila hua hai aur Sahabi “Bishr bin al-Bara' bin Ma'rur al-Ansari (may Allah be pleased with him)” ne ghosht kha liya aur inteqaal hogaye. Agar Nabi sallallahualaihiwasallam ko pehle se khabar hoti toh woh sahaba ko ghosht khane se manaa karte.Nabi sallallahualaihiwasallam ek niwala liya aur fir muh se thuk diya aur aapne farmaya ki “Ghosht ne mujhse kaha ki usme zaher mila hai” lekin jabtak Bishr as-Sahabi ne kha liya aur inteqaal hogaye . Imam Nawwawi (may Allah have mercy on him) ne kaha ki yeh ek Mu’jizat me se hai.
Aur Jaankari k liye Internet pe aap log check kar sakte hai ki Yahood o Nasara aur Isaai ne b yehi sawaal kiye hai joyeh Gustakh karte hai.
Nabi sallallahualaiwasallam ne zaher wala Ghosht khaya q k Yahudi ne kaha “إن كان نبيا فلا يضره” Agar yeh Asal NABI hai toh in per Zaher ka asar nahi hoga.(Sallallahualaihiwasallam)
[Mishkat al masabih, Bab al- mawjizat)
Deoband ur Wahbi ko sochna chahiye ki Yahudi or Isaai ne humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ko aazmaya hai k zaher asar karega ki nahi.aur isliye humare sarkar ne yeh mujizat dikhaya.
Sahaba e kram ka inteqaal hogaya q k zaher un pe asar karta hai jo NABI nahi.
Deoband aur wahbi ne is mujizat me yeh note nahi ki jisne humare sarakar sallallahualaihiwasallam ko aazmaya unhone is k baad Imaan laaye aur Islam Qabul kiya. [ Al bidaya wan nihaya, vol 3,p 388]
Deoband aur Wahbi ne Hamesha humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam k ilm e ghaib ko jhutlaya aur yehi saabit karte hai ki NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib nahi(Maz ALLAH)
Alhamdulillah Humne itni AAYAT aur HADEES pesh ki hai Jisse saabit hai ki ALLAH ne NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib ataa kiya.
Hadees # 8
Bukhair jild 1 kitabul janaiz safa no. 166 , me Hazrat ummul-ula ki riwayat hai ,Khuda ki qasam me nahi jaanta haalaki me ALLAH ka Rasul hu ki mere saath kiya jayega.
Isse maalum hua ki Huzur alaihissalam ko apni bhi khabar na thi ki qayamat me mujh se kya mamla hoga .
Jawaab : Is jagah ilm ki nafi nahi balki diraytan ki nafi hai yaani me apne atkal wa qyas se nahi jaanta ke mere saath kya mamla hoga balki iska ta’akkul wahi e ilahi se hai toh a ummul-ula tum jo usman ibne majun ke jannati hone ki gawahi mahaz qyas se de rahi ho yeh mautbaar nahi .
Isi ghaib ki khabre me toh ambiya e kram bhi qayas nahi farmate , warna mishkat “Babu fazail dayyadul-muslimeen” me hai ki hum aulade aadam k sardar hai us roz “liwa-ul-hamd” humare haath me hoga aadam wa aadmiyan humare jhande ke niche honge unki mutabik kis tarah ki jayegi.
Imamo’n ke Qawl Ilm e Ghaib par
Mufasir # 1
--Imam Ismail al Hiqqi (rah) in Ruh ul Bayan likhte hai
وعلمك} بالوحى من الغيب وخفيات الامور { ما لم تكن تعلم } ذلك الى وقت التعليم}
Tarjuma :ALLAH taala ne Ghaib sikhaya aur chupi hui baate jo pehle na pata thi.
Mufasir # 2
--Imam Khazin (rah) likhte hai –
وعلمك ما لم تكن تعلم } يعني من أحكام الشرع وأمور الدين وقيل علمك من علم الغيب ما لم تكن تعلم وقيل معناه وعلمك من خفيات الأمور وأطلعك على ضمائر القلوب وعلمك من أحوال المنافقين وكيدهم ما لم تكن تعلم
Tarjuma :ALLAH ne Nabi sallallahualaihiwasallam ko ahkaam sikhaye aur umoor e deen sikhaye aur Ilmul Ghaib sikhaya jo aap na jaante the aur yeh b sikhaya jo Dilo’n me hai aur ahwaal aur munafiqeen ki chalakiyan jo tum nahi jante.
Mufasir # 3
--Imam Jalal ud din Suyuti (rah) likhte hai—
وَعَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُ } من الأحكام والغيب
Tarjuma : ALLAH ne Ahkaam aur ghaib sikahaya.
Mufasir # 4
--Imam Baghwi (rah) likhte --
من الأحكام، وقيل: من علم الغيب،
Tarjuma : ALLAH ne ahkaam aur ilmul ghaib sikhaya.
Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke bayan me
1) Fatwa kaaji khwa’n me hai
Tarjuma : kisi ne bagair gawaho’n ke nikah kiya toh mard aur aurat ne kaha ki humne khuda aur rasul ko gawah kiya , toh logo’n ne kaha hai ki yeh qaul kufr hai kyo’n ke usne etkad kiya ki Rasul ALLAH alaihissalam ghaib jaante hai , Halaki aap toh ghaib zindagi me na jaante the che jaaye ki maut k baad
.2) Sharah fiqhe akbar me Mulla ali qari alaihirrehma farmate hai .
Tarjuma: Hanfiyo’n ne sarahatan zikr kiya ki yeh etkad ki NABI alaihissalam ghaib jaante the kufr hai kyo’nki yeh aqeeda khudaye paak k us farmaan ke khilaf hai ki “farma do aasamano aur zameeno ka ghaib khuda ke siwa koi nahi jaanta”.
In dono Ibarato’n se maalum hua ki Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib manna kufr hai .
Jawaab : In dono ibarato’n ka ijmali aur iljami jawaab toh yeh hai ki mukhalifeen bhi Huzur Alaihissalam ko kuch ilm e ghaib maante hai , lihaja woh bhi kaafir hue kyo’nki in ibarato’n me qul ya thoda ka toh zikr nahi , yeh hai ki jo bhi Huzur ko ilm e ghaib mane woh kaafir hai , khwa ek ka maane ya zyada ka , toh woh bhi khair manaye , maulvi ashraf ali sahab ne “Hifzul imaan” me baccho,paglo aur jaanwaro ko baaz ilm e ghaib maana hai , Maulvi khalil ahmed sahab ne “Barahine Fatiha” me shaitaan aur malaqul maut ko wasi ilm e ghaib mana , Maulana qasim sahab ne “tehzirunnas” me kamal hi kardiya ki saari makhlukaat se Huzur Alaihissalam ka ilm zyada mana , ab in teeno saahbo’n per kya hukum lagaya jayega??? Tafseeli jawaab yeh hai kaaji kha’n ki ibaarat me hai “Qalu” logo’n ne kaha aur kaaji kha’n wagaira fuqha ki aadat yeh hai ki woh “qalu” us jagah bolte hai jaha’n unko yeh qaul pasand na ho .
Shaami jild 5 safa : 445 me hai.
Ek shaks ne nikah kiya ALLAH wa Rasul ki gawahi se toh nahi jaiz hai balki kaha gaya ki woh kaafir ho jayega .
Is ibaarat ke matahat shaami ne tatar khaniya se nakal kiya,
Tarjuma : Mooltkit me hai ki woh kaafir na hoga kyo’nki tamam chizen Huzur Alaihissalam ki rooh per pesh ki jaati hai aur rasul baaz ghaib jaante hai , rab nefarmaya hai ki pas nahi zaahir farmata apne ghaib per kisi ko siwaye pasandida rasul ke , me kehta hu ki qutube aqaid me hai ki auliya ALLAH ki karamatme se baaz ghaibo’n per muttla(bakhabar) hona bhi hai .
Shaami “Baabul-Murtdin” me masla bajajiya zikr farma kar farmaya ,
Tarjuma : Iska khulasa yeh hai ki daawa ilm e ghaib nasse Qurani ke khilaf hai ki isse kaafir ho gaya , magar jabki isko sarahatan ya dalalatan kisi sabab ki taraf nisbat kar de , jaise wahi ya ilham.
Mujmeraat me hai ki sahih yeh hai ki woh shaks kaafir na hoga kyo’nki Ambiya e kiram ghaib jaante hai aur un per chize’n pesh ki jaati hai pas yeh kufr na hoga.
In ibaarat se maalum hua ki aqeeda e ilm e ghain per fatwa kufr lagana galat hai balki fuqha ka bhi aqeeda hai ki Huzur Alaihissalam o ilm e ghaib diya gaya.
Mulla Ali Qari ki ibaarat nakal nahi ki gai , Asal Ibarat yeh jo matlab wazeh karti hai .
Tarjuma : Fir jaano ki Ambiya e kiram ghaib ki chizo’n ko nahi jaante siwaye uske jo unko ALLAH ne bata di aur Hanfiyo’n ne tasreeh ki ke jo NABI Alaihissalam ko ilm e ghaib jaane.
Ab pura matlab maalum hua ki NABI Sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib zaati manne ko Mulla ali qari kufr farma rahe hai na ki Ataai , kyo’nki Ataai ko toh maan rahe hai , aur fir unki ibarate hum suboot ilm e ghaib me pesh kar chuke hai , ki Mulla ali qari Huzur Sallallahualaihiwasallam ko tamam “Ma Kaana wa Mayakun” ka ilm maante hai.
Ilm e Ghaib per Akli aitrazaat ke Bayaan me
1) Ilm e Ghaib khuda ki sifat hai isme kisi ko sharik karna shirk fisifat hai lihaza Huzur Sallallahualaihiwasallam ko ghaib manna shirk hai.
Jawaab : Ghaib janna bhi Khuda ki sifat hai , aur haazir chizo’n ka janna bhi khuda ki sifat hai , ALIMUL GHAIB WASHHADATE isi tarah sunna , dekhna , zinda hona sab khuda ki sifat hai toh agar kisi ko haazir chiz ka ilm maana ya kisi ko SAMI ya BASIR ya HAY mana har tarah shirk hua , fark yehi kiya jaata hai ki humara dekhna zinda rehna khuda ke dene se hai aur haadis hai , khuda ki yeh sifat jaati aur kadeem fir shirk kaisa?? Isi tarah ilm e ghaib nabi ataai aur haadis aur mutnahi hai , rab ka ilm zaati kadeem aur qul maalum gair mutnaahiya ka hai , neez yeh shirk ko tum per bhi laazim hai kyo’nki tum Huzur Alaihissalam ke liye baajan har tarah sharik karna shirk hai ,aur maulvi Hussain ali sahab da bhachar wale jo Maulvi rashid ahmed sahab ke khas shagird hai apni kitaab “Balagatul-hairaan” me likhte hai ki “Khuda ko har waqt makhlukaat ke amaal ka ilm nahi hota balki bande jab aamal kar lete hai tab ilm hota hai” ab toh ilm e ghaib khuda ki sifat rahi hi nahi fir kisi ko ilmm ghaib manna shirk kyo’n hoga .
2) Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib kab haasil hua , tum kabhi toh kehte ho ki Me’raj me katra tapkaya gaya isse ilm eghaib mila aur kabhi kehte ho ki khwaab me rab ko dekha usne apne daste kudrat Huzur Alaihissalam ke shaana par rakha jisse tamam uloom haasil hue , kabhi kehte ho ki Quran tamam chizo’n ka bayan hai isliye Nuzule Quran se pehle ilm mil chuka tha toh Quran se kya mila , Tehsile haasil Namumkin hai .
Jawaab : Huzur Alaihissalam ki nafse ilm e ghaib toh wiladat se pehle hi ataa ho chuka tha kyo’nki aap wiladat se qabal aalam e arwah me Nabi the , aur Nabi kehte hi usko hai jo Ghaib khabre de magar “Ma kaana wama yakoon” ki takmil shabe me’raj me hui , lekin yeh tamam uloom e shahudi the ki tamam chizo’n ko nazar se mushaahida farmaya , fir Quran ne unhi dekhi hui chizo’n ka bayaan farmaya , isliye Quran me hai “Fatjalla li qulli shai’in wa araftu” dekhna aur hai bayan kuch aur , jaise Hazrat Aadam alaihissalam ko paida farma kar unko tamam chizein dikha di , baad me unke naam bataye , wah mushaahida tha aur yeh bayan , agar chizein dikhai na gai thi toh “summa arajhoom alal-malaikate” ke kya maana hoga yaani un chizo’n ko malaika per pesh farmaya , lihaza dono qaul sahi hai , ki me’raj me bhi ilm mila aur quran se bhi , agar kaha jaaye ki fir nuzul e quran se fayda kya ? sab baatein toh pehle hi se Huzur ko Maalum thi , batai jaati hai na Maalum chiz , tohiska jawaab yeh hai ki Nuzul e Quran sirf Huzur Alaihissalam
Ke ilm ke liye nahi hota balki isse hazarha digar fayde hote hote hai , maslan yeh ki kisi aayat ke Nuzul se pehle uske ahkaam jaari na honge uski tilawat wagairah na hongi agar Nuzul e Quran Huzur Alaihissalam ke ilm ke liye hai toh baaz soorat dobar kyo’n naazil hui , tafseer madarik me hai .
Soorah : Fatiha Makki hai aur kaha gaya hai ki madni hai aur sahih tar yeh hai ki yeh Makki bhi hai aur Madni bhi , awwalan Makkah me Naazil hui fir Madina me .
Mishkat me Hadees me’raj me hai ki Huzur Alaihissalam ko shab e me’raj me 5 namazein aur Surah : Bakra ki aakhri aayat hui , Is hadees ki sharah me Mulla Ali Qari ne sawaal kiya ki me’raj toh Makka muajjama me hui aur Surah:Bakr Madina hai fir iski aayat me’raj me kaise ataa hui ?? toh jawaab dete hai .
Khulasa yeh hai ki isme mukarrar hui Huzur Alaihissalam ki taazim aur aapki ehtamaame shaan ke liye lihaza ALLAH ne us raat bagair waasta Jibrael wahi farma di .
Is Hadees ke matahet lamhat me hai ,
Shab e me’raj me yeh aayat bagair waaste ke utri fir unko Jibrael ne utara toh Quran me rakhi gai .
Batao ki 2 baar Nuzl kis liye hua ? Huzur Alaihissalam ko toh pehle Nuzul se ilm haasil ho chuka tha aur har saal mahe ramzan me Jibrael ameen Huzur Alaihissalamko saara Quran sunate .
Mukadhma Nurul-Anwar taarif e Kitaab me hai , Batao yeh Nuzul kyo’n tha balki Quran se maalum hota hai ki Huzur ko tamam aasamani kitabo’n ka pura ilm tha , rab taala farmata hai .
Tarjuma : Yani a ahle kitab tumhare paas humare woh Rasul aa gaye jo tumhari bahut se chupi hui kitaab ki baato’n ko zaahir farmate hai aur bahut se dar guzar farmate hai , agar Huzur Alaihissalam ke ilm me saari qutub aasamani nahi toh unka zaahir farmana ya na farmana kya maani , haqeeqat yeh hai ki Huzur Alaihissalamawwal hi se quran ke aarif the magar qurani ahkam Nuzul se pehle jaari na farmaya , isliye Bukhari ki pehli hadees me hai ki Hazrat Jibrael ne gaare hira me pehli baar aakar arz kiya “ikra” aap padiye , yeh na arz kiya ki fala aayat padiye aur padho usi se kehte hai jo jaante ho , Huzur Alaihissalam ne farmaya “ma anaa bekare’in” me nahi padhne wala yaani me toh padhane wala hu ,padh toh pehle hi liya hai ,lauh e mehfooz me Quran hai aur lauh e mehfooz Huzur Alaihissalam ke ilm me pehle hi se hai , aap wiladat se pehle Nabi sahbe quran hai bagair wahi ke Nubuwat kaisi ? Lihaza manna hoga ki qable wiladat hi quran ke aarif hai .
Aaj bhi bahut bacche haafiz paida hote hai ,Hazrat isa ne paida hote hi farmaya “Ataaniyal-kitab” rab ne mujhe kitab di .
Maalum hua ki abhi se kitab ko jaante hai , baaz paighambaro’n ke liya farmaya “aataynahool-hukma sabiyan” , humne unhe bachpan hi se ilm hikmat di , Huzur ne paida hote hi sajda karke ummat ki shafa’at ki , halaki sajda aur shafa’st hukme Qurani hai , Gaus paak ne mahe ramzan me Maa ka doodh na piya , yeh Hukum Qurani hai , Nurl-anwaar ke khutba me khalk ki bahes me hai .
Maalum hua ki Quran per amal karna Huzur Alaihissalam ki paidaishi aadat hai , hamesha halima dai ka ek ppistan pak chusa ,dusra bhai k liye choda , yeh adal wa insaf bhi qurani huum hai , agar ibtida se quran ke aarif nahi toh yeh amal kaise farma rahe hai .
3 ) Deobandiyo’n ka ek mashur etraaz yeh bhi hai ki tumhari pesh karda aayato’n ke ummoom se laazim aata hai ki Huzur ka ilm rab ke barabar ho magar tum in aayato’n me qayamat tak ki qaid lagate hi “Ma lam takun taalam” na toh qayamat ki qaid hai na “ma kaana” aur “ma yakun” ka zikr , aur ek dafa khas hone se ainda khususka darwaza khul jaata hai , dekho qutub e usool lihaza humne in aayato’n me ahkaame shariah ki qaid lagate hai , yaani usse sirf sharai ahkam murad hai .
Jawaab : Iska yeh hai ki yaha aayat me takhsis nahi balki akli ist’sana hai kyo’ki rab ka ilm gair mutnahi hai makhluq ka dimag gair mutnahi uloom nahi le sakta burhan ibtaale tasalsul wagairah se lihaza mutnahi hoga ,Ahadees se pata laga ki qayamat tak ki Huzur ne khabar di iliye daawa kiya gaya , ist’sana ka aur hukum hai takhsis ka hukum dusra , dekho “Akimussalata” se bacche diwana , haiza kharij hai , yeh takhsis nahi balki ist’sana hai .
Great 😊 explanation
ReplyDelete