Thursday, March 28, 2019

73 FIRQE ME SIRF 1 JANNATI

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
Sharah Hadees  Iftiraq e UmmatA
          Iftiraaq e Ummat ki Hadees Mukhtaliq tareeqon aur mukhtalif alfaz se marwi hai magar matlab sab ka ek hai Abdullah Bin Amr Bin Aas razi Allahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:
وَإِنَّ بني إسرائيل تَفَرَّقَتْ عَلَى ثِنْتَيْنِ وَسَبْعِينَ مِلَّةً، وَتَفْتَرِقُ أُمَّتِي عَلَى ثَلَاثٍ وَسَبْعِينَ مِلَّةً، كُلُّهُمْ فِي النَّارِ إِلَّا مِلَّةً وَاحِدَةً»، قَالُوا: وَمَنْ هِيَ يَا رَسُولَ اللَّهِ؟ قَالَ: «مَا أَنَا عَلَيْهِ وَأَصْحَابِي»
Tarjuma: “Tehqeeq Bani Israil me 72 firqe hue aur meri Ummat me 73 firqe honge, wo Sab Naari aur Dozakhi honge magar 1 Firqe ke. Sahaba razi Allahu anhum ne arz kiya Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam! Wo 1 firqa kaunsa hai jo Dozaq se mehfooz rahega? Ap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya, wo firqa Najiyah wo Firqa hai jo mere aur Mere Sahaba razi Allahu anhum ke tareeqe par hoga.”(Tirmizi 2641,Ahmad,Abu Dawood)
Maloom hua ke firqa Najiya wo log hain jo sunnat e nabawi aur Jamat e sahaba ke mutabe aur pairoo hon aur ye Amr Siwaye Ahle Sunnat wal Jamat ke kisi aur giron me nahi paya jata is liye ke Itteba e Sunnat se Hadees e Nabawi ka itteba murad hai aur Jamaat se Jamat e Sahaba ki pairwi murad hai.
Janna chahiye ke is Hadees me Iftiraaq se Usool aur Aqaid ka Ikhtelaf murad hai, A’maal aur Amaliyaat ka ikhtelaf murad nahi. Is liye ke Bani Israil ka aur Apki Ummat ka Amali aur Firoi Ikhtelaf 72 aur 73 ke adad me Munhasir nahi, Dunya ki bad aamaliyon ki koi had aur shumar nahi. Maloom hua ke Ifteraq se Aqaid aur Usool ka Ikhtelaf murad hai aur Dukhool e Naar ka sabab wahi Aeteqad e Fasid hoga, Aur Ummati se Ummat e Ijabat muraad hai yani wo log Jo Huzoor sallallahu alaihi wasallam par Iman laaye aur Ap ki Dawat ko Qabool kiya. Is liye ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hadees me Ummati ko apni taraf muzaaf farmaya yani Meri Umamt aur Aksar o Beshtar hadees me jahan kahin bhi Ummat ko Apni taraf muzaaf farmaya wahan Ahle Qibla aur Ummat e Ijabat murad hai , Ummat e Dawat murad nahi. Is liye ke Ummat e Dawat me tamam dunya ke kafir shamil hain, aur unka adad beshumar hai.
Doosra ye ke ILLA WAHIDATUN ka istesna bhi isi par dalalt karta hai is liye ke ILLA WAHIDAH ke lafz se ye mafhoom hota hai ke Manshaa e Najaat us firqe Najiya ke tamam Aahaad aur Afraad me mushtarik hoga, aur Zaahir hai ke Ek Firqe ke tamam afraad Aeteqadaat hi me muttahid aur mushtarik hosakte hain, magar ek firqe ke tamam afraad ka Aamaal aur Afaal me muttahid hona na mumkin aur Mahaal hai.
Teesra ye ke Huzoor Akram sallallahu alaihi  wasallam ka Firqe Najiya ki tareef me ye farmana, ما انا عليه واصحابي  is par dalalat karta hai ke wo cheez tamam sahaba e kiram ke darmiyan mushtarik hogi. Aur ye Amar Bil Bidahat maloom hai ke tamam Sahaba e Kiram razi Allahu anhum me aisa Amar Mushtarik jis par tamam Sahaba muttafiq hon wo Siwaye Aqaid ke aur koi Shai nahi, amaliyaat aur firoi masail me Sahaba e Kiram ke mabain bhi ikhtelaf tha. Hazraat e Sahaba e Kiram me jo ikhtelaf tha wo faqat firoi aur amali masail me tha ke Ibadat ka Kaunsa tareeqe behter hai, Maslan Namaz me Rafa Yadain behter hai ya Tark e Rafa Yadain. Aameen aur Bismillah ka Jahar behter hai ya Ikhfaa. Asal Namaz me koi ikhtelaf na tha. Faqat Tareeqe ada me Ikhtelaf tha. Har ek kitab o sunnat ka Aashiq tha. Har ek ko fikr ye thi ke Ibadat us tareeqe se ada ki jaye ke Jo Allah aur Uske Rasool ke Nazdeek sab se behter ho. Ye Ikhtelaf fikr o Nazar ka ikhtelaf tha jo Shaibe Nafs aur Riya se paak tha aur Keena aur Hasad aur Ikhtesaam aur jidaal se koson door tha. Yahi wajeh thi ke sahaba e kiram bawajood un ikhtelafaat ke bila taraddud ek doosre ki Namaz me iqteda karte the aur bahami Muhabbat aur mawaddat par zara Barabar us ikhtelaf ka koi asar na tha aur aisa ikhtelaf bilashuba rehmat hai. Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ke ikhtelad se deen par amal karne ki mukhtalif soorten aur mukhtalif shaklen saamne aayin. Ghair Mansoos masail me Ijtehad ke tareeqe maloom hue Ummat ke liye sahoolat hui ke in NUJOOME HIDAYAT me se jis ki bhi iqteda karenge hidayat paayenge. Gharz ye ke Sahaba e kiram ka bahimi ikhtelaf faqat firoi aurIjtehadi masael me tha , Usool aur Aqaid me koi Ikhtelaf na tha.
Isi tarah Imam Abu Haneefa, Imam Malik, Imam Shafai aur Imam Ahmad rahimahumullah Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ki tarah Usool e Deen aur Aqaid me muttafiq the aur Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ki tarah Firoi aur Ijtehadi masail me Mukhtalif the.
Jis tarah Ambiya e kiram ka deen ek hai aur Shariyaten mukhtalif hain usi tarah Fuqaha e Kiram ka firoi masael me Ikhtelaf Ambiya e Kiram ki mukhtalif shariyaton ke ikhtelaf ka namoona hai. Hadees me hai ke Meri Umamt ke Ulama Ambiya ke waris hain.
Aur jis tarah Ambiya ki shariyaton ka ikhtelaf ain rahmat hai jo beshumaar hikmaton aur maslihaton aur rehmaton par mabni hai usi tarah Fuqaha ka firoi masael me ikhtelaf bhi rehmat hai. Rahmatullahi alaihim Ajmaeen.
Ye to na Mumkin hai ke Dunya me Ikhtelaf na ho. Lekin dekhna ye hai ke wo Ikhtelaf kaisa aur Kis qism ka hai agar wo Ikhtelaf Aghraaz aur Nafsani khahishon par mabni hai to Bilashuba MAZMOOM aur ZEHMAT hai jaise Assembly aur Election me 2 partiyon ka ikhtelaf. Jo Khud Gharziyon aur Keenon aur adawaton ka poora poora Ayeena hota hai.  Election ke ikhtelaf ko jis ladai se tashbeeh dedi jaye to In Sha Allah Dunya ka koi Jhagda Gandagi aur paleedi me Election ke paasand bhi na hoga(Kuch bhi nahi yani sab jhagdon se ganda election ka jhagda). Aur agar wo Ikhtelaf, Ikhtelaf e Fikr o Nazar hai jaise Wuzaraa aur Arkaan e Daulat aur Khair Khwahan e Saltanat kisi mulki Masle par Ghaur o fikr karte hain us waqt bhi raayen mukhtalif hoti hain lekin ye ikhtelaf sarasar Rahmat hota hai. Mukhtalif Anzaa aur Afkaar ke Jama hone se masla ka Maa Lahuu wa Maa Alaih aur Masle ke tamam atraaf aur jawanib aur us ke tamam pehlu saamne aajate hain  aur haqeeqa wazeh hojati hai aur Mushkilaat se nikalne ka rasta nazar aajata hai. Aisi Majlis Ajeeb Majlis hoti hai. Nazar o Fikr ki Jaulaangaah aur Aqal o tadabbur ki numaish gaah hoti hai. Fuqaha e Kiram ka Ikhtelaf isi qism ka tha.
Sahaba aur Tabaeen se jo Aqaid Sabit hain wo Sarahatan Kitab aur Sunnat se sabit hai, un me koi Ikhtelaf nahi aur yahi Aqaid Midaar e Najaat hain aur inhi par Imaan aur kufr ka faisla hota hai.
Usool e deen aur Aqaid e Islam me Aimma e Arba ka koi Ikhtelaf nahi Firoi masail me Ikhtelaf hai.
Fuqaha e kiram ka ikhtelaf aisa hai ke andheri raat me Qiblah mushtabash hojaye aur Qibleh ke baare me Raaen mukhtalif hojayen to ek be khabr Aadmi ye sochta hai ke In me se Qibleh ki Shinakht me kaun afzal aur Akmal hai. Jo Afzal hoga usi ka Itteba karega aur agar koi Shakhs ye kahe ke Mai Us waqt tak Namaz na padhunga jab tak ye sab log Qibleh ke baare me Muttafiqur Raaye na hojayen. To iska saaf matlab ye hoga ke ye Shakhs Namaz padhna nahi chahta, Namaz na padhne ke liye ek Bahana tarasha hai.
Isi tarah Fiqhi aur Deeni Masail me samajhna chahye jo tumhare Aeteqad me sab se ziada Ilm aur Fahem rakhta ho us ki taqleed aur Itteba karo.
Agar tum bimar hojao aur Shahar me muta’addid tabeeb(doctors) rehte hon to aise Tabeeb ka Ilaj pasand karoge jo tumhare khayal me sab se ziada ilm e Tib ka maahir hai.
Tum ko ye ikhtiyar hai ke jis Tabeeb ka chaho Ilaj karo magar ye ikhtiyar nahi ke 4 Tabeebon ke tajweez kardah nusqon me se jonsi dawa tum ko lazeez maloom ho us ko lelo aur baaqi ko chord do.
Neez ye bhi zaahir hai ke har Tabeeb ka Tareeq e Ilaj mukhtalif hai magar Usool e Tib me koi ikhtelaf nahi. Pas agar koi Mareez ye kahe ke mai us waqt tak Ilaaj na karaunga jab tak tamam Tabeeb ek tareeq par Muttafiq na hojayen to Ahle Aql samajh jayenge ke ye Mareez ka bahana hai. Is bahane se ye Mareez apna ilaj hi karana nahi chahta. Jo Mareez Atibbaa’ ke Ikhtelaf ko Ilaj na karne ka bahana banata hai to samajh lo ke Us ka Anjaam siwaye Halakat aur Maut ke kuch nahi.
Isi tarah jo shakhs ye kahe ke mai us waqt tak deen par Amal na karunga jab tak Abu Haneefa aur Shafa’ii rahimahumullah ka ikhtelaaf Khatm na hojaye to khoob samajh lo ke ye Shakhs be-deen hai. Fuqaha ke ikhtelaf ko bahana bana raha hai. Wo Dunya ka kaunsa FANN hai jis me us FANN ke mahireen ka ikhtelaf na ho. Masail e Tibbiyah me ATIBBA ka ikhtelaf hai aur Masail e Falsafa me Hukamaa ka ikhtelaf hai. Magar  sab jaante hain ke ye Ikhtelaaf, Ikhtelaafe Nazar o Fikr hai aur aisa Ikhtelaf Aalam ke liye REHMAT hai. Isi tarah Fuqaha e Kiram ke Ikhtelaf ko samjho ke wo Ikhtelaf bhi REHMAT hai balke Atibba aur Hukamaake ikhtelaf se hazaron darje badh kar REHMAT hai.
Lihaza kisi Shakhs ka ye kehna ke mai Ahkaam e Shar’iyyah par isliye Amal nahi karta ke Fuqaha me Ikhtelaf hai ye bi-ainihi aisa hi hai ke koi mareez shaded Bimari me Mubtala ho aur koi tabeeb us ke liye Dawa Tajweez kare to wo Mareez ye kahe ke chunke Baaz dawaon ke Garm aur Sard hone me Atibba Mukhtalifur Raye hain,  lihaza mai us waqt tak Ilaj na karunga jab tak Atibba ka ye Ikhtelaf rafa(khatm) na hojaye. Ya kam az Kam mujh ko koi Shakhs ye batlade ke ye Ikhtelaf kyun kar Rafa hosakta hai. Ikhtelaaf ke Amar e Azali aur Zaroori hai. Jab tak Aalam hai us waqt tak Ikhtelaf  badastoor qayem rahega.
وَلَا يَزَالُونَ مُخْتَلِفِينَ، إِلَّا مَنْ رَحِمَ رَبُّكَ وَلِذَلِكَ خَلَقَهُمْ وَتَمَّتْ كَلِمَةُ رَبِّكَ
Tarjuma:Hamesha log Mukhtalif rahenge magar jis par Allah Ta’ala Rahem farmayen aur usi waste log paida kiye gaye aur Apke Rab ka Hukm tamam aur poora hua.(Surah Hood:118,119)
Al gharz Ikhtelaaf e Khalq aur Ikhtelaaf e Kayinaat, Haq Ta’ala ki Qazaa e Azali hai. Uski Qazaa ko koi rad nahi karsakte, aur na ye kisi ki Qudrat me hai ke wo bahami Ikhtelafaat ko Rafa karsake ya koi aisa tareeqe qayem karde jis se Hamesha ke liye Ikhtelaf rafaa hojaye.
Agar Umoor e Deeniya me Ikhtelaf hai to Umoor e Dunyawia me us se hazar darje badh kar Ikhtelaf hai lekin Bawajood in baaton ke koi Shakhs ye nahi kehta ke mai Dunya ka kaam us waqt tak na karunga jab tak tamam log Muttafiqur Raye na hojayen.
Pas agar Fuqaha aur Ulama ke Ikhtelaaf e Aaraa ki wajeh se deen ka tark jayez hai to Ahle Dunya ke ikhtelaf ki wajeh se pehle Dunya ka tark zaroori hona chahye. Maloom hua ke deen to chord chuke hain aur iKhtelaaf ka zikr mahez bahana hai.
Pas jis tarah dunya me Ikhtelaaf e Aaraa ke waqt Ehtiyat ka tareeqe ikhtiyar karte ho usi tarah Masail e Deeniya me Ikhtelaf ke waqt Ehtiyat ka tareeqe ikhtiyar karo. Maslan 1 Imam kehta hai ke Aurat ko hath lagane se Wuzoo toot jata hai aur Doosra Imam Kehta hai ke Wuzoo nahi tootta. Aisi Soorat me Ap jis Imam ko Ilm aur Taqwe me badha hua samjhen uski pairwi karen ya jis me Ehtiyat samjhen us par Amal karen, lekin ye jayez nahi ke sire se Wuzoo hi ko chord baithen aur ye kehne lagen ke jab tak Fuqaha Muttafiqur Raaye nahi hojayenge us waqt tak mai wuzoo nahi karunga. Ye Uzr nahi balke Gurez aur pehlu tahi hai.
FIRQA E NAAJIYA KI TA’YEEN
          Nabuwwat Khatm hoagayi aur Deen mukammal hogaya aur Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne peshan goi farmadi ke Mere baad meri Ummat me ikhtelaf hoga aur Mukhtalif firqe paida honge wo sab NAARI(JAHANNAMI) honge sirf ek firqa NAAJI hoga aur ye bhi batladiya ke Haq aur Sadaqat aur Najaat ka miyaar kya hoga “ما انا علیہ و اصحابی” yani jo Firqa mere aur mere sahaba ke tareeqe aur unke Naqsh e Qadam apr chalega wo NAAJI hoga. Is liye kitab o sunnat ka mafhoom aur jo Uloom e Kitab o Sunnat se makhooz aur Mustafaad honge wo wahi honge jo Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ne samjhe hain har Bid’ati aur Gumrah apne Fasid aqaid ko apne Za’m aur Khayal me Kitab o Sunnat hi se makhooz hone ka mudda’ii hai lihaza Kitab o Sunnat ke Wahi ma’aanii aur Mafaheem motabar honge jo Hazraat e Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ne samjhe hain, uske Khilaf kisi Mafhoom ka aetebar na hoga. Jo Shakhs Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ke Khilaf Kitab o Sunnat ka koi Mafhoom bayan kare bas yahi uske Gumrah hone aur Be Aqal hone ki daleel hai.  Agar Sahaba e Kiram razi Allahu anhum nahi samjhe to ye Neem Arabi daan aur ye Neem Angrezi Khwaan kahan se samajh gaya? Ye Neem ki Qaid is liye lagayi ke poora Arbi daan to wahi samjhega jo Sahaba Razi Allahu anhum o Tabaeen aur Salafe Saaliheen ne samjha aur poora angrezi daan Lab Kushai na karega. Is liye Aaqil aur daana is kitab ke matlab bayan karne par Kabhi Jurat nahi karsakte jis kitab ki wo zaban na janta ho, jis tarah ek Arabi zaban ka fazil aur Adeeb angrezi qanoon ki Sharah ke bare me lab kushai nahi karsakte usi tarah ek Angrezi Daan Quran o Hadees ki Tafseer par lab kushai nahi karsakte mahez Tarjuma dekh kar apne ko Qanoon daan samajhna bhi nadaan hone ki daleel hai.
Jis tarah Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Ita’at, Haq Ta’ala ki Ita’at ka namoona hai. Usi tarah Sahaba e Kiram razi Allahu anhum Nabi e Akram Sallallahu alaihi wasallam ka Namoona hain. Lihaza jis tarah Sunnat e Nabawi aur Uswah e Paighambar ko Tareeqa Khudawandi se juda nahi kiya jasakta usi tarah Uswah Sahaba ko Uswah e Nabawi se juda nahi kiya jasakta. Khuda Ta’ala ka Deen aur us ke Ahkaam hum tak unhi 1 waston se pohanche hain. Quran e Kareem Nabi Kareem aur Rasool e Azeem ke Sahaba ki madah se bhara pada hai. Baghair in 2 waaston ke maane hue deen baaqi reh sakta.
Lihaza Firqah Naajiyah wo Firqa hoga jo in 2 waaston ko manta ho, yani Nabi e Kareem sallallahu alaihi wasallam ki Sunnat aur Sahaba e kIram razi Allahu anhum ke tareeqe ko manta ho. Wo Ahle Sunnat wal Jamaat ka giroh hai. Shiyon ne to Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ko Kaafir aur Gumrah qarar diya aur Kharjiyon ne Sahaba e Kiram razi Allahu anhu ki Nisf(aadhi) Jamat ko Kafir qarar diya. Ahle Sunnat Wal Jamaat ne Sunnat e Nabawi ko bhi liya uar tamam Sahaba aur Ahle Bait razi Allahu anhum ko apna USWAh aur QUDWAh banaya uar jin se Khuda aur Uska Rasool raazi ho un se ye bhi raazi hue aur unke Tareeqe par chalne ko Khuda aur uske Rasool ki raza aur khushnoodi ka zarya samjha. Allah Ta’ala to Sahaba e Kiram razi Allahu anhum se raazi hai. Quran e Kaeem Razi Allahu anhum wa Razuu Anhu se bhara pada hai. Agar koi Bad Naseeb Sahaba razi Allahu anhum se raaz nahi to Balaa se Raazi na ho. Khuda ki Razamandi ke baad kisi ki razamandi ki zaroorat nahi. Ye Shaikh Apne liye soche ke Khuda ko kis tarah raazi karega.
Ulama ne likha hai ke Ahle Hawaa aur Ahl e Bid’at ke asal sar giroh 6 Firqe hain:
  1. Khawarij,           Shia,                 3. Qadriyah(Jis ki 1 Shakh Motazala hia)
  2. Murjiyah, 5. Mushabbaha 6. Jehmiyah.
Phir in 6 Firqon ki Shakhen jo mil kar 72 tak pohanch jati hain aur in tamam firqon ke Aeteqadaat Hazraat Sahaba Razi Allahu anhum se hate hue hain, is liye in ko FIRQ E ZAALLAH yani Gumrah Firqe kaha jata hai.
Imam Rabbani Mujaddad Alf e Saani rahmatullahi alaih farmate hain jin 72 Firqon ke baare me “kulluhum fin Naar” aaya hai (Sab Dozakh me jayenge) us se Dozakh ka Daaimi azaab muraad nahi. Is ke Dozakh ka daimi azaab Imaan ke manafi hai. Daaimi Azaab Kuffar ke sath Makhsoos hai aur Chunke ye Bid’ati Firqe sab Ahle Qibla hai is liye in ki Takfeer me Jurat na karni chahye jab tak ke deeni Zarooriyaat ka Inkar aur Ahkaam e Shariyyah Mutawatiraat ko rad na karen, aur un Ahkaam ko jo Deen se Zaroori aur Badeehi taur par Sabit hochuke hon Munkir na hon.(Mulkhisan Maktoob 38 az Daftar Suwwam)
FAIDEH JALEELAH
Janna Chahye ke Ulama e Mutakallimeen ne in 72 Firqon ko apni Kitabon me shumaar kiya hai lekin Takalluf se Khaali nahi is liye ke Agar Zaahir aur Mashhoor Firqon ki tadad dekha jaye to 72 se bhot kam hai aur agar Mashhoor aur Ghair Mashhoor sab ko shumaar kiya jaye to 72 se badh jati hai.
Lihaza Ehtiyat ka muqtaza ye hai ke ye kaha jaye ke Nabi Akram sallallahu alaihi wasallam ne Firqa haaye Ummat ke Ifteraaq ko Kisi Zamaan aur Makaan ke sath Makhsoos nahi farmaya. Mumkin hai ke Baaz Firqe abhi paida bhi na hue hon aur Ayenda chal kar paida hon. Neez 2 Firqe jab kehlate hain ke jab unke Usool e Mazhab Mukhtalif hon. Lekin agar 2 Firqe aise hon ke Zaahiran to baham mukhtalif hon lekin Usool dono firqon ke ek hone to wo do firqe mila kar ek hi firqa samjhe jayenge. Isi tarah un tamam Shaakh dar Shaakh firqon ki tadad Usooli ikhtelaf ke lihaz se In sha Allah 72 se mutajawiz na hogi.
Aur chunke ye 72 firqe Sab Ahle Qibla hain is liye un ke liye ye Shart hoga ke Zarooriyaat e Islam aur Qatiyyaat e deen ke Munkir na hon. Is liye ke Jo Shakhs Zarooriyaat e Deen ka Munkir ho wo Ahle Qibla me se nahi. Maslan Agar koi Rafzi Hazrat Ali razi Allahu anhu ki Uloohiyat ka Qaail ho ya Tehreef e Quran ka Qaail ho ya Hazrat Jibraail alaihis salam se Wahii lane me Ghalti ka Qaail ho to is Qism ka Aqeeda rakhne wala hargiz Ahle Qibla se na hoga.
(Makhooz Aqaid Islam)

AHLE BAIT QURAN HADEES

Quran Aur Ahle Bait
Ayat E Mubahila

“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”

(Surah Al Imraan Ayat 61)

Ye Aayat E Karima Nazraan k Isaiyo k muttalik Naazil huwi Jo Huzoor Nabi E Rehmat  صلى الله عليه وسلم se Hazrat Isaa k Muttalik Bahes Karne Aaye the, Yeh Shaher Arab Me Isaiyi Mazhab Ka Bahot Bada Markaj Tha. Is Shaher E Nazraan me Ek Bahot Bada Girzaghar (Church) tha Jaha Bade bade Arab k Padri Rehte The, Unka Sardar Tha Abdul Masih uski  raay k begair us Shaher k Isayi Koi Kaam naa karte.

Ye Log Asr k wakt Apne Wafd k saath Madina Munawwar pahuche Jo Munazra Karne aaye the.


Allah K Rasool  صلى الله عليه وسلم ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya K Isaa Alaihi Salam Allah Tabarwa’taala k bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم  ne unhe dalail se wajeh kiya k jab Isa Alaihi salam bin baap k paida huwe to unhe tumne Khuda maan liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ne unhe Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH Taa’la ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya wo leke aaye apne ahle o aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim Apni Ahle bait ko aur Ek Dusre k halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye.
Ispe Isayo ne Kaha K Wo gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa k unme jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdul Masi (ARCH BISCHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad صلى الله عليه وسلم   Allah k bheje Rasool صلى الله عليه وسلم  Hai unse Mubahila naa karna agr Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware k baad bhi kuch log Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  k pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  ki Godh e Mubarak Me Hazrat Hasan aur Hussain Radi the aur Hazrat Ali Aur Fatima Tuzahara Radi Allaho Azmain k piche the Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna
Is haal ko dekh k Isayo pe aisa Raub Taari huwa k unke bade padri ne kaha k Mai aise Chehre Dekh Raha Hu agar ye Aamin kahde to ALLAH pahad ko yaha le aayga aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se rahe farar ekteyar kar liya ye Is Aayat E Karima Ka Mukhtasar Sa Pas Manzar Hai ab Hum Hadeees E Sahi Se Bhi ye

Hadees 01:

“Hazrat Amir bin Saad Bin Abi Waqqas  رضي الله عنه Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :

“Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”

(Surah Al Imraan Ayat 61)”
To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Bulaaya Phir Farmaya :
Ya Allah!
Yeh Mere Ahle Bait Hain.”
References :
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6220 “English No : 2404”)

(Jamai Tirmizi, Kitabut Tafseer, Hadees : 3269 ‘English No : 2999’)

(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4090 ‘English No : 3724’)

(Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 185, Hadees : 1608)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 107, Hadees : 8399)

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 163, Hadees : 4719)

(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 07, Pg :63, Hadees : 13169,13170)

Imam Haythami ne As Sawaiqe Muharika Pg : 524 par Sahib E Kasshaf k Hawale Se likhte Hai Usse Badkar Chadar Waalo Ki Fazilat Par Koi Kawi Dalil Nahi Woh Hazrat Ali, Hazrat Sayyida Fatima Aur Hasnain Karimain Radi Allaho Anho Azmain Hai.

Kyuki Jab Ye Aayat  E Paak Naazil Huwi to Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Unhe Bulaya Imam Hussain Ko Godh Me Uthaya Aur Iman Hasan Ka Haath Pakda, Hazrat Ali Aur Sayyada Kaynaat Fatima Tuz Zahra aapke piche thi Pas Maloom Hogaya is Aayat se Murad Hazrat Fatima Ki Aulaad Aur Unki Jurriyat Hai Aur Ye baat Muslim Sharif Ki Sahi hadees se saabit hai jo upar bayan ki gayi.


Ahle Bait E Mustafa Ki Pakizgi Ka Bayan
“Aur ALLAH to yehi Chahta Hai Aye Nabi K Ghar Waalo K Tumse Har Napaki Ko Khoob Dur Farmade Aur Tumhe Paak karke Khoob Sutra Farma De”
(Surah Ahzaab Ayat 33)



Hadees 02:
“Hazrat Ayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Subah Key Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Orhey Huwey Baahar Tashreef Laaye To Aap Key Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye To Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Woh Bhi Un Key Humraah Chaadar Mey Daakhil Ho Gaye Phir Sayyada Fatima RadiyAllahu Ta’ala Anha Aayi Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Bhi Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya.
Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Unhey Bhi Chaadar Mey Ley Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Yeh Aayatey Mubaraka Parhi :
˝Ahle Bait!
Tum Sey Bari Kism Key Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Ki Gard Tak) Door Kar Dey Aur Tumhey (Kaamil) Tahaarat Sey Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar Dey. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]”
References  :
(Sahi Muslim, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Ahl E Bait E Nabi Sal Allahu Alaihiwassalam, Hadees : 2424)

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 159, Hadees : 4707, 4709)

(Imam Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol : 02 Pg : 149, Hadees : 2680)

AHLE BAIT K MUTALLIK NABI E KARIM  صلى الله عليه وسلم KI WASIYAT
Hadees 03:
Arabic Matan :
ثُمَّ قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمًا فِينَا خَطِيبًا بِمَاءٍ يُدْعَى خُمًّا بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ وَوَعَظَ وَذَكَّرَ ثُمَّ قَالَ ‏"‏ أَمَّا بَعْدُ أَلاَ أَيُّهَا النَّاسُ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ يُوشِكُ أَنْ يَأْتِيَ رَسُولُ رَبِّي فَأُجِيبَ وَأَنَا تَارِكٌ فِيكُمْ ثَقَلَيْنِ أَوَّلُهُمَا كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ الْهُدَى وَالنُّورُ فَخُذُوا بِكِتَابِ اللَّهِ وَاسْتَمْسِكُوا بِهِ ‏

فَحَثَّ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ وَرَغَّبَ فِيهِ ثُمَّ قَالَ

Translation :

Hazrat Zaid bin Arqam Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate Hai
“Ek Roz Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Makkah Aur Madina k darmiyan us paani k Makam me jise Khum Kaha Jaata hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH Taala ki Hamd Wa Sana Ki Aur waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya AYE LOGO khabardaar Hojao Mai ek bashar hoon ankarib mere Rab Ka Qasid aajaye aur mai uska bulawa kabool karlu aur MAI TUM LOGO ME DO WAZNI CHEEZ CHODE JAA RAHA HU, Jinme PEHLI TO ALLAH KI KITAB HAI JISME HIDAYAT WA NOOR HAI TUM ALLAH KI KITAB LO AUR USKO MAZBOOTI SE THAAM LO phir Kitabullah pe ubhara aur Targeeb di Phir Farmaya DUSRI CHEEZ MERE AHLE BAIT HAI, MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTALLIK ALLAH SE DARATA HOON MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTTALIK ALLAH SE DARATA HOON
References :
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6225  “English No : 2408”)

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 04, Pg : 366, Hadees :19265)

(Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg : 145, Hadees : 123)

(Imam Ibn Khuzaymah Sahi ibn Khuzaymah Vol : 04, Pg : 62, Hadees : 2357)
(Imam Lalka’i Itiqad Ahlus Sunnah Vol : 01, Pg : 79, Hadees : 88)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg :148, Hadees : 2679)
(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 03, Pg : 487)
(Mishkal Al Masabih Vol : 01, Pg : 68)
(Zujatul Masabeeh Vol : 05, Pg : 317,318,319)

QURAN ME AHLE BAIT SE MUHABBAT KA HUKM
قُلْ لَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَىٰ ۗ وَمَنْ
“Yah Hai Woh Jiski Khushkhabri Deta Hai ALLAH Apne Bando Ko Jo Imaan Laaye Aur Acche Kaam Kiye Tuum Farmao Mai Is Par Tumse Kuch Uzrat Nahi Maangta Magar Karabat Ki Muhabbat”
(42 Surah Shaura Ayat 23)
Quran E Karim Ne bhi Ahle Bait Ki Muhabbat hum pe Farz kardi hai ab koi behuda shaks Ek taraf ye Kahe k wo Ahle hadees Hai aur phir Quran Aur Beshumar Hadees ko Muhabbat E Yazeed me Inkaar karta jaaye to ye bas Munafikat hai.

MUHABBAT E AHLE BAIT KA HUKM BA JABAN E MUSTAFA صلى الله عليه وسلم


Hadees 04:

Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Apni Aulado Ko Teen Baatein Sikhao

i) Apne Nabi Ki Ulfat Wa Muhabbat
ii) Ahle Bait E Athar ki Ulfat Wa Muhabbat
iii)Quran E Karim Ki Qiraat

References :

(Al Jaame Ul Kabeer Vol : 01, Hadees : 924)
(Jaame Ul Ahadees Vol : 01, Hadees :  961)
(Imam Hussamul Hindi Kanjul Ummat Vol : 12, Pg : 560, Hadees :45409)
(Al Fath Ul Kabeer Vol : 01, Pg : 59)
(As Sawaiqe Muharika Pg : 577)

Hadees 05:

“Huzoor  صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga”

References :

(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad,  Vol :01, Pg : 168, Hadees :576)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)

Hadees 06:
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِي بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِي لِحُبِّي
Tum  Allah Se Uski Naemato ki Wajah Se Muhabbat kiya karo Jo usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH ki Muhabbat ki wajah Se aur Mere Ahle Bait  Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se”  
References :
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg :437, Kitabul Manakib, Hadees : 3789,  Arabic No : 4158)
(Mishkaat Ul Masabeeh, Vol :  2, Pg : 573)
( Zujajatul Masabeeh, Vol :  5, Pg : 314/315)

Quran Aur Ahle Bait Ko Thamne Waala Gumraah Na Hoga
“Aur Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aapas Me Sab Milkar Aur Aapas Me Fatt (Bhikar) Na Jaana”
(Surah Al Imraan Ayat 103)

Is Ayat k Tahet Imam Zafar Sadiq Radi Allaho Anho Farmate Hai
“Hum Ahle Bait Hi Hublullah Hai”
(As Sawaiqe Muharika Pg : 101)

Hadees 07:
“Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chiz Chodta Hoon Jab Tak Inhe Na Chodoge Hargiz Gumraah Na Honge Ek Kitabullah Ek Meri Aal”
References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 72, Kitab Marifat E Sahaba, Hadees : 4634)
(Imam As Sawaiqe Muharika Pg :145-146)

Hazzatul wida me Yaum E Arfa k Din Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم Ne Hazaro Sahaba E Kiram K Saamne Apni Oontni (She Camel) Kaswa par Tashreef Hoke Khutba Padh Rahe The.
Hadees 08:
“Hazrat Jaabir bin Abdullah se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ko Hajj Me Arfaa K Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT
References :

(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786 ‘Arabic No : 4155’)

(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)

(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)

Hadees 09:
إِنِّي تَارِكٌ فِيكُمْ مَا إِنْ تَمَسَّكْتُمْ بِهِ لَنْ تَضِلُّوا بَعْدِي أَحَدُهُمَا أَعْظَمُ مِنَ الآخَرِ كِتَابُ اللَّهِ حَبْلٌ مَمْدُودٌ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الأَرْضِ وَعِتْرَتِي أَهْلُ بَيْتِي وَلَنْ يَتَفَرَّقَا حَتَّى يَرِدَا عَلَىَّ الْحَوْضَ فَانْظُرُوا كَيْفَ تَخْلُفُونِي فِيهِمَا ‏"‏
‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Marwi Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akramصلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
Mein Tum Mey Aisee Do² Cheezey Chhorey Ja Raha Hoo’n Ke Agar Tum Ney Unhey Mazbooti Sey Thaamey Rakha To Merey Baad Hargiz Gumraah Na Howgey Un Mey Sey Aik Doosri Sey Bari Hey Allah Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Sey Zameen Tak Latki Huwi Rassi Hey Aur Aur Meri Itarat Ya’ani Ahle Bait Aur Yeh  Donon Hargiz Zuda Na Ho’n Gee, Yahan Tak Ke Donon Merey Paas (Ikat’they) Hawzey Kawsar Par Aayegi.
Pas Dekho Ke Tum Merey Baad Un Sey Kya Sulook Kartey Ho?”
References :

(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg :436 , Kitabul Manakib, Hadees : 3788, ‘Arabic No : 4157’)

(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 133, Hadees : 30081)

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 03, Pg : 14, Hadees : 11119)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 118, Hadees : 4546)

(Imam Nasai As Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 45, Hadees :8148)

(Imam Tabrani Al Mujam Al Awsat Vol : 03, Pg : 374, Hadees : 3439)

(Imam Tabrani Al Mujam Us Saghir Vol : 01, Pg : 276, Hadees : 323)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir  Vol : 03, Pg : 65, Hadees : 2768)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg : 644, Hadees :1553)




Hadees 10:

“Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti E Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 406, Hadees : 3370)



Imam Hakim Farmate Hai Ye Hadees Sahi Ul Isnaad.


Yaha Humne Quran E Karim Ki aayat E Mubaraka Se Aur 10 hadees E Sahi Se Saabit Kiya k Muhabbat E Ahle Bait hum par Farz Hai Aur Huzoor Nabi E Karim ne Apni Ummat ko ahle Bait E k baare me Wasiyat ki hai.
Lekin aaj kuch Nasibi Urf Wahabi Jo apni zindagi bas bugz e Ahle Bait E Mustafa Ki tarz pe lage hai lihaja Difa E Yazidiat pe hi khud ki zindgi laga rakhi hai. ALLAH aise Logo ko akal de.
Ab Dusri baat aaj kuch log wo bhi dekhe jaate hai jinke saamne Hubbe E Ahle Bait Ka Zikr Karo to unka nakhsa hazma bigad jaata hai Sunnio Pe Shia hone ka ilzaam lagate hai, Shia to kuch bhi dawa kare lekin Muhabbat e Ahle Bait to hamara haq hai ab shia ye jhoota dawa kare to hum ye Muhabbat Apna Rishta E Talluk unse chod de ? Hargiz Nahi
Dekho to sahi Muhabbat E Ahle Bait ka Hukm to Quran ki nass se saabit hai aur sunni qutoob e Hadees me rivayat hai aur hamara tamam Imamo pe Hubbe Ahle Bait ki wajah se Shia hone ka ilzaam laga. Ahle Sunnat Ka Mazhab ye Hai k Hum Ahle Bait Se Muhabbat karte hai Sahaba Ki Jamaat Se Bhi Muhabbat karte hai Muhabbat E Ahle Bait Ka takaza ye nhi k Ahle Bait Ki kaa naam le aur Sahaba ko gaaliya de ye Mazhab Ibn Saba Urf Yahudi Shiyo ka hai. Allah Taala Inse Bhi Bachaye. Aamin
Ab next part ek mauzooda ahem fitna wahabiyat ka jo Jung E Kastuntunya jiski naa haq tehkeek ki bina par Yazeed ko Jannati Declare karne ki koshish ki jaa rahi hai iska bhi pura khulasa hum agli post me pesh karenge. In Sha ALLAH Taala

GAIR ALLAH SE MADAD Baad e wafat madad

~~●~~●~~●~~●~~●~~●~~●~



1 Allah Kareem ka Naiki k kamon main aik dosray ki madad karnay k hukum dayna

AUR NAIKI AUR PARHAIZGARI PAR AIK DOSRAY KI MADAD KARO AUR GUNAH AUR ZIADTI PAR BAHAM
MADAD NA DO.
Sura e Maida-2, Para 2, Kanzul Imaan

2 Ghair Allah say madad mangnay ka hukum

AUR SABAR AUR NAMAZ SAY MADAD CHAHO.
Sura e Baqarah-45, Para 1, Kanzul Imaan

3 Nabi ka Ghair Allah ki madad k husool k liye Allah ki bargah main arz karna.

AUR MERAY LIYE MERAY GHAR WALON MAIN SAY AIK WAZEER KARDAY, WOH KAUN MERA BHAI,
HAROON, IS SAY MERI KAMAR MAZBOOT KAR.
Sura e Ta Ha-29,30,31, Kanzul Imaan

4 Allah Taala ka khud Anbia e Kiram ko madad karnay ka hukum
TO TUM ZAROOR USPAR IMAAN LANA AUR ZAROOR USKI MADAD KARNA
Sura e Aal e Imran-81, Kanzul Imaan

5 Allah Taala ka Ghair Allah ko madadgaar farmana

TO BESHAK ALLAH UNKA MADADGAAR HAY AUR JIBRAEL AUR NAIK IMAAN WALAY AUR USKAY BAAD
FARISHTAY MADAD PAR HAIN

6 Nabi ka shifa ata farmana aur murdon ko zindah kardayna

MAIN TUMHARAY LIYE MATTI SAY PARIND KI SI MOORAT BANATA HOON PHIR USMAIN PHOONK MARTA
HOON TO WOH FORAN PARIND HOJATI HAY ALLAH K HUKUM SAY, AUR MAIN SHIFA DAYTA HOON
MADARZAAD ANDHAY AUR SUFAID DAAGH WALAY KO, AUR MAIN MURDAYJILATA HOON ALLAH K HUKUM
SAY
Sura e Aal e Imran-49, Kanzul Imaan



Ahmad relates in his Musnad (4:217)

that at the time of the greatest fitna of the Dajjal, when the Muslims will be at their weakest point, and just before `Isa ibn Maryam descends at the time of salat al-fajr, people will hear a caller calling out three times:“O people, al-ghawth (the helper) has come to you!”

==================================================================
Baad e wafat madad

==================================================================
HADEES # 1
HAZRAT ABU ISHAQ ASH'ARI RADIALLA TAALA ANHU FARMATE HAIN, MADINA ME HAMARE SATH EK ADMI REHTA THA, JAB BHI WO KISI BURAI KO DEKHTA AUR USEY APNE HATH SE ROKNE KI QUWWAT NA RAKHTA, TAB WO HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI QABR KE PAAS CHALA JATA AUR IS TARAH KEHTA KI
"AYE SAHIB-E-QABR, NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, AYE SAHABA, AYE HAMARE MADADGAR, HAMARE HALAAT KO DEKHIYE"
[SHUA'B UL IMAN BY IMAM BAYHAQI, PUBLISH: MAQTABAH AR-RASHAD, RIYADH/SAUDIA
HADITH NUMBER 3879]
SCAN PAGE: 

HADEES # 2
HAZRAT ABU HARB HILALI RADIALLA TAALA ANHU FARMATE HAIN, EK MARTABA EK ARABI HAJJ KARNE AAYA, FIR MASJID-E-NABWI ME HAZIR HUA, USNE APNA OONT BAHAR BANDH DIYA, FIR QABR KE PAIR KI JABI KHADA HUA AUR KAHA
"AYE NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE GUNAH KIYE HAIN, SO MAI APKI BARGAH ME HAZIR HUA HU TAKI APKO APNI DUAAO ME WASEELA BANA LU, KYUNKI ALLAH NE APNI KITAB ME FARMAYA HAI KI 'AUR JAB YE LOG APNI JAANO PER ZULM KAREN TO PEHLE TUMHARE HUZUR HAZIR HO, FIR ALLAH SE APNE LIYE MADAD CHAHEN, FIR JAB RASOOL BHI UNKE LIYE MAGHFIRAT KI DUA FARMA DEN, TAB YE APNE RABO BADA MAAF KARNE WALA PAYENGE'
(QURAN: 4/64)
[SHUAB UL IMAN VOLUME 006, PAGE NO. 60 HADITH NUMBER 3879-80]"

ULAMA KI BAHOT BADI JAMAT IS HADEES SE AMBIYA KE WISAL KE BAAD BHI WASEELA KE LIYE ISTEDLAL KARTI HAI.
SCAN PAGE:


HADEES # 3
 EK SHAKS KAI BAR HAZRAT USMAN BIN AFFAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS APNI HAJAT RAWAI KE LIYE AATA, LEKIN HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE USPAR TAWAJJOH NAHI DIYA,
TAB WO HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS GAYA AUR MAAMLE KI SHIKAYAT KI.
TO HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU NE FARMAYA:
JAAO, ACHHI TARAH WUZU KARO, AUR FIR MASJID ME AAKAR 2 RAKAT NAMAZ ADA KARO, AUR FIR IS TARAH KAHO,
''AYE ALLAH! MAI TUJHSE SAWAL KARTA HU, AUR TERI TARAF RUKH KARTA HU, AUR MUAHMMED ALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NABI-E-REHMAT KE WASEELE SE TUJHSE DUA KARTA HU, AYE MOHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE APNI HAJAT KE LIYE APKE WASEELE SE ALLAH KI TARAF RUKH KIYA, AYE ALLAH! YE WASEELA QUBUL FARMA''
AUR FIR APNI HAAJAT PESH KARO, AUR FIR MAI TUMHARE SATH HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS CHALTA HU.
.
TO US SHAKS NE WAISA HI KIYA, JAISA KI USE KARNE KE LIYE KAHA GAYA THA,
FIR ISKE BAAD WO HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KI BARGAH ME HAZIR HUA, DARWAZE WALE NE IS SHAKS KA HATH PAKDA AUR HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS LE JAAKAR BITHA DIYA,
HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE PUCHA, 'TUMHE KYA CHAHIYE?'
TO US SHAKS NE APNI HAJAT PESH KIYA, JO KUCH USE ZARURAT THI, TAB HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE USE ATA FARMA DIYA.
.
IS HADEES KO IMAM MUNZIRI RADIALLA TAALA ANHU NE SALAT-UL-HAJAT ME NAQAL FARMAYA HAI, AUR KAHA KI IMAM TABRANI NE IS HADEES KI SANAD KO SAHIH KAHA HAI.
SCAN PAGE :

[AT-TARGHEEB WA TARHEEB, PAGE NO. 129 IN THE CHAPTER OF SALAATAL HAAJAT]
ISNAAD: TABARANI RELATED THIS IN AL-MU‘JAM-UL-KABIR (9:31#8311)
AND AL-MU‘JAM-US-SAGHIR (1:183-4). THERE WERE OTHER SCHOLARS AND TRADITIONISTS WOH NARRATED THIS HADITH SUCH AS
AL-BAYHAQI, DALA’IL-UN-NUBUWWAH (6:167-8);
MUNDHIRI, AT-TARGHIB WAT-TARHIB (1:474-6);
SUBKI , SHIFA’-US-SIQAM FI ZIYARAT KHAYR-IL-ANAM (P.125);
HAYTHAMI, MAJMA‘-UZ-ZAWA’ID (2:279);
AND SUYUTI IN AL-KHASA’IS-UL-KUBRA (2:201-2).
MUNDHIRI GRADED IT SAHIH (SOUND).
SCAN PAGE: 

ISI HADEES KO IMAM BAYHAQI NE APNI DALAILUN NABUWWA ME NAQAL KIYA.
[DALA’IL UN NUBUWWAH VOLUME 006, PAGE NO 167-8, FRONT COVER, DALA’IL UN NUBUWWAH, PUBLISHED BY DAR AL-KUTUB AL-ILMIYAH, BEIRUT, LEBANON]
SCAN PAGES : 



HADEES # 4
ABU-AL-JAWAZA AWS BIN ABDULLAH RADIALLA TAALA ANHU SE IMAM DARIMI RIWAYAT KARTE HAIN KI, MADINA KE LOG EK BAR SUKHA PADNE KI WAJA SE PARESHAN HO GAYE,
WOH HAZRAT AYESHA SIDDIQA RADIALLA TAALA ANHA KE PAS APNI SHIKAYAT LEKAR PAHUCHE,
AAPNE FARMAYA KI RASOOLULLAH ALAIHE SALAM KI QABR KE PAAS JAAO, AUR UNKE RAUZE AUR ASMAN KE DARMIYAN UPAR EK KHIDKI KHOL DO, TAKI RAUZA-E-AQDAS AUR ASMAN KE DARMIYAN KOI PARDA NA REH JAYE,
RAAWI FARMATE HAIN KI HUMNE AISA KIYA TO BAHOT ZOR SE BARISH SHURU HO GAYI, HARI BHARI GHAAS NIKAL AAYIN, AUR HAMARE OONT MOTE HO GAYE, KI LAGTA THA ZYADA KHANE KI WAJA SE PHOOT PADENGE.
SO IS SAAL KA NAAM HARIYALI WALA SAAL RAKHA GAYA.
(SUNAN DARIMI VOLUME 001, PAGE 227, HADITHNUMBER 093)
SCAN PAGE:

ISNAAD: MUHAMMAD BIN ‘ALAWI AL-MALIKI FARMATE HAIN KI ISKE RAAWI ACHHE HAIN, SO ISKI SANAD SAHEEH HAI,AUR ISKE TAMAM ISTEDLAL BHAROSEMAND HAIN.
.
[SHIFA’-UL-FU’A D BI-ZIYARAT KHAYR--IL-‘IBAD PAGE NO.153]

C. IBN-UL-JAWZĪ IN AL-WAFĀ’ BI-AHWĀL-IL-MUS TAFĀ (2:801)SCAN PAGE :
FRONT COVER:


D. SUBKĪ IN SHIFĀ’-US-SIQĀM FĪ ZIYĀRAT KHAYR-IL-ANĀM (P.128)
E. QASTALLĀNĪ IN AL-MAWĀHIB-UL-L ADUNIYYAH (4:276);
AND ZURQĀNĪ IN HIS COMMENTARY(11:1 50)
.
CHAIN: ABU NUMAN NE SAID BIN ZAYD SE, UNHONE AMR BIN MALIK AN NUKRI SE AUR UNHONE ABU AL JAWZA AWS BIN ABDULLAH SE SUNA, UNSE YE RIWAYAT KIYA GAYA.



HADEES # 5
DAWOOD BIN ABU SALIH SE RIWAYAT HAI, EK DIN MARWAN AAYA AUR USNE DEKHA KI EK SHAKS RAUZA-E-QADAS KE PAAS BAITHA HUA HAI AUR USNE APNE MUH KO QABR-E-ANWAR SE LAGA DIYA HAI. YE DEKHKAR MARWAN NE USSE KAHA
"TUMHE PATA HAI YE TUM KYA KAR RAHE HO??"
YE SUNKAR JAB WO SHAKS PALTE TO DEKHA KI WO SAHABI-E-RASOL HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RADIA TALLA ANHU  THE, AUR UNHONE JAWAB DIYA
"HAAN, MAI JANTA HU, AUR MAI YAHAN ALLAH KE RASOOL ALAIHE SALAM KE PAAS AAYA HU, KISI PATTHAR KE PAAS NAHI AAYA. MAINE RASOOL SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KO KEHTE HUE SUNA KI MAZHAB PAR MAT RONA JABKI ISKE REHBAR QABIL HO, HAAN MAZHAB PAR AANSU BAHANA JABKI ISKE REHBAR QABIL NA HO."
[AHMAD BIN HAMBAL WITH A SOUND CHAIN OF TRANSMISSIONIN HIS MUSNAD VOLUME 017, PAGE NO. 42-43,HADITH NUMBER 23476,
FRONT COVER MUSNAD AHMAD BIN HAMBAL, PUBLISH: DAR AL-HADITH AL-QAHIRA MISR]

IS HADEES KO KHUD IMAM AHMED BIN HANBAL NE SAHI SANAD KE SATH BAYAN KIYA., AUR IMAM HAKIM NE KAHA KI BUKHARI AUR MUSLIM KI SHARTO KE MUTABIQ IS HADEES KI TAMAM ISNAAD SAHI HAIN.
AUR IMAM ZAHBI NE BHI ISKI SANAD SAHI BAYAN KIYA HAI.
  [AL-MUSTADRAK 4:520, HADITH # 8571]
ISI HADEES KO DUSRI SANAD KAY SAATH IMAM TABRAI NE NAQAL KIYA HAI APNI KITAB
: MA'JAM AL AUSATH, VOLUME : 1, PAGE : 94,  HADITH NUMBER : 284 SCAN PAGE :
VOLUME : 1, PAGE : 94,  HADITH NUMBER : 284

TAQI UD DIN SUBKI, BOOK : SHIFA AS SIQAM, CHAPTER : FASL ATH THANI ; FI TATABBA KALIMAATIHI, VOLUME : 1, PAGE : 342-343 SCAN PAGE :
FRONT COVER SHIFA AS SIQAM
VOLUME : 1, PAGE : 342
PAGE: 343

KUCH LOGO KA KEHNA HAI KI UPAR KI SANAD ME DAWUD BIN ABU SALIH MAJHOOL HAI LEKIN SHEIKUL ISLAM IMAM HAJAR ASQALANI RAHIMULLAH NE APNI KITAB TAQRIB UT TAHDHIB VOLUME 1, PAGE 306, NARRATOR NO: 1802 [ONLINE VERSION: 1792] ME MAQBOOL LIKHA HAI.SCAN PAGE :
FRONT COVER :
VOLUME 1, PAGE 306, NARRATOR NO: 1802

SUBHAN ALLAH,
1: IS HADEES SE SAHABA KA AQEEDA BHI PATA CHALTA HAI KI RASOOLULLAH ALAIHE SALAM KI QABR KE PAAS JANE KA MATLAB WO RASOOLULLAH KE QARIB JANA HI SAMAJHTE HAIN,
2: HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RADIALLA TAALA ANHU NE APNE MUH KO RAUZA-E-AQDAS SE LAGA DIYA THA, YANI BOSA LIYA,
3: QABR-E-ANWAR KI MISAL KISI PATTHAR YA MURTI/BUTT SE NAHI DIYA JA SAKTA, YEHI SAHABA KA AQEEDA HAI.

HADEES # 6
MALIK AD-DAR SE RIWAYAT HAI, HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KE AHADE KHILAFAT ME EK MARTABA KAHAT PAD GAYA TO HAZRAT BILAL BIN HAARIS MAZNI (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) ROZA-E-ANWAR PAR HAZIR HUWE AUR ARZ KIYE:
YA RASULALLAH!
AAPKI UMMAT HALAAK HO RAHI HAI, BAARISH NAHI HOTI.
HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) UNHE KHWAAB ME MILE AUR FARMAYA:
AE BILAAL!
UMAR KE PASS JAO.
USE MERA SALAM KAHO AUR KAH DO KI BAARISH HO JAYENGI.
UMAR SE YAH BHI KEHNA KI KUCH NARMI IKHTEYAAR KARE.(YAHA HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE ISLIYE FARMAYA KI HAZRAT UMAR FAARUQ (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) DEEN KE MAMLE ME BADE SAKHT THE).
HAZRAT BILAL (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KI KHIDMAT ME HAAZIR
HUWE AUR HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KA SALAM WA PAIGAAM PAHUCHA DIYA.
HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) YAH SALAM AUR PAIGAME MEHBOOB PAAKAR ROYE AUR KAHA ''AYE ALLAH, MAI APNI PURI KOSHISH KARTA HU, JAB TAK KI MAI THAK NA JAAUN''
AUR FIR BARISH KHUUB HUWI.
[AL-MUSANNAF IBN ABI SHAYBAH VOLUME 011,PAGE NO. 118, HADITH NUMBER 32538, PUBLISH BY MAQTABAH AR-RASHID, RIYADH, SAUDIA ARABIA]
SCAN PAGE :
HAWALE :
1:IBNE HAJR RH.A-FAT'HUL BARI 2/269, 2/495,496
2:IMAM BAIHQI RH.A- DALA'IL AL NUBUWWAH 6/141
3:IBNE KASIR RH.A- AL BADAYA WA AL NIHAYA 6/90-91, 5/167
4: HZ IBNE ABD AL BARR RH.A- ALIST'AB2/464
5: IBNE KASIR RH.A- JAMIAL MSANID 1/223
6: QASTLANI RH.A- AL MAWAHIB UL LADUNYA 4/276
7: HAZRAT MUNZIRI RH.A- AL TARGHIB 2/41-42
8: HAZRAT HAISHMI RH.A- MAJMAE ZAWAID 3/125
9: MUSANNIF IBNE ABI SHAIBA 12/31-32 # 31380
10: HAZRAT IBNE HAJAR RH.A - AL ISABA FE TAMYIZ AL SAHABA 3/484
11: IBNE TAIMYA IN FI IQTIDA AS SIRATIL MUSTAQIM 1/373
12: HAZRAT SUBKI RH.A- SHIFA AL SIQAM 1/130
.
IS HADIS KO IBNE TAIMIYA NE BAGAIR KISI JARAH KE AUR BAGAIR KISI TARDEED KE APNI KITAB IQTIDAUSSIRAATIL MUSTAQEEM ME BHI NAQL KIYA HAI.
.
CHAND MOHADDISIN REHMUTULLAH ALAIH KAY NAAM JINHONE SANAD KO SAHIH KAHA HE
1: IMAM IBNE ABI SHAIBA RH.A MUSANNIF IBNE ABI SHAIBA 12/31-32 # 31380
2: IBNE TAIMYA IQTIDA AL SIRAT IL MUSTAQIM #373
3: IMAM IBNE KASIR RH.A AL BADAYA WA AL NIHAYA 5/167
4: IMAM IBNE HAJR RH.A FATHUL BARI 2/495, AL ISBAH FI TAMYIZ AL SAHABA 3/484
5: QASTLANI RH.A AL MAWAHIBUL LADUNIYA 4/276
6: IMAM ZURQANI RH.A COMMENTARY 11/150-151
7: IMAM JARAH O TADIL ZAHBI MIZANUL ITIDAL 2/224 ME HAZRAT IMAM AMASH RAHIMULLAH KAY BARE ME FARMATE HE,'' JAB WO APNE BADO MISL IBRAHEEM RAHIMULLAH, IBNE ABUWALI RAHIMULLAH, ABI SU'ALEH RAHIMULLAH, SAMMAN RAHIMULLAH SE RIWAYAT KARE TO HADIS MUTTASIL HE AUR WO SIQAH HE''
AUR UN TAMAM MUHADDISEEN PAR BHI KYA FATWA HE JINHONE IS HADIS KO SAHEEH QARAR DIYA HE..!

IMAM ZAHBI RAHIMULLAH APNI KITAB TAJRIDAL ASMAA ASSAHABAH JISME UNHONE SAHABA K NAAM JAMA KIYE HE USKI JILD:2 PG:51 PAR MALIK BIN AYAZ (AD DAAR) KA ZIKR KARKE FARMATE HE KE UNSE ABU SALIH SAMMAAN NE RIVAYAT KIYA HE. (ABU SALIH BUKHARI K RAVI HE)
AUR ISI TARAH IMAM TAQIYUDDEEN IBNE FAD AL MAKKI R.A NE BHI APNI KITAB MUKHTASAR ASMA AS-SAHABA PG:85 PAR SARAHAT KI HE K MALIK ADDAAR SE ABU SALIH SAMMAN NE RIVAYAT KI HE...!!
ISI TARAH IBNE HAJAR RA.LIKHTE HE..
"MALIK BIN AYAAZ JISE MALIK ALDAAR BHI KAHA JAATA HE UNHONE NABI S.W KO DEKHA HE.....FIR AGE FARMATE HE....UNSE ABU SALIH SAMMAAN AUR UNKE (MALIK ALDAAR)K 2BETO NE RIVAYAT KIYA HE..!!
DOSTO YE HADIS SAAF AUR MUHADDISEEN KI TASREEHAAT K MUTABIQ BILKUL SAHEEH HE...AB BILA WAJA ISPAR BEJA ETRAZAT KARNA JAHALAT NAHI TO AUR KYA HE..????

SABIT HUA KI WISAL KE BAAD BHI YA-RASOOL'ALLAH KEHNA SAHABA KA TARIQA HAI OR YEHI AHL-E-SUNNAT KA SHI'AAR HAI.

MALUM HUWA KI WISAAL SHAREEF KE BAAD BHI SAHABAYE KIRAM MUSHKIL KE WAQT HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KI KHIDMAT ME HAAZIR HOTE THE.
HAR MUSHKIL YAHI SE HAAL HOTI THI.
YAH BHI MALUM HUWA KI HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KI BADI SHAAN THI.
AAP KHALIFAYE BARHAQ THE.IS QADAR KHUSHKISMAT HAI KI WISAAL SHAREEF KE BAAD BHI HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KE SALAM WA PAIGAAM MUSHARAF HOTE THE.PHIR JISE FARUQE AAZAM SE ADAWAT HONGI WAH HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KO KYU NA BURI LAGEGA?

73 FIRQE ME SIRF 1 JANNATI

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم Sharah Hadees  Iftiraq e UmmatA           Iftiraaq e Ummat ki Hadees Mukhtaliq tareeqon aur mukhtalif alfaz s...