WASEELA
POST 01
Tujh ko Kya denge yeh shah e Madina per chodde
Tu ghulam hai unka sab kuch unki ataa per chodde
Apni bakshish ki fikr karne wala tu hai kaun
Yeh Mustafa ka kaam hai Mustafa per chodde
Aur kya hai Biddat Kya hai Sunnat
Faisla tu khud na kar
Yeh Bareli kay shah e Imam Ahmed raza per chodde.
WASILE PE KUCH ARZ
Shuru Se millate Islami me ye akeeda salf salahin se chala aaraha hai k Musalman apni duao me Allah k Mehboob bando ka buzurgane Din aur digar Taburrakat ka Wasila lete aaye hai magar ab kuch aise kharji firko ka wajood hua jinke saamne agar wasile ki baat kardo to unka hajma bigad jaata hai. Wasile ka lafz sunte hi wo log Shirk Biddat ki bayan baaji karne lagte hai baaj Hazrat wasile ko haraam kehte hai aur kuch kam akal k nazdeek ye shirk hojata hai. Maazallah
Ye khud me confuse hojate hai k Wasila lena shirk hai ya Haraam inke kuch maulvi haraam kehte hai kuch Shirk aur kuch k Nazdik Jaiz hojata hai.
Halanki inko khud thek se pata nhi hota bas bolne lagte hai jab inse pucha jaaye wasila kis cheez ko kaha jaata hai to wasile ka matlab batane se bhi ye millo dur nazar aate hai baat ko yaha waha ghumane lagenge. Alhamdulillah, hum Ahlesunnat wal Jamaat ka aqeeda hai ki beshak ALLAH TA'ALA kisi Waseele ka mohtaj to nahi wo chahe to bagair waseele ke bhi jo kuch chahe ata kar sakta hai. Lekin fir bhi usne Qainat ka jo nizam chalaya wo waseele se chalaya to pata chalta hai ki ALLAH TA'ALA ko waseela pasand hai, isiliye hum Ahlesunnat wal jamaat apni duaao ke liye ALLAH ki bargah me waseela pesh karte hain..
Misal ke taur pe aaiye dekhte hain ki ALLAH TA'ALA ne Hazrat ADAM Alaihe salam ko jab paida kiya, to bagair Maa Baap ke paida kiya aur jab chaha to duniya me bhej diya, to ALLAH ne ye zahir kar diya ki wo kisi Waseele ka mohtaj nahi hai, wo chahe to bagair waseele bagair maa bap ke bhi kisi ko paida farma sakta hai aur usey khila pila sakta hai. haajat rawai kar sakta hai lekin fir ALLAH ne Hazrat Adam Alaihe salam ke baad se kisi ko bhi wagair waseela, bagair maa baap ke duniya me nahi bheja, balki sabko maa baap ke zariye, sari naslo ko Hazrat Adam alaihe salam ke waseele se duniya ka nizam qayem kar dia, taki duniya wale ye bhi dekh len ki ALLAH ko Waseela hi pasand hai.
Waseela Quran Se Saabit Hai
"Aye Imaan Waalo, Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Talash Karo Aur Uski Raah Me Zihad Karo, Is Ummid Par Ki Tum Falaah Paao"
(Surah Al Maida Ayat 35)
Quran e Pak ki aayat se ye wajah hua k Waseela ka saaf hukm Quran me mauzood hai ab iska direct hi inkaar karne waala kaafir hoga ye shirk to ho hi nahi sakta agar Waseela Shirk hai to kya Quran me Allah khud hi iska hukm de sakta hai ?? hargiz nahi lekin Sawal ye hai k waseela kis ka jaiz hai kiska nahi hai zaahir si baat hai Allah Subhanawta'la uska hi waseela pakadne ko pasand karega jo Allah ki bargaah me makbool ho aur Allah un chizo ko Qurbiyat o Makbooliyat Di ho. Is pure article ko padhne k baad aap ko waseele k talluk se kaafi aitraaz khatm hojaynge. Insha Allah عزوجل
Waseele Ka Maane
"Jiske Jariye Kisi Tak Pahucha Jaaye Aur Uska Kurb Hasil Kiya Jaaye"
(Ref : by Ibn Manjur, Imam of Lughat Lihsansul Arab Jild : 11 pg : 725)
“Jiske Jariye Kisi Se Kurb Aur Nazdiki Haasil Ki Jaaye Usko Waseela Kehte Hai”
(Ref : Al Tarifaat Pg : 225)
Waseela ALLAH عزوجل ka Qurb haasil karna hai, Ahle Sunnat wal jamaat me Waseela kay taluq me Hayat o wafat ka paimana hi nahi Balki Qurbiyat dekhi jaati hai kay ALLAH عزوجل ne kise shafi banaya, kise qurbiyat ataa ki hai aur inhi ka waseela talash karne ka hukum bhi aaya hai Quran me. Lekin Wahbi kehte hai Baad wafat Waseela Jayaz nahi toh is per hum ilzami sawaal karte hai ki Jab NABI ﷺ zahiri duniya me maujud the toh waseela Jayaz tha aur beshak ALLAH عزوجل ne aapko who qurbiyat ataa ki kay aapki dua kabhi radd nahi hosakti toh Wahbiyon ko chahiye ki aisi dalil pesh kare kay jisse yeh saabit ho ki Zahiri duniya me Qurb tha aur wafat baad Qurbiyat khatam hojaati hai.
NOTE: Qayamat tak ka waqt deta hu, yeh dalil laakar dikhade.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ki WILADAT Se Pehle Huzoor ﷺ K Waseele Ka Saboot :
YAHOOD WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam K WILADAT Se Pehle Waseele Ka Saboot :
YAHOODI WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Hadees 01:
Hazrat Abduallah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne farmaya:
"kahybar k yahoodi Ghatfaan qabeelay say bar sar e paykaar raha karty thy (Yani larty rehty thy), pas jab bhi dono ka samna hua yahoodi Shikast kha gaay. Phir Yahoodiyun nain is dua k zareeay panah mangi:
'Ay ALLAH hum tujh say Ummi NABI MUHAMMAD MUSTAFA ﷺ k waseelay say sawal karty hain jinhain to tu nain Akhri Zamana main hamary liay bhyjny ka hum say wada farmaya hay k in (Duhsmanon) k mubqably main hamary madad farma.'
Rawi kehty hain: Pas Jab bhi wo dushman k samny ay to unhoun nain yehe dua mangi aur Ghatfaan (Qabeela) ko shikast di. Laykin jab HUZUR NABI AKRAM ﷺ mab'us huay to unhoun ne AAP ﷺ ka inkar kiya. Is par ALLAH Ta'ala nain yeh ayat utari:
“Aur Jab Unke Pass Allah Ki Kitab (Quran) Aayi Jo Unke Saath Waali Kitab (Toraat) Ki Tasdeek Farmati Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se Kafiro Par Fatah Maangte The To Jab Tashrif Laaya Unke Pass Who Jaana Pehchana, Us Se Inkaar Kar Bethe To Allah Ki Lanaat Inkaar Karne Waalo Par”
(Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 89)
'Halnky is say pehly wo khud Ay Muhammad ﷺ ! ap k waseelay say kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangty thy.'"
References :
1. (Imam Haakim : Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith number : 3101)
Scan page
Front Pg of Al Mustadrak
Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith : 3101
Front Cover of Tafseer Ibn Katheer
(2) Ibn e Katheer Book : Tafseer Al Quran AL Azeem Vol : 1 Pg : 326 Scan Page of Tafseer ibn Kathir is below
Tafseer ibn Kathir Vol : 1 Pg : 326
3) Abu Nu'ym : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1, Pg : 82, Hadees : 43
4) Imam Jalal Ud Din Suyuti - Dar Al Manthur Vol : 1, Pg : 467-468
5)Ibn e Hajr 'Asqalani ,Al Isabah Vol : 2 Pg : 383
6)Imam Tabari - Jami' al Bayan Vol: 1 Pg : 411
7) Imam Bayhaqi - Dalaail An Nubuwwah Vol : 2 Pg : 76aur bhi bahot se muhadiseen aur mufassireen ne isko likha hai.
Hadees 01 - A
Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai wo bayan karte hai Yahud Huzur e Akram ﷺ k waseele se Kuffar o Mushrikeen par fateh ki dua karte the aur fateh paate the par jab Aaka ﷺ jaahir hue to wo munkir hogye, ek martaba Hazrat Muadh Bin Jabal aur Bashar Bin Barra Bin Maroor Razi allaho Anho azmain ne Yahudio se kaha Aye yahud Allah عزوجل se daro hum
'Ay Yahood ! ALLAH عزوجل say daro aur Islam lay ao, Jab hum Ahl-e-Shirk thy to tum Naam e Muhammad ﷺ k sath hum par fatah manga karty thy, AAP ﷺ k be'sat aur seerat ko hum par paish karty thy.'
Yeh sun kar Salam bin Mishkam (Yahoodi) nain kaha:
'Yeh wo NABI nahi jis ka zikar hum karty thy aur jo sifaat hum bayan karty thy, wo is main nahi.
Is par ALLAH عزوجل nain yeh ayat utari Surah Baqraah ayat 89
Refrence:
[Abu Nu'ym Book : Dalael Un Nubuwwah Vol : 1 Pg : 82 Hadees : 43]
Is Hadees se pata chala k jab Ahle Yahood bhi Aaka ﷺ k waseele se kuffar o mushrikeen se fateh paane ki dua karte to ALLAH عزوجل unki duao ko bhi kabool kar liya karte Qurban Jao Musalmano Khatiman Nabiyeen ﷺ par k Allah عزوجل unke waseele se dua kabool kar liya karta hai aur Alhamdullilah Hum to musalman hai hamari duaye kyu na kabool ho wo to jalwagiri k pehle ka aalam tha to ab bhala ye kaise shirk hosakta hai ??
Hazrat Aadam Alaihi Salam ki Dua Huzoor E Kareem Sal Allahu Alaihi Wassalam K Tawwasul Se :
Hadees 02:
Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,
Jab Aadam alaihe salam se ek khata sarzad ho gayi aur fir unhone ALLAH عزوجل se is tarah dua ki, ''Aye Allah, عزوجل mai Muahammed ﷺ ke waseele se tujhse dua mangta hu, mujhe maaf kar de,''
to Allah Taala ne pucha, 'Tumne Muhammed ﷺ ko kaise jaana?' to Hazrat Aadam alaihe salam ne farmaya: Jab tune mujhe banaya tha tab maine apna sar upar ki taraf uthaya to dekha ki Arsh likha tha,
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH'
tab mai samajh gaya ki inka maqam bahot Aalaha hai,
warna tumne ye naam apne naam ke sath nahi likha hota,
ALLAH عزوجل ne farmaya:
''Maine tumhe bakhsh diya, aur wo tumhari hi aulado me se mere Akhri Rasool honge, aur maine unhi ke sadqe tumhe paida farmaya hai.''
Dusri Riwayat me hai ki
Jab ALLAH عزوجل ne asman-o-zameen ko paida farmaya to
Arsh ke khambo per, Jannat ke darwazo per, Darakhto ki pattiyo par likha tha ki MUHAMMED ﷺ aakhri Rasool hain,
Ye dono Riwayaten Saheeh hain,
References :
[Tabarani Mu'jam Al-Ausat Vol: 06, Pg No. 313-314, Hadees : 6502]
[ Al Majmua Fatawa Ibn Taymiyya , Vol. 2, page 150
[ Ta'rikh Ibn Kathir , chapter on 'Story of Adam']
[Shifa-us-siqam fi ziyarat khayr-il-anam Page No. 120-121]
[Imam Bulqini ne apne fatwe me is hadees ko Sahee karar diya. Hafiz Ibn Taymiyya, ke balawa bhi is riwayat ko Dusre Muhaddesin Hafiz Imam Suyuti, al-Bayhaqi aur Tabrani, ne bhi Saheeh sanad ke sath naqal farmaya hai.
Scan Page of Imam Tabrani Rehmatullah Alaihi Mujam AL Ausat
Masla :
1) Jab Huzoor E Akram ﷺ k waseele se Adam Alaihi Salam ki dua Allah Rabbul Izzat me Makbool hui halanki us wakt to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam is dunya me Paida bhi na hue us wakt bhi Sarkar E Do Alam ﷺ ka waseela Allah عزوجل ki bargah me liya jaata tha to aaj bhala ye lena kyukar Nazaiz o shirk hoga ?
2) Hazrat Adam Alaihi Salam ne Dua me Mustafa ﷺ ka waseela leke ye jahen diya mai Nabi hoke waseela talab kar raha hu to tum to ummati ho tumhe khud kitna waseela lena chahye.
3) Is masle me Shiddat pasand maulvi ibne Taimya tak Ahlus Sunnah se muttafik hua hai halanki bahot masle me Ibn Taimya ne iktelaf kiya hai Izma k khilaf par yaha ibn Taimya ne bhi ikraar kiya k ye Hadees sahi hai aur waseela e Mustafa ﷺ bhi haq hai.
4) Jab Wiladat se kabl waseela jaiz tha to abto Kainat me sirf aur sirf Huzoor ﷺ k hi ummati honge Aaka ﷺ ki hi shariyat chalegi to ab kyukar waseela haram shirk hoga ?? Pata Chala Waseela Talab karna Nabi e Karim ﷺ ka khud Ambiya Alaihi Salam ki sunnat hai.
Huzoor ﷺ ki Hayat E Tayyaba me Waseele Ka Saboot :
Hadees 03 :
Hazrat Usman Bin Hunaif رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai,ki ek Naa-beena(Andha ) shaks Nabi ﷺ ki bargah m hazir hua aur bola, 'Aap mere liye dua kijiye ki ALLAH عزوجل mujhe shifa ata farmaye,'
to Aap ﷺ ne farmaya: 'Agar tum sabr karo, to ye tumhare liye zyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu' To usne kaha 'Aap Dua kijiye,' Aap alaihe salam ne farmaya: jao, achhi tarah wuzu karo, aur fir 2 Rakat namaz padho, aur fir is tarah Dua karo,
"Allahumma lnni as'aluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda. Allahumma fashaffi’hu fiya.
Tarjuma: Aye ALLAH! عزوجل mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed ﷺ Nabi-e-Rehmat ﷺ ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed ﷺ, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! عزوجل Ye Waseela qubul farma'
References :
[Tirmidhi As-Sunan, Vol-05, Page-569, Hadith-3578]
[Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 313, Hadees : 519]
[Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-197, Kitab : Iqamat Al Salat Wa Sunnat, Hadith-1385] [Nasa’i - Amal Al Yawm Wal Layla Pg : 417, Hadees -658,659]
Scan page of Sunan Tirmidhi
Imam Tirmizi ne Is Hadees ko Hasan Karar diya Imam Hakim ne Sahi Likha hai
Qazi Shawkani Jinhe Gair Mukallideen Ahle Hadees Jamat k nazdik bahot Motebar maana jaata hai Apni kitab Tuhfatuz Zakireen me Isi Hadees k hawale se likhte hai "Aur Is Hadees e paak se Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam k Waseela Lene Ka Saboot Milta hai Lekin Ye Akeeda Ho k ALLAH HI ATA KARTA HAI WO HI LETA HAI JO ALLAH CHAHE JO NA CHAHE WO HI HONA HAI"
Scan page niche hai mulahiza ho
[Tuhfatuz Zakireen, Pg.138. By Qazi Shawkani]
Scan Page of Tuhfatuz Zakireen by Qazi Shawkani
SubhanALLAH Haq hai Sar Chad k Bolega ...
Is Hadees e Mubaraka se wajeh hua k Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka bhi Mamoor Tha k wo Aaka ﷺ k Waseele se dua manga karte the aur Aaka ﷺ ne kabhi khud k waseele ko bhi inkaar nahi kiya agar Huzoor ka waseela Jaiz na hota to us naabeena sahabi ko saaf inkar kardete k tu mera waseela na talab kar direct Allah se dua maang mujhe tere aur Rab k bich me na la magar aisa na kiya aur sahaba bhi chahte to Allah se hi dua maang lete magar Huzur ﷺ k pass Aake wo ye akeeda de rahe hai beshak dene waala to Allah Rabbul Izzat hi hai par Huzoor ﷺ k sadke se hi dega Subhan AllahNote : Kuch Hazrat Ye kehte milenge k yaha Waseela Sirf us wakt tak jaiz tha jab tak Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ba Hayat the ab waseela shirk hoga. MaazAllah
Hum yaha niche hi kuch aisi hadeese bhi pesh kar rahe hai jis se wajeh hojayga k Waseela har wakt jaiz hai.
Huzoor ﷺ k Baad Az Wisal Waseele Ka Saboot :
Hadees 04 :
Ek shaks kai bar Hazrat Usman Bin Affan radialla taala anhu ke paas apni hajat rawai ke liye aata, lekin Hazrat Usman radialla taala anhu ne uspar tawajjoh nahi diya,
tab wo Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu ke paas gaya aur maamle ki shikayat ki.
To Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu ne farmaya:
Jaao, achhi tarah wuzu karo, aur fir Masjid me aakar 2 rakat Namaz ada karo, aur fir is tarah kaho,
''Aye ALLAH! mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed allallaho alaihe wasallam Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed sallallaho alaihe wasallam, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! Ye Waseela qubul farma''
aur fir apni Haajat pesh karo, aur fir mai tumhare sath Hazrat Usman radialla taala anhu ke paas chalta hu.
To us shaks ne waisa hi kiya, jaisa ki use karne ke liye kaha gaya tha,
fir iske baad wo Hazrat Usman radialla taala anhu ki bargah me hazir hua, Darwaze wale ne is shaks ka hath pakda aur Hazrat Usman radialla taala anhu ke paas le jaakar bitha diya,
Hazrat Usman radialla taala anhu ne pucha, 'Tumhe kya chahiye?'
to us Shaks ne apni Hajat pesh kiya, jo kuch use zarurat thi, tab Hazrat Usman radialla taala anhu ne use ata farma diya.
References :
[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
[Imam Tabrani ne Ma'jam Al Kabeer Vol : 09 pg : 17-19, Hadees : 8311]
[Imam Haytami Ne Majma Az Zawaid Vol: 02, Baab : Salat Al Hajah, Hadees : 3668,]
[Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah]
[Imam Bayhaqi ne Dalail An nubuwwah Volume : 6 Page : 167-168]
[Imam Taqi ud Din Subki ne Shia As Siqam Vol : 1 Pg : 370-372, Baab : Baad Az Wisal Un Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam]
[Ibn Taymiyyah ne is hadees ko “Sahih” likha Qa'ida al Jaleela fit Tawassul wal Waseela Page No. 156]
[Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi, Vol :12,Baab 05 : Waseela E Mustafa Sal Allahu Alahi Wassalam Baad Az Wisal, Pg : 407]
See Scan Pages Of Hadees
1)[Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307,Hadees : 508]
Front cover of Majam As Sageer
YE Scan Pages Imam Tabrani ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307, Hadees : 508 ka is hadees ko likne k baad Imam Tabrani ne Khud hi likha hai ye hadees sahi hai.. Subhan Allah
Ab Imam Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah ka Scan niche dekhiye
Aur bhi bahot se hai jo is hadees k sahi hone me gawahi dete hai ye do kaafi hai aur mazid dusri bhi hadees e paak hai jo yaha upload karni hai aur Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi ne Sabl al Hadi me baab ka naam hi rakha hai Waseela Bad Aj Wisal aur us baab me ye hadees nakal ki hai sahi isnaad.1) Baad az wisal Usman Bin Hunaif Radi Allaho Anho khud dusre shaks ko ye amal de rahe hai k jao aur usi trah dua karo jo nabeena sahabi ne kiya tha agar baad az wisal waseela nazaiz hota to bhala kyu hukm dete aur phr Hazrat Usmam Gani Razi Allaho anho ne bhi hazat puri ki hai aur akeeda diya hai k ye kaam hargiz shirk nahi hai.
WASEELA POST 02
Hadees 05 :
“Aur Humne Koi Rasul Na Bheja Magarisliye Kay ALLAH Kay Hukum Se Uski Itaat Ki Jaaye Aur Agar Jab Who Apni Jaano Per Zulm Kare Toh A Mehbub Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasul Unki Shafa’at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karne Wala Maherbaan Paye”
(Surah Nisa Ayat 64)
Is ayat kay tahet Ullem e Kiram Hadees naqal karte hai :
“NABI Sallallahualaihiwasallam ki wafat shareef kay baad ek arbi roza e aqdas per hazir hua aur roza shareef kay khaak paak apne sar per daali aur arz karne laga ya rasul ALLAH jo apne farmaya humne suna aur jo aap per naazil hua usme yeh aayat bhi hai وَلَوْاَنَّھُمْ اِذْ ظَّلَمُوْا mene beshak apni Jaan per zulm kiya aur apke huzur me ALLAH se apne gunah ki bakshish chahne haazir hua toh mere rab se meri gunah ki bakshish karaye is per qabr shareef se nida aayi ki teri bakshish ki gai”.
References :
1) [Imam Ibn Kathir ne Tafseer Al Quran Al Azim Vol : 04 Pg : 140, 4:64]
2) [Imam Qurtabi ne Tafseer Al Jami Al Ehkaam Al Quran Vol : 06, Pg:439, 4 :64]
3) [Bahyaqi ne Shoebul Iman Vol : 03, Pg : 495-496, Hadees : 4178]
4) [Ibn Qudamah Al Mugni ne Kitab Al Haj, Baab : Wa Yustahabbu Ziyarat Qabr An Nabi Vol : 05, Pg: 465]
5] [Imam Jalaluddin Suyuti ne Tafseer e Durre Mansoor Surah 4 Ayat 64]
6] [Imam Nawawi ne Kitab Al Azkaar, Pg : 179, Print Darool Marifah Beirut]
7] [Imam Nawawi ne Al Majmua vol : 08, Pg :202/203]
8] [Ibn Hajar Haythami ne Al Jawhar Ul Munnazam Pg : 51]
Scan Pages of Tafseer Ibn Kathir
Front Cover of Tafseer Ibn Kathir
Tafseer Al Quran Al Azim Vol : 04 Pg : 140, 4:64
Scan Pages of Imam Qurtabi ne Tafseer Al Jami Al Ehkaam Al Quran Vol : 06, Pg:439, 4 :64 niche dekhe
Front Pg of tafseer e Qurtabi
Tafseer Qutabi Pg : 439
Scan Pages of Imam Bahyaki Shoebul Imaan niche dekhe
Front Cover of Shoebul Imaan
Shoebul Iman Pg 495
Shoebul Iman Pg 496
Imam Qurtabi Rahmatullahi Alaihi ne Hazrat Ali Radi Allaho ne farmaya Huzoor E Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam k Wisaal k 3 baad ek baddu aaya aur dua ki Allah Taala ne uski tauba kabool ki.
bahot se Mufasireen ne is wakay ko likha kisi ek ne bhi ye guman nahi kiya k ye shirk hai biddat hai ye kaisa shirk hai jab tak banda hayat ho tab to tauheed ho aur wisal baad shirk hojaye ?
Shirk Hamesha Shirk hi rahega wo ek pal bhi tauheed nahi banega.
Hadees 06 :
Abu-Al-Jawaza Aws Bin Abdullah radialla taala anhu se Imam Darimi riwayat karte hain ki, Madina ke log ek bar sukha padne ki waja se pareshan ho gaye,
woh Hazrat Ayesha Siddiqa radialla taala anha ke pas apni shikayat lekar pahuche,
Aapne farmaya ki Rasoolullah alaihe salam ki Qabr ke paas jaao, aur unke Rauze aur asman ke darmiyan upar ek khidki khol do, taki Rauza-e-Aqdas aur Asman ke darmiyan koi parda na reh jaye,
raawi farmate hain ki humne aisa kiya to bahot zor se barish shuru ho gayi, hari bhari ghaas nikal aayin, aur hamare oont mote ho gaye, ki lagta tha zyada khane ki waja se phoot padenge.
So is saal ka naam Hariyali wala saal rakha gaya.
References :
[Sunan Darmi Vol:001, Page 227, Hadees:93]
[Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa Baab 39: Huzoor Ki Kabr E Mubarak K Tawassul Se Barish Ka Bayan Vol:02, Pg:817-818]
[Khatib Tabrizi Mishkat Ul Masabih Vol-04,Pg:400, Hadees : 5950]
[Imam Qastalani Al Muwahib Ul Laduniyah Vol-04, Pg:276]
[Sharah Zurqani Vol:11, Pg:150]
[Imam Taqyudin Subki Shifa us Siqaam Fi Ziyarat Khayril Anam Vol:01 Pg:128]
Scan Page Of Sunan Darimi
Front Cover of Sunan Darmi
Sunan Darmi Hadees : 93
Scan Page of Imam Jauzi Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa Niche Dekhe
Is Hadees e Paak se Sahaba Razi Allahu Anhuma Azmain ka akeeda pata chalta hai Barish na thi chahte to ghar bethke dua karte par Ummool Momineen Ayesha Siddika Razi Allahu Anha k pass jaake pahuche aur Akeeda kya diya Ummol Momineen ne k Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam k upar dome(CHATTH) par khidki khol do Aasman deedar e Roza E Rasool Alaihi Salam karlega to Barish hojaygi aur hua bhi Pata chala Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam se faiz aaj bhi jaari hai .. Subhan Allah
FAROOQUE E AAZAM RAZI ALLAHO ANHO KA HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHU ANHO KA WASEELA LENA
YEH WASEELAH HAZRAT ABBAS (Radi Allaho Ta'ala Anho) KA. "YA" HAQEEQAT ME NABI-E-PAK (Sallallaho Alaihe Wasallam) KI ZAAT KA...
Hadees 07:
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allaho Ta'ala Anho Farmate Hai Jab Qahat Padta To Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib Radi Allaho Ta'ala Anho k Waseele Se Dua Karte Farmate "AAI ALLAH Hum Teri Bargah Me Apne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam Ka Waseelah Diya karte The To Tu Hume Seraab Kr Diya karta Tha To Ab Hum Apne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam k CHACHA HAZRAT ABBAS Radi Allaho Ta'ala Anho Ko Teri Bargah Me Waseelah Banate Hain k Hum Per Barish Barsa ToIn Per Barish Barsa Di Jati ".
References :
[1.SAHIH BUKHARI, KITAB : ISTASQA, Baab : Suaal An Nas Al Imam Alistasqa Iza Qahatu Pg: 245 Hadees : 1010]
[2. Sahih Bukhari Kitab:Fadail e Ashaab An NABI Sal Allahu Alaihi Wassalam, Baab : Zikr Al Abbas Bin Abdul Muttalib Radi Allahu Anho Pg :914 Hadees : 3710]
[3.Imam Ibn e Hibban, Sahi ibn e Hibban, Kitab : As Salah, Baab : Salat Al Istasqa Vol :07, Pg :110-111, Hadees: 2861]
[4. Imam Tabrani ne Mu'jam Al Ausath Vol : 03, Pg : 49, Hadees : 2437]
[5.Ibn e Khuzimah , Sahih Ibn e Khuzimah, Book: As Salah, Baab : Istihbaab Al istasqa Bi Ba'd Qarabat An NABI Vol:02 Pg: 337-338 Hadees : 1421]
Scan Page of Sahi AL Bukhari
FRONT COVER OF SAHI BUKHARI
Sahi Bukhari Hadees 1010
Sahi Bukhari Hadees : 3710
Ye hadees Wahabio k Ghar ki Samajh lo Waseele pe aakhri dalil hai ye hadees wahabi aapko dikhaynge ab is hadees se wahabio ne kya matlab akhaz (derived) kiya hai wo hum yaha bhi likh rahe hai aur aapko bhi ye ilm hoga..
Wahabi k Points
1) Daur E Farooque E Aazam Radi Allahu Anho me dekhiye Barish na hui to Hazrat Umar ne Hazrat Abbas Bin Abu Muttalib Ka Waseela liya is se ye baat saabit hoti hai k Huzoor ka Waseela Jaiz Nahi Agar Jaiz Hota to Hazrat Umar Hazrat Abbas Ka waseela Na lete.
2) Is se ye bhi Pata chala k Waseela sirf Hayat Yaani Zaahiran Zinda Shaks ka hi waseela lena hai baaki Wisal Kar gaye logo ka Waseela Nazaiz o Shirk hai.
3)Hazrat Umar Radi Allaho Anho ka bhi akeeda tha k Waseela ab Huzoor E Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Jaiz Nahi Agar Jaiz Hota to Huzoor Alaihi Salam ka waseela liya hota.
Yehi Bayan kiye gaye 3 ahem points wahabi ye hadees pesh karke awaam me bayan karte hai aur is baat se awaam me galat baat badgumani failate hai k dekho ab waseela zaij nahi hai.
Yaha se bahot gaur se padhe : Tarikhe Islam me piche 1400 saalo se leke aaj tak jitni Aetemad (Bharosemand) Shara e Bukhari likhi kisi ek Muhaddis ne Sharaain ne ye hadees se ye maana nahi liya k baad az wisal ab Huzoor E Akram Alaihi salam ka waseela nazaiz hai. Sabse Pehle Is Akeede ko tarashne waala shaks Gair Mukkalideen ka Allama Ibn Taimya tha usne Is hadees se ye naya masla akhaz kiya aur uske baad bhi kisi muhaddis ne Ibn E Taimya se ittefak na kiya.
Ye Naya akeeda aur khud ki soch paida karke deen me jabardasti daali jaa rahi hai jo Khud me ek biddat e sayya hai is puri hadees me kaheen ek jagah bhi ye nahi likha k Huzoor E Akram Alaihi Salam ka waseela Ab Nazaiz o Haram hogaya hai ye khud ki soch ko hadeeso ki shara banayi jaa rahi hai jo cheez ye wahabi k dimag me nahi samati to usko haram shirk declare kardete hai.
Ab hum yaha Motebar Shara E Bukhari se Jinhe ye wahabi bhi bahot maante hai unki kitabo se is hadees ki shara bayan karenge k un muhadiseen ne is hadees se kya masla likha hai balki khud isi hadees me WASEELA E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM Saabit bhi hai..
Ab Is Hadees pe aasan lafzo me tehkeeki guftgu jo hum step wise bayan kar rahe hai taaki samajhne me kaafi aasani ho ye hadees ko Insha Allah Mukammal Samajh li to waseele pe kisi aur dalil ki hazaat na hogi..
1)Hazrat Umar Razi Allaho Anho ka Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ka Jhubba Zebtan Karna
Imam Jalaludin Suyuti Rahmatullah Alaih Farmate Hain k....
“17 Hijri Me Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Masjid-e-Nabuwi Ko Wasi (Badhaya) Kiya Us Saal Hijaz Me Qahat Pada Gaya Tha
Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Barish k Liye Dua Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho k Waste Se Mangi
Hazrat Ibn Sa'ad Radi Allaho Ta'ala Anho Sahabi-e-Rasool Hazrat Niyar Al Aslami Radi Allaho Ta'ala Anho Se Rewayat Karte Hain k Jab Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Barish k Liye Dua Karne k Liye Bahar Tashreef Laye Tab Unho Ne RASOOL ALLAH Ka Jubba (Perahan/Kurta) Pahna Huwa Tha
Hazrat Ibn Awn Radi Allaho Ta'ala Anho Rewayat Karte Hain k Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ka Haath Liya Or Use Utha Kar Kaha " YA ALLAH Hum Aap Se Dua Mangte Hain AAP K RASOOL K CHACHA k Zariye k Humare Yahan Se Qahat Ko Hata De Or Barish Ata Kar De''
(Ref : IMAM JALALUDIN SUYUTI, TARIKH-UL-KHULFA, Pg : 140)
Agar Koi Kahe k Yeh Waseelah Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ka Hi Tha To Fir Woh Bataye k Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam Ka Jubba (Perahan) Kyu Zebtan Kya...??? Iska jwab Gair Mukallideen de ?
Pata chala k Ambiya Alaihi Salam k tabbarukat bhi dar asal me waseela hai.
2)Hazrat Umar Razi Allaho Anho ne Aakhir Hazrat Abbas Razi Allahu Anho ka waseela hi kyu pakda ??
Hazrat Abbas Bin Muttalib Razi Allahu Anho na to KHULFA E RASHEEDEEN me hai , na to ASHRA E MUBASSHIRA me shamil hai aur na hi MUHAZEERIN me se hai.
Jabki Makam o Martaba k Lihaz se bhi Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Hazrat Abbas Bin Muttalib Se Afzal hai ispe mukhalifeen ka bhi ikhtelaf nahi hai, Ashra E Mubasshara me hai Muhazireen hai Khulfa e Rasheedin bhi hai phir aakhir wajah kya thi ??
i)Hazrat Abbas Razi Allaho Anho ko isliye aage kiya Kyuki SALATUL ISTISQA padhani thi.
ii)Hazrat Abbas Razi Allahu Anho ki NISBAT E TAKADUSS HUZUR E KARIM SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM Se thi ye sabse aham wajah thi jiska zikr hadees me aaya hai.
Iska Jawab Shaikul Islam Allama Ibn Hazar Askalani Rehmatullah Alaihi Ne Fatahul Baari Shara E Sahi Bukhari me diya hai
“Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Dua Kiya " YA ALLAH Beshak Musibatein Nazil Hoti Hai Humare Gunahon Ki Wajah Se Or Humare Astaghfar (Tuaba) Ki Wajah Se Utha Li Jati Hai
Yeh Log Mere Pass Dua Ki Darkhast Le Kar Aaye Hain KYUN K MERI QURBAT TERE RASOOL SE HAI Or Humare Haath Dua k Liye Uthe Hain Humare Gunahon Ko Na Dekh Or Humare Liye Barish Ata Kar De Or APANE RASOOL K CHACHA KI IZZAT Rakh Le....!
Huzoor Alaihi Salam Hazrat Abbas Radi Allaho Anho se aisa sulook karte jaise Beta apne baap se, Farook E Aazam aage farmate hai Aye Logo inki tazeem o taukeer me tum Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ki Pairvi karo aur inhe Allah ki bargaah me waseela banao"
(IBN HAJAR Asqalani , FATAHUL BARI Shara E Sahi Bukhari, Vol: 02, Pg: 577) Scan page niche dekhiye
Fatahul Bari Front Cover
Fatuhool Bari Pg : 577
Hadees k Alfaz Hain APNE NABI-E-PAK K CHACHA K WASEELE SE.....Yahan Rishta Zahir Karne Ki Kya Zaroot Thi...
Agar Hazrat Abbas Ka Hi Waseelah Lena Tha To Unhi Ka Naam Sirf Le Lena Kafi Tha keh dete k ALLAH ABBAS BIN ABU MUTTALIB KA WASEELA Magar "APNE NABI K CHACHA" Kah Kar RAB Se Waseela Kyu Liya Gaya...???
Kyun k Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ki Nisbat/Qurbat NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam Se Thi maloom hua yaha bhi dar asal Hazrat Abbas Razi Allaho Anho ka nahi balki HUZOOR E AKRAM SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE HAZRAT ABBAS KI NISBAT E TAKADDUS KA HI WASEELA LIYA hai.
Phir Farooque E Aazam Radi Allahu anho mimber me Sahaba se farmate hai k Hazrat Abbas Bin Abu Muttalib ka waseela pakdo.
Wo kyu kykui Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam se Nisbat e Takkabdus aur Huzoor Alaihi Salam ka Hazrat Abbas Radi Allaho Anho se Apne waalid ki tarah muhabbat Tazeem o taukeer karna.
Ek Bat Zehan Nashee'n Kar Len k SAHABA-E-RASOOL Ka Amal, Un Ka Qaul, Un Ka Fa'il Sab AINA-E-RASOOL Hai....
Goya k Maloom Huwa k Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Ummatiyon Ko Zehan De Diya Logo Main Ne Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ka Waseelah Liya Jo Un k CHACHA Hain Tumhara Bhi Waqt Aayega To Tum Bhi AULAD-E-RASOOL (SALEHEEN) Ka Waseelah Lena....
Ab Aisa Waseelah Lena Sunnat-e-Sahaba Bhi Ho Gaya...Is Per Jo Amal Kare Woh Sahaba Ki Sunnat Per Amal Karne Se Sawab Ka Bhi Haqdar Ho Jayega...
3) WASEELA SIRF AAMAL AUR HUZOOR E AKRAM ALAIHI SALAM KI ZAAT E MUBARAK TAK NA REH JAAYE Chunanche Imam Subki rahmatullah alaih Is Hadees k tahet likhte hai
“Is Hadees e Paak Se ye pata chalta hai k Swalaheen ka Waseela Zaij Hai, Yaha Tak k Kisi Musalman ne bhi Iska Inkaar nahi kiya, Sirf Wo log jinhone Din me Biddat Izaat ki Hai wo hi Is Waseele k Munkir Hue”
(Ref : Imam Subki As Sifa As Siqam Pg : 377) Scan Page Niche Dekhe
Sifa Siqam Pg 377
Hosakta hai log ye gumaan kar lete k bas jab tak Huzoor e Akram Alaihi salam Baa Hayat Zahiri taur pe the tab tak Huzoor Alaihi Salam ka waseela jaiz tha ab kisi buzurg ka kisi ki nisbat ka waseela jaiz nahi FAROOQUE E AAZAM RADI ALLAHO ANHO k is amal ne is sawal ka bhi hamesha k liye raddh kar diya.
Pata chala k Waseela sirf Ambiya Alaihi Salam tak nahi balki ALLAH K MEHBOOB BANDO KA , NISBAT AUR QURBIYAT Ka bhi jaiz hai aur tamam Sahaba Rizwanallahu Azmain ka ispe ittefak bhi.
CONCLUSION OF THIS HADEES :
1) DAR ASAL WASEELA HAZRAT HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHO ANHO KA WASEELA NA THA BALKI WASEELA NISBAT E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM KA THA JO HAZRAT ABBAS SE AAKA ALAIHI SALAM KI THI. ISLIYE LIYA GAYA K HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHO ANHO HUZOOR AKRAM SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM K CHACHA HAI
2)HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHO ANHO SE SALATO ISTISQA PADHANA THA ISLIYE UNHE AAGE KIYA GAYA NAMAZ PADHANE K IMAM CHAHYE.
3)HAZRAT UMAR RAZI ALLAHO ANHO NE JHUBBA SHARIF PAHEN K IS BAAT KO BHI WAJEH KIYA K HUZOOR ALAIHI SALAM SE NISBAT RAKHNE WAALE TABBARUKAT BHI DAR ASAL ME WASEELA HAI.
4) WASEELA SIRF AMBIYA ALAIHI SALAM KA NA REH JAAYE UMMAT E MUHAMMADIYA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM KA SWALEHEEN BHI WASEELA BAN SAKTE HAI.
5)HUZOOR ALAIHI SALAM KI AHLE BAIT KA WASEELA KHUD SUNNAT E SAHABA HO GAYA.
DUA ME DUROOD E PAAK KA WASILA
Hadees 08 :
Ameerul Momineen Farooque E Aazam Razi Allaho Anho Farmate hai
“Dua Aasman Aur Zameen k Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje”
Reference :
(Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi ﷺ Pg : 29, Hadees : 486)Is Hadees e Paak k Tahet Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Alaihi Rehma Is Hadees ki Shara me likhte hai
“Durood Dua Ki Kabooliyat Balki Bargaahe Ilahi Me Pesh Hone Ka Jariya Hai”
(Ref : Miratul Manajih Vol : 02, Pg : 108)
Agar Huzoor E Akram Alaihi Salam ka waseela na hota to ye dua k darmiyan Hazrat Umar Razi Allahu Anho Durood e Paak bhejne ko kyu kahte ??
Ye Durood kya hai dar asal duao ka waseela hi to hai..
POST 03 : TABBARUKAT - MUKKADDAS MAKAMAT SE TAWASSUL OR BARKAT KA BAYAN
Hazrat Yusuf Alaihi Salam K Kurta E Mubarak Se Tawwasul Barkat :
"Mera Yeh Kurta Le Jao Ise Mere Baap k Muuh par Daalo Unki Aankh Khul Jaygi Aur Apne Sab Ghar Waalo Ko Mere Pass Le Aao"
(Surah Yusuf Ayat 93)
Hazrat Yusuf Alaihi salam apne Bhaiyo se kehte hai mera Kurta le jaao aur Mere Baap Yakoob Alaihi salam k chehre pe daalo wajah kya thi Yakoob Alaihi Salam ki aankhe gume Yusuf Alaihi Salam ki jhudai me khoob roya karte the jis se aakho ki binayi bhi jaati rahi the uske baad aage kya hua Quran ne iske aage ka zikr kiya k wo kurte se hua kya
"Phir Jab Khushi Sunane Waala Aaya Usne Woh Kurta Yakoob K Muuh Par Daala Ussi Wakt Uski Aankh Phir Aayi"
(Surah Yusuf Ayat 96)
Hazrat Yakoob Alaihi Salam bhi Nabi hai Yusuf Alaihi Salam bhi Nabi kya Nabio se badhkar Allah ki Tauheed ko koi samajh sakta hai Yakoob Alaihi salam chahte Dua karte Allah aankhe Ata kardeta Yusuf Alaihi Salam khud Apne Walid k haq me Misr(Egypt) se dua kardete Allah Aankho ki Binayi Ata kar deta magar Apna Kurta Mubarak deke ye Akeeda de rahe hai k Allah Waalo Se Judi Chize bhi Waseela hoti hai agar ye akeeda galat hota Allah ne Aayat nuzool kar dena tha Yusuf ye shirk hai Kurte se aankh Sahi nahi hogi magar jiski Nisbat Allah Waalo se hojaye wo bhi Allah k Nazdeek Makbool Hojati hai aur ye Shirk nahi Quran ki batayi tauheed hai .. Subhan Allah
Sabit hua k Allah Waalo se Nisbat waali chizo ko bhi Allah ne Waseela Madadgaar hona banaya hai warna apna Kurta dene ka matlab kya banta tha ??
Isi lihaj se aaj Sunni Hazraat Buzurgo se jude Tabarukkat ki tazeem o taukeer karte hai aur unhe waseela banate hai apni duao me jo kisi haal me shirk nahi hai.
Hazrat Zakaria Alaihi Salam Ka Hazrat Maryam Radi Allaho Anha k Makam e Mehraab ko Waseela Banana:
"Aur Usse Zakaria Ki Nigahbani Me Diya Jab Zakaria Uske Pass Uski Namaz Padhne Ki Jagah Jaate Uske Pass Naya Rizk Paate, Kaha Aye Maryam Ye Tere Pass Kaha Se Aaya Boli Allah K Pass Se Beshak Allah Jise Chahe Be Ginti De" - (37 ayat)
"Yaha Pukara Zakaria Ne Apne Rab Ko Bola Aye Mere Rab Mujhe Apne Pass Se De Suthri Aulad Beshak Tu Hi Hai Dua Sun Ne Waala" - (38 ayat)
"To Farishte Ne Usse Awaaz Di Aur Wo Usse Apni Namaz Ki Jagah Khada Namaz Padh Raha Tha Beshak Allah Aapko Muzda Deta Hai Yahya ka Jo Allah ki Taraf Se Ek Kalime Ki Tasdeek Karega Aur Sardaar Aur Hamesha k Liye Auraton Se Bachne Waala Aur Nabi Hamara Khasho'n Me Se " - (39 ayat)
(Surah Al Imran Ayat 37 to 39)
Hazrat Maryam Radi Allahu Anha Allah ki makbool Waliya hai Hazrat Essa Alaihisalam ki Walida maazida hai Baitul Mukkadas me Hazrat Zakariya Alaihi Salam ki nigehbaani me rahi waha ek khas jagah mukarir thi jaha Hazrat Maryam Radi Allahu Anha Namaz padhti jo Mehraab e Maryam hai aur Allah ki jaanib se us mehrab me naya naya rizk aata thand me garmi k fal garmi me thand aur bhi tarah tarah ki karamatein nazar aati.
Chand baatein jo kabile gaur hai Hazrat Zakariya Alaihi salam Nabi Alaihi Salam hai is se pehle bhi Baitul Mukkadas me baar baar dua maangte rahe par duaye kabool na hoti jab ye dekha k Mehrab e Maryam Radi Allahu Anha ka makaam Allah k nazdik kabool o makbool hai to Khas Mehrab E Maryam Radi Allaho Anha me jaake namaz padhi aur dua ki hai tab Allah ne dua kabool farmayi Farishte se muzda sunaya , paak aur nek aulad ki basharat farishte ko bhej sunayi k jo Nabiyo me hoga jinhe Hazrat Yahya Alaihi Salam kehte hai pata chala us khas makam me hi dua kabool hui jo Mehraab e Maryam hai.
Jin Makamat ko bhi Allah waalo se nisbat hojaye wo makam (place) bhi Ambiya Alaihi Salam ka wasila banti nazar aati hai ye faisla Quran ka hai ye koi aaj k mangadant akeeda nahi hai ye Quran hai k Allah waalo se nisbat rakhne waale Makam ko bhi Allah Qurb deke apni bargaah ka Waseela bana deta hai.
Subhan Allah
Jaha'n Allah k Nek bande Aur Bandiya Chand din Beth jaaye wo jagah bhi itni kabool aur makbool hojati hai to jaha Allah ka wali apne jism k saath aaram farma ho un mazarat pe jaake unke tawassul ko lena kyu kar shirk hoga.
Allah akal aur samajh ata farmaye.
TABOOT E SAKINA SE TAWASSUL BARKAT :
"Aur Unse Unke Nabi Ne Farmaya Uski Badhshahi Ki Nishani Yeh Hai k Aaye Tumhare Pass Taboot (Sakeena) Jisme Tumhare Rab Ki Taraf Se Dilo'n Ka Chain Hai Aur Kuch Bachi Hui Chize Hain Muazzaz Moosa Muazzaz Haroon k Tarke ki, Uthate Laynge Usse Farishte Beshak Usme Badi Nishani Hai Agar Imaan Rakhte Ho"
(Surah Al Baqrah Ayat : 248)
Is Taboot Sandook e Sakina me the kya ??
"Is Mukkadas Sandook me Hazrat Moosa Alaihi Salam ka Aasa Aur Unki Mubarak Jhootiya (Footwear) Thi Hazrat Haroon Alaihi Salam Ka Imama Sharif Suleman Alaihi Salam ki Anghooti, Tauraat k Takhtiyo k Chand Tukde Aur Mann Wa Salwa, Iske Elawa Ambiya e Kiram Alaihumusalam k tasweer wagairah saman the"
(Ref : Tafseer E Roohul Bayan Vol : 01, Pg : 382 Para 02 Surah Baqrah Ayat 248)
(Ref : Tafseer E Saavi Vol 01, Pg : 209)
(Ref : Tafseer E Jalalain Under Surah Baqrah Ayat 248)
"Bani Israel Is Sandook Ko Apne Aage Rakh K Waseela banake dua maanga karte the to inki duaye makbool hoti thi Aur Is sandook ki barkaat se balaye musibat tal jaaya karti thi, Al garaz yeh sandook Bani Israel k liye Rehmat o barkat ka khazeena, Nusrat e khudawandi k Nuzool ka Nihayat hi Mukaddas Behtareen Zariya Tha"

1) Maloom hua k Ambiya alaihi salam k tabbarukat ki kitni shan o azmat hoti hai jab Moosa Alaihi salam Haroon Alaihi salam se jude tabbaruk aur bhi bahot se tabbarukat ki azmaat o makbooliyat itni zyada hai k Allah ne unka saaf tazkira khud apne Kalam Quran e paak me bayan farmaya un tabburakat se kitni barkat li jaati hai ye bhi bayan hua to aaj hum Sarkare e Do Aalam k jude tabbaruk ka waseela le le ya unse khair o barkat ki ummed rakhe to fauran baddeen wahabi SHIRK ka fatwa lagate hai Allah o Akbar
2) In Tabbarukat ka makam itna buland hua k Allah k Masoom Farishte is sandook ko apne kandho me uthake Hazrat Shamweel Alaihisalam k darbare Nabuwat pe leke pahoonchte hai Is mubarak sandook me Allah ne un Tabarukat k liye farmaya isme DILO KA SUKOON HAI MOMINO K LIYE, aur jaha ye mubarak tabarukat ho waha rehmate Ilahi ka nuzool bhi hota hai isliye Ahle Sunnah ki mazliso me tabbarukat ki jiyarat bhi rakhte hai taake Rehmat e Ilahi ki barish hojaye. Subhan Allah
3) Jis Mubarak Sandook me Ambiya Alaihi salam ki istemal karda chiz hai wo sandook to waseela ban jaaye rehmat o barkat ka jariya ban jaaye to jaha khud Sarkar E Aalam jism e jahiri k saath tashrif farma ho to us mubarak makam Roza e Rasool me kitni khair o barkat or duaye makbool hogi..Subhan Allahpata chala ye akeeda kisi haal me haram kufr o shirk ka nahi hai balki ye to Qurani faisla hai Allah ki batayi Tauheed hai.
Huzoor Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam k Pasina E Mubarak Se Tawwasul Barkat :
Hadees 01:
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anho Farmate hai k Nabi E Kareem ﷺ Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha k ghar tashreef laate aur unke bistar par so jaate or wo waha na hoti Ek Din Huzoor ﷺ tashreef laaye aur unke bistar per so gaye..
Wo aayi to logo ne kaha Huzoor ﷺ aapke ghar tashrif laaye hain or aap k bistar pe so rahe hai
Yeh Sun kar wo aayi to dekha Nabi e pak ﷺ ko pasina e mubarak aa raha hai or pasina e mubarak chamde k bistar per jama hogaya hai.
Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha ne apni Shishi Nikali aur Paseena e Mubarak usme daalni lagi.Nabi e pak ﷺ bedar hue aur farmaya aye Umme Sulaim ye kya karti ho ?
Umme Sulaim ne arz kiya Ya Rasool Allah ﷺ hum apne baccho k liye aapke 'Aarka' e Mubarak k ummidwar hai Nabi e pak ﷺ ne Farmaya Tune Sach kaha
Sahaba Huzur k aarka mubarak ko badan me mal liya karte the tamam Balao se mehfooz raha karte the"
References :
(Sahi Muslim, Kitabul Fazail, Baab - Tibbe Araqun Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam Baab No.204, Hadees :1346)
(Sunan Nasai Vol. 08, Pg : 218, Hadees : 5371)
(Musnad E Abu Yaala Vol : 06, Pg : 409, Hadees : 3769)
(Sahi Ibn E Khuzaimah Vol : 01, Pg : 142, Hadees : 281)
(Sahi Ibn E Hibban Vol : 10, Pg : 387, Hadees : 4528)
(Fathul Baari Shara E Sahi Bukhari - Imam Ibn Hazar Asqalani Vol : 06, Pg :573)
Scan Page of Sahi Muslim Sharif
Masla : Hadees e Paak Se Sahaba e Kiram ka akeeda pata chalta hai k wo Nabi e Karim Alaihi salam k tabarukat ko jama karte aur unse Shifa ki ummid bhi rakhte the Nabi E Karim Alaihi salam ne bhi unke is amal ko pasand farmaya.
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anho ne Apni Wafat k Wakt Wasiyat bhi ki thi Mere Kafan me Wohi Khusbhu Lagayi Jaaye jisme Nabi e Akram Alaihi Salam ka Mubarak Paseena Mila ho.Wassalam k Baal (GESU - HAIR) E Mubarak Se Tawwasul Barkat :
Hadees 02:
Hazrat ibn Seerin Radi Allahu Ta'ala Anhu Farmate Hai Ki Maine Hazrat Ubaida Se Kaha "Hamare Pass Huzoor ﷺ k Kuch Moo-E-(Hair) Mubarak Hain Jise Humne Hazrat Anas Radi Allahu Anho Ya Unke Ghar Waalo Haasil Kiya Hai.
Hazrat Ubaida Radi Allahu Anho Ne Farmaya - Agar Unme Se EK Moo-E-Mubarak Bhi Mere Pass Hota To Wo Duniya Aur Jo Kuch Is Dunya me Hai Un sab se kahin Zyada Mehboob Hota"
References :
[Sahi Bukhari Vol:01, Book : 4 Kitab Al Waju, Pg : 75, Hadees : 171]
[Imam Bayhaqi - Sunan Al Kubra Vol:07,Pg:107, Hadees : 13410]
Hadees 03:
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne Bayan kiya ki maine Dekha Hajjam(Barbar) Huzoor ﷺ Sar Mubarak ki Hajamat Bana Raha Tha Aur Huzoor ﷺ K Sahaba Kiram Radiallahu Anho Azmaeen Aap ﷺ k Ird Gird Ghoom rahe the aur unme se har ek ki yeh koshish thi ki Huzoor ﷺ Ka koi ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Unme Se kisi na kisi k Haath Me Aajayen"
References :
[Sahi Muslim, Vol:04, Pg : 1812, Kitab No 43 : Kitab Al Fazail, Baab No 19 : Huzoor ﷺ ki logon se Karibi aur Huzoor ﷺ k Tabbarukat Se Barkat, Hadees : 2325]
[Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol:19, Pg:363, Hadees : 12363]
[Abd bin Humaid Vol:01,Pg:380, Hadees : 1273]
[Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 07, Pg:108, Hadees : 13411]
Hadees 04 : Israel Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Usman bin Abdullah Bin Muhab ne Kahan Mere Aadmiyo ne Mujhe Paani Katora(BOWL) leke Um Salama Radi Allaho Anha k Pass Bheja
Hazrat Israel ne 3 ungli (choti ungli se ishara kiya Jisme Huzoor E Akram Alaihi Salam k kuch Baal Mubarak the)
Usman Radi bin Abdullah Radi Allaho Anho Bayan karte hai agar koi shaks Buri Nazar ya Dusri Bimariyo me mubtela hota to Pani ka katora leke Um Salama Radi Allaho Anha k paas jata.Um Salama k pass Huzoor k Kuch Baal The aur Usme kuch Baal Laal Red the.
[Sahi Bukhari, Book 77 : Kitab Al Libas, Baab 66 , Hadees 5957]
SAIFULLAH MUJAHID E AAZAM AL ISLAM HAZRAT KHALID BIN WALEED RADI ALLAHU TA'ALA ANHO KI JUNG MOO-E-MUBARAK K LIYE :
"Hazrat Khalid Bin Waleed Radi Allahu Anho Ki Topi Me Huzoor k Chand Muqaddas Bal Siley Huey They Kisi Jung Me inki topi Sar Se Gir Pari to Aap ne Jabardast Hamla Kiya k Bahot Se Mujahideen Shaheed Hogaye Aapke lashkar waalo ne Ek Topi k liye itne shaheed hamlay ko pasand nahi kiya logon ka tana sun kar Hazrat Khalid Bin Waleed Radi Allahu Anho ne Farmaya k maine TOPI K LIYE HAMLA NAHI KIYA BALKI MERE IS HAMLE KI WAJAH THI MERI IS TOPI ME HUZOOR K MOO-E-MUBARAK (BLESS HAIR OF PROPHET) HAIN MUJHE YE ANDESHA HOGAYA K MAIN IN BARKATO SE KAHIN MAHROOM NA HOJAON AUR YE KUFFAR K HATHON ME NA PAHUCH JAAYE IS LIYE MAINE APNI JAAN PAR KHEL KAR TOPI KO UTHAKAR HI DAM LIYA"
[As Shifa Bi Tareef Huqooq Ul Mustafa Vol:02, Pg : 57]
Shaykul Islam Allama ibn Hajar Asqalani likhte hai
"Is Baat se ye pata chalta hai k ye Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam k Moo-e-Mubarak Se Barkat lena jaiz hai"
[Ibn Hajar Asqalani Fath Ul Baari Shara E Sahi Bukhari Vol:01,Pg:274]
rukat In Hadees e Paak se Chand Masail pata chalte hai
1) Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain Huzoor e Akram alaihi salam k tabbarukat ki kitni taazim karte the k Khalid Bin Waleed Radi allaho anho to jung me bhi wohi topi ki barkat se fateh paate.
2) In Tabbarukat ko apne pass rakhna khud Sahaba ki sunnat hai.
3) Allama Badrudin Aini Alaih Rehma ne Shara e Bukhari me likha hai is hadees ki shara me k Hazrat Anas Radi allaho anho ne Huzoor e Akram alaihi salam k Paseena e Mubarak me Mili hui Khushboo ko apne kafan me lagane ki wasiyat isliye ki thi k unka akeeda tha ki iski wajah se wo tamam takalif se mehfooz rahenge.
4) Khud Sahaba e Kiram ka mamoor raha k wo Huzoor Alaihi salam k Baal Mubarak ko Bimario se shifa dena ka waseela samajhte the warna kya jarurat thi Um Salama Radi Allaho Anha k pass jaane ki Bimar the chahte to dawa ilaaz karte Allah Se dua karte par Nabi Alaihi Salam k Moo e Mubarak ko Shifa aur Barkat ka bais samajhna Sahaba ka Akeeda hai Shifa Allah hi deta hai beshak magar wo Qadir hai bina waseela bhi de de aur chahe to waseela se dede.
4) Imam Qastalani alaih rehma ne Irshadul Qari Shara e Sahi Bukhari me likhte hai "log Huzoor Alaih salam k Moo e Mubarak ko Paani me daalte aur us paani ko is tarah se shifa hasil karte kabhi us paani se gusl kar lete kabhi pee liya karte"
pata chala k sahaba k akeeda bhi yehi tha k wo Tabbarukat ko barkat o waseela banate the. Subhan Allah
Huzoor Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam k JHUBBE Mubarak Se Tawwasul Barkat :
Hadees :
“Hazrat Asma Binte Aboo Bakar RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Ghulaam Hazrat Abdullah Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Mujhe Hazrate Asma RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Jubba Mubarak Ke Mut’allik Bataaya Aur Farmaya :
Yah Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Jubba Mubarak Hai Aur Phir Unhone Ek Jubba Nikaal Kar Dikhaaya Jo Mota Dhaareedaar Kisarwaani (Kisra Ke Badshah Ki Taraf Mansoob Hai) Jubba Thaa Jis Ka Girebaan Deebaaz (Qeemti Kapde) Ka Thaa Aur Us Ke Daamanon Par Deebaaz Ke Sinjaaf (Qeemti Kapade Ki Jhaalar) The Hazrat Asma RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Farmaya :
Yah Mubarak Jubba Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Paas Un Ki Wafaat Tak Mahfooz Raha, Jab Un Ki Wafaat Huee To Yah Meine Le Liya.
Yahi Wo Mubarak Jubba Hai Jise Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Pahante The.
To Ham Use Dho Kar Us Ka Paani Bimaaron Ko Pilaate Hain Aur Us Ke Zareeye Shifa Talab Ki Jaati Hai.”
References :
[Sahih Al-Muslim, Vol-03, kitabul Libas Wa Zeenah , Page-801-802 Hadees-2069]
[Aboo Dawood As-Sunan, Vol-04, Pg-49, Hadees-4054]
[Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol-02, Pg-423, Hadees-4010]
[Shuab-ul-Iman, Vol-05, Pg-141, Hadees-6108]
Sahi Muslim, pg : 809 , Hadees 2069
1) Huzoor Alaihi salam k jism se Mas hojaye jo kapda Sahaba e Kiram Alaihi Rizwanullahi Alaihim Azmai us jhubba mubarak ko bhi Allah ki bargaah me barkat or waseela samajhte the.
2) Pata Chala k Allah k Nabi Alaihi Salam k jism e Mubarak se nisbat rakhne waali chiz bhi bando ko Shifa deti nazar aati hai.
3) Aaj jo Nam e Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam k Munkir hai kya unhe Bukhari or Muslim ki ye hadeese nazar nahi aati.
Kisi Shayar ne khoob kaha hai
JO ISHK E NABI CHODH PADHTE HAI BUKHARI
AATA HAI BUKHAR UNHE BUKHARI NAHI AATI
POST 04 : Waseele k talluk se Salf Swalaheen Buzugane Deen k Akeede yaha hum unke wakt k saath pesh kar rahe hai .. Mulahiza farmaye
01) Noman Bin Saabit Imam E Aazam Abu Hanifa Rahmatullah Alaihi (80 Hizri - 150 Hizri) :
Aye Sayyadus Sadat ! Main Aapke Pass Kasd Kar K Aaya Hoon.
Mai Aapki Khushnoodgi ka Ummid Waar Hoon Aur Aapki Panah Gaah me Panaah Guzin Hoon.
Aapki Wo Jaat Hai Aap Na Hote To Koi Aadmi Paida Na Kiya Jaata Aur Koi Na Koi Makhlook Aalame Wazood Me Aati.
Mai Aapke Joode Karam Ka Ummidwaar Hoon Aapke Siwa Tamam Makhlook Me Abu Hanifa Ka Koi Sahara Nahi.
(Qasida E Nomaniya) 02) Imam Malik Radi Allaho Anho (Born 90 to 179 Hizri) :
Khalifa Abu Jafar Mansoor Madina Sharif Tashreef Laaye Aur Inhone Imam Malik Radi Allaho Anho Se Sawal Kiya ki Mai Dua Mangte wakt apna rukh Kaabe Ki taraf rakhu ya phir NABI SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM Key ROZA E MUBARAK ki taraf, Is par Imam Malik Ne Kaha Ki Tum Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam ki taraf Rukh Karlo kyukay yehi hamare Zariya hai Aakhirat me Shafaa’t Ka Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Waseela abhi talab karo taaki aakhirat me bhi hume inka waseela mile.
(Qazi Al Ayaz ne Sahi Sanad se ASH SHIFA Vol : 2 Pg : 596)
(IMAM Taqyudin Subki ne Shifa Us Siqam Fi Ziyaratil Khar Il Anam)
(Imam Samhudi ne Khulasat Ul Wafa)
(Imam Qastalani ne Al Mawahibul Laduniyyah)
(Ibn Jamaah Ne Hidayat Us Salik)
(Ibn Hajar Haythami ne Al Jawarul Munazzam)aaj hum Sunni Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam k saamne haath uthake dua karle to hume Mushrik hone ka fatwa wahabi dete hai kya fatwa denge wahabi Imam Malik par Qazi Al Aayaz Alaihi Rehma Azmain par ?? 03) Imam Muhammad Bin Al Munkadir (Al Mutwaffah 205 Hizri)
Mashoor Hafizul Hadees Hazrat Muhammad Bin Al Munkadir Rahmatullah Alaihi Bayan karte hai
“Ek Shaks Ne Mere Waalid k Pass 80 Deenar Bataur Amanat Rakhe Aur Ye Kehkar Chala Gaya k Mere Zihad Se Waapas aane tak agar Tumhe Iski Zarurat pade to kharch kar lena. Kahet Saali me Walid ne wo rakam kharch kar daali wo shaks zihad se aaya aur apni rakam ka mutalba kiya Walid ne unse waada kar liya k kal aana aur raat Masid E Nabvi Sal Allahu Alaihi Wassalam me guzari kabhi Roza E Akdas se lipte kabhi mimber se chimte isi haal me subah kardi abhi thoda andhera tha ek shaks namudar hua aur keh raha tha AYE ABU MUHAMMAD ye lo walid ne haath badhaya to kya dekhte hai thaila (bag ya Jhola) me 80 deenar hai subah me walid sahab ne wo deenar us shaks ko de diye”
(Imam Samhoodi ne Al Wafa Ul Wafa Jild : 01, Pg : 1380-1381)
04) Imam Abu Abdullah Imam Waqidi (Born 130 to 207 Hizri) :
Islam ki Tareekhi aur Mashoor Jung e Yarmook pe Fateh paane k liye Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka Huzoor E Akram Alaihi Salam ka Waseela “Ameerul Momineen Farooque e Aazam Radi Allahu Anho ne ek khat Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho k haath Hazrat Abu Ubaida ibn Jarrah Radi Allaho Anho k pass bheja. Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho Roza e Rasool par Jaane se pehle Hazir Hue waha Ummol Momineen Hazrat Ayesha Siddika, Hazrat Abbas Wa Hazrat Ali Wa Hazrat Imam Hasan Wa Hazrat Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain hazir the Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho ne unse Jung E Yarmook pe fateh paane k liye dua karne ko kaha Hazrat Ali Wa Hazrat Abbas Radi Allaho Anho ne Haath uthake dua Maangi
“YA ALLAH Hum Us Nabi Mustafa Aur Rasool E Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam jinke Waseele se Aadam Alaihi Salam ki dua kabool hogayi aur Allah ne unhe maaf farma diya inhi k waseele se dua karte hai k tu Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho k raste ko aasan farma aur door ko nazdik karde aur apne Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam k ashaab ki madad ata farma aur unko fateh ata farma.
Iske Baad Hazrat Ali Radi Allaho Anho ne Hazrat Abdullah bin Karaa’t Radi Allaho Anho se farmaya ki ab aap jaaye Allah Taa’la Ummol Momineen Hazrat Ayesha Siddika, Hazrat Abbas ,Hazrat Imam Hasan, Hazrat Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain ki dua ko raddh nahi farmayga in logo ne Allah ki bargaah me us Nabi Alaihi Salam Ka waseela pakda hai jo AKRAMUL KHALK hai ”
(Imam Wakdi ne Futuhaat-e-Sham Jild 01, Pg : 105)
Hai koi wahabi jo lagaye sahaba e Kiram pe fatwa Imaam Wakdi Radi Allaho Anho pe fatwa. 05) Imam Shafai Radi Allahu Anho (Born 150 to 204 Hizri) :
Hazrat Imam Shafai Radi Allaho Anho Ne Farmaya Ki Mai Imam Abu Hanifa Se Barkat Hasil Karta Houn Aur Unki Qabr Ke Paas Aata Houn. To Jab Mujhe Koi Hajat Pesh Hoti Hai To Mai Do Rakaat Namaaz Padta Houn Aur Unki Qabr Ke Paas Allah Taala Se Duaa Karta Houn To Hajat Jald Puri Ho Jati Hai.(Khatib Bagdadu ne Sahi Sanad Se Tarikh E Baghdad Jild 01 Pg : 123)
(Ibn Hajar Al Haytami ne Al Khayratul Hisan Fi Manaqib Al Imam Al Aazam Abu Hanifah Pg 94)
(Muhammad Zahid Al Kawthari ne AL Maqalat pg : 381)
(ibn Aabideen As Shami Ne Raddulmuhtar Zild : 1, Pg. 41)
“Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ka Gharana hamari zindagi me Waseela hai Zindagi k baad bhi, Unke Zariye se mai ummid karta hu baroze Mehshar Allah mere Naam e Aamal Sidhe haatho me dega”
(Diwan E Imam Shafai Pg 162, Ashar 34, Print Darul Fikr, Lebanon Beirut 2005) 06) Imam Ahmad Bin Hambal Radi Allaho Anho (Born 164 to 241 Hizri)
Abdullah Bin Ahmad Bin Hambal Rahmatullah Alaihi Farmate hai Maine Apne walid Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Radi Allaho Anho Se Suna k Farmate hai “Maine 5 hajj kiye, 3 Hajj Paidal safar karke aur 2 Haj Sawari se ya ye farmaya 2 Haj Paidal aur 3 sawari se, Ek baar Jab Mai Paidal Tha mai Apna Raasta Bhul Gaya maine nida (Awaaj) lagayi Aye Allah K Bando Mujhe Sidhi Raah Dikhao, Mai ye kahta Raha aur apni manzil par aagaya”
[Imam Baihaqi ne Shu’ayb ul Iman, Vol : 6, Pg No 128, Hadees : 7697]
Al Mardavi Rahimullah Farmate Hai “Hambali Mazhab k nazdeek ye amal jaiz o durust hai k apni duao me Swaleehin ka tawassul le ye mustahab amal hai. Imam Ahmad Radi allaho Anho ne Al Marwaji se farmaya ‘ k logo ko Duao me Huzoor Alaihi Salam ka tawassul lene do k ye Allah se kurbiyat ka jariya hai”
(Al Insaaf vol : 02, Pg : 456)
(Ibn Taimya ne bhi isko apne fatawa Al Majmua Al Fatwa Vol : 01, Pg : 140 pe likha)
07) Imam Ibn Abi Shaybaah (Born 159 Hizri to 235 Hizri) Malik Ad Dar Se Rivayat hai, Hazrat Umar Radi Allahu Anho k Daur e khilafat me ek martaba Kahat (Sookha) Pad gaya to Hazrat Bilal Bin Haaris Mazni Radi Allahu Anho Roza E Anwar Par Hazir Huwe Aur Arz Kiye : Ya Rasool Allah Sal Allahu Alaika Wassalam ! Aapki Ummat Halaak Ho Rahi Hai, Barish Nahi Hoti. Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Unhe Khwab Me Mile Aur Farmaya Aye Bilal ! Umar K Pass Jao. Usse Mera Salam Kaho Aur kah do ki barish hojaygi. Umar se ye bhi kehna ki kuch Narmi Ikteyar Kare (Yaha Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ne isliye Farmaya ki Hazrat Umar Farooque Radi Allaho Anho ki khidmat me Hazir huwe aur Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Salam Wa Paigam Pahucha Diya. Hazrat Umar Radi Allaho Ta'la Anho Yah Salam Aur Paigam E Mehboob Paakar Pahucha Diya. Hazrat Umar Radi Allaho Taa'la Anho Yah Salam Aur Paigam E Mehboob Paakar Roye Aur Kaha. "Aye Allah, Mai Apni Puri Koshish karta Hu, Jab Tak Ki Mai Thak Na Janam" Aur Fir Barish Khoob Huwi. [Al Musannaf ibn Abi Shaybah Vol : 11, Pg No : 118, Hadees : 32538, Published by Maqtabah Ar Rashid, Riyadh, Saudi Arabia]
Kon Hai Imam Ibn Abi Shaeba hum jaante ye hadees hazam nahi hogi wahabio ko Imam Abi Shaeba ustad hai Imam Bukhari & Muslim, one of the Peer of Imam Ahmad Ibn Hambal Radiallahu anho azmain k lagao Imam Abi Shaeba pe fatwa hai himmat to ?? 08) Imam Abu Hatim Muhammad ibn Hibban Imam Ibn Hibban (Al Mutwaffa 354 Hizri)
Imam Ali Raza Ki Qabr Par Jaane Aur Unke Tawassul K Baare Me Imam Ibn Hibban Likhte hain Ki "Jab Bhi Mai Kisi Musibat Me Hota To Ali Bin Moosa Radi Allahu Alaihi ki kabr pe chala Jaata aur Unke Waseele Se Dua karta Allah unke Dada Par Rahem Farmaye Aur Allah Se Kehta Ki meri pareshani ko door karde. Is Cheez ko maine aksar kiya aur ye asardar paaya" [Sahi Ibn Hibban, Kitab ul Sikaat, Vol : 08, Pg : 456-457, Hadees : 14411, Published by Al Kutoob Al Thamafiyah, Hyderabad Deccan, India] 09) Abul Qasim Suleman bin Ahmad bin Al Tabrani Imam Tabrani (Born 260 Hizri - 360 Hizri) : Imam Abu Bakr Makri Rahmatullahi Alaihi kehte hai mai aur Imam Tabrani aur Abu Shaikh teeno harme Nabvi Sal Allahu Alaihi Wassalam Pe Faake se the jab Isha ka Wakt aaya Maine Roza E Akdas pe haazir hoke arz kiya YA RASOOL ALLAH Sal Allahu Alaika Wassalam ! Hum Log Bhuke Hai Aur ye keh ke mai laut aaya. Imam Tabrani Ne mujhse kaha betho RIZK aayga Ya MAUT. Imam Abu Bakr Makri farmate hai Mai Aur Abu Shaikh to sogaye par Imam Tabrani bethe rahe ek Alvi ne aake Darwaja khat khataya. Humne Khola to phir kya dekhte hai uske saath do gulam the dono k haath me khane se bhari thokri hai jo bahot kism k khano se bhari hai. Hum logo ne khana khaya aur socha k bacha khana us gulam ko de dein taaki le jaaye magar wo baaki khana bhi hamare pass chod gaya khane se farig hoke us ALVi ne humse pucha kya aap logo ne RASOOL ALLAH SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM se khane ki faryaad ki thi ? Kyuki Mujhe Rasool Allah Sal Allahu Alaihi Wassalam ne khwab me hukm diya tha k tumhare pass kuch khana le jaaye. (Imam Samhoodi ne Al Wafa Ul Wafa Jild : 01, Pg : 1380/1381) [AL-HAFIZ IBN JAWZI, KITAB AL WAFA, PAGE 818]
10) Imam Abu Abdullah Muhammad ibn Abdullah Imam Hakim Al Nishapuri (Born 321 Hizri to 401 Hizri)
Yahya Bin Yahya par tehqiq se Imam Ibn Hajar aur Imam Hakim ka Aqeeda hai ki Awliya ki Qabro par jaakar Waseela lena jaez hai:
Ibn Hajar likhte hain ki Imam Hakim ne kahai ki maine Abu Ali Nishapori se suna tha ki ek bar wo bahot zyada sadme me the, tab unhone Nabi sallallaho alaihe wasallam ka khwab me deedar kiya, aur Nabi sallallaho alaihe wasallam ne hukm farmaya ki Yahya Bin Yahya ki Qabr ke paas jaao, aur istighfar karo aur unke Waseele se madad mango,
Abu Ali Nishapori farmate hain ki maine aisa kiya to meri pareshani door ho gayi.
[Ibn Hajr, Tahdhib ut-Tahdhib Volume 004, Page 398]
10) Imam Abu Bakr Ahmad bin Hussain Imam Bayhaqi (Born 384 Hizri to 458 Hizri)
Imam Bayhaqi Ka akeeda
Hazrat Abu Ishaq Ash'ari Radi Allahu Anho farmate hain, Madina me hamare sath ek admi rehta tha, jab bhi wo Kisi burai ko dekhta aur usey apne hath se rokne ki quwwat na rakhta, tab wo Huzur sallallaho alaihe wasallam ki Qabr ke paas chala jata aur is tarah kehta ki
"Aye Sahib-e-Qabr, Nabi sallallaho alaihe wasallam, Aye Sahaba, Aye hamare madadgar, hamare halaat ko dekhiye"
[Shua'b ul Iman by Imam Bayhaqi, Publish: Maqtabah ar-Rashad, Riyadh/Saudia Hadith Number 3879]
11) Imam Muhammad ibn Muhammad Huzzatul Islam Imam Ghazali
(Born 450 Hizri to 505 Hizri) Imam Ghazali Alaih Rehma Farmate hai "Jab Bhi koi Shaks Musibat Me Ho To Wo Qabr Waalo se Madad Maange, Jo Ruhani Taqat Waale Hote Hain aur isme koi shak nahi k unki kabr ki jiyarat se roohani madad milti hai aur faiz haasil hota aur bahot baar jab unka waseela ALLAH ki bargaah me pesh kiya jaata hai to Musibato ko khatm kar diya jaata hai" [Tafseer e Roohul Maani Vol 30, Pg : 24]
12) Peeran E Peer Sayyad Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi Huzoor Gausul Aazam (Born 470 Hizri to 561 Hizri)
Hazarat Allama Nooruddin Shatnaufi R.A. Farmate Hai Ki Khabar Di Ham Ko Abul Hasan Bin Zakariya Bagdadi Ne. Unhone Kaha (629 Hizri) Me Ham Ko Qaziyul Qaza Abu Saleh Bin Hafiz Abu Bakr Abdurrazaq Bin Shaikhul Islam Muhayyuddin Abu Muhammad Abdul Qadir Zilani Radiallahu Ta’aala Anhu Ne Bagdad Me Khabar Di. Unhone Kaha Hamko Shaikh Abu Abdurrazzaq Ne Khabar Di Aur (690 Hizri) Me Hamko Shaikh Abu Muhammad Alhasan Faqiya Abu Imran Musa Bin Ahmad Bin Alhasan Karshi Shafaee Ne Kaahira Me Khabar Di. In Dono Ne Kaha Ki (613 Hizri)Me Hamko Shaikh Peshwa Abul Hasan Karshi Ne Damishq Me Khabar Di Ki Maine Shjaikh Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani Radiallahu Ta’aalal Anhu Se Suna Wah Farmate The. “Jab Tum Allah Ta’aala Se Koi Hajat Talab Karo To Mere Wasile Se Talab Karo.”
(Ref : Bahjatul Asrar Pg: 23)
13) Abul Faraz ibn Al Jawzi Imam ibn Ul Jawzi (Born 508 Hizri 597)
“AUR Ibrahim Bin Ishaq Harabi Ki QABR SABKE KAY LIYE KHULI HAI,LOG YAHA SE FAIZ PAATE HAI”
(Ibn Jawzi Sufi Sifat Us Safwaah Jild 02 , Pg : 266)
“HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM ki dua waseela e Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam se kabool hui”
(Al Wafa Bi Ahwal lil Mustafa Jild : 01, Pg : 33)
14)Sayyad Moinudinn Chisti Hasan Sanjari Sultanul Hind Khwaja Garib Nawaz Alaihi Rehma (Born 536 to Hizri 633)
GANJ BAKSH E FAIZ E AALAM, MAZHAR E NOOR E KHUDA
NAQISAAN RA PEER E KAAMIL, KAAMILAAN RA RAHNUMAN
ye sher khud Hazrat Moinudin Chisti Alaih Rehma ne Hazrat Ali Hazveri k mazar e akdas par likha hai jo Hindustan me sabse zyada Islam ki khidmat kare wo khud kya shirk ki taalim dega ?? 15) Abu Zakaria Mohiuddin Yahya Sharaf Al Nawawi , Imam Nawawi As Shafai (Born 631 - 676 Hizri Imam Nawawi wo hai jinki shara e muslim kaafi mashoor o maroof kitab hai Al Minhaj Bi Shara e Muslim, Riyadhusalahin k musannif apni kitab me Al Idaah k 6th Baab me Waseele pe behas ki, kitab Al Azkaar Pg 212 Waseele k jawaz saabit kiya.
16) Qari Sufi Hamidudin Nagaori Rehmatullah Alaihi (Al Mutawaffah 677 Hizri)
Aap Farmaya Karte The Jis Shakhs Ko Koi Hajat Darpesh Ho Wah Meri Biwi Sayyada Khadija Ki Qabr Par Jakar Arz Kare Kyun Ki Aap Ne Kisi Hajatmand Ko Apne Darwaje Se Mahrum Nahi Kiya
(Sultanuttarikn Pg.93)
17) Muhammad bin Ahmad Imam Dhahabi or Imam Jahabi (Born 673 Hizri 748)
Imam Dhahabi Shagird Ibn Taymiya Samarkand ka Ek Wakya Naqal kiya hai aapne aur kaha Imam Bukhari kay kabr Par Jaakar Waseela talab kare Aur Bilkul logo ne aisa hi kiya, Imam Bukhari Ki Kabr PAr Pahuche waseela talab kiya tab usi wakt Allah Taa'la ne barish kay badalo'n ko bhejdiya. [As Siyar Al Alam An Nabula Vol : 12, Pg : 469] 18) Khatib Al Tabrezi Mussanif Mishkat Al Masabih ( Al Mutwaffa 741 Hizri)
Hazrat Aliyul Murtaza Radi Allaho Anho ki Mauzoodgi me kisine kaha Aye Ameerul Momineen Lanaat bhejiye Sham (Syria) Par
Aliyul Murtaza Radi Allaho Anho farmate hain mai laanat nahi bhejunga Maine Nabi sallallaho alaihe wasallam se suna k waha
‘Abdaal’ raha karte hai aur unki tadad 40 hai un Abdalo me se jab koi ek wisal karta hai to Allah uski jaga dusra muqarrar kar deta hai,
Inke Wasile se tumhe Rizk diya jaata hai Barish Hoti hai aur
Inke Wasile se Jang me fateh milti hai,
aur inke Wasile se Sham walo par se Azab dafa kiya jata hai."
(Miskaat Al Masabih jild 03 , Kitab Al Fitan , Baab :Zikre Yamani Shami Wa Owais karni, Hadees : 6015) 19) Muhammad Ibn Al Haj Al Abdari Al Maliki
Imam Ibn Al Haj Al Maliki 7th Century Mujadid (Born 670 Hizri - 756 Hizri)
Imam Ibn Al-Haaj Alaih Rehma ne Ziyarat-e-Auliya ke talluq se ek mukammal chapter likha hai, isme likhte hain, Mutallim(Students) ko Auliya aur Saliheen ki Ziyarat-e-Karte rehna chahiye, ki inki ziyarat se Dilo ko zindagi milti hai, logo ke dil khil jate hain, jaise ki Barish se zameen khil jati hai. Inki duayen Allah ki bargah me hamesha maqbul hoti hai, Allah inki duayen aur niyaten kabhi radd nahi karta, aur jo log inki mehfilo me shirkat karte hain aur jo llog inse Muhabbat karte hain, wo isliye ki ALLAH aur RASOOL ke baad ye Auliya rhmat hain. Jo har insan ke liye hain,
to jis kisi me ye khobiya ho to jaldi hi aise shaks se faizyab ho, aur unse barkat hasil karen, jo inse mulaqat karte hain wo Behtarin Ilm aur zehniyat hasil karte hain jise samjhaya nahi ja sakta. Isi maane ke tehet aapne kuch logo ko Ilm aur wajd me Bakhoobi dekha hoga, jo bhi in tabarrukat ki tazim karta hai, wo kabhi inki barkat aur rehmat se door nahi hota. Lekin shart ye hai ki jo inse faizyab hona chahe, wo Sunnato ka paband ho, aur uske amal se sabit ho.
[Imam Abu Abdullah Ibn al-Haaj al-Maliki, Al-Madkhal Volume 002, Page No. 139, Publish: Dar-al-Turath, Qahira]
20) Allama Muhammad Al Jazri (Born 751 to 833 Hizri)
Adab e Dua likhte hai
"Har Shaks ko Dua me Ambiya aur Salehin ka Waseela lekar dua mangni chahiye.
(Kitab ke akhir me Imam Ibn Jazri rehmatullah alaihe farmate hain)
Dua puri hone ke baad Insan ko apne chehre par hath pher lena chahiye.
[Al Hisnul Hiseen, Page No. 25]
21) Al Hafizh Shihabuddin Abul Fazl Ahmad ibn Hajar Asqalani (Born 773 Hizri to 852 Hizri)
.“Fir Hazarat Umr R.A. Ne Logo Ko Khitab Karte Hue Farmaya Ki Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Hazarat Abbas Ke Sath Waisahi Suluk Karte The Jaisa Ki Beta Apne Baap Ke Sath Karta Hai. Lehaza Aye Logo! Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chacha Hazarat Abbas Ke Sath Huzur Ka Tarika Apnao Aur Unhe Khuda-E-Ta’ala Ki Bargah Me Wasila Banao.
(Fatahul Bari, Sharah Bukharee Zild 2, Pg.413) 22) Abul Fazl Abdur Rehman ibn Abu Bakr Jalaluddin Suyuti As Shafafi (Born 849 Hizri to 911 Hizri) Imam Jalaludin Suyuti As Shafai Mujadid apne sadi k apni tafseer ki kitab Durre Mansoor me Hazrat Adam Alaih Salam ki dua Waseele e Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam se saabit ki. Khasaisul Kubra Me Waseela ka Jawaz likha hai.
23)Allama Saavi Maliki Rehmatullah Alaih Ka Akida
Aap Ayate Karima “Wabtagu Ilaihilwasila” Ki Tafsir Me Farmate Hai Ki Auliya Allah Ki Ziyarat Ke Sabab Musalmano Ko Is Khyal Se Kafir Kahena Ki Un Ki Ziyarat Allah Ke Alawah Ki Ibadat Hai Sarasar Gamrahi Aur Khuli Hui Halakat Hai.(Auliya Allah Ki Ziyarat Allah Ke Alawahki Ibadat) Hargiz Nahi Balki Yah ‘Alhubbu Fillah’ Yani Allah Ki Mohabbat Me Se Hai.
(Ref : Tafsire Saavi Jild : 01, Pg.245)
24) Hazrat Khwaja Muhammad Nizamuddin Auliya (Al Mutawaffa 725 Hizri)
Aap Ne Farmaya Ki Maulana Katheli Ne Mujh Se Bayan Kiya Ki Dilli Me Ek Saal Kahat Padaa. Mai Kirbasi Bazaar Se Gujar Raha Tha Aur Bhukha Tha. Maine Khana Kharida Aur Khud Se Kaha Ki Is Khane Ko Tanha Nahi Khana Chahiye. Kisi Ko Bulakar Khane Me Usko Bhi Sharik Karoo. Ek Kamali (Chadar) Wale Fakir Ko Maine Dekha Jo Gudrhi Pahene Hue Mere Samne Se Gujar Raha Tha.Maine Usse Kaha Ki Aye Mere Khwaja! Mai Darvesh (Fakir) Hun Aur Tum Bhi Darvesh (Fakir) Ho. Aur Mai Garib Hun Aur Tum Bhi Garib Dikhaee Dete Ho. Kuch Khana Maujud Hai Aao Milkar Khayen. Wah Darveah Razi Huwe. Hum Nanbai Ki Dukan Ke Upar Gaye Aur Khana Khaya.
Is Douran Mai Us Darvesh Ki Taraf Mutawajjah Huaa Aur Kaha Aye Khwaja! Mujh Par Bis Rupeeya Karz Ho Gaya Hai Mera Wah Karz Adaa Hona Chahiye. Us Darvesh Ne Kaha Tum Aaram Se Khana Khao. Mai Bis Rupya Tum Ko Deta Hoo. Maulana Katheli Ne Kaha Ki Mere Dil Me Aaya Ki Is Fate Haal Shakhs Ke Paas Bis Rupya Kaha Se Honge. Jo Mujh Ko Dega. Algarz Jab Khana Khaa Chuke Wah Uthe Aur Apne Sath Mujh Ko Le Chale. Wah Masjid Ki Taraf Gaye.Masjid Me Ek Qabr Thi Uske Sarhane Khade Hokar Unhone Kuchh Manga. Aur Ek Chhoti Lakdi Unke Hath Me Thi Aahista Se Usko Dobara Qabr Par Mara Aur Kaha Is Darvesh Ko Bis Rupye Ki Jarurat Hai Isko Do Yah Kaha Aur Meri Taraf Muh Kar Ke Mujh Se Kaha Maulana ! Wapas Jao Bas Aap Ko Bis Rupye Mil Jaenge.
Maulana Katheli Ne Kaha Jab Maine Yah Baat Suni Us Darvesh (Fakir)Ka Hath Chuma Aur Un Se Juda Ho Kar Shahar Ki Taraf Chal Padaa. Mai Us Waqt Hairat Me Tha Ki Wah Bis Rupye Mujhko Kaha Se Mil Jaenge. Mere Paas Ek Khat Tha Jo Kisi Ke Ghar Par Mujhe Dena Tha. Us Din Wah Khat Lekar Darwaje Kamaal Pahuncha. Ek Turk Apne Ghar Ke Chhajje Par Baithha Tha. Us Ne Mujh Ko Dekha Aur Aawaz Di Aur Apne Gulamo Ko Daudaya Wah Mujhe Puri Koshish Se Upar Legayen.Us Turk Ne Mujhe Bahot Khush Kiya. Maine Har Chand Koshish Ki Magar Us Ko Nahi Pahchan Saka. Wah Turk Yahi Kahta Kya Tum Wah Akalmand Nahi Ho Jis Ne Falaa Jagah Mere Sath Bahut Neki Ki Thi. Maine Usse Kaha Mai Tum Ko Nahi Pahchanta. Usne Kaha Mai Tumko Pahchanta Houn.Khud Ko Kyun Chhupate Ho. Algarz Is Kism Ki Bahut Si Baate Ki. Uske Baad Bis Rupye Laaya Aur Badi Guzarish Ke Sath Mere Hath Me De Diya. (Fawaaidul Fawaad Majlis 21 Pg.124)
25)Allama Nuroodin Abdul Rehman Jaami Alaihi Rehma (Al Mutwaffa 898 Hizri)
Aap Likhte Hai Ki Hazarat Shaikh Abulhaarish Olasee Rahimullah Ne Bayan Farmaya Ki Maine Hazarat Zunnun Misri Alaihi Rehma Ki Bahut Shohrat Suni Thi. Chand Maslo Ke Hal Karne Ke Liye Maine Un Ki Ziyarat Ka Irada Kiya. Jab Mai Misr Pahuncha To Logo Ne Mujhebataya Ki Unka To Kal Intikal Ho Gaya. Yah Sun Kar Mai Un Ke Mazar Par Gaya Waha Pahuchkar Murakbe (Khuda Ke Dhyan) Me Baith Gaya.Kuchh Der Ke Baad Mujhe Nind Aagaee Khwab Me Unka Didar Huaa Aur Mujhe Jo Mushkil Mas’ale Darpesh The Wah Maine Unse Daryaft Kiye Unhone Un Sab Ka Mujhe Jawab Inayat Farmaya.
(Nafahatul Al Uns Pg.193)
26)Allama Ibne Hajar Al Makki Haythami Alaihi Rehma (909 Hizri - 974 Hizri)
Aap Farmate Hai Ki Hamesha Ulema Aur Hajatmand Ka Tarika Raha Hai Ki Wah Hazarat Imam Aazam Abu Hanifa R.A. Ke Mubarak Mazaar Ki Ziyarat Karte Aur Uske Wasile Se Ada-E-Hajat Chahate Aur Us Jariye Se Kamyabi Ka Yakin Rakhte Aur Muh Mangi Murade Pate The. Iske Ilawa Hazarat Imam Shafaee R.A. Jab Bagdad Me Maujud The Farmaya Ki Mai Imam Abu Hanifa Se Barkat Leta Hu.Un Ki Mubarak Qabr Ki Ziyarat Karta Hu. Jab Mujhe Koi Hajat Pesh Hoti Hai Do Raka’at Namaz Padh Kar Un Ki Qabr Ke Paas Jata Hu. Khudawande Kuddus Aalam Se Wahan Duaa Karta Hu To Fauran Hajat Puri Hoti Hai
(Alkhairatulhisaan Mutarajam Pg.166)
27)Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Alaih Rehma (Born 925 -1052 Hizri)
Hazarat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlavi Bukhari Rahmatullahi Alaihi Farmate Hai Ki Hazrat Imam Shafai Ne Farmya Ki Qabr Duaa Ki Maqbuliyat Ke Liye Anmol Azmai Hui Jagah Hai. (Ref : Ash’atullam’aat Zil.1, Pg.715)
Aap Farmate Hai Ki Qabro Ki Ziyarat Bil Ittefak Mustahab (Behtar) Hai (Ash’atullam’aat Zild: 1 Pg.715)
Aur Farmate Hai Ki Mayyat Ka Ehtaram Us Ki Ziyarat Ke Waqt Wajib Haikhas Kar Buzurgane Din Ka. Aur Adab Ki Ziyarat Un Logo Ke Martabe Ke Lihaj Se Jaruri Hai Jaisa Ki Unki Jahiri Zindagi Me Tha. Is Liye Ki Buzurgo Ki Madad Un Ki Ziyarat Karnewalo Ke Liye Adab Ke Etabar Se Pahunchti Hai
(Ash’atullam’aat Zild: 1, Pg.720)
28) Shah Waliyullah Dehlvi Alaihi Rehma (Born 1114 - 1176 Hizri)
Aap Likhte Hai Ki Walid Giramee (Pita Shree) Shah Abdurrahim Qibla Ne Farmaya. Ek Baar Mai Hazarat Khwaja Qutqbuddin Bakhtyar Kaki Rahmatullah Ta;Ala Alihi Ke Mazar Ki Ziyarat Ke Liye Gaya. Aap Ki Mubarak Ruh Jahir Hui Aur Mujh Se Farmaya Ki Tumhe Ek Farzand Paida Haga. Us Ka Naam Qutubuddin Ahmad Rakhna. Us Waqt Meri Umar Ke Us Hisse Tak Pahuch Chuki Thi Jis Me Aulad Ka Paida Hona Namumkin Hota Hai.Maine Soncha Ki Sayad Is Se Murad Bete Ka Farjand Yani Pota Hai. Mere Is Waham Par Aap Fauran Aagah Hogaye Aur Farmaya Mera Maqsad Yah Nahi Balki Yah Farzand (Jiski Khushkhabri Di Gayi Hai) Khud Tumhare Nutfe Se Hoga. Kuchh Arso Baad Dusre Nikah Ka Khyal Paida Huaa Aur Usi Se Fakir Waliyullah Paida Huaa. Meri Paidais Ke Waqt Walid Majid Ke Jahan Se Yah Waqiya Utqr Gaya. Is Liye Unhone Waliyullah Naam Rakh Diya. Kuchh Arsa Baad Jab Unhe Yah Waqiya Yaad Aya To Unhone Mera Naam Qutubuddin Ahmad Rakkha. (Anfaasul’aarifeen Pg.110)
29) Sayyad Tahtavee Alaihi Rehma (Al Mutawaffa 1231 Hizri)
Aap Farmate Hai Ki Shari’at Ke Khilaf Koi Tarika Ikhtiyar Kiye Bagair Budhi Aurate Buzurgo Ki Qabro Ki Ziyarat Se Barkat Hasil Kare To Koi Harj Nahi. Aur Jo Un Aurto Ke Liye Najaaiz Hai Jaise Ki Un Ka Masjido Me Jama’ato Ke Liye Hazir Hona Jaaiz Nahi.Khulasa Yah Hai Ki Aurto Ke Liye Ijazat Sirf Us Surat Me Hai Jab Ki Ziyarat Aise Tarike Par Ho Ki Usme Koi Fitna Na Ho.
(Tahtavee Ala Maraki Pg.341)
30) Shah Abdul Aziz Dehlvi Alaihi Rehma (Al Mutawaffa 1239 Hizri)
Aap Famate Hai Ki Sharhe Maqadis Me Hai Ki Qabro Ki Ziyarat Aur Nek Logo Ki Zat Se Intikal Ke Baad Faeda Hasil Kiya Jata Hai. Beshak Intiqal Ke Baad Nafs(Ruh) Ka Badan Aur Qabr Ke Sath Ek Ta’alluk Rahta Hai. Lihaza Jab Koi Shakhs Us Qabr Ki Ziyarat Karta Hai Aur Mayyat Ke Nafs Ki Taraf Mutawajjah Hota Hai To Dono Nafso (Ruh) Ke Darmiyan Mulaqat Aur Faizan Ka Ta’alliq Qayam Ho Jata Ha. Is Me Ikhtilaf Hai Ki Zinda Ki Imdad Takatwar Hai Ya Mayyat Ki. Baaz Muhaqqiqeen Ne Mayyat Ki Imdad Ko Takatwar Karar Diya Hai Baaz Hazrat Ne Is Siolsile Me Rawayat Ki Hai Ki Huzur Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Kisi Kam Me Hairan Ho Jao To Qabr Walo Se Madad Talab Karo. Shaikh Azal Hazarat Abdul Haq Muhaddis Dehlvi R.A. Ne Mishkat Ki Sharah Me Farmaya Hai Ki Kitab Wa Sunnat Aur Buzurgane Din Ke Kaul Me Koi Esi Baagt Nahi Paaee Jati Jo Oske Mukhalif Ho Aurbaat Ko Radd Kare
(Fatawa Aziziya Zild.2, Pg.108)
31) Allama Ibne Aabideen ShameeAlaihi Rehma (Al Mutawaffa 1253 Hizri)
Aap Farmate Hai Ki Auliya Allah Khuda-E-Ta’aala Ki Bargah Me Mukhtalif Darja Rakhte Hai. Aur Ziyarat Karnewalo Ko Apne Ma’aarif Wa Asrar (Ruhani Raj) Ke Lihaj Se Faida Pahunchate Hai.
(Ref : Raddulmuhtaar Zild 1, Pg:604)
Aur Farmate Hai Kibuzurgo Ki Qabro Ki Ziyarat Se Barkat Hasil Karna Budi Aurto Ko Harz Nahi Aur Jab Ki Jawan Ho To Najaiz Hai. Jaise Ki Jama’at Ke Liye Masjido Me Hazir Hona Ja
(Ref : Raddulmuhtar Jild : 01, Pg : 604) ye 31 Akabir Buzurgo k kitabo se humne saabit kiya k waseela lena koi aaj ke logo ka akeeda nahi balki salf salaahin se chala aaraha hai Subhan Allah Insha Allah hum aur bhi details update karenge. Ab bhi koi na maane to na maane hume manwaana nahi ALLAH HUM SABKO SALF SALAHEEN SE JODE RAKHE AUR AHLE SUNNAT K SACCHE PAKKE MASLAK PE KAYAM RAKHE. AAMIN Special Thanks to : KHADIM E AHLE SUNNAH SHER ALI HANFI

Subhan Allah Masha'allah boht khoob Allah Jaza-e-khair Ata Krw
ReplyDelete