Tuesday, May 23, 2017

HAYAT UN NABI ﷺ







Part 01 : AKEEDA E WAHABIYA DEVBANDIS & GAIR MUKALLID etc. ON HAYUT UN NABI ﷺ : 

ye baat aam hai aur sab jaante hai k wahabi jamat Akeeda e Hayat un Nabi ko nhi maante aur Nabi alaihi salam ko Murdar samajte hai Maazallah…
Isi Akeede ko leke Maslak e Dev Band 2 firko me baatt gaya ek hue MAMATI DEVBANDI FIRKA dusra HAYATI DEVBANDI FIRKA magar ye dono jamat k Abba Huzoor hai Maulana Ismail Dahelvi apni ruswaye jamana kitab Takviyatul Imaan me to yaha tak likh diya hai k AMBIYA ALAIHI SALAM marke Mitthi me mile gaye… chunache

Firka E Wahabia k HIND me baani Devbandi aur Gair Mukallid dono jamaat maante hai dono k peshwa hai ye Maulana Ismail Dahelvi (Born 1193 Hijri Death 1246 Hizri) apni badnaam kitab Takviyatul Imaan me likhte hai

"Ya'ni mein bhi ek din Mar kar Mitti mein milne wala hun!"
(Ref : Taqwiyat ul Iman - Urdu; pg : 100 Published by Dar us Salafiya, Mumbai)
Isi kitab ko English me translate kiya Badar Azimabadi likhte hai
"That is, one day he (the Apostle) was also to die and mingle with dust!"
(Ref : Taqwiyat ul Iman; 79 Published by Adam Publishers, New Delhi)Kuch wakt pehle Saudi Arabia me kitab chapi Wahhabi/Salafi likhte hai
"Iss se malum hua ke aap Murdah hain"
(Ref : Al Hajj wal Umrah wal Ziarah, pg : 161 by Shaykh Abdul Aziz bin Baaz, Riyadh)
Allah ki panah in mardoodo se. khair jab ye bataya jaata hai to wahabi apni kayas lagate hai aur jawab dete hai ye mar gye hai inse hume kya accha kare to jannat me jaaynge aur bura kare to jahannam me jaaynge…
Chaliye janab ye mar gye to ab sunlo inke zinde jahilo ko
ye hai GAIR MUKALLID nahi nahi FIRKE E VICTORIA yaani MUKALID E NASF ki maulvi ko … is masle me jitney aitraaz aaynge IN SHA ALLAH wo saare aitraaz k jawab hum Part 07 Aitraaz k jawab me denge.

i) ye hai Maulana Tausif Ur Rehman sahab is video me kehte sawal ka jawab dene pe listen on this link
http://www.youtube.com/watch?v=dKXigElvZTA&feature=youtu.be

Tausif sahab kehte hai

“Agar Nabi Zinda hai har jagah mauzood hai to Masjide Nabvi me Kabr kiski hai, aap sochiye ALLAH ne akal di hai agr zinda hai to kabr kiski hai, Sahaba kyu roye.. etc. YE GUMRAAH TARIN AKEEDE KABAR PARASTO K, K NABI ZINDA HAI HAAZIR NAAZIR HAI YE QURAN K BHI KHILAF HAI AUR JO AISA KAHE WO GUSTAKH HAI KAAFIR HAI”
Aur yehi Tausif Ur Rehman Sahab apne ek bayan me kehte hai k ISA Alaihi salam aaye aur Faut hue sunie is link me

https://www.youtube.com/watch?v=n3FQYOdvDZ8

jabki Isaa Alaihi Salam Zinda aasman me utha lie gye wo bayan se bhi ab tak inhone tauba nhi ki hai khair Tauba in Khabeeso k naseeb me kaha hai.

ii) Ye hai Maulana Meraj Rabbani sahab Sawal hua k Nabi Zinda hai ya Nahi Janab jawab dete hai is video me sune link pe click kare http://www.youtube.com/watch?v=Xe8SkypDmTM

Meraj sahab is video me kehte hai
“Aapka Kya Khayal hai Aala Hazrat ! jo aadmi aisa akeeda rakhe Nabi Mare nahi Zinda hai aisa aadmi kaafir hai,Kya sahaba Zinda nabi ko dafan karte, 2 maulvi Hindustan se Nepal se nahi dono ne likha Nabi kabr me aise zinda hai jase dunya me zinda hai”
Aala Hazrat rehmatullah alaih ka naam leke in sahab ne ye batane ki koshish ki hai k ye akeeda AALA hazrat ne izaad kiya hai.
ye hai in jaahilo ki ilmi salahiyat inhe aaj tak pata hi nahi hai k hayatun nabi ka akeeda Hindustan se nahi balki shuru se hi ISLAM me raha hai aur ulema ka is baat pe izma hai is risale ko padhne k baad aapko pata chal jaayga k ye jo khud ko ahle hadis kehte hai inhe asal me na to Quran aati hai na to hadis bas yahudio k raste me awaam ko le jaana hota hai…

iii) Ye hai inke Qawwal Maulana Jarjees sahab jhut bolna inki fitrat me shamil hai sunlo kya kehte hai … is link me http://www.youtube.com/watch?v=E08mrCMSabM

Zarees sahab kehte hai

“nahi nahi sahab mar gay na kehna tauhin hojaygi parda kar gye.. tum kitna hi accha lafz istemal karlo parda kar gye zinda hai bahayat hai wisal kar gye tum kuch bhi kaho kitne hi acche lakab lelo lkin Janabe Muhammad Rasool allah is dunya me nahi hai agr hai to mujhe address do AHLE HADIS KA GUNAHGAAR BANDA unse milne jaayga chanda jama karke, MAI UNKO APNE GHR BULAKE UNKO APNA GULAM NAHI BANAUGA, Hum unko apne ghr bulana nahi gawara karenge mera ghr is layak nahi hai k hum aaka ko bulao hume batao nabi kaha hai hum jarur jaaynge tum jaao na jaao KYUKI BADE LOG SE MILA JAATA HAI UNKO GHR BULAKE NAUKAR NHI BANAYA JAATA HAI”.Mujhe ye samaj nhi aaya k kisi ko apne ghr mehmaan banana isse murad naukar banane ka kya maamla hai Balki Mehman ki to hadiso me kaafi fazilat aaye hai.. ye hai ahle hadis ki hakikat inhe kuch aata jaata nhi hai bas gustakhi karne ka kaam chahye…

iV) Ye hai inke bade Islam ko spread karne waale Zakir naik sahab aaj tak samajh nhi aaya k konsa Islam ye faila rahe hai jo khud Islam se dur hai, aajke Google Se padhne waale Gair mukallid bahot maante hai inhe inko bhi sunlo is link me
https://www.youtube.com/watch?v=LZMwTK3K0JI“Aaj ki tareekh me hum Muhammad salallahu alahi wassalam se bhi nhi maang sakte ye baba logo ko to chodo Muhammad salallahu alahi wassalam ko bhi MAAN NA hamare liye haraam hai, jo aadmi MAR CHUKA HAI”

V) Ye hai inke Peace TV waale ye duniya ko Islam pahuchane ka dong kar rhe hai par khud Islam se khali hai Bilal Philips sahab foreigner hai to English me lecture dete hai is link me sune wo kya kehte hai
http://www.youtube.com/watch?v=RajY2ZTeJ1M


Bilal Philips Kehte hai

“When you Call an Rasool Allah Salallahu alaihi wassalam again there is an line of argument that ppl like to chat that they are living Rasool Allah Salallahu alaihi wassalam said ‘EARTH DOES NOT EAT THERE BODY’,OK
point 1 :bcoz earth does not earth eat there body this mean they are living ? It is just a miracle of ALLAH,
point 2 : If prophet does not died then the sahaba commited great crime isn’t it ? This is non sense, it is an error clear error,
THE POINT IS RASOOL ALLAH IS DEAD”
“ Urdu Translation : Bilal sahab kehte hai jab behas o hoti hai to log kehte hai k Nabi ne farmaya Jamin Ambiya k jismo ko nahi khati thek hai maan lete hai, agr maan bhi le tab bhi ye kaha saabit hota hai k Nabi Zinda hai, agr jisme salamat rehta hai to ye ALLAH ki Qudrat ka ek moezeze hosakta hai, agar Nabi zinda the to sahabio ne bahot bada gunaah kar diye ek Zinda shaks ko dafan karke,ye bekar baate hai galat akeede hai, hakikat ye hai RASOOL ALLAH MAR CHUKE HAI “
Maazallah Astagfirulla..
Is sab videos dekhne inke statement padhne k baad kuch aitraz bhi aagye hai IN SHA ALLAH unka akli aur ilmi jawab … AITRAAZ K JAWAB jo Part 07 me hai usme diya jaayga..

Part 02 : Akeeda of Ahle Sunnat Wa Jammat about the Topic of Hayat un Nabi ﷺ :

1) Ahle Sunnat Wa Jamaat ka bhi Akeeda Is baat pe hai k har wo cheez jisko ALLAH ne banaya hai wazood bakhsa hai usko ‘fana hona’ hai baaki rehne waali ZAAT sirf ALLAH ki hai. Insaan jinn parind farishte sabko maut aani hai.Hum is baat k munkir nahi aur hamara akeeda hai aur quran ki wo aayat jisme maut ka bayan aaya hai wo hak hai uspe hamara imaan hai. ALHAMDULLILAH
Is baat se sirf ye samjhana maksad hai k AMBIYA ALAIHI SALAM ko bhi maut aani hai hum iske munkir nahi hai. WAHABI awaam me ye galat baat failate hai k Sunni AMBIYA ki maut nhi maante.

Chunache Sayyid Ahmad Sa’id Kaazmi rehmatullah alaihi likhte hai
“Jo koi bhi Huzur alaihi salam k wisaal hone aur jism se Rooh nikale jaane ka munkir hai wo shaks Quran ki aayat ka aur hadis e paak ka munkir hai wo shaks Islam k dayre se bahar hai”
(Ref : Hayat Un Nabi pg : 78)

2) Hum jo kehte hai wo ye hai k Ambiya ko maut aati hai wo k wakt lamhe k liye taaki aayat ka aur ALLAH k farmaan ka maksad pura hojaye aur unki AMBIYA alaihi salam ki Rooh e Mubarak unke jism me dobara daal jaati hai AMBIYA KA ZINDA REHNA IS TARAH SE Hota hai jaise wo jaahiri zindagi me the.
“ANBIYA KO BHI AANI HAI AZAL
MAGAR ITNI KI FAKAT AANI HAI” (Aala Hazrat Muhaddis e Barelvi)
Kuch jaruri masle jinhe yaad rakhe aage aasani hogi.
1) Nabi wafat k baad dunyawi zindagi ki hakikat ki tarah jinda rehte hai.
2) Nabiyo ki jindagi hakiki jismani hai shahido ki tarah maanvi aur Roohani nhi hai. Isliye Nabi ki wafat k baad unka choda hua maal baata nhi jaata hai aur unki biwiya nikah nhi kar sakti. Aur shahido k masle me maamla alag hai unka maal bhi baat diya jaata hai aur biwiya bhi Nikah kar sakti hai.
3) Nabiyo ki zindagi dunyawi hai barjakhi nhi hai bas fark itna k jaise logo ki nigaho se chipe hai.
(Ref : Mufti Zalaluddin Ahmad Amjadi, Anwarul Hadis, pg : 171)

chunache 'Allama al-Hasan bin 'Ammar al-Shurunbulali Hanfi (1069 H) me apni kitab Mirakatul Maraqi al-Falah sharh matn Nur al-Idah me likhte hai k tehkeek karne waalo se ye baat saabit hai k Huzur alaihi salam apni dunyawi zindagi ki tarah hayat hai.

Ambiya alaihi salam ki hakiki dunyawi zindagi k saath zinda hai. Unko Rozi di jaati hai tamam lajjat waali cheezo ka maza paata hai lekin jo log unche darje makam tak nhi pahuchte wo unki aankho se cheepe hai.
(Ref : Tahtavi pg : 447)

Muhaddis Imam Bayhaki Rehmatullah alaihi ne is masle ko saabit karne k liye ek kitab hi likh di “Hayat Al Ambiya Fi Kuburihim”
Fikah E Shafai k bade Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaihi ne bhi ek kitab likhi “Hayat E Ambiya E Kiram”.


Part 03 : Proof From QURAN E KARIM & TAFSEER



“Allah Ek Misaal bayan farmata hai, Ek Gulam me kayi badkhu Aaka Sharik aur ek Nire Ek maula ka, kya un dono ka haal ek sa hai ? sab khubiya Allah ko balki unke aksar nahi jaante”.
(Al Quran: Surah Al Zumar Ayat 29)



“Beshak Tumhe Intekal Farmana hai aur unko bhi Marna hai”
(Al Quran Surah Zumar ayat 30) jaise k ayat upar di gayi aayat 29 me bayan hua k 2 insaan k halaat alag hote hai ussi trah Paigambar ki zindagi aur maut bhi aam insaan si nahi hai wo humse alag hai.
.

"Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Jaye Unhe Murda Na Kaho Balki Wo Zinda Hai, Haan Tumhe Khabar Nahi" (Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 154)

“Aur Jo Log Allag Ki Raah Me Qatl Kiye Jaayen Unhe Hargiz Murda Guman Mat Karo, Balki Wo Zinda Hai Aur Rizk Diye Jaate Hai".

(Al Quran : Surah Al-Imran, ayat : 169)


TAFSIR 1 : Is ayat ki tafsir me Qazi Sanaullah Panipati (1225 Hijri) likhte hain:
Mufasserin ki ek jamat is ayat ke tehet Shahido ki zindagi ka bayan karte hain, lekin ye ayat tamam Ambiya, Siddiqin, Salehin ki hayat par dalalat karti hai.
Kyunki Shahido se bada maqam Siddiqin ka hai, aur unse bada maqam Ambiya ka hai, isiliye Ambiya ki wafaat ke baad unki zauja ko dusra nikah karna jaez nahi,
(Ref: Tafsir Mazhari, Vol 1, Page 151)
.
Isi Ayat ki Tafsir me Wahabiyo ke dil aziz Imam Qazi Shawkani likhte hain:
TAFSIR 2: Quran Paak me ek ayat hai jo Shahido ki zindagi per istedlal karti hain, aur unki zindagi duniya ke jaisi hi hai, to fir Ambiya ki Hayat ka aalam kya hoga? Aur Imam Munziri ki Hadees kehti hai ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur iski Sanad ko Imam Baihaqi ne Sahi likha hai.
(Ref : Nayl al-Awtar, Vol 3, Page 282)

TAFSIR 3: Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaih (Born 841 Hijri – Wisal 911)likhte hain:
Ambiya apni Qabro me zinda hai, ye is Ayat ke Zahiri mayno par bhi sabit hai,
ya Jo Mayne Muhaddesin is se nikalte hain usse bhi.
(Ref : Al-Hawi lil Fatawa, Vol 2, Pg: 149)

Tafseer 4 : Hazrat Imam Ismail Hakki Haqqi Rehmatullah alaih farmate hain.
Baaz Ulamae Ikram ne apki qabr ke paas awaz buland karne ko na-pasand kiya hai, kyunki aap qabr anwar me zinda hain.
(Ref :Tafsire Ruhul Bayan, Jild-9,pg-66)


Tafseer 5 : Hazrat Imam Saawi Maaliki Rehmatullah alaihfarmate hain.
Amibya Ikram Alaihimus salaam ki hayaat, Shuhada ki hayaat se Ajal aur aala hai. (Ref : Tafseer-e-Saawi alal Jalalain jild : 1 pg : 128)

Part 04 : Proof From Hadees E Rasool [صلی اللہ علیہ وسلم

AMBIYA ALAIHI SALAM APNI KABRO ME ZINDA AUR NAMAZ PADHTE HAI… SUBHAN ALLAH
HADIS : 01
Hazrat Anas Radiallahu Anho farmate hai, Rasool Allah ﷺ farmate hai
“Ambiya apni kabro pe zinda hai aur namaz padhte hai”
(Ref : Hayat ul-Anbiyah, Pg No. 003 – writer IMAM BEHKI Published Maktabah Al Mahid Al Ilmiyah, Misr) (Imam Abu Ya’la ne apni Musnad me sahi sanado k saath likha Musnad Abu Ya’ala Zild:6, pg : 699, hadis : 3425)
(Ref : Imam Ibn Hazar Makki Haythami ne : Mazma’ul Zawaid zild 08, Pg : 387, hadis : 13812) aur aage likha hai Imam Abu Yaala & imam bazzar ne iski tehkeek ki aur iske raavio ko bharose k layak bataya hai.
Imam Aboo Ya’ala Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yah Hadith Riwayat Ki Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Ki Takhreej Ki Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai


Gair Mukallid k Muhaddis jinhe apna maa baap sab maante hai
Shaikh Albani ne bhi apni kitab “Silsilatal Hadis al sahihah zild 02 pg 187 Hadis : 621 me yehi likha hai.
Imam Jalaludin Suyuti farmate hain,“Qabro me Hayat-e-Ambiya par hamara Eiman-e-Qatiyaan hai”
See Scan Page of hayat ul Ambiya :



Front Cover Of Hayat Al Ambiya by Imam Bahqi Rehmatullah Alaih



Pg : 03 of Hayatal Ambiya
Scan Page of Musnad E Abu Yaala & Albani Al Silsilahtul Saheeh




Musnad E Abu Yaala V:06, P:699 H:3425



Albani Silsilah Sahih v:02 pg:187 H:621

Is hadees ko in Muhaddiseen ne 1) Imam Bahqi 2) Imam Abu Yaala 3) Imam Ibn Hajar Asqalani 4) Imam Nawawi 5) Imam Bazzar 6) Imam ibn Adi 7) Imam Jalaludeen Suyuti Rehmatullahi Azmayeen

Hadees 02 :
Hazrat Anas RadiAllahu Anho farmate hai, Rasool Allah ﷺ ne farmaya
“Safar e meraj me mera gujar Moosa alaihi salam ki kabr k pass se hua maine dekha MOOSA ALAIHI SALAM apni kabr me Masroof E Salat the” (Ref : SAHI MUSLIM Kitab 30 , Paigambar aur unke sahaba ki khususiyat,, Baab : MOSA ALAIHI SALAM K FAZAIL, Hadis number : 5858)
(Ref : Sahih Al-Muslim, zild-04, Pg-1845, Hadith-2375)
(Ref : Imam Nasai ne, Sunan Nasai, Book : As Salah Chapter : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA A.S Zild : 2 pg : 237 Hadis: 1630-1636)
(Ref : Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Book : As Salah Chapter : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl Jild : 2 Pg : Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal ne : Al-Musnad, Jild-03, Pg-148, Hadith-12526, 13618)

(Ref : Sahih Ibn Hibban, Vol-01, Pg-242, Hadith-50)
(Ref : Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Zild-08, Pg-13, Hadis-7806)
(Imam Ibn Abi Saybah ne Al-Musannaf, Vo-07,Pg-335, Hadith-36575)
(Abu Ya'ala Al-Musnad, Vol-06, Pg-71, Hadith-3325)
(Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-08, Pg-205)
(Imam Ibn Hazar Asqalani Shara E sahi ul Bukhari Fat'h-ul-Bari, VOl-06, Pg-444.)


kabr me kya murde namaj padhte hai ? nadaano MUSA alaihi salam ki azmaat maante ho aur Nabi k bare me shirk biddat chillate ho See Scan Page of Muslim Sharif :


Front Cover Muslim Sharif






Hadis 003 :
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
Meine Khud Ko Hateem-E-Kaa’ba Me Paaya Aur Quraish Mujh Se Safar-E-Mearaj Ke Baare Me Sawaalaat Karte Rahe The.
Unhone Mujh Se Baitul Muqaddas Ki Kuchh Cheejein Poochhi Jinhein Meine (Yaad’daast Me) Mab’oos Nahin Rakha Tha Jis Ki Vajeh Se Mein Itna Pareshaan Huaa Ki Us Se Pahle Kabhi Itna Pareshan Nahin Huaa Tha, Tab Allah Ta’ala Ne Baitul Muqaddas Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya.
Vo Mujh Se Baitul Muqaddas Ke Mut’allik Jo Bhi Cheej Poochhte Mein (Use Dekh-Dekh Kar) Unhein Bata Deta Aur Meine Khud Ko Giroh-E-Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Me Paaya.
Meine Dekha Ki Hazrat Moosa Alaihissalam Khade Masroof-E-Salaat The, Aur Wo Qabila-E-Shanoah Ke Logon Ki Tarah Ghungharaale Baalon Waale The Aur Phir (Dekha Ki) Hazrat Isaa Bin Maryam Alaihissalam Khade Masroof-E-Salaat The Aur Urwah Bin Mas’ood Saqafee Un Se Bahut Mushaabah Hain, Aur Phir Dekha Ki Hazrat Ibrahim Alaihissalam Khade Masroof-E-Salaat The Aur Tumhare Aaqa (Yaani Khud Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam) Un Ke Saath Sab Se Zyaada Mushaabah Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Meine Sab Ambiya-E-Kiram Alaihissalam Ki Imaamat Karaa’i.

(Ref : Sahih Al-Muslim,jild:01,Pg:156,Hadith-176)
(Ref: Nasa'i As-Sunan-ul-Kubra, Jild-06, Pg:455, Hadith-11480)
(Ref: Abu Awanah Al-Musnad, Jild-01, Pg-116, Hadith-350)
(Ref :Abu Nuayam Al-Musnad-ul-Mustkhraj, Jild-01, Pg-239, Hadith-433)
(Ref: Asqalani Fat'h-ul-Bari, Jild-06, Pg-487)

ALLAH NE HARAAM KAR DIYA HAI JAMEEN KO K AMBIYA K JISM KO KOI NUKSAAN PAHUCHAYE… SUBHAN ALLAH
Hadis 004 :
Hazrat Abu Darda rivayat farmate hai k ALLAH K RASOOL ﷺ ne farmaya :
“ALLAH Ne haraam kar diya hai jameen ko k wo Ambiya k jism ko khai aur unhe rizk diya jaata hai”
(Ref :Sunan Ibn Maja zild : 01 hadis : 1627)
(Ref : Mishkat Sharif zild : 1, pg : 304, Hadis : 1366)

Shaikh Abdul Hak Muhaddis E Dahelvi Rehmatullah alaihi (Born 958 hizri Wisal 1052)isi hadees ki shara me likhte hai “Ambiya alaihisalam apni kabro pe zinda hai, jis tarah dunya me jinda rehte hai”
(Ref : Ash’at al Lama’at vol.01 pg. 576)

Shaikh Abdul Hak Muhaddis E Dahelvi Rehmatullah alaih yaha ek masla bayan farmate hai jo ye k
“Ambiya zinda hai aur shuru se is baat pe izma raha hai k wo hayat hai unki zindagi asal hai, shaheedo ki tarah Ruhani ya barjaki nhi”
(Ref : Ash’at al Lama’at vol.01 pg. 574)

Note : sheikh Abdul hak Muhaddis rehmatullahi alaihi ko Hindustan k saare akeede waale maante hai rafzio ko chodke phr chahe wo ahle hadis gair mukalid ho ya devbandi ho.

Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari Rehmatullah alaih (Wisal 1014Hijri) likhte hain:
Ambiya ki Hayat-e-Duniya aur Baad-e-Wafat ki Hayat me koi farq nahi hai,
isliye kaha jata hai ki Allah ke wali marte nahi, sirf ek jaga se dusri jaga ka safar karte hain.
(Ref : Mirqat Shara E Mishkat,jild-2,Pg-212)

aur isi baat se ye dono buzurgane Din ka Akeeda pata chalta hai k wo bhi hayatun ambiya k kayal the aur hamesha se log maante aaye hai.




Hadis 005 :
“Hazart Aws Bin Aws RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akramﷺ Ne Farmaya :
BeShak Tumhare Dinon Me Se Jum’a Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.
Sahaaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah Sal Allahu Alaihi Wassalam!
Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baad Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega ?
Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Nahin Aisa Nahin Hai) BeShak Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Allah Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare Jismon Ko Khaa’e .”
(Ref : Sunan Abu Dawood Vol : 01 Kitabus Salat, Pg : 443, Hadees : 1047)

Below is the Scan Page of Sunan Abu Dawood :

Front Cover Sunan Abu Dawood





Abu Dawood Vol 01 Pg 443 H : 1047


(Ref : Imam Nawawi ne likha "Isnaad is Sahih" , Al Azkaar, Baab As salah 'Ala AN NABI SAW Jild : 1 Pg : 131-132 Hadis: 302) below is the Scan Page Of Imam Nawawi Al Azkaar :
Front Cover of Al Azkaar








Imam Zahabi ne Hakim ki Sanad ko aur Imam Nawawi ne Azkar me Sahih likha hai (Ref : Hafiz Ibn e Katheer , Tafseer Al Quran Al Azeem Jild : 6 Pg : 473 Under Tafseer of Sorat Al Ahzaab, Ayat : 56) Below is The Scan Page of Tafseer Ibn Katheer :


















Some More Refernces :
(Ref:Imam Ibn e Hajar 'Asqalani, fathul Bari, Vol: 6, Pg: 562)
(Ref :Imam Tabrani , Ma'jam Al Ausath Vol: 5 Pg:97,Hadis: 4780)
(Ref : Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadis: 589)
(Ref : Ibn e Abi Shaibah ne Musannaf ibn Abi Shaiba me, Book : As Salah Chapter : 795 Jild : 6 Pg : 40 Hadis: 8789)
(Ref : Imam Ahmad Bin Hambal, Al Musnad Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162)
(ref : Imam Bazzar, Musnad Al Bazzar, Jild : 8 Pg : 411 Hadis: 3485)
(Imam Ibn Hibban ne sahi Ibn e Hibban me, Book : Ar Raqaiq Chapter : Ad'iyah Jild : 3 pg : 190-191 Hadis: 910)
(Ref :Ibn e Khuzimah in his Sahi, Jild : 3, Pg : 118, Hadis: 1733-1734)
(Ref : Imam Bayhaqi, Shu'b Al Eman Chapter : Fadl As Salah 'Ala An NABI SAW Jild : 4 Pg : 432 Hadis: 2768)
(Ref :Imam Bayhaqi, Sunan Al Kubra, Book : Al Juma'ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993)
(Ref: Imam Darimi, Sunan Darmi, Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572)
(Ref : Imam Majah, Sunan Ibn Majah, Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu'ah (79) Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085)
(ref : Imam Nasai, Sunan Nasai, Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374 , Nisa'i As-Sunan, Jild-03, Pg-91, Hadith-1374, &
As-Sunan Al-Kubra, Jild-01, Pg-519, Hadith-1666)
(Ref : Sunan Ibn Majah, Zild 001 , hadis 1626, Ibn Maajah As-Sunan, Jild-01, Pg-345, Hadith-1085) Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari likhte hain:

“Beshak Ambiya apni Qabro me zinda hain”[Ref : Mishkat Shara E Mirqat – Vol. 2 Pg. 209] . Iski Sharah me Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi likhte hain:

“Beshak Ambiya zinda hain, aur isme koi shak nahi ki unki Zindagi dniya ki hi tarah Jismani hai, Shahido ki tarah Roohani nahi”
[Ref : Ashi’ah al-Lam’at – Vol. 1 Pg.574]

Hadis 06 :
“Hazrat Abu Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akramﷺ Ne Farmaya :
Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koii Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah Sal Allahu Alaihi Wassalam!)
Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki)Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Lie Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.
Phir Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”

(Ref : Ibn Maajah As-Sunan, Jild-01 , Pg-524, Hadith-1627)
(Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Jild-10, Pg-23, Hadith-2090)
(Manawi Fayd-Ul-Qadir, Jild-02, Pg-87)
(Ajlawni Kashf-ul-Khifa, Jild-01, Pg-190, Hadith-501)
(Shawkani Nayl-ul-Awtar, Jild-03, Pg-304)


Huzoor ﷺ Hamare Salam Ka Jawab Dete Hain


Hadis 07 :
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To BeShak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.
(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon”
(Abu Dawud As-Sunan, Jild-02, Pg-218, Hadith-2041)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Pg-527, Hadith-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Pg-245, Hadith-10050, &
Shuab-ul-Iman, Jild-02, Pg-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Pg-453, Hadith-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild-02, Pg-326, Hadith-2573)
(Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-10, Pg-162)

Is Hadees se wazeh ho gaya ki Apmbiya ki Qabro ki ziyarat aur unpar salam bhejna durust hai.
Note : Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaihfarmate hain: Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain, aur ''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani permanently. To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur fir bar bar wapas leta hai, balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.


Ambiya alaihi salam Jahan chahe ja sakte hain…..
Hadees 08:
“Meraj ki raat aap alaihis salaam ne Hazrat Aadam, Hazrat Ibrahim, Hazrat Eisa, Hazrat Yahya, Hazrat Musa, Hazrat Idrees, Hazrat Haroon alaihe salam ko mukhtalif asmano par dekha”
(Ref : Bukhari, Jild:1, pg: 549) Zara ghaur kijiye, ki Muslim ki ek riwayat me Nabi alaihe salam ne farmaya ki ''Mai Musa alaihis salam ki qabr ke paas se guzra to wo apni qabr me namaz padh rahe the. Aur jab aap asman par pahuche tab Musa alaihis salam bhi wahan par pehle se maujud the??

Kya isse sabit nahi hota ki Ambiya jahan chahe ja sakte hain? Ambiya ko maut to ek baar aati hai, magar bas maut ka
zaaeqa chakhne ke baad wo fir zinda kar diye jate hain. Aur jahan chahe ja sakte hain, koi chiz unse chhupi hui nahi hai.


Hadis 09 :
Nabi ﷺ ne farmaya ki mere ghar aur mere member ka darmiyani hissa Jannati bagh hai. (Ref :Sahi Muslim, Kitabul Hajj)

Kya Jannat me koi murda rehta hai?

Nabi ﷺ apni ummat k liye Dua e Istegfar karte hai.. Subhanallah


Hadis 10 :
Hazrat Abdullah Ibn Mas’ood radiAllaho Ta'aala anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya, حياتى خير لكم تحدثون ويحدث لكم فإذا أنامت كانت وفاتى خيرًا لكم تعرض على أعمالكم فإذا رأيتخيرًا حمدت الله وإن رأيت شرًّااستغفرت لكم
Meri zindagi tumhare liye baa’ise khair hai, aur meri maut bhi tumhare liye baa’ise khair hai. Tumhare a’maal qabr me mujh par pesh kiye jate hain, agar mai isme bhalai dekhta hhu to mai ALLAH ki hamd karta hu aur agar mai isme burai dekhta hu to mai tumhare liye ALLAH se istighfar karta hu. (Ref : Qazi Ayaz Shifa Sharif jild 1 pg:56 Amman

Edition)me likhte hain aur Imam Suyuti“Manahil al-Safa fi Takhrij Ahadith al-Shifa” (Page 31 – Beirut 1988/1408).Me likhte hain, Ibn Abi Usama apni Musnad me Bakr ibn `Abd Allah al-Mazni aur Bazzar ne Ibn Mas’ood ki Hadees se Saheehh sanad ke sath likha. Shifa-us-Siqa Fii Ziyarate Khairul Anaam me Imam Subki rehmatullah Ta'aala alaihe ne likha, jahan wo Bakr ibn Abd Allah al-Mazini se naqal kiya hai, aur Ibn-Al Jawzi ne Bakr ke zariye se aur fir Hazrat Bin Malik ki Hadees Al-Wafa me likhte hain. Ye kaise ho sakta hai ki ye dono ustad bagair sanad ke hi likh den, jabki Ibn-Al Jawzi api Kitab Al-Wafa me sirf Saheeh isnaad ko hi naqal karte hain. Isme wo Aws Ibn Aw ski Hadees ko bhi naqal karte hain, ki “Mujhpar tumhare a’maal har Juma aur iski raat, (Jumeraat) ko pesh kiye jate hain”

(FatH al-Bâri jild 10 pg: 415)
(al-Mundhiri’s Targheeb wa al-Tarheeb jild 3, pg: 343)
(Musnad e Ahmad jild 4, pg:484.)

NABI ﷺ ZINDA BHI HAIN AUR HAMAARI AWAZ BHI SUN SAKTE HAIN AUR JAWAB BHI DE SAKTE HAIN.. Subhanallah

Hadis 11: Agar Eisa alaihis salaam meri qabr par khade hokar kahen, 'Ya Muhammad' to mai zarur unko jawab dunga.
(Ref : Musnad Abi Ya'la, Jild-11, Pg:462) Sahi sanad k saath. Imam Abu Bakr Haismi Rehmatullah alaihne is Hadees ke rijaal ko sahi kaha hai. (Majmauz Zawaid)


Huzoor Nabi-E-Paak ﷺ Ki Qabr-E-Anwar Se Namaz Ke Waqt Ajaan Ki Aawaaz
Hadis 11 :“Hazart Saeed Bin Abdul Azeez Se Riwayat Hai Ki Jab

Ayyaam-E-Hurra (Jin Dinon Yazeed Ne Madinah Munawwara Par Humla Karwaaya Tha) Ka Waaqia Pesh Aaya To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Masjid Me Teen-03 Din Tak Ajaan Aur Iqaamat Nahin Kahi Gaee Aur Hazrat Saeed Bin Musayyab Radi Allahu Ta’ala Anhu (Jo Ki Jaleelulqadr Taaba’i Hain Unhone Masjid-E-Nabawi Me Panaah Lee Huee Thi Aur) Unhone (Teen-03 Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Wo Namaz Ka Waqt Nahin Jaante The Magar Ek Dheemi See Aawaaz Ke Zareeye Wo Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Qabr-E-Anwar Se Sunte The.”
(Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-56, Hadith-93)
(Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, Jild-02, Pg-400, Hadith-5951)
(Suyuti Sharah Sunan Ibn Maajah, Jild-01, Pg-291, Hadith-4029) Hadis 12 : Sayeed Bin Musayyib Radi Allahu Anho farmate hain.
"Mai Ayyame Hirah me akele Masjid Nabwi me hua karta tha to jab Namaz ka waqt hota, mujhe Rauza-e-Mustafa se azan ki awaz sunai deti. Mai aage badhka iqamat kehta aur Namaz padh leta. (Dalailun Nabuwwa, Ibne Naeem, jild: 2, pg:567)


Sarkar-E-Do Aalam ﷺ Ne Farmaya : Jis Ne Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki Goya Us Ne Meri Hayaat Me Meri Ziyarat Ki


Hadees 13 : |
“Hazart Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki Goya Us Ne Meri Hayaat Me Meri Ziyarat Ki.” [Tabarani Al-Muajam-ul-Kabir, Jild-12, Pg-406, Hadith-13496.

Daraqutni As-Sunan, Jild-,02 Pg-278, Hadith-193.
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Jild-03, Pg-489, Hadith-4154.
Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-04, Pg-02.)


Part 05 : Proof From The Mufassirin,Muhaddisin & Others Ulema part
1) Akeeda of Imam Bahqi Rehmatullah Alaih
“Tamam Ambiya apni qabro me zinda hain.
(Ref : Hayat-al-Ambiya lil Baihaqi)
Hazrat Imam Baiqahi Rehmatullah alaihfarmate hain. Hazraat Ambiya Ikram ki arwaah qabz karne ke baad inke ijsaam Mubaarak me wapas lauta di gayi hain. Ab wo apne Rab Ta'ala ke wahan Shaheed ki tarah zinda hain.
(Ref : Al-Etiqad S-198)

2) Akeeda of Qazi Iyaz & Imam Ali Qari Mullah Ali Qari
Shifa Sharif me Qazi Iyaz, Hazrat.Ibn Abbas Rehmatullah alaihka qaul naqal karte hue likhte hain ki jab Ghar me dakhil ho aur ghar me koi maujud na ho to is tarah Salam karna chahiye.

“Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe wa barakaatuhu”
Imam Ali Qari Mulla Ali Qari Shifa Sharif ki Shara farmate hue likhte hain:
Jab ghar me koi maujud na ho aur andar dakhil ho to is tarah Salam kahe
"Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe Wa Barakaatuhu"

iske Aage likhte hain, Is tarah Salam kehne ki waja ye hai ki Nabi alaihis salam ki rooh har momin ke ghar me jalwahgar hoti hai.
(Ref : Mullah Ali Qari, Sharah ush-Shifah, Volume 002, Page No. 117]

Hai koi Wahabi? To Bataye Imam Ali Qari par shariat me kya hukm lagega?
Aur unhone Shifa Sharif ki tafseer farmayi aur Qazi Ayaaz Maliki se naqal kiya to unpar kya hukm lagega?
Aur Qazi Ayaz Maaliki ne HAZRAT Ibn Abbas radiallahu anho ke hawale se Salam ka ye tariqa likha hai batao HAZRAT Ibn Abbas radiallahu anho par shariat me kya hukm lagainge? Imam Behki pe konsa fatwa lagega kab laga rhe hai wahabi fatwa?

3) Imam Ibne Hajar Asqalani ke shagird Imam Sakhawi ( farmate hain
“ki Hamare liye, ye aqeeda hai ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur unhe ne'matein ata ki jati hain”
(Ref : Al-Qàùl-al-Badi, Pg.161)Imam Sakhawi Rehmatullah alaihfarmate hain ki Abu Zar aur Malik ki Meraj wali Hadees se ye sabit hota hai ki Nabi alaihis salam ne asmano par Ambiya se mulaqat kiya, Unse baat kiya aur unhone apse Baat kiya, iski sanad bilkul saheeh hai aur isme kahin bhi koi ikhtilaf nahi hai.
Nabi alaihis salam ne Musa alaihis salam ko qabr ne namaz padhte hue dekha aur fir Baytul Maqdis me bhi tamam Ambiya ko dekha. Fir Nabi alaihis salam asmano par gaye aur wahan bhi Ambiya se mulaqat kiya to ye mulaqat bilkul haqiqi hai.

(Ref : Imam Sakhawi's 'al-Qawl al-Badi' - (Kalmi Nuskha) Jamiyah al-Riyad)

4) Imam Ibn Hajar al-Haitami Makki Shafai apni Jawhar al- Munazzam me likhte hain:
''Is baat ke beshumar dalail aut aqwal-e- aimma saheeh sanad ke sath maujud hain ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur wo Roae rakhte hain, Har saal Hajj bhi karte hain, aur apne jism ko us Barish se paak bhi karte hain, jo unpe barasti hai.''

5)Hazrat Imam Abdul Wahab Shorani Rehmatullah alaihfarmate hain, Huzur Anwar alaihis salam apni qabr mubarak me zinda hain. Aur azan wa iqamat ke sath namaz ada farmate hain. Aise hi deegar ambiya namaz ada farmate hain.

(Ref : Kashaful Ghama, J-1, S.67)


6) Hazrat Imam Ibrahim bin Bishar Rehmatullah alaihfarmate hain, mai ek saal Madina Sharif gaya, Rauza Aqdas pe hazir hokar salam arz ki to maine wahan se 'WA ALAIKAS SALAAM' ki awaz suni.
(Ref : Subulil Huda J-12, Pg.357)


7) HAZRAT Imam Abdul Wahidal Kubr ji Rehmatullah alaih
farmate hain, mere samne Sheikh Abu Bakr Dayar-e-Bakri alaih rehma ne Mawajeha Sharif pe salam arz ki to andar se awaz aayi 'WA ALAIKAS SALAAM YA ABA BAKR' is awaz ko sab haazireen ne suna.
(Ref : Zeel Tarikh-e-Baghdad Jild:16, Pg:255)

8) Hazrat Imam Hakim Tirmizi quddisa Sirruhu farmate hain, Siddiq Nabi se kam darja hai, aur Shaheed in dono se kam darja hai, lehaaza Siddiq se iski hayaat bhi kam darja hai, aur Siddiq ki Hayaat Nabi ki Hayaat se kam darja hai. Aur Wali ki Hayaat Shaheed ki hayaat se kam darja hai.(Ref : Nawadirul Usool pg :429) 9) Hazrat Imam Subki Rehmatullah alaih farmate hain. Ulamae Kiram ne farmaya ki Huzur alaihis salam ko Nabuwwat ke sath Shahadat ka martaba bhi diya gaya hai. Aur beshak Shuhada ke liye hayat sabit hai.

(Ref : Shifaus Siqam, S-190)

10) Hazrat Imam Saalihi Shaami Rehmatullah alaihfarmate hain.
“Beshak hamare Nabi Mohtaram alaihis salam zinda hain,
Jaisa ki ye amr apni jaga bilkul sabit hai. Aur apki ummat ke amaal apki bargah me pesh kiye jate hain. Ye bhi apni jaga bilkul sabit hai”
(Ref : Subulil huda jild : 12 pg: 380)


11)Hazrat Imam Abul Qasim Qushairi Rehmatullah alaihfarmate hain. Hum Ahlesunnat ke nazdeek Nabi Akram alaihis salaam zinda hain. Apko ha aur Ilm hasil hai. Aap par ummat ke amaal pesh kiye jate hain.
(Ref : Shakliyate Ahlesunnat pg: 27)


12) Hazrat Imam Mohammad Shobari Rehmatullah alaih farmate hain.
Ambiya Kiram alaihis salaam apni qabro me zinda hain. Namaz aur Hajj ada karte hain. Jaisa ki Ahaadees me aaya hai, aur unka Imdaad farmana unka mojizah hai. (Ref : Shawahidul Haq 118) 13) Hazrat Imam Khafaji Rehmatullah alaih farmate hain. Apke jasad-e-kareem ko zameen par haram kar diya gaya hai. Aap deegar ambiya ki tarah apni qabr me zinda hain.

(Ref : Naseemur Riyaz jild : 1 pg : 312)


14) Hazrat Sheikh Abdul Qadir Makki Rehmatullah alaihfarmate hain Huzur Nabi Kareem alaihis salam tamam ambiya ki tarah apni qabr me zinda hain aur mushahidah farma rahe hain. Apka ehteram apki hayat-e-zaahiri ki tarah har musalman par wajib hai.
(Ref : Husn-e-Tawassul pg : 101)

15) Hazrat Imam Hasan Shorunbulani Rehmatullah alaihfarmate hain Muhaqqeqin Islam ke nazdik ye Aqeeda sabit ho chuka hai ki Aap alaihis salam zinda hain aur apko rizq faraham kiya jata hai. Aap ibadat ki lazzat uthate hain.
(Ref: Noorul Izaah pg:189)

16) HAZRAT Imam Barzi Rehmatullah alaih farmate hain.
Huzur alaihis salam wisal ke baad zinda hai.
(Ref : Al-Hawi Lil-Fatawa 2/149) 17) Hazrat Imam Abu Abdullah Qurtubi Rehmatullah alaih farmate hain. Maut

Adm mehez ka naam nahi hai. Ye to ek haal se dusre haal me jane ka naam hai. Ambiya Kiram to Shuhada ki nisbat zyada haqdaar hain ki wo zinda hon. Unki maut sirf ye hai ki wo humse ghaib hain. Hum unka

idraak nahi kar sakte. Halanki wo zinda aur maujud hote hain. Lekin koi insan unko nahi dekhta.
(Ref : Al-Tazkirah 169)


18) HAZRAT Imam Samhoodi Rehmatullah alaih farmate hain. Huzur Aqdas alaihis salaam ki hayaat baad-al-wafaat me koi shak nahi. Aur isi tarah deegarambiya kiram bhi apni qabro me zinda hain. (Ref : Al Wafa-ul-Wafa 4)
19)HAZRAT Imam Zurqani Rehmatullah alaih farmate hain. Huzur Akram alaihis salam qabr anwar me zinda hai aur azan wa iqamat ke sath namaz padhte hain.
(Ref : Zurqani Alal Mawahib jild : 6 pg : 129) 20)HAZRAT Imam Dawood Rehmatullah alaih farmate hain. Al-Haasil Hayat-e-Ambiya Ikram alaihimus salam to Ijma se sabit hai.

(Ref : Al-Makhtal Wahbiyata pg : 6)

21) HAZRAT Imam Suyuti Rehmatullah alaih farmate hain, Nabi Kareem alaihis salam aur deegar ambiya ki hayat hamare yahan qatayi Ilm se sabit hai.
(Ref : Al-Hawi Lil-Fatawa jild : 2 ,pg:147)


22) HAZRAT Imam Yusuf Nabhani Rehmatullah alaih farmate hain ki
Hadees Saheeh ke sath istedlal kiya gaya hai ki Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref : Sa'aadatud Darain pg : 180)



23) HAZRAT Imam Ibn Hajar Makki Rehmatullah alaih farmate hain
"AL-AMBIYAAE AHYAAUN FI QUBOORIHIM" ye Hadees Mubarika Saheeh hai.
(Ref : Al-Jauharil Muazzam S-22)



24) HAZRAT Imam Ali Qari Rehmatullah alaih: farmate hain.
Huzur alaihis salam Apni Qabr me zinda hain. Unko buland darjaat me rizq faraham kiya jata hai.
(Ref: Sharah Shifa jild: 3 pg:396).


25) HAZRAT Imam Abu Bakr Bin Arbi Rehmatullah alaih farmate hain. Tamam Ambiya-e-Kiram alaihimus salaam apni qabro me zinda hain aur unki arwah ko qabz karne ke baad unke jisme me lauta diya jata hai.
(Ref : Al-Hawi lil Fatawa jild : 2 pg: 363)

26) HAZRAT Imam Jameel Aafindi Rehmatullah alaih farmate hain.
Tamam Ambiya apni Qabro me zinda hain.
(Ref : Al-Fajr Al-Saadi 61)


27) HAZRAT Allama Sayyedul Ameen Misri alaihirerhma farmate hain.
Hum sab musalman is aqeede par muttafiq hain ki Huzur Aqdas alaihis salam apni qabr anwar me zinda hain aur ziyarat karne walo ko jante hain.
(Ref : Kashful Irtiyab 261)


28) HAZRAT Sheikh Ghause Azam Jilani Rehmatullah alaih farmate hain. Ambiya-e-Kiram aur Auliya-e-Kiram apni qabro me isi tarah namaz padhte hain jis tarah apne gharo me padha karte the.
(Ref : Sirrul Asraar 104)



29)HAZRAT Sheikh Ahmed Mujaddid Alif Saani Rehmatullah alaih farmate hain. Ambiya Kiram apni qabro me namaz padhte hain ye tumne suna hi hoga.
(Ref : Maktoob 16, Daftar 2)


30) HAZRAT Imam Nooruddin Halbi alaihi rehma farmate hain.
Ambiya duniya ki sair karte hain. Apni arwah ke sath Hajj-o-Umrah karte hain Jab unko ALLAH ka hukm hota hai. Nabi akram sallallaho alaihe wasallam tamam Alvi aur Ardi jahan sarshaar hain.
(Ref : Sa'aadatud Darain 459)


31)HAZRAT Imam Muhammad Alusi alaihi rehma farmate hain,
ek hi waqt me Huzur Anwar alaihis salaam ko kayi muqaamaat par dekha gaya hai. Halanki aap apni qabr anwar me namaz bhi padhte hain.
(Ref : Roohul Muaani Jild : 12 pg :14)



32) HAZRAT Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain. Jaanna chahiye ki Hazraat Ambiya-e-Kiram ki hayat Ulama ke nazdeek muttafiq alaih hai. Aur isme kisi ka koi ikhtilaf nahi. Aapki hayat Shuhada ki hayat se Kaamil tar aur qawi tar hai.
(Ref : Madarijun Nabuwwa jild : 2 pg : 447)


33)HAZRAT Badruddin Ayni Rehmatullah alaih farmate hain,
Imam Dawoodi Rehmatullah alaihne farmaya ki Huzur Aqdas alaihis salam ke liye qabr-e-anwar me dusri maut nahi hai.
(Ref : Umdatul Qari Shara E sahi Bukhari, jild: 18 pg :72)

34) HAZRAT Imam Muhammad Bin Hasan bin Faurik farmate hain, Bila shubah Hamare Nabi Akram alaihis salam Apne Qabr-e-Anwar me zindah hain. Wo ALLAH ke Rasool hain, Abad-al-Abaad tak zinda hain Haqiqi taur par, Na ki Majaazi taur par.
(Ref: Al-Tabqaat-e-Shaafiya jild : 3 , pg: 54)



35) HAZRAT Imam Manawi Rehmatullah alaih farmate hain.
Ambiya Kiram apni Qabro me zinda hain aur Namaz ada farmate hain.
(Ref: Fuyooz-ul-Qaeer jild : 3, pg:400)


36)HAZRAT Imam Ibn Hajar Asqalani Rehmatullah alaih farmate hain,
Aap alaihis salam ki hayat-e-barzakhi aisi hai jaise aap par maut waaqe nahi hui, pas aap Hamesha zinda hain.
(Ref :Fathahul Bari jild : 7, pg:21)



37) HAZRAT Sheikh Noorul Haq Dehelvi farmate hain.
Jamhoor ke nazdeek ye tay shuda aur Mukhtar Haqiqat hai ki Hazraat Ambiya Kiram zaaeqa maut ke baad Zinda hain.
(Ref:Taisirul Qari 3/252)

38) HAZRAT Imam Fakhruddin Razi Rehmatullah alaih farmate hain. Ye is baat ki dalil hai ki Insan maut ke baad nahi marte isi tarah Irshad-e-Mustafa alaihis salam hai ki ALLAH ke Nabi marte nahi, ek ghar se dusre ghar muntaqil ho jate hain.
(Ref : Tafseer Kabeer jild 21 pg: 41)


39)HAZRAT Sheikh Abdul Wahab Bukhari Rehmatullah alaih farmate hain, Sabse afzal nemat Wujud-e-Mustafa alaihis salam hai, jo ta-hayat-e-Naama ke sath Madina Munawwarah me maujud hai.
(Ref: Akhbarul Akhyar pg: 215)

40) HAZRAT Maulana Abdul Hayi Lakhnowi Rehmatullah alaih farmate hain, Risalat maut ke sath hi munqate nahi hoti, balki isi tarah wilayat bhi, to Nabuwwat kaise munqate ho jayegi? Qki Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref: Umdatul Riaaya jild :2, pg:307)


41) HAZRAT Allama Kirmani Rehmatullah alaih farmate hain, Aur ye ehtemal hai ki HAZRATAbu Bakr Rehmatullah alaihne iradah kiya ho ki Huzur Aqdas alaihis salam ki Hayat-e-barzakhi aisi hai, maut jiska ta'aqqub nahi kar sakti, aur aap alaihis salam 2 martaba maut ka zaaeqa nahi chakhenge.
(Ref:Kawakibul Darari jild:14 pg: 31)

42) HAZRAT Imam Ahmed Qastalani Rehmatullah alaih farmate hain,
Beshak Ambiya Kiram ki Hayat-e-Qabr sabit hai. Malum hai aur Daaymi hai. Chunki hamare Nabi un sabse afzal hain, Isliye chahiye ki apki Hayat-e-Qabr bhi sabse zyada akmal aur atam ho.
(Ref: Mawahibul Laduniya jild:4 pg:587)


43)HAZRAT Imam Taqiuddin Sheherzori Rehmatullah alaih farmate hain, Ambiya
Kiram akhirat ki taraf tashrif le jane ke baad zinda hain. Lehaza insan ko apki risalat aur hayat ka inkar karte hue darna chahiye. Kyunki ye bahot badi khata hai.
(Ref : Fatawa Ibnus Salaah jild: 1 pg:132)


44)HAZRAT Imam Abul Faaj Bin Rajab Hanbali Rehmatullah
alaih farmate hain. Ambiya ki hayat, Shuhada ki hayat se akmal hai. Isliye bila shubah wo zinda jawed hain.
(Ref: Ahwalil Qubur pg:135)

45) HAZRAT Khwaja Fariduddin Ganj Shakar Rehmatullah alaih farmate hain,
Ambiya Kiram apni Qabro me zinda hain.
(Ref :Sayerul Auliya 185)


46) Mufti Mazharullah Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain,
Huzur alaihis salam hayat hain aur unki rehmat ka silsila kabhi Munqate nahi hua.
(Ref: Mazharul Aqaid 49)


47) HAZRAT Maulana Qutubuddin Khan Rehmatullah alaih farmate hain, Zinda hain Ambiyae Kiram alaihimus salam qabro me, ye masla muttafiq alaih hai. Kisi ko isme khilaf nahi ki unki wahan haqiqi jismani duniya ki si hai.
(Ref: Mazahire Haq 1/445)


48) HAZRAT Khwaja Faqirullah Hanfi Rehmatullah alaih farmate hain
Beshumar Hadeeso me warid hai ki Ambiya apni qabro me zinda hain, Apne Rab ki ibadato me mashghul hain, Namaz, roza, Hajj ada karte hain.
(Ref : Qutubul Irshad pg: 276)


49) HAZRAT Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain. Ambiya Kiram marte nahi hain balki apni Qabro me zinda hain. Namaz padhte aur Hajj karte hain.
(Ref : Fuyuzul Harmain 80)


50)HAZRAT Sultan Baahu Rehmatullah alaih farmate hain, yaad rahe ki jo Ambiya Kiram ko murda jane uspar Eiman ke salab ho jane ka khauf hai. (Ref :Ainul Faqr 82)



51) HAZRAT Sheikh Ahmed Saeed Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain, Ulama ka ispar ittefaq hai ki Huzur Aqdas apni Qabr Munawwar me zinda hain.
(Ref: Tehqiqul Haqqul Mubeen 40)


52)HAZRAT Allama Zahid Kausari Rehmatullah alaih farmate hain. Hazrat
Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref: Maqalate Kausari pg: 387)


53)HAZRAT Allama Ahmed Dahlaan Makki Rehmatullah alaih farmate hain, Ahlesunnat ke haan Ambiyae Kiram ki Hayate Qabr bilkul sabit hai. Iske bahot dalail hain.
(Ref : Dararus saniya 13)


54) HAZRAT Imam Ibn Abedin Shaami Rehmatullah alaih farmate hain, Ambiyae
Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref : Raddul Muhtar jild: 4 pg:151)

55)Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah alaih farmate hain, Rasoolallah aur tamam Ambiya kiram ki hayate Haqiqi, Dunyavi, Ruhani wa Jismani

se zinda hain. Zameen wa asman ki saltanat me tasarruf farmate hain.
(Ref : Fatawae Razviya jild : 2 pg: 152)

Iske alawa aur bhi bahot se Ulamae Islam ne maslae hayatun Nabi ko dalail ke sath sabit karne ke baad apna aqeeda raqam farmaya hai ki Huzur Aqdas zinda hain Hazaro waqeyat ispar dalalat kar rahe hain kya ye saare buzurg bhi Mushrik Kaafir the jaise k wahabi mufatkhoro ne likha hai aur takreero me bola hai. ??

Part 06 : Proof From The Books of Wahabis
Dekhe pehle Devbandi peshwao ki kitabo se koi wali Nabi k bare me inke akeede saaf hai k wo mazboor hai apne wisal k baad kahi aa ja nhi sakte.. Maazallah
magar khud ka akabir buzurgo ki shan o azmat dikhani ho to devbandi hazrat saare shirk biddat band kar ke wakiat baayan karte hai dekhe saboot

1)WAFAT k baad Maulana Kasim Nanatvi sahab apne Jism e Jaahiri k saath Devband k madrase aaye
Qari Tayyab(Mananger of Devband & Grandson of Kasim Nanatvi) bayan karte hai k jis jamane me Maulvi Rafiuddin Sahaba Darool Uloom Devband the Mohtamim the us jamane me kuch Mudarris(Teachers) me aapas me kuch maslo ko leke behas chid gayi. Aage chalke Maulana Mehmood Ul Hasan sahab bhi behas wa hungame me sharik hogaye.
Ab aage ka wakiya khud Qari Tayyab sahab bayan karte hai likhte hai.. “Isi Dauran ek din Alsabah baad namaz e Fazr Maulana Rafiuddin sahab rehmatullah alaih ne Maulana Mehmoodul hasan sahab ko apne Huzre me bulaya (jo Devband me hai). Maulana sahab haazir hue aur band huzre ka darwaja khol k andar daakhil hue Mausam Sakht sardi ka tha.
Maulana Rafiuddin sahab farmate hai pehle mera ye Ruee ka lebada dekhlo. Maulana ne Lebada dekha to tarr(Wet) tha aur khoob bhig raha tha Farmaya k wakya yeh hai ki abhi abhi Mualana Kasim Nanatvi Zasde Unsuri(Jisme jaahiri) k saath mere pass aaye tashrif laaye the. Jis se mai ek dum pasina pasina hogaya aur mera lebada tarbatar ho gaya aur yeh farmaya k Mehmood hasan se kehdo k is jhagde me na pade.
Bas maine ye kehne k liye bulaya hai. Maulana Mehmood Hasan sahab ne arz kiya ki Hazrat mai aapke haath me tauba karta hoon ab iske baad mai kisi se kuch na bolunga.
(Ref : Arwah e Salasa pg : 242, Writer : Zahoor ul Hasan, aur Maulana Asraf ali Thanvi ne iski takreej ki hai)
dekhlo devband ki kahani jab baat apne maulvio ki aayi to kisi ne kuch objection nhi kiya k hamare buzurg ne likha hai k Nabi alaihi salam k bare me Maazallah.


ab dekhe dusra saboot Maulana Ashraf Ali Thanvi sahab k dada ka wakiat marne k baad bhi Thanvi k dada Mithai leke apne ghar pahuch gaye

Kisi baraat me Thanvi sahab k dada jaa rhe the waha dakuo ne hamla kiya aur thanvi sahab k dada ka wisaal hua.. ye pasmanjar hai ab aage ka wakiat khud devbandi hazraat likhte hai “Shahadat k baad ek azeeb wakya hua” Rat k wakt apne ghar misle zinda k tashrif laye aur apne ghar waalo ko mithai laakar di aur farmaya ki agar tum kisi se jaahir na karogi to is tarah se roz aaya karunga. Lekin unke ghar waalo ko andhesa hua ka jab baccho ko mitha khate dekhgenge to maalom nahi kya subaah(shak) karnge is liye jaahir kar diya aur aap tashrif nahi laaye yeh wakiya khandan me mashoor hai.

(Ref : Ashrafus sawaneh jild 01, Pg : 12 Published Khankaah Imdadia Thana Bhavan, Musaanif Khwaja Azeezul Hasan )
Ye dekhlo thanvi k dada sahab marne k baad bhi mitahi leke ghar aa sakte hai, nanatvi sahab marne k baad bhi madrase jaa sakte hai koi shirk biddat nhi hota bas saari tauhid shirk hojati hai jab baat nabi alaihi salam aur aulia allah k liye hoti hai. Kyu ?
Devbadnio k ek aur buzurg sahab Maulana Jakaria Kandhelvi ne ek kitab likhi

jis kitab ko har chille me devbandi leke ghumte hai naam “FAZAIL E AAMAL” me wakya likhte hai chunache likha hai
"Ahmad Raafi Mashoor Buzurg Akaabir Sufiyah Me Se Hain, Inka Kissa Mashoor Hai Ke Jab 555 Hijri Me Wah Ziyarat Ke Liye Haazir Hue Aur Qabar Ke Muqaabil Khade Hue To Yah Do Sher Padhetrans: Doori Ki Haalat Me Main Apni Rooh Ko Khidmat Akdas Me Bheja Karta Tha, Wah Meri Nayab Ban Kar Astaanah Mubarak Choomti Thi, Ab Jismon Ki Haaziri Ki Baari Aayi Hai, Apna Dast Mubarak Ata Kijiye, Taake Mere Honth Isko Choomen Is Par Qabar Shareef Se Dast Mubarak Bahar Nikala Aur Unhone Isko Chooma" (Fazail E Aamal - Hajj K Fazail Pg 130,131) Yaani Ki Huzur Sayyad Ahmad Kabir Rifayi Rehmatullah Alaih Ne Baargaah E Risalat Me Arz Kiya K Mai Huzur Salallahu Alaihi Wassalam Se Musafa Karna Chahta Hu Aur Huzur Ne Kabar Se Haath Bahar Nikal Diya ..Subhanallah

Jab Kabr se haath bahar nikal sakte hai mere aaka to batao kya khud bahar nahi aasakte.. ?
ye hai devbandi akeede ka dogla pan

Ab Gair mukkalido aur devbandio k shaikhul Islam sahab Abdul Halim Ibn Taimya sahab ki kitab se saboot
Hawala 1 : “Nabio ki zinda hona Bukhari aur muslim ki kitabo se saabit hota hai jisme Rasool allah ne farmaya jab logo ko dafan karke ghar ki taraf aate hai to murda pairo ki awaaj ko sunte hai”
(Ref : al mazmu’aat al fatawa ibn Taimya jild:24, pg. no. 362)

Wahabi k nazdeek bahot moetbar IMAM IBN HAJAR ASQALANI KA AQEEDA, AMBIYA ALAIHESALAM ZINDA HAIN, AUR JAHAN CHAHE JAA SAKTE HAIN:
(Ref: Fath-Ul-Bari Sharah Saheeh Bukhari, Vol2, Pg: 765) me likhte hain,

NABI sallallaho alaihe wasallam ne dekha, HAZRATMoosa alaihesalam Hajj karne aa rahe hain, aur Talbiya(Allahum ma Labbaik) padh rahe hain..
(Sahi Bukhari, Kitabul Hajj, Hadees : 1555)

Is Hadees ki sharah me Imam Ibn Hajar Asqalani likhte hain,

Ho Sakta hai ki Moosa alaihesalam khud hi Hajj karne aaye ho, Kyunki Ambiya zinda hain, aur jahan chahe jaa sakte hain, aur unhe koi bhi Hajj karne se nahi rok sakta. Is Hadees ke tehet Imam Ibne Hajar Asqalani ka Aqeeda bhi pata chalta hai, aur Hadees se istedlal bhi kiya jata hai ki Ambiya alaihimus salam zinda hain,
Wahabio k Imam Ibn-al-Qayyim jo inke Abdul halim ibn taimya k shagird hai likhte hai, Hawala 02 :
“ye jaan lena zaruri hai ki Ambiya ke jism apni Qabro me isi tarah hain, jaise wo duniya me the, tabhi to jab Sahaba ne pucha ki 'Aap par Darud kaise pesh kiya jayega, jab apka Jism mitti me hoga?' to Nabi alaihe salam ne farmaya: Allah ne Ambiya ke jismo par mitti ko haram kar diya hai ki wo inke jismo ko khaye, aur agar unke Jism salamat na hote, to Nabi alaihe salam ne aisa jawab na diya hota”
[Ref : Al-RûH Page: 58]


Wahabio k bahot moetabar shaks Qazi Shawkani likhte hai
“Nabi apni kabr me zinda hai, iska saboot hadis me mauzood hai, k Ambiya apni kabro me zinda hai”
(ref : Nayt Al Awtar jild 05 : pg : 101)

Part 07 : Answer of Questions Raised by Wahabis.

1) Tum Sunni kehte ho Nabi alaihi salam apni kabro me zinda hai jabki Quran me ALLAH farmate hai “kullu nafsun ziyaqatul mout” – كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ ۗ
“ HAR JAAN KO MAUT KA MAZA CHAKNA HAI” (Surah Al Imran ayat 185)
Ans) Ye ek bewakufan a aitraz hai hum ne shuru me hi iska jawab diya hai k hum ispe imaan rakhte hai aur akeeda bhi ab wahabi ye baar baar aitraaz kare to iska ilaaz nhi hai.Phir bhi sun lo
Imam Behki rehmatullah alaih farmate hai apni kitab Hayatal Anbiya Fi Kuburihim me farmate Imam Abu Dawood ne apni sunan me hadees likhi hai
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sal Allahu Alaihi WassalamNe Farmaya :
Jo Shakhs Mujh Par Salam Bhejta Hai To BeShak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.

(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon”
(Abu Dawud As-Sunan, Jild-02, Pg-218, Hadith-2041)

ab aage farmate hai k har wakt nabi e karim Sal Allahu Alaihi Wassalampe har wakt koi na koi ummati durood bhejta hai chunacha Quran me hai








“Beshak Allah aur uske Farishte Darood bhejte hai us Gaib batane waale nabi par, aye Imaan waalo unpar Durood aur khoob Salam Bhejo”
(Al Quran, Surah Al Ahzaab Aayat :56)

to kya ruuh jism se nikali jaati hai baar baar aur daali jaati hai ? ji nhi iska jawab Mujadid Imam Jala Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaih farmate hain: Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain, aur ''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani permanently. To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur fir bar bar wapas leta hai, balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.


2) Ye To Darood padhne ki baat Insaan sota bhi to hai ek na ek wakt aisa aata hai jab koi Durood nhi bhejta hai us wakt kya ?
Ans) Tum wahabi sach me akal k andhe ho tumhe Kabhi Nabi E Karim Sal Allahu Alaihi Wassalamki shaan o azmat hazam nhi hogi sun lo Hadis koi ek wakt bhi aisa nhi hai jab Nabi pe koi salam nhi padhta jabki Quran me saaf saaf aayat hai salam k talluk se magar tum maanoge nhi ye lo is Hadees ko bhi padh lo

“Hazrat Nabeeh Bin Wahab radi allahu anho se marvi hai ki Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur e akram alaihih salam ka zikr kiya.
Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur e Akram ki kabr e akdas ko gher lete hai aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai) aur Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalamk roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge
(Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390)
(Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03, pg : 1018, Hadis :537)
Gair mukallido k imam ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518)ab bhi koi aisa wakt hai jo khali hai durood se ? Allah tumhe Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalamki azmat samajne ki taufeek de 2) Ye To Darood padhne ki baat Insaan sota bhi to hai ek na ek wakt aisa aata hai jab koi Durood nhi bhejta hai us wakt kya ?
Ans) Tum wahabi sach me akal k andhe ho tumhe Kabhi Nabi E Karim Sal Allahu Alaihi Wassalamki shaan o azmat hazam nhi hogi sun lo Hadis koi ek wakt bhi aisa nhi hai jab Nabi pe koi salam nhi padhta jabki Quran me saaf saaf aayat hai salam k talluk se magar tum maanoge nhi ye lo is Hadees ko bhi padh lo

“Hazrat Nabeeh Bin Wahab radi allahu anho se marvi hai ki Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur e akram alaihih salam ka zikr kiya..

Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur e Akram ki kabr e akdas ko gher lete hai aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai) aur Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalamk roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge
(Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390)
(Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03, pg : 1018, Hadis :537)

(Gair mukallido k imam ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518) ab bhi koi aisa wakt hai jo khali hai durood se ? Allah tumhe Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalamki azmat samajne ki taufeek de
3) Nabi alaihisalam zinda hai to sahaba ne galat kiya kabar banake ?
Ans) Ye inke dimaag k kachra hai jo kitni bhi daleel dedo saaf nhi hota ussi sahaba ki jamaat ne beshumar aisi rivataye batayi hai jis se ye saabit hota hai k ambiya alaihi salam apni kabro me zinda hai aur unka jism salamat rehte hai ab iske saboot me Daur e Farook e azam me

“Hazrat Abu Moosa AshAari radiallahu anho Ne Tastaer Ka Qila Fateh Farmaya Waha Par Ek Mehfooz Jagah Me Ekk TABOOT Mila Jisme Hazrat DANIYAL Alyhissallam Ka Jisme Mubarak Paya Aur
Jisme Mubarak Ki Yah Halat Thi K Gardan Mubarak Aur Seena Ki Tammam Rage CHAL Rahee Thi .

Aap Ne HazRate Umare Farooqe Aazam Ko Khat Likha Jaha Se Jawaab Aaya K
Hazrate DANIYAL Alyhissallam ne Duwa Ki Thi K Mujhe Ummate Muhamadiya Dafan Kare To Aisa Hi Apko Karna Hai Aur Ambiya K Jismo Ko Aag Aur
Zameen Nahi Khatee”
(Ref :Imam ibn Kasir ne Al Badaya Van Nihaya jild:2, Pg :40-42)
(Ref : Imam Abi Shaeba ne Al Musanaf Ibne Abi Saeba jild 07 pg 04)
(Ref: Dalla E Lun Naboovah jild : 1 pg : 382)
Hazrat Daniyal Alaihi salam aur Huzur alaihi slam k darmiyan wakt kitna lamba tha ? approximately 850 saal k wakt phr bhi Jism salamat, nafz chal rhi hai alhamdullilah goya k ye jism ka milna jawab de rha ho k ek kaum aaygi 1400 saal baad jo Nabio ko murda kahegi unke liye ye ibrat hai dekh le..

Hazrat Umar aur digar sahaba se bhi saabit hua k wo bhi Nabiyo ki hayat k kaayal the. Ab Umar Farook e aazam ne unhe dafn bhi karwaya baad me ye jaante hue k wo hayat hai to kya unhone bhi julm kiya jaisa k tumhare Bilal Philips jaise jaahil ne kaha hai. Ab Kya jawab hoga tumhara Dafan karna ye ek Islami tarika hai isliye kiya jaata hai.
ALLAH HIFAZAT FARMAYE MUSALAMNO KI IN WAHABI BADAKEEEDO SE.

4)Nabi barzakhi aetebar se zinda hain Dunyawai Aitbaar se Nahi ?

Ans) Barjaki aitbaar se murda kon hota hai ?
Har momin musalmaan Barjaki aitbaar se phir zinda hua kyuki aalam e barjakh me to har momin ki rooh zinda hai. Phir Shahido ki zindagi aur unke zinda hone pe aayat kyu aayi ? aur Ambiya alaihi salam ki zindagi ko saabit karne k liye Muhadisin ne kitabe dalil kyu likhe jama kiye ?
Aur phir ambiya ki hayaat ka tazkira shariat me infiradi tour par kyu hai?
aur sheikh Abdul hak muhaddis dahelvi alahi rehma ka ye farmana k
HAYAT UL AMBIYA Aisa mauzu hai jispe koi ektelaf nhi hai pata chala k ektelaf than nahi jab nazd se fitne uthe tab ektelaf shuru hua hai

SHAIKH ABDUL HAK MUHADDIS DAHELVI farmate hai
“Ambiya zinda hai aur shuru se is baat pe izma raha hai k wo hayat hai unki zindagi asal hai, shaheedo ki tarah Ruhani ya barjaki nhi”
(Ref : Ash’at al Lama’at vol.01 pg. 574)

5) Nabi Zinda Hai To Nazar kyu nhi aate hai ?
Ans) Ye azeeb jaahil hai wahabi log apne akeede ko defend karne k liye kuch bhi sawal karte hai. Pehli baat ye dunya ki kis mazhabi kitab se definition liya gaya hai k zinda hone k liye jaahiran dikhna jaruri hai ? iska jawab pehle de

Agar phr bhi kehte ho k nahi nahi dikhna jaruri hai warna nhi maanege hum,

ALLAH aur uske farishte zinda hai ya murda hai ?
Kiramin Kaatimin Zinda hai ya murda ?
beshak zinda hai phir nazar kyu nahi aate ? to pata chala jaahiran nazar naa aana is baat ki dalil nhi hoti k wo cheez mauzood nahi hai aur modern science to tarakki kar chukka hai bahot aap k saamne aisi cheeze hai jo aam insaan naked aankh se nahi dekh sakta hai uske liye kuch khas equipments ki jarurat hoti hai. Simple hai aaj agr nabi alaihi salam ko dekhna hai to khud ko waise banao k tumhari aankhe unhe dekhne k kaabil hojaye.
Agra ab bhi nhi maanoge to na maano, maan kar hum pe kaunsa ehsaan karoge ?

6) Nabi alaihisalam zinda hai to khana bhi khate honge ? phir Dunyawi maamlat insaan jaruriyat bhi hoti hogi jaise istenja, pakahana etc. wo kaha karte hai ?
Ans) ye bhi inka ek azeeb aitraaz hai aisa konsa usool hai jo ye sab karna hai.
Insaan jannat me jaayga waha bhi haajat hogi to kya ek aam musalman bhi waha najasat karega ? Hargiz nhi waha insaan ko is trah se banaya rakha jaayga k kuch Hazaat ho bhi tab bhi kuch fark nhi padega wo khud se nikal jaaye aur pata bhi nhi chalega. Ab ye haal hai Jannat ka aur jo khud Malike Jannat hai unka aalam kya hoga ? Hamara to akeda hai is baat pe k Huzur E Akram alaihi salam ka rauza to khud jannat se afzal hai.

ab iski bhi daleel chahye to aapke ghar se dalil dete hai ruko

Wahabi Gair Mukkalido k har Dil Aziz Imam Ibn Kayyam Jauzi likhte hai

“Imam ibn Akeel ne farmaya Mujhse kisi Sayil ne pucha Huzra E Nabvi Sal allahu alaihi wassalam aur Khana E kaaba me kon Afzal Hai ?

Al Jawab : agr tumhari Murad e ye hai k Huzur sal allahu alaihi wassalam waha Tashreef farma hai to Kaaba Afzal Nahi hai.
Allah Ki kasam na arsh na uske hamileen na Jannat agr dono jaha se mowazna kia jaaye to Huzre ko sab pe tarjeeh hai”
(Ref : Babul Fawaid jild 03, pg: 1065 by Ibn Kayyam Jauzi)
Subhanallah jab Huzra e Nabvi sal alahu alaihi Wasalam ka aalam ye hai to khud jaha Mustafa Jane Rehmat Sal allahu alaihi Wasalam Aaram farma rahe hai wo jagah khud kitni Mukkadas hai.

7) Nabi kabr me namaz kaise padte hai ? Ruku Sazde itni choti jagah me ?
Ans) Dunya sudhregi tum mardoodo ko akal nhi aaygi sirf dimag issi kaam me kharch karte ho k kis trah se tauhin e risalat ki jaaye. Jab Nabi Alaihi salam ne farmaya k Moosa alaihi salam apni kabr me namaz padh rhe the kisi sahaba ne pucha k kaise padh rhe the kaise khade honge ? Imaan to naam hi hai gaib ki baato ko maan lene ka. Tumhare Kandhe me do Farishte hai “KIRAMIN KATIMEEN” wo namaz kaha padhte hai ? Kandhe me hi padhte hai na ? kandhe me kuch weight bhi uthate hoge tab kya farishte Dab jaate hai ?



8) Hazrat Umar Ne Kaha Us Shaks ko maar dunga jisne kaha Nabi wisal kar gye ! baad me Abu Bakr Siddik Ne Kaha Nabi ko kya tum khuda samajhte ho wo bhi wisal karnge , Dekho Abu Bark Siddik to Nabi alaihi salam ko Zinda nhi samajhte.. Ans)Wisal Ka Munkir Koi Nahi hai ye baat humne shuru me wajeh ki hai us wakt me Sayyidna Siddik e Akbar ka kehna isliye nhi tha k wo akeeda rakhte hai k Nabi e Karim Sal Allahu alaihi wassalam mar gye maazallah balke wo sirf Hazrat Umar Razi allahu anho ko samjhane k lihaz se tha k har wo chiz jo wajood me aayi hai wo ek baar qudrate Ilahiya k tahet usko bhi mitna hai..
ab dekhiye Siddik E Akbar ki wasiyat Hazrat Abu Bakr Siddiq
Radiallaho Ta'ala Anhu Ka Aqeedah, Nabi Alaihis Salam Zinda Bhi Hain Aur Hamaari Awaz Bhi Sun Sakte Hain Aur Jawab Bhi De Sakte Hain: Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta"aala-Anhu Ne Apne Visaal-A-Mubarak Se Pehle Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ko Farma Diya Tha Ki Mere Janaze Ko Taiyyar Karke Hujra Sharif Jisme Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Mazaar-A-Anwar Hain, Ke Saamne Rakhker Arz Karna-Assalamu Alaikum Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Abu-Bakr Aapke Darwaze
Per Haazir Hain,Fir Jaisa Hukm Ho Wahi Karna!
Chunanche, Aapki Wasiyat Ke Mutabik Aapke Janaze Ko Hujre Ke Saamne Rakhker Arz Kiya Gaya, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Aapke Yaar-A-Gaar Abu-Bakr Aapke Darwaze Per Haazir Hain! Inki Tamanna Aapke Hujre Sharif May Dafn Hone Ki Hain! Agar Ijazat Ho To Hujra Sharif May Dafn Kiya Jaye?
Yeh Sunker Hujra Sharif Ka Darwaza Jo Pehle Bandh Tha Khud-Ba-Khud Khul Gaya Aur Awaaz Aayi- "Habib Ko Habib Se Mila Do, Kyonki Habib Ko Habib Se Milne Ka Ishtiyaak Hain!" Jab Hujra Sharif May Hazrat Abu-Bakr Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Dafn Karne Ki Ijazat Hui To Janaza-A-Mubarak Ko Ander Legaye Aur Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Kandhe Mubarak Ke Karib Aapko Dafn Kerdiya Gaya! (Ref : Siratus Saliheen Pg:92) (Ref :Tafseere Kabeer Jild:5, Safa:685 )
(Ref : Khasasi'ul Qubra Jild:2, Safa:282 ) (Ref : Tarikh-e-Damishq. Pg.747)
Isse pata chalta hai ki Hazrat Abu Bakr Siddiq Rehmatullah alaihka Aqeeda tha ki Nabi alaihe salam humesun bhi sakte hain aur jawab bhi de sakte hain, isiliye aisi wasiyat farmayi thi.

Isi trah ka wakya Sayyidna Umar ibn Khattab Razi allahu anho ka bhi wo bhi padh li jiye

"Hazrat Umar Bin Memoon Radi Allahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Hazrat E Umar Radi Allahu Ta'ala Anhu Ko Dekha Ke Unhone Farmaya: Aey Abdullah Bin Umar(Radi Allahu Ta'ala Anhu)! Ummul Momineen Aisha Siddika Radi Allahu Ta'ala Anha K Pass Jao Or Kehna Umar Bin Khattab ( Radi Allahu Ta'ala Anhu ) Aapko Salam Kehte Hai Phir Puchte Hai Ke Mujhe Dono Sathiyo K Sath Dafan Kar Diya Jaye , Hazrat E Aisha Siddika Radi Allahu Ta'ala Anha Farmati Hai: Ke Wo Jagah Me Apne Liye Chahti Ti Lekin Mene Unhe Aaj Apne Upar Tarjih Di ( Means Mene Unhe Waha Dafan Hone Ki Ijazat De Di)
Jab Abdul Bin Umar Radi Allahu Ta'ala Anhu Wapas Lote To, Hazrat E Umar Bin Khattab Radi Allahu Ta'ala Anhu Ne Pucha Kya Khabar Laaye Ho?

Arz Guzaar Hue, Aey Ameerul Momineen ! Aap Ke Liye Ijazat Mil Gayi Hai, Hazrat E Umar Radi Allahu Ta'ala Anhu Ne Farmaya : Is Aram Gah Se Mere Liye Koi Jagah Araam Wali Nai Hai , Jab Mera Wisaal Ho Jaye To Mujhe Utha Ke Le Jana Or Salam Arz Karna Or Phr Farmana Ke Umar Bin Khattab ( Radi Allahu Ta'ala Anhu ) Aap Se Salam Arz Karte Hai , Agar Mujhe Ijazat Mil Jaye To Waha Dafan Karna Warna Musalmano Ke Qabrastaan Me Le Jana"

( Sahi Al Bukhari: Jild :1 , Book No : 23 Kitabul Janaiz , Baab No :96 , Huzoor E Akram Alaihi Salam, Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar Radi Allaho Anho Azmain ki Kabr e Mubarak Ka Bayan, Hadees :1392)


ab yaha wahabio se hmare kuch sawal hai aap Hazrat Abu Bakr k kaul se dalil pakadte hai aur aapke mulla co. bol chuke jo Nabi ko zinda samjhe wo kaafir hai..

Hazrat Umar Razi allahu ne Nabi E Karim Sal allahu alaihi waslam ko Zinda maana tha jabki umar farook e aazam ko pata tha k Nabi e Karim Wisal Kar gye..
To Kya Hazrat Umar pe Hukm lagega ?? agr nhi to bataye phr Bataye k Hazrat Umar Razi allahu anho ne Is masle me kab tauba ki ? Koi Saboot pesh karo ..
Itne saare Muhadisin Fukaha Aulia pe kya hukm lagega jo 1400 Saalo se Huzur E Karim alaihi salam ko zinda maante hai kya ye sab mazallah Gumraah kaafir the aur aaj tum hak pe ho ???

Jo In Buzurgo ko Na maane wo khud kya hai batane ki jarurat nhi hai hume.Humne Is Mukhtasar se risale me bahot si dalilo se wajeh kiya hai k Huzur E Karim Sal allahu alaihi Wasalam apni Kabr me Dunyawi zindagi ki trah Zinda hai aur Nahi unke zism ko jameen koi Nuksaan pahucha sakti hai ab agr koi Khud ko Ahle Hadees kahe uske baad bhi itni hadeeso ka saaf inkar karde to uske liye Quran e Mukaddasa ki wo aayat hi kaafi hai wo kaisa ahle hadees hai hume samajh naahi aata kis muuh se ye khud ko ahle hadees salafi kehte hai jabki naa hadiso ko maante hai na kisi Salaf salaheen ulema ko maante hai 55 se zyada motebar ulema k kaul unki kitabo se wajeh kiya k Tamam log Shuru se leke aakhir tak sab hayate ambiya k kayal the kisi ne is masle me koi sawal hi nhi kiya magar ab jaake jabse ye new jamat paida hui musalmano me ek naya akeeda tarasha gaya k Nabi alaihi salam hayat nahi hai jabki ye akeeda khud me biddat hai. Allah Tabarwatala se dua hai ka Apne Habib alaihi salam k sadke tufail hamari is choti si khidmat ko kabool farmaye hmra akeeda badmazhab se mehfooz kare….

No comments:

Post a Comment

73 FIRQE ME SIRF 1 JANNATI

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم Sharah Hadees  Iftiraq e UmmatA           Iftiraaq e Ummat ki Hadees Mukhtaliq tareeqon aur mukhtalif alfaz s...